الملك
Al-Mulk
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
تَبَٰرَكَ ٱلَّذِي بِيَدِهِ ٱلۡمُلۡكُ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
آیت ۶۷:۱ کھولیںbari shaan hai uss zaat ki jiss kay haath mein sari badshahi hai , aur woh her cheez per poori tarah qadir hai .
ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلۡمَوۡتَ وَٱلۡحَيَوٰةَ لِيَبۡلُوَكُمۡ أَيُّكُمۡ أَحۡسَنُ عَمَلٗاۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡغَفُورُ
آیت ۶۷:۲ کھولیںjiss ney moat aur zindagi iss liye peda ki takay woh tumhen aazamaye kay tum mein say kon amal mein ziyada behtar hai , aur wohi hai jo mukammal iqtidar ka malik , boht bakhshney wala hai ,
ٱلَّذِي خَلَقَ سَبۡعَ سَمَٰوَٰتٖ طِبَاقٗاۖ مَّا تَرَىٰ فِي خَلۡقِ ٱلرَّحۡمَٰنِ مِن تَفَٰوُتٖۖ فَٱرۡجِعِ ٱلۡبَصَرَ هَلۡ تَرَىٰ مِن فُطُورٖ
آیت ۶۷:۳ کھولیںjiss ney saat aasman oopper tulay peda kiye . tum khudaye rehman ki takhleeq mein koi farq nahi pao gay . abb phir say nazar dorra ker dekho kiya tumhen koi rakhna nazar aata hai-?
ثُمَّ ٱرۡجِعِ ٱلۡبَصَرَ كَرَّتَيۡنِ يَنقَلِبۡ إِلَيۡكَ ٱلۡبَصَرُ خَاسِئٗا وَهُوَ حَسِيرٞ
آیت ۶۷:۴ کھولیںphir baar baar nazar dorrao , nateeja yehi hoga kay nazar thak haar ker tumharay paas na-murad loat aaye gi .
وَلَقَدۡ زَيَّنَّا ٱلسَّمَآءَ ٱلدُّنۡيَا بِمَصَٰبِيحَ وَجَعَلۡنَٰهَا رُجُومٗا لِّلشَّيَٰطِينِۖ وَأَعۡتَدۡنَا لَهُمۡ عَذَابَ ٱلسَّعِيرِ
آیت ۶۷:۵ کھولیںaur hum ney qareeb walay aasman ko roshan chiraghon say saja rakha hai , aur unn ko shetanon per pathar barsaney ka zariya bhi banaya hai , aur unn kay liye dehakti aag ka azab tayyar ker rakha hai .
وَلِلَّذِينَ كَفَرُواْ بِرَبِّهِمۡ عَذَابُ جَهَنَّمَۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
آیت ۶۷:۶ کھولیںaur jinn logon ney apney perwerdigar say kufr ka moamla kiya hai , unn kay liye jahannum ka azab hai , aur woh boht bura thikana hai .
إِذَآ أُلۡقُواْ فِيهَا سَمِعُواْ لَهَا شَهِيقٗا وَهِيَ تَفُورُ
آیت ۶۷:۷ کھولیںjab woh uss mein daalay jayen gay to uss kay daharney ki aawaz sunen gay , aur woh josh maarti hogi ,
تَكَادُ تَمَيَّزُ مِنَ ٱلۡغَيۡظِۖ كُلَّمَآ أُلۡقِيَ فِيهَا فَوۡجٞ سَأَلَهُمۡ خَزَنَتُهَآ أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ نَذِيرٞ
آیت ۶۷:۸ کھولیںaisa lagay ga jaisay woh ghussay say phatt parray gi . jab bhi uss mein ( kafiron ka ) koi giroh phenka jaye ga to uss kay mohafiz unn say poochen gay kay kiya tumharay paas koi khabrdar kernay wala nahi aaya tha-?
قَالُواْ بَلَىٰ قَدۡ جَآءَنَا نَذِيرٞ فَكَذَّبۡنَا وَقُلۡنَا مَا نَزَّلَ ٱللَّهُ مِن شَيۡءٍ إِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا فِي ضَلَٰلٖ كَبِيرٖ
آیت ۶۷:۹ کھولیںwoh kahen gay kay haan beyshak humaray paas khabrdar kernay wala aaya tha , magar hum ney ( ussay ) jhutla diya , aur kaha kay : Allah ney kuch nazil nahi kiya , tumhari haqeeqat iss kay siwa kuch nahi kay tum bari bhari gumrahi mein parray huye ho .
وَقَالُواْ لَوۡ كُنَّا نَسۡمَعُ أَوۡ نَعۡقِلُ مَا كُنَّا فِيٓ أَصۡحَٰبِ ٱلسَّعِيرِ
آیت ۶۷:۱۰ کھولیںaur woh kahen gay kay : agar hum sunn liya kertay aur samajh say kaam liya kertay to ( aaj ) dozakh walon mein shamil naa hotay .
فَٱعۡتَرَفُواْ بِذَنۢبِهِمۡ فَسُحۡقٗا لِّأَصۡحَٰبِ ٱلسَّعِيرِ
آیت ۶۷:۱۱ کھولیںiss tarah woh apney gunah ka khud aetraaf kerlen gay . gharz phitkaar hai dozakh walon per !
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَخۡشَوۡنَ رَبَّهُم بِٱلۡغَيۡبِ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَأَجۡرٞ كَبِيرٞ
آیت ۶۷:۱۲ کھولیں. ( iss kay bar-khilaf ) jo log ban dekhay apney perwerdigar say dartay hain , unn kay liye beyshak maghfirat aur bara ajar hai .
وَأَسِرُّواْ قَوۡلَكُمۡ أَوِ ٱجۡهَرُواْ بِهِۦٓۖ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
آیت ۶۷:۱۳ کھولیںaur tum apni baat chupa ker kero , ya zor say kero , ( sabb uss kay ilm mein hai , kiyonkay ) woh dilon tak ki baaton ka poora ilm rakhney wala hai .
أَلَا يَعۡلَمُ مَنۡ خَلَقَ وَهُوَ ٱللَّطِيفُ ٱلۡخَبِيرُ
آیت ۶۷:۱۴ کھولیںbhala jiss ney peda kiya wohi naa janey ? jabkay woh boht bareek-been , mukammal toor per ba-khabar hai !
هُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ ذَلُولٗا فَٱمۡشُواْ فِي مَنَاكِبِهَا وَكُلُواْ مِن رِّزۡقِهِۦۖ وَإِلَيۡهِ ٱلنُّشُورُ
آیت ۶۷:۱۵ کھولیںwohi hai jiss ney tumharay liye zameen ko raam kerdiya hai , lehaza tum uss kay moondhon per chalo phiro , aur uss ka rizq khao , aur ussi kay paas dobara zinda ho ker jana hai .
ءَأَمِنتُم مَّن فِي ٱلسَّمَآءِ أَن يَخۡسِفَ بِكُمُ ٱلۡأَرۡضَ فَإِذَا هِيَ تَمُورُ
آیت ۶۷:۱۶ کھولیںkiya tum aasman walay ki iss baat say bey khof ho bethay ho kay woh tumhen zameen mein dhansa dey , to woh aik dum thar-tharaney lagay-?
أَمۡ أَمِنتُم مَّن فِي ٱلسَّمَآءِ أَن يُرۡسِلَ عَلَيۡكُمۡ حَاصِبٗاۖ فَسَتَعۡلَمُونَ كَيۡفَ نَذِيرِ
آیت ۶۷:۱۷ کھولیںya kiya tum aasman walay ki iss baat say bey khof ho bethay ho kay woh tum per pathraon ki barish barsadey phir tumhen pata chalay ga kay mera darana kaisa tha-?
وَلَقَدۡ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَكَيۡفَ كَانَ نَكِيرِ
آیت ۶۷:۱۸ کھولیںaur inn say pehlay jo log thay , unhon ney bhi ( payghumberon ko ) jhutlaya tha . phir ( dekh lo kay ) mera azab kaisa tha-?
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ إِلَى ٱلطَّيۡرِ فَوۡقَهُمۡ صَٰٓفَّٰتٖ وَيَقۡبِضۡنَۚ مَا يُمۡسِكُهُنَّ إِلَّا ٱلرَّحۡمَٰنُۚ إِنَّهُۥ بِكُلِّ شَيۡءِۭ بَصِيرٌ
آیت ۶۷:۱۹ کھولیںaur kiya unhon ney parindon ko apney oopper nazar utha ker nahi dekha kay woh peron ko phelaye huye hotay hain , aur samett bhi letay hain . unn ko khudaye rehman kay siwa koi thamay huye nahi hai . yaqeenan woh her cheez ki khoob dekh bhaal kernay wala hai .
أَمَّنۡ هَٰذَا ٱلَّذِي هُوَ جُندٞ لَّكُمۡ يَنصُرُكُم مِّن دُونِ ٱلرَّحۡمَٰنِۚ إِنِ ٱلۡكَٰفِرُونَ إِلَّا فِي غُرُورٍ
آیت ۶۷:۲۰ کھولیںbhala khudaye rehman kay siwa woh kon hai jo tumhara lashkar ban ker tumhari madad keray-? kafir log to niray dhokay mein parray huye hain .
أَمَّنۡ هَٰذَا ٱلَّذِي يَرۡزُقُكُمۡ إِنۡ أَمۡسَكَ رِزۡقَهُۥۚ بَل لَّجُّواْ فِي عُتُوّٖ وَنُفُورٍ
آیت ۶۷:۲۱ کھولیںagar woh apna rizq band kerday to bhala woh kon hai jo tumhen rizq ata ker-sakay-? iss kay bawajood woh sarkashi aur beyzari per jamay huye hain .
أَفَمَن يَمۡشِي مُكِبًّا عَلَىٰ وَجۡهِهِۦٓ أَهۡدَىٰٓ أَمَّن يَمۡشِي سَوِيًّا عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
آیت ۶۷:۲۲ کھولیںbhala jo shaks apney mun kay ball ondha chal raha ho , woh manzil tak ziyada phonchney wala hoga ya woh jo aik seedhay raastay per seedha seedha chal raha ho-?
قُلۡ هُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَكُمۡ وَجَعَلَ لَكُمُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَٰرَ وَٱلۡأَفۡـِٔدَةَۚ قَلِيلٗا مَّا تَشۡكُرُونَ
آیت ۶۷:۲۳ کھولیںkeh do kay : wohi hai jiss ney tumhen peda kiya hai , aur tumharay liye kaan aur aankhen aur dil banaye . ( magar ) tum log shukar thora hi kertay ho .
قُلۡ هُوَ ٱلَّذِي ذَرَأَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَإِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
آیت ۶۷:۲۴ کھولیںkeh do kay : wohi hai jiss ney tumhen zameen mein phelaya , aur ussi kay paas tumhen ikattha ker kay ley jaya jaye ga .
وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
آیت ۶۷:۲۵ کھولیںaur yeh log kehtay hain kay : agar tum sachay ho to batao kay yeh wada kab poora hoga-?
قُلۡ إِنَّمَا ٱلۡعِلۡمُ عِندَ ٱللَّهِ وَإِنَّمَآ أَنَا۠ نَذِيرٞ مُّبِينٞ
آیت ۶۷:۲۶ کھولیںkeh do kay : iss ka ilm to sirf Allah kay paas hai , aur mein to bus saaf saaf tareeqay per khabrdar kernay wala hun .
فَلَمَّا رَأَوۡهُ زُلۡفَةٗ سِيٓـَٔتۡ وُجُوهُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَقِيلَ هَٰذَا ٱلَّذِي كُنتُم بِهِۦ تَدَّعُونَ
آیت ۶۷:۲۷ کھولیںphir jab woh iss ( qayamat kay azab ) ko paas aata dekh len gay to kafiron kay chehray bigar jayen gay , aur kaha jaye ga kay : yeh hai woh cheez jo tum maanga kertay thay .
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِنۡ أَهۡلَكَنِيَ ٱللَّهُ وَمَن مَّعِيَ أَوۡ رَحِمَنَا فَمَن يُجِيرُ ٱلۡكَٰفِرِينَ مِنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
آیت ۶۷:۲۸ کھولیں. ( aey payghumber ! inn say ) kaho kay : zara yeh batlao kay chahye Allah mujhay aur meray sathiyon ko halak kerday ya hum per reham farma dey , ( dono soorton mein ) kafiron ko dardnak azab say kon bachaye ga-?
قُلۡ هُوَ ٱلرَّحۡمَٰنُ ءَامَنَّا بِهِۦ وَعَلَيۡهِ تَوَكَّلۡنَاۖ فَسَتَعۡلَمُونَ مَنۡ هُوَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
آیت ۶۷:۲۹ کھولیںkeh do kay : woh rehman hai , hum uss per emaan laye hain , aur ussi per hum ney bharosa kiya hai . chunacheh unqareeb tumhen pata chal jaye ga kay kon hai jo khuli gumrahi mein mubtala hai .
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِنۡ أَصۡبَحَ مَآؤُكُمۡ غَوۡرٗا فَمَن يَأۡتِيكُم بِمَآءٖ مَّعِينِۭ
آیت ۶۷:۳۰ کھولیںkeh do kay : zara yeh batlao kay agar kissi subha tumhara paani neechay ko utar ker ghaeeb hojaye to kon hai jo tumhen chashmay say ubalta huwa paani laaker deydey-?