القمر
Al-Qamar
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
ٱقۡتَرَبَتِ ٱلسَّاعَةُ وَٱنشَقَّ ٱلۡقَمَرُ
آیت ۵۴:۱ کھولیںqayamat qareeb aa-lagi hai , aur chaand phatt gaya hai .
وَإِن يَرَوۡاْ ءَايَةٗ يُعۡرِضُواْ وَيَقُولُواْ سِحۡرٞ مُّسۡتَمِرّٞ
آیت ۵۴:۲ کھولیںaur inn logon ka haal yeh hai kay agar woh koi nishani dekhtay hain , to mun morr letay hain , aur kehtay hain kay yeh to aik chalta huwa jadoo hai .
وَكَذَّبُواْ وَٱتَّبَعُوٓاْ أَهۡوَآءَهُمۡۚ وَكُلُّ أَمۡرٖ مُّسۡتَقِرّٞ
آیت ۵۴:۳ کھولیںenhon ney haq ko jhutlaya , aur apni khuwaishaat kay peechay chal niklay . aur her kaam ko aakhir kissi thikaney per tik ker rehna hai .
وَلَقَدۡ جَآءَهُم مِّنَ ٱلۡأَنۢبَآءِ مَا فِيهِ مُزۡدَجَرٌ
آیت ۵۴:۴ کھولیںaur inn logon ko ( pichli qoamon kay ) waqiyaat ki itni khabren phonch chuki hain jinn mein tanbeeh ka bara saman tha ,
حِكۡمَةُۢ بَٰلِغَةٞۖ فَمَا تُغۡنِ ٱلنُّذُرُ
آیت ۵۴:۵ کھولیںdil mein utar janey wali danai ki baaten then , phir bhi yeh tanbeehaat ( inn per ) kuch kaargar nahi ho rahen .
فَتَوَلَّ عَنۡهُمۡۘ يَوۡمَ يَدۡعُ ٱلدَّاعِ إِلَىٰ شَيۡءٖ نُّكُرٍ
آیت ۵۴:۶ کھولیںlehaza ( aey payghumber ! ) tum bhi inn ki perwa matt kero . jiss din pukarney wala aik nagawar cheez ki taraf bulaye ga ,
خُشَّعًا أَبۡصَٰرُهُمۡ يَخۡرُجُونَ مِنَ ٱلۡأَجۡدَاثِ كَأَنَّهُمۡ جَرَادٞ مُّنتَشِرٞ
آیت ۵۴:۷ کھولیںuss din yeh apni aankhen jhukaye qabron say iss tarah nikal kharray hon gay jaisay her taraf pheli hoi taddiyan ,
مُّهۡطِعِينَ إِلَى ٱلدَّاعِۖ يَقُولُ ٱلۡكَٰفِرُونَ هَٰذَا يَوۡمٌ عَسِرٞ
آیت ۵۴:۸ کھولیںdorray jarahey hon gay ussi pukarnay walay ki taraf ! yehi kafir ( jo qayamat ka inkar kertay thay ) kahen gay kay yeh to boht hi kathan din hai .
۞كَذَّبَتۡ قَبۡلَهُمۡ قَوۡمُ نُوحٖ فَكَذَّبُواْ عَبۡدَنَا وَقَالُواْ مَجۡنُونٞ وَٱزۡدُجِرَ
آیت ۵۴:۹ کھولیںinn say pehlay nooh ki qoam ney bhi jhutlaney ka ravaiyya ikhtiyar kiya tha . unhon ney humaray banday ko jhutlaya , aur kaha kay : yeh deewaney hain aur unhen dhamkiyan di gaeen .
فَدَعَا رَبَّهُۥٓ أَنِّي مَغۡلُوبٞ فَٱنتَصِرۡ
آیت ۵۴:۱۰ کھولیںiss per unhon ney apney perwerdigar ko pukara kay : mein bey bus hochuka hun , abb aap hi badla lijiye .
فَفَتَحۡنَآ أَبۡوَٰبَ ٱلسَّمَآءِ بِمَآءٖ مُّنۡهَمِرٖ
آیت ۵۴:۱۱ کھولیںchunacheh hum ney toot ker barasney walay paani say aasman kay darwazay khol diye ,
وَفَجَّرۡنَا ٱلۡأَرۡضَ عُيُونٗا فَٱلۡتَقَى ٱلۡمَآءُ عَلَىٰٓ أَمۡرٖ قَدۡ قُدِرَ
آیت ۵۴:۱۲ کھولیںaur zameen ko phaarr ker chashmon mein tabdeel kerdiya . aur iss tarah ( dono qisam ka ) sara paani uss kaam kay liye mil gaya jo muqaddar hochuka tha .
وَحَمَلۡنَٰهُ عَلَىٰ ذَاتِ أَلۡوَٰحٖ وَدُسُرٖ
آیت ۵۴:۱۳ کھولیںaur nooh ko hum ney aik takhton aur meekhon wali ( kashti ) per sawar kerdiya ,
تَجۡرِي بِأَعۡيُنِنَا جَزَآءٗ لِّمَن كَانَ كُفِرَ
آیت ۵۴:۱۴ کھولیںjo humari nigrani mein rawan dawan thi , takay uss ( payghumber ) ka badla liya jaye jiss ki na-qadri ki gaee thi .
وَلَقَد تَّرَكۡنَٰهَآ ءَايَةٗ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
آیت ۵۴:۱۵ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay hum ney uss ko ( ibrat ki ) aik nishani bana diya . to kiya koi hai jo naseehat hasil keray-?
فَكَيۡفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ
آیت ۵۴:۱۶ کھولیںabb socho kay mera azab aur meri tanbeehaat kaisi then-?
وَلَقَدۡ يَسَّرۡنَا ٱلۡقُرۡءَانَ لِلذِّكۡرِ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
آیت ۵۴:۱۷ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay hum ney Quran ko naseehat hasil kernay kay liye aasaan bana diya hai . abb kiya koi hai jo naseehat hasil keray-?
كَذَّبَتۡ عَادٞ فَكَيۡفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ
آیت ۵۴:۱۸ کھولیںaad ki qoam ney bhi tanbeeh kernay walon ko jhutlaney ka ravaiyya ikhtiyar kiya , phir dekh lo kay mera azab aur meri tanbeehaat kaisi then-?
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ رِيحٗا صَرۡصَرٗا فِي يَوۡمِ نَحۡسٖ مُّسۡتَمِرّٖ
آیت ۵۴:۱۹ کھولیںhum ney aik musalsal nahoosat kay din mein unn per tez aandhi wali hawa chorr di thi ,
تَنزِعُ ٱلنَّاسَ كَأَنَّهُمۡ أَعۡجَازُ نَخۡلٖ مُّنقَعِرٖ
آیت ۵۴:۲۰ کھولیںjo logon ko iss tarah ukhaar phenk deti thi jaisay woh khujoor kay ukhray huye darkht kay taney hon .
فَكَيۡفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ
آیت ۵۴:۲۱ کھولیںabb socho kay mera azab aur meri tanbeehaat kaisi then-?
وَلَقَدۡ يَسَّرۡنَا ٱلۡقُرۡءَانَ لِلذِّكۡرِ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
آیت ۵۴:۲۲ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay hum ney Quran ko naseehat hasil kernay kay liye aasaan bana diya hai . abb kiya koi hai jo naseehat hasil keray ?
كَذَّبَتۡ ثَمُودُ بِٱلنُّذُرِ
آیت ۵۴:۲۳ کھولیںsamood ki qoam ney bhi tanbeeh kernay walon ko jhutlaney ka ravaiyya ikhtiyar kiya .
فَقَالُوٓاْ أَبَشَرٗا مِّنَّا وَٰحِدٗا نَّتَّبِعُهُۥٓ إِنَّآ إِذٗا لَّفِي ضَلَٰلٖ وَسُعُرٍ
آیت ۵۴:۲۴ کھولیںchunacheh kehney lagay kay : kiya hum apney hi mein say aik tanha aadmi kay peechay chal parren-? aisa keren gay to yaqeenan hum bari gumrahi aur deewangi mein ja-paren gay .
أَءُلۡقِيَ ٱلذِّكۡرُ عَلَيۡهِ مِنۢ بَيۡنِنَا بَلۡ هُوَ كَذَّابٌ أَشِرٞ
آیت ۵۴:۲۵ کھولیںbhala kiya hum saray logon kay darmiyan yehi aik shaks reh gaya tha jiss per naseehat nazil ki gaee-? nahi ! balkay darasal yeh perlay darjay ka jhoota shekhi baaz shaks hai .
سَيَعۡلَمُونَ غَدٗا مَّنِ ٱلۡكَذَّابُ ٱلۡأَشِرُ
آیت ۵۴:۲۶ کھولیں. ( hum ney payghumber saleh ( aleh-assalam ) say kaha kay : ) kal hi enhen pata chal jaye ga kay perlay darjay ka jhoota shekhi baaz kon tha-?
إِنَّا مُرۡسِلُواْ ٱلنَّاقَةِ فِتۡنَةٗ لَّهُمۡ فَٱرۡتَقِبۡهُمۡ وَٱصۡطَبِرۡ
آیت ۵۴:۲۷ کھولیںhum inn kay paas inn ki aazmaesh kay tor per oontni bhej rahey hain , iss liye tum unhen dekhtay raho , aur sabar say kaam lo ,
وَنَبِّئۡهُمۡ أَنَّ ٱلۡمَآءَ قِسۡمَةُۢ بَيۡنَهُمۡۖ كُلُّ شِرۡبٖ مُّحۡتَضَرٞ
آیت ۵۴:۲۸ کھولیںaur inn ko bata do kay ( kunaen ka ) paani unn kay darmiyan taqseem kerdiya gaya hai . her paani ka haq daar apni baari mein hazir hoga .
فَنَادَوۡاْ صَاحِبَهُمۡ فَتَعَاطَىٰ فَعَقَرَ
آیت ۵۴:۲۹ کھولیںphir unhon ney apney aadmi ko bulaya , chunacheh uss ney haath barhaya , aur ( oontni ko ) qatal ker daala .
فَكَيۡفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ
آیت ۵۴:۳۰ کھولیںabb socho kay mera azab aur meri tanbeehaat kaisi then-?
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ صَيۡحَةٗ وَٰحِدَةٗ فَكَانُواْ كَهَشِيمِ ٱلۡمُحۡتَظِرِ
آیت ۵۴:۳۱ کھولیںhum ney unn per bus aik hi chinghaarr bheji , jiss say woh aesay ho ker reh gaye jaisay kaantton ki rondi hoi baarrh hoti hai .
وَلَقَدۡ يَسَّرۡنَا ٱلۡقُرۡءَانَ لِلذِّكۡرِ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
آیت ۵۴:۳۲ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay hum ney Quran ko naseehat hasil kernay kay liye aasaan bana diya hai . abb kiya koi hai jo naseehat hasil keray-?
كَذَّبَتۡ قَوۡمُ لُوطِۭ بِٱلنُّذُرِ
آیت ۵۴:۳۳ کھولیںloot ki qoam ney ( bhi ) tanbeeh kernay walon ko jhutlaya .
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ حَاصِبًا إِلَّآ ءَالَ لُوطٖۖ نَّجَّيۡنَٰهُم بِسَحَرٖ
آیت ۵۴:۳۴ کھولیںhum ney unn per pathraon ka meenh barsaya , siwaye loot kay ghar walon kay jinhen hum ney sehri kay waqt bacha liya tha ,
نِّعۡمَةٗ مِّنۡ عِندِنَاۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي مَن شَكَرَ
آیت ۵۴:۳۵ کھولیںyeh humari taraf say aik naimat thi . jo log shukar guzaar hotay hain , unn ko hum aisa hi sila detay hain .
وَلَقَدۡ أَنذَرَهُم بَطۡشَتَنَا فَتَمَارَوۡاْ بِٱلنُّذُرِ
آیت ۵۴:۳۶ کھولیںaur loot ney unn logon ko humari pakar say daraya tha , lekin woh sari tanbeehaat mein meen meekh nikaltay rahey .
وَلَقَدۡ رَٰوَدُوهُ عَن ضَيۡفِهِۦ فَطَمَسۡنَآ أَعۡيُنَهُمۡ فَذُوقُواْ عَذَابِي وَنُذُرِ
آیت ۵۴:۳۷ کھولیںaur unhon ney loot ko unn kay mehmano kay baaray mein phislaney ki koshish ki , jiss per hum ney unn ki aankhon ko andha kerdiya kay : chakho meray azab aur meri tanbeehaat ka maza !
وَلَقَدۡ صَبَّحَهُم بُكۡرَةً عَذَابٞ مُّسۡتَقِرّٞ
آیت ۵۴:۳۸ کھولیںaur subha saweray unn per aisa azab hamla aawar huwa jo jamm ker reh gaya
فَذُوقُواْ عَذَابِي وَنُذُرِ
آیت ۵۴:۳۹ کھولیںkay : chakho meray azab aur meri tanbeehaat ka maza !
وَلَقَدۡ يَسَّرۡنَا ٱلۡقُرۡءَانَ لِلذِّكۡرِ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
آیت ۵۴:۴۰ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay hum ney Quran ko naseehat hasil kernay kay liye aasaan bana diya hai . abb kiya koi hai jo naseehat hasil keray-?
وَلَقَدۡ جَآءَ ءَالَ فِرۡعَوۡنَ ٱلنُّذُرُ
آیت ۵۴:۴۱ کھولیںaur firon kay khandan kay paas bhi tanbeehaat ayen ,
كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا كُلِّهَا فَأَخَذۡنَٰهُمۡ أَخۡذَ عَزِيزٖ مُّقۡتَدِرٍ
آیت ۵۴:۴۲ کھولیںunhon ney humari tamam nishaniyon ko jhutla diya tha , iss liye hum ney unn ko aesi pakar mein liya jaisi aik zabardast qudrat walay ki pakar hoti hai .
أَكُفَّارُكُمۡ خَيۡرٞ مِّنۡ أُوْلَٰٓئِكُمۡ أَمۡ لَكُم بَرَآءَةٞ فِي ٱلزُّبُرِ
آیت ۵۴:۴۳ کھولیںkiya tumharay yeh kafir log unn say achay hain , ya tumharay liye ( khuda ki ) kitabon mein koi bey gunahi ka perwana likha huwa hai ?
أَمۡ يَقُولُونَ نَحۡنُ جَمِيعٞ مُّنتَصِرٞ
آیت ۵۴:۴۴ کھولیںya inn ka kehna yeh hai kay hum aesi jamiyat hain jo apna bachao aap kerlay gi-?
سَيُهۡزَمُ ٱلۡجَمۡعُ وَيُوَلُّونَ ٱلدُّبُرَ
آیت ۵۴:۴۵ کھولیں. ( haqeeqat to yeh hai kay ) iss jamiyat ko unqareeb shikast hojaye gi , aur yeh sabb peeth pher ker bhagen gay .
بَلِ ٱلسَّاعَةُ مَوۡعِدُهُمۡ وَٱلسَّاعَةُ أَدۡهَىٰ وَأَمَرُّ
آیت ۵۴:۴۶ کھولیںyehi nahi , balkay inn kay asal waday ka waqt to qayamat hai , aur qayamat aur ziyada museebat aur kahen ziyada karrwi hogi .
إِنَّ ٱلۡمُجۡرِمِينَ فِي ضَلَٰلٖ وَسُعُرٖ
آیت ۵۴:۴۷ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay yeh mujrim log bari gumrahi aur bey aqli mein parray huye hain .
يَوۡمَ يُسۡحَبُونَ فِي ٱلنَّارِ عَلَىٰ وُجُوهِهِمۡ ذُوقُواْ مَسَّ سَقَرَ
آیت ۵۴:۴۸ کھولیںjiss din inn ko mun kay ball aag mein ghaseeta jaye ga , ( uss din enhen hosh aaye ga , aur inn say kaha jaye ga kay : ) chakho dozakh kay chooney ka maza !
إِنَّا كُلَّ شَيۡءٍ خَلَقۡنَٰهُ بِقَدَرٖ
آیت ۵۴:۴۹ کھولیںhum ney her cheez ko naap tol kay sath peda kiya hai .
وَمَآ أَمۡرُنَآ إِلَّا وَٰحِدَةٞ كَلَمۡحِۭ بِٱلۡبَصَرِ
آیت ۵۴:۵۰ کھولیںaur humara hukum bus aik hi martaba aankh jhapakney ki tarah ( poora ) hojata hai .
وَلَقَدۡ أَهۡلَكۡنَآ أَشۡيَاعَكُمۡ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
آیت ۵۴:۵۱ کھولیںaur tumharay hum mashrab logon ko hum pehlay hi halak ker-chukay hain . abb batao , hai koi jo naseehat hasil keray-?
وَكُلُّ شَيۡءٖ فَعَلُوهُ فِي ٱلزُّبُرِ
آیت ۵۴:۵۲ کھولیںaur jo jo kaam unhon ney kiye hain , woh sabb aemal naamon mein darj hain ,
وَكُلُّ صَغِيرٖ وَكَبِيرٖ مُّسۡتَطَرٌ
آیت ۵۴:۵۳ کھولیںaur her choti aur bari baat likhi hoi hai .
إِنَّ ٱلۡمُتَّقِينَ فِي جَنَّٰتٖ وَنَهَرٖ
آیت ۵۴:۵۴ کھولیں. ( albatta ) jinn logon ney taqwa ki rawish apna rakhi hai , woh baaghaat aur nehron mein hon gay ,
فِي مَقۡعَدِ صِدۡقٍ عِندَ مَلِيكٖ مُّقۡتَدِرِۭ
آیت ۵۴:۵۵ کھولیںaik sachi izzat wali nishist mein ! uss badshah kay paas jiss kay qabazay mein sara iqtidar hai !