الطور
At-Tur
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَٱلطُّورِ
آیت ۵۲:۱ کھولیںqasam hai koh-e-toor ki ,
وَكِتَٰبٖ مَّسۡطُورٖ
آیت ۵۲:۲ کھولیںaur uss kitab ki jo aik khulay huye
فِي رَقّٖ مَّنشُورٖ
آیت ۵۲:۳ کھولیںsaheefay mein likhi hoi hai
وَٱلۡبَيۡتِ ٱلۡمَعۡمُورِ
آیت ۵۲:۴ کھولیںaur qasam hai bait-e-mamoor ki
وَٱلسَّقۡفِ ٱلۡمَرۡفُوعِ
آیت ۵۲:۵ کھولیںaur buland ki hoi chat ki ,
وَٱلۡبَحۡرِ ٱلۡمَسۡجُورِ
آیت ۵۲:۶ کھولیںaur bharay huye samandar ki ,
إِنَّ عَذَابَ رَبِّكَ لَوَٰقِعٞ
آیت ۵۲:۷ کھولیںkay tumharay perwerdigar ka azab zaroor waqay honey wala hai ,
مَّا لَهُۥ مِن دَافِعٖ
آیت ۵۲:۸ کھولیںkoi nahi hai jo ussay rok sakay ,
يَوۡمَ تَمُورُ ٱلسَّمَآءُ مَوۡرٗا
آیت ۵۲:۹ کھولیںjiss din aasman thar-thara ker laraz uthay ga ,
وَتَسِيرُ ٱلۡجِبَالُ سَيۡرٗا
آیت ۵۲:۱۰ کھولیںaur pahar holnaak tareeqay say chal parren gay ,
فَوَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۵۲:۱۱ کھولیںtu uss din bari kharabi hogi unn ki jo haq ko jhutlatay hain ,
ٱلَّذِينَ هُمۡ فِي خَوۡضٖ يَلۡعَبُونَ
آیت ۵۲:۱۲ کھولیںjo beyhooda baaton mein doobay huye khel rahey hain ,
يَوۡمَ يُدَعُّونَ إِلَىٰ نَارِ جَهَنَّمَ دَعًّا
آیت ۵۲:۱۳ کھولیںuss din jab unhen dhakkay dey dey ker jahannum ki aag ki taraf dhakela jaye ga ,
هَٰذِهِ ٱلنَّارُ ٱلَّتِي كُنتُم بِهَا تُكَذِّبُونَ
آیت ۵۲:۱۴ کھولیں. ( kay : ) yeh hai woh aag jiss ko tum jhutlaya kertay thay .
أَفَسِحۡرٌ هَٰذَآ أَمۡ أَنتُمۡ لَا تُبۡصِرُونَ
آیت ۵۲:۱۵ کھولیںbhala kiya yeh jadoo hai ya tumhen ( abb bhi ) kuch nazar nahi aaraha-?
ٱصۡلَوۡهَا فَٱصۡبِرُوٓاْ أَوۡ لَا تَصۡبِرُواْ سَوَآءٌ عَلَيۡكُمۡۖ إِنَّمَا تُجۡزَوۡنَ مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
آیت ۵۲:۱۶ کھولیںdakhil hojao iss mein ! phir tum sabar kero , ya naa kero , tumharay liye barabar hai . tumhen unhi kamon ka badla diya jaye ga jo tum kiya kertay thay .
إِنَّ ٱلۡمُتَّقِينَ فِي جَنَّٰتٖ وَنَعِيمٖ
آیت ۵۲:۱۷ کھولیںmuttaqi log beyshak baaghon aur naimaton mein hon gay ,
فَٰكِهِينَ بِمَآ ءَاتَىٰهُمۡ رَبُّهُمۡ وَوَقَىٰهُمۡ رَبُّهُمۡ عَذَابَ ٱلۡجَحِيمِ
آیت ۵۲:۱۸ کھولیںunn kay perwerdigar ney unhen jiss tarah nawaza aur unn kay perwerdigar hi ney unhen dozakh kay azab say jiss tarah bachaya , uss ka lutf utha rahey hon gay .
كُلُواْ وَٱشۡرَبُواْ هَنِيٓـَٔۢا بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
آیت ۵۲:۱۹ کھولیں. ( unn say kaha jaye ga kay : ) khoob mazay say khao piyo , unn aemal kay silay mein jo tum kiya kertay thay .
مُتَّكِـِٔينَ عَلَىٰ سُرُرٖ مَّصۡفُوفَةٖۖ وَزَوَّجۡنَٰهُم بِحُورٍ عِينٖ
آیت ۵۲:۲۰ کھولیںwoh aik qetar mein lagi hoi oonchi nishiston per takiya lagaye huye hon gay , aur hum bari bari aankhon wali huroon say unn ka biyah kerden gay .
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَٱتَّبَعَتۡهُمۡ ذُرِّيَّتُهُم بِإِيمَٰنٍ أَلۡحَقۡنَا بِهِمۡ ذُرِّيَّتَهُمۡ وَمَآ أَلَتۡنَٰهُم مِّنۡ عَمَلِهِم مِّن شَيۡءٖۚ كُلُّ ٱمۡرِيِٕۭ بِمَا كَسَبَ رَهِينٞ
آیت ۵۲:۲۱ کھولیںaur jo log emaan laye hain , aur unn ki aulad ney bhi emaan mein unn ki perwi ki hai , to unn ki aulad ko hum unhi kay sath shamil kerden gay , aur unn kay amal mein say kissi cheez ki kami nahi keren gay . her insan ki jaan apni kamai kay badlay rehan rakhi hoi hai .
وَأَمۡدَدۡنَٰهُم بِفَٰكِهَةٖ وَلَحۡمٖ مِّمَّا يَشۡتَهُونَ
آیت ۵۲:۲۲ کھولیںaur hum unhen aik kay baad aik phal aur gosht , jo bhi unn ka dil chahye ga , diye chalay jayen gay .
يَتَنَٰزَعُونَ فِيهَا كَأۡسٗا لَّا لَغۡوٞ فِيهَا وَلَا تَأۡثِيمٞ
آیت ۵۲:۲۳ کھولیںwahan woh aesay jaam sharab per ( dostana ) cheena jhapti ker rahey hon gay jiss mein naa koi beyhoodgi hogi , aur naa koi gunah hoga .
۞وَيَطُوفُ عَلَيۡهِمۡ غِلۡمَانٞ لَّهُمۡ كَأَنَّهُمۡ لُؤۡلُؤٞ مَّكۡنُونٞ
آیت ۵۲:۲۴ کھولیںaur unn kay ird-gird woh nojawan phir rahey hon gay jo unhi ( ki khidmat ) kay liye makhsoos hon gay , aesay ( khoobsurat ) jaisay chupa ker rakhay huye moti !
وَأَقۡبَلَ بَعۡضُهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖ يَتَسَآءَلُونَ
آیت ۵۲:۲۵ کھولیںaur woh aik doosray ki taraf mutawajjah ho ker halaat poochen gay ,
قَالُوٓاْ إِنَّا كُنَّا قَبۡلُ فِيٓ أَهۡلِنَا مُشۡفِقِينَ
آیت ۵۲:۲۶ کھولیںkahen gay kay : hum pehlay jab apney ghar walon ( yani duniya ) mein thay to daray sehmay rehtay thay ,
فَمَنَّ ٱللَّهُ عَلَيۡنَا وَوَقَىٰنَا عَذَابَ ٱلسَّمُومِ
آیت ۵۲:۲۷ کھولیںaakhir Allah ney hum per bara ehsan farmaya , aur hamen jhulsaney wali hawa kay azab say bacha liya .
إِنَّا كُنَّا مِن قَبۡلُ نَدۡعُوهُۖ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡبَرُّ ٱلرَّحِيمُ
آیت ۵۲:۲۸ کھولیںhum iss say pehlay uss say duayen maanga kertay thay . haqeeqat yeh hai kay wohi hai jo bara mohsin , boht meharban hai .
فَذَكِّرۡ فَمَآ أَنتَ بِنِعۡمَتِ رَبِّكَ بِكَاهِنٖ وَلَا مَجۡنُونٍ
آیت ۵۲:۲۹ کھولیںlehaza ( aey payghumber ! ) tum naseehat kertay raho , kiyonkay tum apney perwerdigar kay fazal say naa kahin ho , naa majnoon .
أَمۡ يَقُولُونَ شَاعِرٞ نَّتَرَبَّصُ بِهِۦ رَيۡبَ ٱلۡمَنُونِ
آیت ۵۲:۳۰ کھولیںbhala kiya yeh log yun kehtay hain kay : yeh sahab shaeer hain jinn kay baaray mein hum zamaney ki gardish ka intizar ker rahey hain-?
قُلۡ تَرَبَّصُواْ فَإِنِّي مَعَكُم مِّنَ ٱلۡمُتَرَبِّصِينَ
آیت ۵۲:۳۱ کھولیںkeh do kay : kerlo intizar ! mein bhi tumharay sath intizar ker-raha hun .
أَمۡ تَأۡمُرُهُمۡ أَحۡلَٰمُهُم بِهَٰذَآۚ أَمۡ هُمۡ قَوۡمٞ طَاغُونَ
آیت ۵۲:۳۲ کھولیںkiya inn ki aqlen inn ko yehi kuch kernay ko kehti hain , ya woh hain hi sarkash log-?
أَمۡ يَقُولُونَ تَقَوَّلَهُۥۚ بَل لَّا يُؤۡمِنُونَ
آیت ۵۲:۳۳ کھولیںhaan kiya woh yeh kehtay hain kay : inn sahab ney yeh ( Quran ) khud gharr liya hai ? nahi ! balkay yeh ( zidd mein ) emaan nahi laarahey .
فَلۡيَأۡتُواْ بِحَدِيثٖ مِّثۡلِهِۦٓ إِن كَانُواْ صَٰدِقِينَ
آیت ۵۲:۳۴ کھولیںagar yeh waqaee sachay hain to iss jaisa koi kalam ( gharr ker ) ley ayen .
أَمۡ خُلِقُواْ مِنۡ غَيۡرِ شَيۡءٍ أَمۡ هُمُ ٱلۡخَٰلِقُونَ
آیت ۵۲:۳۵ کھولیںkiya yeh log baghair kissi kay aap say aap peda hogaye , ya yeh khud ( apney ) khaliq hain-?
أَمۡ خَلَقُواْ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَۚ بَل لَّا يُوقِنُونَ
آیت ۵۲:۳۶ کھولیںya kiya aasman aur zameen enhon ney peda kiye hain-? nahi ! balkay asal baat yeh hai kay yeh yaqeen nahi rakhtay .
أَمۡ عِندَهُمۡ خَزَآئِنُ رَبِّكَ أَمۡ هُمُ ٱلۡمُصَۜيۡطِرُونَ
آیت ۵۲:۳۷ کھولیںkiya tumharay perwerdigar kay khazaney inn kay paas hain , ya woh darogha banay huye hain-?
أَمۡ لَهُمۡ سُلَّمٞ يَسۡتَمِعُونَ فِيهِۖ فَلۡيَأۡتِ مُسۡتَمِعُهُم بِسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٍ
آیت ۵۲:۳۸ کھولیںya inn kay pass koi seerhi hai jiss per charh ker yeh ( aalam-e-baala ki baaten ) sunn letay hain . agar aisa hai to inn mein say jo sunta ho , woh koi wazeh saboot to laye .
أَمۡ لَهُ ٱلۡبَنَٰتُ وَلَكُمُ ٱلۡبَنُونَ
آیت ۵۲:۳۹ کھولیںkiya Allah kay hissay mein to betiyan hain , aur betay tumharay hissay mein aaye hain-?
أَمۡ تَسۡـَٔلُهُمۡ أَجۡرٗا فَهُم مِّن مَّغۡرَمٖ مُّثۡقَلُونَ
آیت ۵۲:۴۰ کھولیںaur kiya tum inn say koi ujrat maang rahey ho jiss ki wajeh say yeh tawaan kay bojh mein dabay jarahey hain-?
أَمۡ عِندَهُمُ ٱلۡغَيۡبُ فَهُمۡ يَكۡتُبُونَ
آیت ۵۲:۴۱ کھولیںya inn kay paas ghaib ka ilm hai jissay yeh likh letay hon-?
أَمۡ يُرِيدُونَ كَيۡدٗاۖ فَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ هُمُ ٱلۡمَكِيدُونَ
آیت ۵۲:۴۲ کھولیںkiya yeh koi makar kerna chahtay hain-? to dar-haqeeqat jo kafir hain , makar to unhi per parray ga .
أَمۡ لَهُمۡ إِلَٰهٌ غَيۡرُ ٱللَّهِۚ سُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
آیت ۵۲:۴۳ کھولیںkiya Allah kay siwa inn ka koi aur khuda hai-? pak hai Allah uss shirk say jo yeh ker rahey hain !
وَإِن يَرَوۡاْ كِسۡفٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِ سَاقِطٗا يَقُولُواْ سَحَابٞ مَّرۡكُومٞ
آیت ۵۲:۴۴ کھولیںaur agar yeh aasman ka koi tukrra girtay huye bhi dekh len to yeh kahen gay kay yeh koi gehra badal hai .
فَذَرۡهُمۡ حَتَّىٰ يُلَٰقُواْ يَوۡمَهُمُ ٱلَّذِي فِيهِ يُصۡعَقُونَ
آیت ۵۲:۴۵ کھولیںlehaza ( aey payghumber ! ) tum enhen ( inn kay haal per ) chorr do , yahan tak kay yeh apney uss din say jaa milen jiss mein inn kay hosh jatay rahen gay ,
يَوۡمَ لَا يُغۡنِي عَنۡهُمۡ كَيۡدُهُمۡ شَيۡـٔٗا وَلَا هُمۡ يُنصَرُونَ
آیت ۵۲:۴۶ کھولیںjiss din inn ki makkaari inn kay kuch kaam nahi aaye gi , aur naa enhen koi madad mil sakay gi .
وَإِنَّ لِلَّذِينَ ظَلَمُواْ عَذَابٗا دُونَ ذَٰلِكَ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
آیت ۵۲:۴۷ کھولیںaur iss say pehlay bhi inn zalimon kay liye aik azab hai , lekin inn mein say aksar logon ko pata nahi hai .
وَٱصۡبِرۡ لِحُكۡمِ رَبِّكَ فَإِنَّكَ بِأَعۡيُنِنَاۖ وَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ حِينَ تَقُومُ
آیت ۵۲:۴۸ کھولیںaur tum apney perwerdigar kay hukum per jamay raho , kiyonkay tum humari nigahon mein ho , aur jab tum uthtay ho , uss waqt apney perwerdigar ki hamd kay sath uss ki tasbeeh kiya kero ,
وَمِنَ ٱلَّيۡلِ فَسَبِّحۡهُ وَإِدۡبَٰرَ ٱلنُّجُومِ
آیت ۵۲:۴۹ کھولیںaur kuch raat ko bhi uss ki tasbeeh kero , aur uss waqt bhi jab sitaray doobtay hain .