القلم

Al-Qalam

سورت ۶۸ · آیات: ۵۲ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. نٓۚ وَٱلۡقَلَمِ وَمَا يَسۡطُرُونَ

    آیت ⁦۶۸:۱⁩ کھولیں

    Noon ( aey payghumber ! ) qasam hai qalam ki , aur uss cheez ki jo woh likh rahey hain ,

  2. مَآ أَنتَ بِنِعۡمَةِ رَبِّكَ بِمَجۡنُونٖ

    آیت ⁦۶۸:۲⁩ کھولیں

    apney perwerdigar kay fazal say tum deewaney nahi ho ,

  3. وَإِنَّ لَكَ لَأَجۡرًا غَيۡرَ مَمۡنُونٖ

    آیت ⁦۶۸:۳⁩ کھولیں

    aur yaqeen jano tumharay liye aisa ajar hai jo kabhi khatam nahi hoga .

  4. وَإِنَّكَ لَعَلَىٰ خُلُقٍ عَظِيمٖ

    آیت ⁦۶۸:۴⁩ کھولیں

    aur yaqeenan tum akhlaq kay aalaa darjay per ho .

  5. فَسَتُبۡصِرُ وَيُبۡصِرُونَ

    آیت ⁦۶۸:۵⁩ کھولیں

    chunacheh tum bhi dekh lo gay aur yeh log bhi dekh len gay

  6. بِأَييِّكُمُ ٱلۡمَفۡتُونُ

    آیت ⁦۶۸:۶⁩ کھولیں

    kay tum mein say kon deewangi mein mubtala hai

  7. إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعۡلَمُ بِمَن ضَلَّ عَن سَبِيلِهِۦ وَهُوَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُهۡتَدِينَ

    آیت ⁦۶۸:۷⁩ کھولیں

    yaqeenan tumhara perwerdigar ussay bhi khoob janta hai jo apney raastay say bhatak gaya hai , aur unn logon ko bhi khoob janta hai jinhon ney seedhi raah paali hai .

  8. فَلَا تُطِعِ ٱلۡمُكَذِّبِينَ

    آیت ⁦۶۸:۸⁩ کھولیں

    lehaza tum unn ki baaton mein naa aana jo ( tumhen ) jhutla rahey hain ,

  9. وَدُّواْ لَوۡ تُدۡهِنُ فَيُدۡهِنُونَ

    آیت ⁦۶۸:۹⁩ کھولیں

    yeh chahtay hain kay tum dhelay parr-jao to yeh bhi dhelay parr-jayen .

  10. وَلَا تُطِعۡ كُلَّ حَلَّافٖ مَّهِينٍ 

    آیت ⁦۶۸:۱۰⁩ کھولیں

    aur kissi bhi aesay shaks ki baaton mein naa aana jo boht qasmen khaney wala , bey wuqat shaks hai ,

  11. هَمَّازٖ مَّشَّآءِۭ بِنَمِيمٖ

    آیت ⁦۶۸:۱۱⁩ کھولیں

    taaney denay ka aadi hai , chughliyan lagata phirta hai ,

  12. مَّنَّاعٖ لِّلۡخَيۡرِ مُعۡتَدٍ أَثِيمٍ

    آیت ⁦۶۸:۱۲⁩ کھولیں

    bhalai say rokney wala , ziyadti kernay wala , badd amal hai

  13. عُتُلِّۭ بَعۡدَ ذَٰلِكَ زَنِيمٍ

    آیت ⁦۶۸:۱۳⁩ کھولیں

    badd mizaj hai , aur iss kay ilawa nichlay nasab wala bhi .

  14. أَن كَانَ ذَا مَالٖ وَبَنِينَ

    آیت ⁦۶۸:۱۴⁩ کھولیں

    sirf iss wajeh say kay woh baray maal aur aulad wala hai .

  15. إِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِ ءَايَٰتُنَا قَالَ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۶۸:۱۵⁩ کھولیں

    jab uss kay samney humari aayaten parh ker sunai jati hain to woh kehta hai kay yeh pichlay logon ki kahaniyan hain .

  16. سَنَسِمُهُۥ عَلَى ٱلۡخُرۡطُومِ

    آیت ⁦۶۸:۱۶⁩ کھولیں

    unqareeb hum uss ki soond per dagh laga den gay .

  17. إِنَّا بَلَوۡنَٰهُمۡ كَمَا بَلَوۡنَآ أَصۡحَٰبَ ٱلۡجَنَّةِ إِذۡ أَقۡسَمُواْ لَيَصۡرِمُنَّهَا مُصۡبِحِينَ

    آیت ⁦۶۸:۱۷⁩ کھولیں

    hum ney inn ( makkah walon ) ko issi tarah aazmaesh mein daala hai jaisay ( aik ) baagh walon ko uss waqt aazmaesh mein daala tha jab unhon ney qasam khai thi kay subha hotay hi hum iss baagh ka phal torr len gay

  18. وَلَا يَسۡتَثۡنُونَ

    آیت ⁦۶۸:۱۸⁩ کھولیں

    aur yeh ( kehtay huye ) woh koi istasna nahi ker rahey thay .

  19. فَطَافَ عَلَيۡهَا طَآئِفٞ مِّن رَّبِّكَ وَهُمۡ نَآئِمُونَ

    آیت ⁦۶۸:۱۹⁩ کھولیں

    phir huwa yeh kay jiss waqt woh so rahey thay , uss waqt tumharay perwerdigar ki taraf say aik bala uss baagh per phira laga gaee ,

  20. فَأَصۡبَحَتۡ كَٱلصَّرِيمِ 

    آیت ⁦۶۸:۲۰⁩ کھولیں

    jiss say woh baagh subha ko katti hoi kheti ki tarah hogaya .

  21. فَتَنَادَوۡاْ مُصۡبِحِينَ

    آیت ⁦۶۸:۲۱⁩ کھولیں

    phir subha hotay hi unhon ney aik doosray ko aawaz di ,

  22. أَنِ ٱغۡدُواْ عَلَىٰ حَرۡثِكُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰرِمِينَ

    آیت ⁦۶۸:۲۲⁩ کھولیں

    kay agar phal torrney hain to apney khet ki taraf saweray chal niklo .

  23. فَٱنطَلَقُواْ وَهُمۡ يَتَخَٰفَتُونَ

    آیت ⁦۶۸:۲۳⁩ کھولیں

    chunacheh woh aik doosray say chupkay chupkay yeh kehtay huye rawana huye

  24. أَن لَّا يَدۡخُلَنَّهَا ٱلۡيَوۡمَ عَلَيۡكُم مِّسۡكِينٞ

    آیت ⁦۶۸:۲۴⁩ کھولیں

    kay aaj koi miskeen tumharay paas uss baagh mein naa aaney paye .

  25. وَغَدَوۡاْ عَلَىٰ حَرۡدٖ قَٰدِرِينَ

    آیت ⁦۶۸:۲۵⁩ کھولیں

    aur woh baray zoron mein tez tez chaltay huye niklay .

  26. فَلَمَّا رَأَوۡهَا قَالُوٓاْ إِنَّا لَضَآلُّونَ

    آیت ⁦۶۸:۲۶⁩ کھولیں

    phir jab uss baagh ko dekha to kehney lagay kay : hum zaroor raasta bhatak gaye hain ,

  27. بَلۡ نَحۡنُ مَحۡرُومُونَ

    آیت ⁦۶۸:۲۷⁩ کھولیں

    . ( phir kuch dair baad kay baad kaha kay : ) nahi ! balkay hum sabb lutt gaye hain .

  28. قَالَ أَوۡسَطُهُمۡ أَلَمۡ أَقُل لَّكُمۡ لَوۡلَا تُسَبِّحُونَ

    آیت ⁦۶۸:۲۸⁩ کھولیں

    unn mein jo shaks sabb say acha tha , woh kehney laga : kiya mein ney tum say nahi kaha tha kay tum tasbeeh kiyon nahi kertay ?

  29. قَالُواْ سُبۡحَٰنَ رَبِّنَآ إِنَّا كُنَّا ظَٰلِمِينَ

    آیت ⁦۶۸:۲۹⁩ کھولیں

    kehney lagay : hum apney perwerdigar ki tasbeeh kertay hain , yaqeenan hum zalim thay .

  30. فَأَقۡبَلَ بَعۡضُهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖ يَتَلَٰوَمُونَ 

    آیت ⁦۶۸:۳۰⁩ کھولیں

    phir aik doosray ki taraf mutawajjah ho ker aik doosray ko malamat kernay lagay .

  31. قَالُواْ يَٰوَيۡلَنَآ إِنَّا كُنَّا طَٰغِينَ

    آیت ⁦۶۸:۳۱⁩ کھولیں

    . ( phir ) sabb ney ( muttafiq hoker ) kaha kay : afsos hai hum sabb per ! yaqeenan hum sabb ney sarkashi ikhtiyar kerli thi .

  32. عَسَىٰ رَبُّنَآ أَن يُبۡدِلَنَا خَيۡرٗا مِّنۡهَآ إِنَّآ إِلَىٰ رَبِّنَا رَٰغِبُونَ

    آیت ⁦۶۸:۳۲⁩ کھولیں

    kiya baeed hai kay humara perwerdigar Allah hamen iss baagh kay badlay iss say acha ata farmadey . beyshak hum apney perwerdigar ki taraf rujoo kertay hain .

  33. كَذَٰلِكَ ٱلۡعَذَابُۖ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَكۡبَرُۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۶۸:۳۳⁩ کھولیں

    azab aisa hi hota hai , aur aakhirat ka azab yaqeenan sabb say bara hai . kaash yeh log jantay !

  34. إِنَّ لِلۡمُتَّقِينَ عِندَ رَبِّهِمۡ جَنَّٰتِ ٱلنَّعِيمِ

    آیت ⁦۶۸:۳۴⁩ کھولیں

    albatta muttaqiyo kay liye unn kay perwerdigar kay paas naimaton bharay baaghaat hain .

  35. أَفَنَجۡعَلُ ٱلۡمُسۡلِمِينَ كَٱلۡمُجۡرِمِينَ

    آیت ⁦۶۸:۳۵⁩ کھولیں

    bhala kiya hum farmanbardaaron ko mujrimon kay barabar kerden gay-?

  36. مَا لَكُمۡ كَيۡفَ تَحۡكُمُونَ

    آیت ⁦۶۸:۳۶⁩ کھولیں

    tumhen kiya hogaya hai ? tum kaisi baaten tey kerletay ho-?

  37. أَمۡ لَكُمۡ كِتَٰبٞ فِيهِ تَدۡرُسُونَ

    آیت ⁦۶۸:۳۷⁩ کھولیں

    kiya tumharay paas koi kitab hai jiss mein tum yeh parhtay ho

  38. إِنَّ لَكُمۡ فِيهِ لَمَا تَخَيَّرُونَ

    آیت ⁦۶۸:۳۸⁩ کھولیں

    kay tumhen wahan wohi kuch milay ga jo tum pasand kero gay-?

  39. أَمۡ لَكُمۡ أَيۡمَٰنٌ عَلَيۡنَا بَٰلِغَةٌ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ إِنَّ لَكُمۡ لَمَا تَحۡكُمُونَ

    آیت ⁦۶۸:۳۹⁩ کھولیں

    ya tum ney hum say qayamat kay din tak baqi rehney wali qasmen ley rakhi hain kay tumhen wohi kuch milay ga jo tum tey kero gay-?

  40. سَلۡهُمۡ أَيُّهُم بِذَٰلِكَ زَعِيمٌ 

    آیت ⁦۶۸:۴۰⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) inn say poocho kay : inn mein say kon hai jiss ney iss baat ki zamanat ley rakhi ho-?

  41. أَمۡ لَهُمۡ شُرَكَآءُ فَلۡيَأۡتُواْ بِشُرَكَآئِهِمۡ إِن كَانُواْ صَٰدِقِينَ

    آیت ⁦۶۸:۴۱⁩ کھولیں

    kiya khudai mein inn kay maaney huye kuch shareek hain ( jo yeh zamanat letay hun-? ) to phir ley ayen apney unn shareekon ko , agar woh sachay hain !

  42. يَوۡمَ يُكۡشَفُ عَن سَاقٖ وَيُدۡعَوۡنَ إِلَى ٱلسُّجُودِ فَلَا يَسۡتَطِيعُونَ

    آیت ⁦۶۸:۴۲⁩ کھولیں

    jiss din saaq khol di jaye gi , aur inn ko sajday kay liye bulaya jaye ga to yeh sajda ker nahi saken gay .

  43. خَٰشِعَةً أَبۡصَٰرُهُمۡ تَرۡهَقُهُمۡ ذِلَّةٞۖ وَقَدۡ كَانُواْ يُدۡعَوۡنَ إِلَى ٱلسُّجُودِ وَهُمۡ سَٰلِمُونَ

    آیت ⁦۶۸:۴۳⁩ کھولیں

    inn ki nigahen jhuki hoi hon gi , inn per zillat chai hoi hogi . uss waqt bhi unhen sajday kay liye bulaya jata tha jab yeh log sahih saalim thay , ( uss waqt qudrat kay bawajood yeh inkar kertay thay )

  44. فَذَرۡنِي وَمَن يُكَذِّبُ بِهَٰذَا ٱلۡحَدِيثِۖ سَنَسۡتَدۡرِجُهُم مِّنۡ حَيۡثُ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۶۸:۴۴⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) jo log iss kalam ko jhutla rahey hain unhen mujh per chorr do . hum unhen iss tarah dheeray dheeray ( tabahi ki taraf ) ley jayen gay kay unhen pata bhi nahi chalay ga .

  45. وَأُمۡلِي لَهُمۡۚ إِنَّ كَيۡدِي مَتِينٌ

    آیت ⁦۶۸:۴۵⁩ کھولیں

    aur mein unhen dheel dey raha hun . yaqeen rakho meri tadbeer bari mazboot hai .

  46. أَمۡ تَسۡـَٔلُهُمۡ أَجۡرٗا فَهُم مِّن مَّغۡرَمٖ مُّثۡقَلُونَ

    آیت ⁦۶۸:۴۶⁩ کھولیں

    kiya tum unn say koi ujrat maang rahey ho kay woh tawaan kay bojh say dabay jarahey hain-?

  47. أَمۡ عِندَهُمُ ٱلۡغَيۡبُ فَهُمۡ يَكۡتُبُونَ

    آیت ⁦۶۸:۴۷⁩ کھولیں

    ya unn kay paas ghaib ka ilm hai jissay woh likh rahey hun-?

  48. فَٱصۡبِرۡ لِحُكۡمِ رَبِّكَ وَلَا تَكُن كَصَاحِبِ ٱلۡحُوتِ إِذۡ نَادَىٰ وَهُوَ مَكۡظُومٞ

    آیت ⁦۶۸:۴۸⁩ کھولیں

    gharz tum apney perwerdigar ka hukum aaney tak sabar kiye jao , aur machli walay ki tarah matt hojana , jab unhon ney ghum say ghutt ghutt ker ( hamen ) pukara tha .

  49. لَّوۡلَآ أَن تَدَٰرَكَهُۥ نِعۡمَةٞ مِّن رَّبِّهِۦ لَنُبِذَ بِٱلۡعَرَآءِ وَهُوَ مَذۡمُومٞ

    آیت ⁦۶۸:۴۹⁩ کھولیں

    agar unn kay perwerdigar kay fazal ney unhen sanbhal naa liya hota to unhen buri halat kay sath ussi khulay meydan mein phenk diya jata .

  50. فَٱجۡتَبَٰهُ رَبُّهُۥ فَجَعَلَهُۥ مِنَ ٱلصَّٰلِحِينَ 

    آیت ⁦۶۸:۵۰⁩ کھولیں

    phir unn kay perwerdigar ney unhen muntakhib farma liya , aur unhen sualeheen mein shamil kerdiya .

  51. وَإِن يَكَادُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَيُزۡلِقُونَكَ بِأَبۡصَٰرِهِمۡ لَمَّا سَمِعُواْ ٱلذِّكۡرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُۥ لَمَجۡنُونٞ

    آیت ⁦۶۸:۵۱⁩ کھولیں

    jinn logon ney kufr apna liya hai jab woh naseehat ki yeh baat suntay hain to aisa lagta hai kay yeh apni ( tez tez ) aankhon say tumhen dagmaga den gay , aur woh kehtay hain kay yeh shaks to deewana hai .

  52. وَمَا هُوَ إِلَّا ذِكۡرٞ لِّلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۶۸:۵۲⁩ کھولیں

    halankay yeh to duniya jahan kay logon kay liye aik naseehat hi naseehat hai .