التحريم
At-Tahrim
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ لِمَ تُحَرِّمُ مَآ أَحَلَّ ٱللَّهُ لَكَۖ تَبۡتَغِي مَرۡضَاتَ أَزۡوَٰجِكَۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
آیت ۶۶:۱ کھولیںaey nabi ! jo cheez Allah ney tumharay liye halal ki hai , tum apni biwiyon ki khushnoodi hasil kernay kay liye ussay kiyon haram kertay ho-? aur Allah boht bakhshney wala , boht meharban hai .
قَدۡ فَرَضَ ٱللَّهُ لَكُمۡ تَحِلَّةَ أَيۡمَٰنِكُمۡۚ وَٱللَّهُ مَوۡلَىٰكُمۡۖ وَهُوَ ٱلۡعَلِيمُ ٱلۡحَكِيمُ
آیت ۶۶:۲ کھولیںAllah ney tumhari qasmon say nikalney ka tareeqa muqarrar kerdiya hai . aur Allah tumhara kaarsaz hai , aur wohi hai jiss ka ilm bhi kamil hai , hikmat bhi kamil .
وَإِذۡ أَسَرَّ ٱلنَّبِيُّ إِلَىٰ بَعۡضِ أَزۡوَٰجِهِۦ حَدِيثٗا فَلَمَّا نَبَّأَتۡ بِهِۦ وَأَظۡهَرَهُ ٱللَّهُ عَلَيۡهِ عَرَّفَ بَعۡضَهُۥ وَأَعۡرَضَ عَنۢ بَعۡضٖۖ فَلَمَّا نَبَّأَهَا بِهِۦ قَالَتۡ مَنۡ أَنۢبَأَكَ هَٰذَاۖ قَالَ نَبَّأَنِيَ ٱلۡعَلِيمُ ٱلۡخَبِيرُ
آیت ۶۶:۳ کھولیںaur yaad kero jab nabi ney apni kissi biwi say raz kay tor per aik baat kahi thi . phir jab uss biwi ney woh baat kissi aur ko batla di , aur Allah ney yeh baat nabi per zahir kerdi to uss ney uss ka kuch hissa jatla diya , aur kuch hissay ko taal gaye . phir jab unhon ney uss biwi ko woh baat jatlai to woh kehney lagen kay : aap ko yeh baat kiss ney batai-? nabi ney kaha kay : mujhay uss ney batai jo baray ilm wala , boht ba-khabar hai .
إِن تَتُوبَآ إِلَى ٱللَّهِ فَقَدۡ صَغَتۡ قُلُوبُكُمَاۖ وَإِن تَظَٰهَرَا عَلَيۡهِ فَإِنَّ ٱللَّهَ هُوَ مَوۡلَىٰهُ وَجِبۡرِيلُ وَصَٰلِحُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۖ وَٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ بَعۡدَ ذَٰلِكَ ظَهِيرٌ
آیت ۶۶:۴ کھولیں. ( aey nabi ki biwiyo ! ) agar tum Allah kay huzoor tauba kerlo ( to yehi munasib hai ) kiyonkay tum dono kay dil maeel hogaye hain , aur agar tum nabi kay muqablay mein tum ney aik doosri ki madad ki , to ( yaad rakho kay ) unn ka sathi Allah hai , aur jibraeel hain , aur naik musalman hain , aur iss kay ilawa farishtay unn kay madadgaar hain .
عَسَىٰ رَبُّهُۥٓ إِن طَلَّقَكُنَّ أَن يُبۡدِلَهُۥٓ أَزۡوَٰجًا خَيۡرٗا مِّنكُنَّ مُسۡلِمَٰتٖ مُّؤۡمِنَٰتٖ قَٰنِتَٰتٖ تَٰٓئِبَٰتٍ عَٰبِدَٰتٖ سَٰٓئِحَٰتٖ ثَيِّبَٰتٖ وَأَبۡكَارٗا
آیت ۶۶:۵ کھولیںagar woh tumhen talaq dey den to unn kay perwerdigar ko iss baat mein dair nahi lagay gi kay woh unn ko ( tumharay ) badlay mein aesi biwiyan ata farma dey jo tum sabb say behtar hon , musalman , emaan wali , itaat shiaar , tauba kernay wali , ibadat guzaar aur roza daar hon , chahye pehlay unn kay shohar rahey hon , ya woh kanwari hun .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ قُوٓاْ أَنفُسَكُمۡ وَأَهۡلِيكُمۡ نَارٗا وَقُودُهَا ٱلنَّاسُ وَٱلۡحِجَارَةُ عَلَيۡهَا مَلَٰٓئِكَةٌ غِلَاظٞ شِدَادٞ لَّا يَعۡصُونَ ٱللَّهَ مَآ أَمَرَهُمۡ وَيَفۡعَلُونَ مَا يُؤۡمَرُونَ
آیت ۶۶:۶ کھولیںaey emaan walo ! apney aap ko aur apney ghar walon ko uss aag say bachao jiss ka endhan insan aur pathar hon gay . uss per sakht karray mizaj kay farishtay muqarrar hain jo Allah kay kissi hukum mein uss ki nafarmani nahi kertay , aur wohi kertay hain jiss ka unhen hukum diya jata hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَا تَعۡتَذِرُواْ ٱلۡيَوۡمَۖ إِنَّمَا تُجۡزَوۡنَ مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
آیت ۶۶:۷ کھولیںaey kufr ikhtiyar kernay walo ! aaj maazraten paish matt kero . tumhen unhi aemal ka badla diya jaraha hai jo tum kiya kertay thay .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ تُوبُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ تَوۡبَةٗ نَّصُوحًا عَسَىٰ رَبُّكُمۡ أَن يُكَفِّرَ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَيُدۡخِلَكُمۡ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ يَوۡمَ لَا يُخۡزِي ٱللَّهُ ٱلنَّبِيَّ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَهُۥۖ نُورُهُمۡ يَسۡعَىٰ بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَبِأَيۡمَٰنِهِمۡ يَقُولُونَ رَبَّنَآ أَتۡمِمۡ لَنَا نُورَنَا وَٱغۡفِرۡ لَنَآۖ إِنَّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
آیت ۶۶:۸ کھولیںaey emaan walo ! Allah kay huzoor sachi tauba kero . kuch baeed nahi kay tumhara perwerdigar tumhari buraiyan tum say jhaarr dey , aur tumhen aesay baaghaat mein dakhil kerday jinn kay neechay nehren behti hain , uss din jab Allah nabi ko aur jo log unn kay sath emaan laye hain unn ko ruswa nahi keray ga . unn ka noor unn kay aagay aur unn ki dayen taraf dorr raha hoga . woh keh rahey hon gay kay : aey humaray perwerdigar ! humaray liye iss noor ko mukammal ker-dijiye , aur humari maghfirat farma dijiye . yaqeenan aap her cheez per poori qudrat rakhney walay hain .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ جَٰهِدِ ٱلۡكُفَّارَ وَٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَٱغۡلُظۡ عَلَيۡهِمۡۚ وَمَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
آیت ۶۶:۹ کھولیںaey nabi ! kafiron aur munafiqon say jihad kero , aur unn kay muqablay mein sakht hojao . aur unn ka thikana jahannum hai , aur woh boht bura thikana hai .
ضَرَبَ ٱللَّهُ مَثَلٗا لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱمۡرَأَتَ نُوحٖ وَٱمۡرَأَتَ لُوطٖۖ كَانَتَا تَحۡتَ عَبۡدَيۡنِ مِنۡ عِبَادِنَا صَٰلِحَيۡنِ فَخَانَتَاهُمَا فَلَمۡ يُغۡنِيَا عَنۡهُمَا مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـٔٗا وَقِيلَ ٱدۡخُلَا ٱلنَّارَ مَعَ ٱلدَّٰخِلِينَ
آیت ۶۶:۱۰ کھولیںjinn logon ney kufr ikhtiyar kiya hai , Allah unn kay liye nooh ki biwi aur loat ki biwi ko misal kay tor per paish kerta hai . yeh dono humaray do aesay bandon kay nikah mein then jo boht naik thay . phir unhon ney unn kay sath bey wafai ki , to woh dono Allah kay muqablay mein unn kay kuch bhi kaam nahi aaye , aur ( unn biwiyon say ) kaha gaya kay : doosray janey walon kay sath tum bhi jahannum mein chali jao .
وَضَرَبَ ٱللَّهُ مَثَلٗا لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱمۡرَأَتَ فِرۡعَوۡنَ إِذۡ قَالَتۡ رَبِّ ٱبۡنِ لِي عِندَكَ بَيۡتٗا فِي ٱلۡجَنَّةِ وَنَجِّنِي مِن فِرۡعَوۡنَ وَعَمَلِهِۦ وَنَجِّنِي مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّٰلِمِينَ
آیت ۶۶:۱۱ کھولیںaur jinn logon ney emaan ikhtiyar kiya hai , unn kay liye Allah , firon ki biwi ko misal kay tor per paish kerta hai jab uss ney kaha tha kay : meray perwerdigar ! meray liye apney paas jannat mein aik ghar bana dey , aur mujhay firon aur uss kay amal say nijat deydey , aur mujhay zalim logon say bhi nijat ata farma .
وَمَرۡيَمَ ٱبۡنَتَ عِمۡرَٰنَ ٱلَّتِيٓ أَحۡصَنَتۡ فَرۡجَهَا فَنَفَخۡنَا فِيهِ مِن رُّوحِنَا وَصَدَّقَتۡ بِكَلِمَٰتِ رَبِّهَا وَكُتُبِهِۦ وَكَانَتۡ مِنَ ٱلۡقَٰنِتِينَ
آیت ۶۶:۱۲ کھولیںneez imran ki beti maryam ko ( misal kay tor per paish kerta hai ) jinhon ney apni asmat ki hifazat ki , to hum ney uss mein apni rooh phoonk di , aur unhon ney apney perwerdigar ki baaton aur uss ki kitabon ki tasdeeq ki , aur woh itaat shiaar logon mein shamil then .