النجم

An-Najm

سورت ۵۳ · آیات: ۶۲ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. وَٱلنَّجۡمِ إِذَا هَوَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۱⁩ کھولیں

    qasam hai sitaray ki jab woh giray ,

  2. مَا ضَلَّ صَاحِبُكُمۡ وَمَا غَوَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۲⁩ کھولیں

    . ( aey makkay kay bashindo ! ) yeh tumharay sath rehney walay sahab naa raasta bhoolay hain , naa bhatkay hain ,

  3. وَمَا يَنطِقُ عَنِ ٱلۡهَوَىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۳⁩ کھولیں

    aur yeh apni khuwaish say kuch nahi boltay ,

  4. إِنۡ هُوَ إِلَّا وَحۡيٞ يُوحَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۴⁩ کھولیں

    yeh to khalis wahi hai jo inn kay paas bheji jati hai ,

  5. عَلَّمَهُۥ شَدِيدُ ٱلۡقُوَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۵⁩ کھولیں

    enhen aik aesay mazboot taqat walay ( farishtay ) ney taleem di hai

  6. ذُو مِرَّةٖ فَٱسۡتَوَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۶⁩ کھولیں

    jo quooat ka hamil hai . chunacheh woh samney aagaya ,

  7. وَهُوَ بِٱلۡأُفُقِ ٱلۡأَعۡلَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۷⁩ کھولیں

    jabkay woh buland ufaq per tha .

  8. ثُمَّ دَنَا فَتَدَلَّىٰ

    آیت ⁦۵۳:۸⁩ کھولیں

    phir woh qareeb aaya , aur jhuk parra ,

  9. فَكَانَ قَابَ قَوۡسَيۡنِ أَوۡ أَدۡنَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۹⁩ کھولیں

    yahan tak kay woh do kamanon kay faslay kay barabar qareeb aagaya , balkay uss say bhi ziyada nazdeek .

  10. فَأَوۡحَىٰٓ إِلَىٰ عَبۡدِهِۦ مَآ أَوۡحَىٰ 

    آیت ⁦۵۳:۱۰⁩ کھولیں

    iss tarah Allah ko apney banday per jo wahi nazil farmani thi , woh nazil farmaee .

  11. مَا كَذَبَ ٱلۡفُؤَادُ مَا رَأَىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۱۱⁩ کھولیں

    jo kuch unhon ney dekha , dil ney uss mein koi ghalati nahi ki .

  12. أَفَتُمَٰرُونَهُۥ عَلَىٰ مَا يَرَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۱۲⁩ کھولیں

    kiya phir bhi tum unn say uss cheez kay baaray mein jhagarrtay ho jissay woh dekhtay hain-?

  13. وَلَقَدۡ رَءَاهُ نَزۡلَةً أُخۡرَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۱۳⁩ کھولیں

    aur haqeeqat yeh hai kay unhon ney uss ( farishtay ) ko aik aur martaba dekha hai ,

  14. عِندَ سِدۡرَةِ ٱلۡمُنتَهَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۱۴⁩ کھولیں

    uss bair kay darkht kay paas jiss ka naam sidra-tul-muntaha hai ,

  15. عِندَهَا جَنَّةُ ٱلۡمَأۡوَىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۱۵⁩ کھولیں

    ussi kay paas jannat-ul-Maawa hai .

  16. إِذۡ يَغۡشَى ٱلسِّدۡرَةَ مَا يَغۡشَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۱۶⁩ کھولیں

    uss waqt uss bair kay darkht per woh cheezen chai hoi then jo bhi uss per chai hoi then .

  17. مَا زَاغَ ٱلۡبَصَرُ وَمَا طَغَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۱۷⁩ کھولیں

    . ( payghumber ki ) aankh naa to chakrai , aur naa hadd say aagay barhi .

  18. لَقَدۡ رَأَىٰ مِنۡ ءَايَٰتِ رَبِّهِ ٱلۡكُبۡرَىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۱۸⁩ کھولیں

    sach to yeh hai kay unhon ney apney perwerdigar ki bari bari nishaniyon mein say boht kuch dekha .

  19. أَفَرَءَيۡتُمُ ٱللَّٰتَ وَٱلۡعُزَّىٰ

    آیت ⁦۵۳:۱۹⁩ کھولیں

    bhala kiya tum ney laat aur uzza ( ki haqeeqat ) per bhi ghor kiya hai-?

  20. وَمَنَوٰةَ ٱلثَّالِثَةَ ٱلۡأُخۡرَىٰٓ 

    آیت ⁦۵۳:۲۰⁩ کھولیں

    aur uss aik aur teesray per jiss ka naam manaat hai-?

  21. أَلَكُمُ ٱلذَّكَرُ وَلَهُ ٱلۡأُنثَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۲۱⁩ کھولیں

    kiya tumharay liye to betay hon , aur Allah kay liye betiyan-?

  22. تِلۡكَ إِذٗا قِسۡمَةٞ ضِيزَىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۲۲⁩ کھولیں

    phir to yeh bari bhondi taqseem hoi !

  23. إِنۡ هِيَ إِلَّآ أَسۡمَآءٞ سَمَّيۡتُمُوهَآ أَنتُمۡ وَءَابَآؤُكُم مَّآ أَنزَلَ ٱللَّهُ بِهَا مِن سُلۡطَٰنٍۚ إِن يَتَّبِعُونَ إِلَّا ٱلظَّنَّ وَمَا تَهۡوَى ٱلۡأَنفُسُۖ وَلَقَدۡ جَآءَهُم مِّن رَّبِّهِمُ ٱلۡهُدَىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۲۳⁩ کھولیں

    unn ki haqeeqat iss kay siwa kuch nahi hai kay yeh kuch naam hain jo tum ney aur tumharay baap dadon ney rakh liye hain , Allah ney unn kay haq mein koi saboot nazil nahi kiya . dar-haqeeqat yeh ( kafir ) log mehaz weham o gumaan aur nafsani khuwaishaat kay peechay chal rahey hain , halankay inn kay perwerdigar ki taraf say inn kay paas hidayat aa-chuki hai .

  24. أَمۡ لِلۡإِنسَٰنِ مَا تَمَنَّىٰ

    آیت ⁦۵۳:۲۴⁩ کھولیں

    kiya insan ko her uss cheez ka haq phonchta hai jiss ki woh tamanna keray-?

  25. فَلِلَّهِ ٱلۡأٓخِرَةُ وَٱلۡأُولَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۲۵⁩ کھولیں

    . ( nahi ! ) kiyonkay aakhirat aur duniya to tamam tarr Allah hi kay ikhtiyar mein hain .

  26. ۞وَكَم مِّن مَّلَكٖ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ لَا تُغۡنِي شَفَٰعَتُهُمۡ شَيۡـًٔا إِلَّا مِنۢ بَعۡدِ أَن يَأۡذَنَ ٱللَّهُ لِمَن يَشَآءُ وَيَرۡضَىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۲۶⁩ کھولیں

    aur aasmano mein kitney hi farishtay hain jinn ki sifarish kissi kay kuch bhi kaam nahi aa-sakti , albatta iss kay baad hi kaam aa-sakti hai kay Allah jiss kay liye chahye ijazat deydey , aur uss per razi hojaye .

  27. إِنَّ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ لَيُسَمُّونَ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةَ تَسۡمِيَةَ ٱلۡأُنثَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۲۷⁩ کھولیں

    jo log aakhirat per emaan nahi rakhtay , woh farishton ko zananey naamon say yaad kertay hain ,

  28. وَمَا لَهُم بِهِۦ مِنۡ عِلۡمٍۖ إِن يَتَّبِعُونَ إِلَّا ٱلظَّنَّۖ وَإِنَّ ٱلظَّنَّ لَا يُغۡنِي مِنَ ٱلۡحَقِّ شَيۡـٔٗا

    آیت ⁦۵۳:۲۸⁩ کھولیں

    halankay unhen iss baat ka zara bhi ilm nahi hai . woh mehaz weham o gumaan kay peechay chal rahey hain , aur haqeeqat yeh hai kay weham o gumaan haq kay moamlay mein bilkul kaar aamad nahi .

  29. فَأَعۡرِضۡ عَن مَّن تَوَلَّىٰ عَن ذِكۡرِنَا وَلَمۡ يُرِدۡ إِلَّا ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَا

    آیت ⁦۵۳:۲۹⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) tum aesay aadmi ki fiker naa kero jiss ney humari naseehat hidayat say mun morr liya hai , aur dunyawi zindagi kay siwa woh kuch aur chahta hi nahi .

  30. ذَٰلِكَ مَبۡلَغُهُم مِّنَ ٱلۡعِلۡمِۚ إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعۡلَمُ بِمَن ضَلَّ عَن سَبِيلِهِۦ وَهُوَ أَعۡلَمُ بِمَنِ ٱهۡتَدَىٰ 

    آیت ⁦۵۳:۳۰⁩ کھولیں

    aesay logon kay ilm ki phonch bus yahin tak hai . tumhara perwerdigar hi khoob janta hai kay kon uss kay raastay say bhatak chuka hai , aur wohi khoob janta hai kon raah paagaya hai .

  31. وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ لِيَجۡزِيَ ٱلَّذِينَ أَسَٰٓـُٔواْ بِمَا عَمِلُواْ وَيَجۡزِيَ ٱلَّذِينَ أَحۡسَنُواْ بِٱلۡحُسۡنَى

    آیت ⁦۵۳:۳۱⁩ کھولیں

    aur aasmano mein jo kuch hai , woh bhi aur zameen mein jo kuch hai , woh bhi Allah hi ka hai . nateeja yeh hai kay jinhon ney buray kaam kiye hain , woh unn ko unn kay amal ka bhi badla dey ga , aur jinhon ney naik kaam kiye hain , unn ko behtareen badla ata keray ga .

  32. ٱلَّذِينَ يَجۡتَنِبُونَ كَبَٰٓئِرَ ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡفَوَٰحِشَ إِلَّا ٱللَّمَمَۚ إِنَّ رَبَّكَ وَٰسِعُ ٱلۡمَغۡفِرَةِۚ هُوَ أَعۡلَمُ بِكُمۡ إِذۡ أَنشَأَكُم مِّنَ ٱلۡأَرۡضِ وَإِذۡ أَنتُمۡ أَجِنَّةٞ فِي بُطُونِ أُمَّهَٰتِكُمۡۖ فَلَا تُزَكُّوٓاْ أَنفُسَكُمۡۖ هُوَ أَعۡلَمُ بِمَنِ ٱتَّقَىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۳۲⁩ کھولیں

    unn logon ko jo baray baray gunahon aur bey hayai kay kamon say bachtay hain , albatta kabhi kabhar phisal janey ki baat aur hai . yaqeen rakho tumhara perwerdigar boht wasee maghfirat wala hai , woh tumhen khoob janta hai jab uss ney tumhen zameen say peda kiya , aur jab tum apni maon kay pet mein bacchay thay , lehaza tum apney aap ko pakeezah naa thehrao . woh khoob janta hai kay kon muttaqi hai .

  33. أَفَرَءَيۡتَ ٱلَّذِي تَوَلَّىٰ

    آیت ⁦۵۳:۳۳⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) bhala tum ney uss shaks ko bhi dekha jo ( haq say ) mun morr gaya ,

  34. وَأَعۡطَىٰ قَلِيلٗا وَأَكۡدَىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۳۴⁩ کھولیں

    aur jiss ney thora saa diya , phir ruk gaya-?

  35. أَعِندَهُۥ عِلۡمُ ٱلۡغَيۡبِ فَهُوَ يَرَىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۳۵⁩ کھولیں

    kiya uss kay paas ghaib ka ilm hai jo woh dekh raha ho-?

  36. أَمۡ لَمۡ يُنَبَّأۡ بِمَا فِي صُحُفِ مُوسَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۳۶⁩ کھولیں

    kiya ussay unn baaton ki khabar nahi mili jo musa kay saheefon mein darj hai ,

  37. وَإِبۡرَٰهِيمَ ٱلَّذِي وَفَّىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۳۷⁩ کھولیں

    aur Ibrahim kay saheefon mein bhi , jo mukammal wafadaar rahey-?

  38. أَلَّا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۳۸⁩ کھولیں

    yani yeh kay koi bojh uthaney wala kissi doosray ( kay gunah ) ka bojh nahi utha sakta ,

  39. وَأَن لَّيۡسَ لِلۡإِنسَٰنِ إِلَّا مَا سَعَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۳۹⁩ کھولیں

    aur yeh kay insan ko khud apni koshish kay siwa kissi aur cheez ka ( badla lenay ka ) haq nahi phonchta ,

  40. وَأَنَّ سَعۡيَهُۥ سَوۡفَ يُرَىٰ 

    آیت ⁦۵۳:۴۰⁩ کھولیں

    aur yeh kay uss ki koshish unqareeb dekhi jaye gi ,

  41. ثُمَّ يُجۡزَىٰهُ ٱلۡجَزَآءَ ٱلۡأَوۡفَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۴۱⁩ کھولیں

    phir uss ka badla ussay poora poora diya jaye ga .

  42. وَأَنَّ إِلَىٰ رَبِّكَ ٱلۡمُنتَهَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۴۲⁩ کھولیں

    aur yeh kay aakhir kaar ( sabb ko ) tumharay perwerdigar hi kay paas phonchna hai ,

  43. وَأَنَّهُۥ هُوَ أَضۡحَكَ وَأَبۡكَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۴۳⁩ کھولیں

    aur yeh kay wohi hai jo hansata aur rulata hai ,

  44. وَأَنَّهُۥ هُوَ أَمَاتَ وَأَحۡيَا

    آیت ⁦۵۳:۴۴⁩ کھولیں

    aur yeh kay wohi hai jo moat bhi deta hai , aur zindagi bhi ,

  45. وَأَنَّهُۥ خَلَقَ ٱلزَّوۡجَيۡنِ ٱلذَّكَرَ وَٱلۡأُنثَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۴۵⁩ کھولیں

    aur yeh kay ussi ney nar aur mada kay do jooray peda kiye hain

  46. مِن نُّطۡفَةٍ إِذَا تُمۡنَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۴۶⁩ کھولیں

    . ( woh bhi sirf ) aik boond say jab woh tapkai jati hai ,

  47. وَأَنَّ عَلَيۡهِ ٱلنَّشۡأَةَ ٱلۡأُخۡرَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۴۷⁩ کھولیں

    aur yeh kay doosri zindagi denay ka bhi ussi ney zimma liya hai ,

  48. وَأَنَّهُۥ هُوَ أَغۡنَىٰ وَأَقۡنَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۴۸⁩ کھولیں

    aur yeh kay wohi hai jo maal daar banata aur dolat ko mehfooz kerata hai ,

  49. وَأَنَّهُۥ هُوَ رَبُّ ٱلشِّعۡرَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۴۹⁩ کھولیں

    aur yeh kay wohi hai jo sheyree sitaray ka perwerdigar hai ,

  50. وَأَنَّهُۥٓ أَهۡلَكَ عَادًا ٱلۡأُولَىٰ 

    آیت ⁦۵۳:۵۰⁩ کھولیں

    aur yeh kay wohi hai jiss ney pichlay zamaney ki qoam-e-aad ko halak kiya ,

  51. وَثَمُودَاْ فَمَآ أَبۡقَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۵۱⁩ کھولیں

    aur samood ko bhi , aur kissi ko baqi naa chorra ,

  52. وَقَوۡمَ نُوحٖ مِّن قَبۡلُۖ إِنَّهُمۡ كَانُواْ هُمۡ أَظۡلَمَ وَأَطۡغَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۵۲⁩ کھولیں

    aur iss say pehlay nooh ki qoam ko bhi ( halak kiya ) . beyshak woh sabb say ziyada zalim aur sarkash thay .

  53. وَٱلۡمُؤۡتَفِكَةَ أَهۡوَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۵۳⁩ کھولیں

    aur jo bastiyan ondhi giri then , unn ko bhi ussi ney utha phenka tha ,

  54. فَغَشَّىٰهَا مَا غَشَّىٰ

    آیت ⁦۵۳:۵۴⁩ کھولیں

    phir jiss ( khofnak ) cheez ney unhen dhaanpa , woh unhen dhaanp ker hi rahi .

  55. فَبِأَيِّ ءَالَآءِ رَبِّكَ تَتَمَارَىٰ

    آیت ⁦۵۳:۵۵⁩ کھولیں

    lehaza ( aey insan ! ) tu apney perwerdigar ki kon konsi naimaton mein shak keray ga-?

  56. هَٰذَا نَذِيرٞ مِّنَ ٱلنُّذُرِ ٱلۡأُولَىٰٓ

    آیت ⁦۵۳:۵۶⁩ کھولیں

    yeh ( payghumber ) bhi pehlay khabrdar kernay walay payghumberon ki tarah aik khabrdar kernay walay hain .

  57. أَزِفَتِ ٱلۡأٓزِفَةُ

    آیت ⁦۵۳:۵۷⁩ کھولیں

    jo gharri jald aaney wali hai , woh qareeb aa-phonchi hai ,

  58. لَيۡسَ لَهَا مِن دُونِ ٱللَّهِ كَاشِفَةٌ

    آیت ⁦۵۳:۵۸⁩ کھولیں

    Allah kay siwa koi nahi hai jo ussay hata sakay .

  59. أَفَمِنۡ هَٰذَا ٱلۡحَدِيثِ تَعۡجَبُونَ

    آیت ⁦۵۳:۵۹⁩ کھولیں

    to kiya tum issi baat per hayrat kertay ho-?

  60. وَتَضۡحَكُونَ وَلَا تَبۡكُونَ 

    آیت ⁦۵۳:۶۰⁩ کھولیں

    aur ( uss ka mazaq bana ker ) hanstay ho , aur rotay nahi ho ,

  61. وَأَنتُمۡ سَٰمِدُونَ

    آیت ⁦۵۳:۶۱⁩ کھولیں

    jabkay tum takabbur kay sath khel kood mein parray huye ho-?

  62. فَٱسۡجُدُواْۤ لِلَّهِۤ وَٱعۡبُدُواْ۩

    آیت ⁦۵۳:۶۲⁩ کھولیں

    abb ( bhi ) jhuk jao Allah kay samney , aur uss ki bandagi kerlo .