الذاريات

Adh-Dhaariyat

سورت ۵۱ · آیات: ۶۰ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. وَٱلذَّٰرِيَٰتِ ذَرۡوٗا

    آیت ⁦۵۱:۱⁩ کھولیں

    qasam hai unn ( hawaon ) ki jo gard urra ker bikhair deti hain ,

  2. فَٱلۡحَٰمِلَٰتِ وِقۡرٗا

    آیت ⁦۵۱:۲⁩ کھولیں

    phir unn ki jo ( badalon ka ) bojh uthati hain ,

  3. فَٱلۡجَٰرِيَٰتِ يُسۡرٗا

    آیت ⁦۵۱:۳⁩ کھولیں

    phir unn ki jo aasani say rawan dawan hojati hain ,

  4. فَٱلۡمُقَسِّمَٰتِ أَمۡرًا

    آیت ⁦۵۱:۴⁩ کھولیں

    phir unn ki jo cheezen taqseem kerti hain ,

  5. إِنَّمَا تُوعَدُونَ لَصَادِقٞ

    آیت ⁦۵۱:۵⁩ کھولیں

    kay jo wada tum say kiya jaraha hai , woh yaqeeni tor per sacha hai ,

  6. وَإِنَّ ٱلدِّينَ لَوَٰقِعٞ

    آیت ⁦۵۱:۶⁩ کھولیں

    aur aemal ka badla yaqeenan mil ker rahey ga .

  7. وَٱلسَّمَآءِ ذَاتِ ٱلۡحُبُكِ

    آیت ⁦۵۱:۷⁩ کھولیں

    qasam hai raaston walay aasman ki ,

  8. إِنَّكُمۡ لَفِي قَوۡلٖ مُّخۡتَلِفٖ

    آیت ⁦۵۱:۸⁩ کھولیں

    kay tum mutazaad baaton mein parray huye ho ,

  9. يُؤۡفَكُ عَنۡهُ مَنۡ أُفِكَ

    آیت ⁦۵۱:۹⁩ کھولیں

    iss ( aakhirat ki haqeeqat ) say wohi mun morrta hai jo haq say bilkul hi murra huwa hai .

  10. قُتِلَ ٱلۡخَرَّٰصُونَ 

    آیت ⁦۵۱:۱۰⁩ کھولیں

    khuda ki maar ho unn per jo ( aqeeday kay moamlay mein ) atkal peechon baaten banaya kertay hain ,

  11. ٱلَّذِينَ هُمۡ فِي غَمۡرَةٖ سَاهُونَ

    آیت ⁦۵۱:۱۱⁩ کھولیں

    jo ghaflat mein aesay doobay hain kay sabb kuch bhulaye bethay hain .

  12. يَسۡـَٔلُونَ أَيَّانَ يَوۡمُ ٱلدِّينِ

    آیت ⁦۵۱:۱۲⁩ کھولیں

    poochtay hain kay : jaza o saza ka din kab hoga-?

  13. يَوۡمَ هُمۡ عَلَى ٱلنَّارِ يُفۡتَنُونَ

    آیت ⁦۵۱:۱۳⁩ کھولیں

    uss din hoga jab unhen aag per tapaya jaye ga !

  14. ذُوقُواْ فِتۡنَتَكُمۡ هَٰذَا ٱلَّذِي كُنتُم بِهِۦ تَسۡتَعۡجِلُونَ

    آیت ⁦۵۱:۱۴⁩ کھولیں

    kay chakho maza apni shararat ka ! yehi hai woh cheez jiss kay baaray mein tum yeh mutalba kertay thay kay woh jaldi aajaye !

  15. إِنَّ ٱلۡمُتَّقِينَ فِي جَنَّٰتٖ وَعُيُونٍ

    آیت ⁦۵۱:۱۵⁩ کھولیں

    muttaqi log beyshak baaghon aur chashmon mein iss tarah rahen gay

  16. ءَاخِذِينَ مَآ ءَاتَىٰهُمۡ رَبُّهُمۡۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَبۡلَ ذَٰلِكَ مُحۡسِنِينَ

    آیت ⁦۵۱:۱۶⁩ کھولیں

    kay unn ka perwerdigar unhen jo kuch dey ga , ussay wasool ker rahey hon gay . woh log iss say pehlay hi naik amal kernay walay thay ,

  17. كَانُواْ قَلِيلٗا مِّنَ ٱلَّيۡلِ مَا يَهۡجَعُونَ

    آیت ⁦۵۱:۱۷⁩ کھولیں

    woh raat kay waqt kam sotay thay ,

  18. وَبِٱلۡأَسۡحَارِ هُمۡ يَسۡتَغۡفِرُونَ

    آیت ⁦۵۱:۱۸⁩ کھولیں

    aur sehri kay oqaat mein woh astaghfaar kertay thay ,

  19. وَفِيٓ أَمۡوَٰلِهِمۡ حَقّٞ لِّلسَّآئِلِ وَٱلۡمَحۡرُومِ

    آیت ⁦۵۱:۱۹⁩ کھولیں

    aur unn kay maal o dolat mein saeelon aur mehroom logon ka ( ba-qaeeda ) haq hota tha .

  20. وَفِي ٱلۡأَرۡضِ ءَايَٰتٞ لِّلۡمُوقِنِينَ 

    آیت ⁦۵۱:۲۰⁩ کھولیں

    aur unn kay liye jo yaqeen kernay walay hon , zameen mein boht si nishaniyan hain ,

  21. وَفِيٓ أَنفُسِكُمۡۚ أَفَلَا تُبۡصِرُونَ

    آیت ⁦۵۱:۲۱⁩ کھولیں

    aur khud tumharay apney wajood mein bhi ! kiya phir bhi tumhen dikhai nahi deta-?

  22. وَفِي ٱلسَّمَآءِ رِزۡقُكُمۡ وَمَا تُوعَدُونَ

    آیت ⁦۵۱:۲۲⁩ کھولیں

    aur aasman hi mein tumhara rizq bhi hai , aur woh cheez bhi jiss ka tum say wada kiya jaraha hai .

  23. فَوَرَبِّ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِ إِنَّهُۥ لَحَقّٞ مِّثۡلَ مَآ أَنَّكُمۡ تَنطِقُونَ

    آیت ⁦۵۱:۲۳⁩ کھولیں

    lehaza aasman aur zameen kay perwerdigar ki qasam ! yeh baat yaqeenan aesi hi sachi hai jaisay yeh baat kay tum boltay ho .

  24. هَلۡ أَتَىٰكَ حَدِيثُ ضَيۡفِ إِبۡرَٰهِيمَ ٱلۡمُكۡرَمِينَ

    آیت ⁦۵۱:۲۴⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) kiya Ibrahim kay moaziz mehmano ka waqiaa tumhen phoncha hai ?

  25. إِذۡ دَخَلُواْ عَلَيۡهِ فَقَالُواْ سَلَٰمٗاۖ قَالَ سَلَٰمٞ قَوۡمٞ مُّنكَرُونَ

    آیت ⁦۵۱:۲۵⁩ کھولیں

    jab woh Ibrahim kay paas aaye , to unhon ney salam kaha . Ibrahim ney bhi salam kaha . ( aur dil mein socha kay ) yeh kuch anjan log hain .

  26. فَرَاغَ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦ فَجَآءَ بِعِجۡلٖ سَمِينٖ

    آیت ⁦۵۱:۲۶⁩ کھولیں

    phir woh chupkay say apney ghar walon kay paas gaye , aur aik mota saa bachrra ley aaye ,

  27. فَقَرَّبَهُۥٓ إِلَيۡهِمۡ قَالَ أَلَا تَأۡكُلُونَ

    آیت ⁦۵۱:۲۷⁩ کھولیں

    aur ussay inn mehmano kay samney rakha . kehney lagay : kiya aap log khatay nahi-?

  28. فَأَوۡجَسَ مِنۡهُمۡ خِيفَةٗۖ قَالُواْ لَا تَخَفۡۖ وَبَشَّرُوهُ بِغُلَٰمٍ عَلِيمٖ

    آیت ⁦۵۱:۲۸⁩ کھولیں

    iss say Ibrahim ney unn ki taraf say apney dil mein darr mehsoos kiya . unhon ney kaha : dariye nahi aur unhen aik larkay ki khushkhabri di jo bara aalim hoga .

  29. فَأَقۡبَلَتِ ٱمۡرَأَتُهُۥ فِي صَرَّةٖ فَصَكَّتۡ وَجۡهَهَا وَقَالَتۡ عَجُوزٌ عَقِيمٞ

    آیت ⁦۵۱:۲۹⁩ کھولیں

    iss per unn ki biwi zor say bolti hoi ayen , aur unhon ney apna chehra peet liya , aur kehney lagen : ( kiya ) aik baanjh burhiya ( baccha janay gi-? )

  30. قَالُواْ كَذَٰلِكِ قَالَ رَبُّكِۖ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡحَكِيمُ ٱلۡعَلِيمُ 

    آیت ⁦۵۱:۳۰⁩ کھولیں

    mehmano ney kaha : tumharay perwerdigar ney aisa hi farmaya hai . yaqeen jano wohi hai jo bari hikmat ka , baray ilm ka malik hai .

  31. ۞قَالَ فَمَا خَطۡبُكُمۡ أَيُّهَا ٱلۡمُرۡسَلُونَ

    آیت ⁦۵۱:۳۱⁩ کھولیں

    Ibrahim ney kaha : Allah kay bhejay huye farishto ! tum kiss mohim per ho-?

  32. قَالُوٓاْ إِنَّآ أُرۡسِلۡنَآ إِلَىٰ قَوۡمٖ مُّجۡرِمِينَ

    آیت ⁦۵۱:۳۲⁩ کھولیں

    unhon ney kaha : hamen kuch mujrim logon kay paas bheja gaya hai ,

  33. لِنُرۡسِلَ عَلَيۡهِمۡ حِجَارَةٗ مِّن طِينٖ

    آیت ⁦۵۱:۳۳⁩ کھولیں

    takay hum unn per pakki mitti kay pathar barsayen

  34. مُّسَوَّمَةً عِندَ رَبِّكَ لِلۡمُسۡرِفِينَ

    آیت ⁦۵۱:۳۴⁩ کھولیں

    jinn per hadd say guzray huye logon kay liye tumharay perwerdigar kay paas say khaas nishan bhi laga hoga .

  35. فَأَخۡرَجۡنَا مَن كَانَ فِيهَا مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۵۱:۳۵⁩ کھولیں

    phir huwa yeh kay uss basti mein jo koi momin tha , uss ko hum ney wahan say nikal liya ,

  36. فَمَا وَجَدۡنَا فِيهَا غَيۡرَ بَيۡتٖ مِّنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ

    آیت ⁦۵۱:۳۶⁩ کھولیں

    aur uss mein aik ghar kay siwa hum ney kissi aur ghar ko momin nahi paya ,

  37. وَتَرَكۡنَا فِيهَآ ءَايَةٗ لِّلَّذِينَ يَخَافُونَ ٱلۡعَذَابَ ٱلۡأَلِيمَ

    آیت ⁦۵۱:۳۷⁩ کھولیں

    aur hum ney uss basti mein unn logon kay liye ( ibrat ki ) aik nishani chorr di jo dardnak azab say dartay hon .

  38. وَفِي مُوسَىٰٓ إِذۡ أَرۡسَلۡنَٰهُ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ بِسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٖ

    آیت ⁦۵۱:۳۸⁩ کھولیں

    aur musa ( kay waqaey ) mein bhi ( hum ney aesi hi nishani chorri thi ) jab hum ney unhen aik khuli hoi daleel kay sath firon kay paas bheja tha ,

  39. فَتَوَلَّىٰ بِرُكۡنِهِۦ وَقَالَ سَٰحِرٌ أَوۡ مَجۡنُونٞ

    آیت ⁦۵۱:۳۹⁩ کھولیں

    to firon ney apni quooat-e-bazoo kay ball per mun morra , aur kaha kay : yeh jadoogar hai , ya deewana hai .

  40. فَأَخَذۡنَٰهُ وَجُنُودَهُۥ فَنَبَذۡنَٰهُمۡ فِي ٱلۡيَمِّ وَهُوَ مُلِيمٞ 

    آیت ⁦۵۱:۴۰⁩ کھولیں

    chunacheh hum ney ussay aur uss kay lashkar ko pakra aur sabb ko samandar mein phenk diya , aur woh tha hi malamat kay laeeq !

  41. وَفِي عَادٍ إِذۡ أَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمُ ٱلرِّيحَ ٱلۡعَقِيمَ

    آیت ⁦۵۱:۴۱⁩ کھولیں

    neez qoam-e-aad mein ( bhi hum ney aesi hi nishani chorri thi ) jab hum ney unn per aik aesi aandhi bheji jo her behtari say baanjh di ,

  42. مَا تَذَرُ مِن شَيۡءٍ أَتَتۡ عَلَيۡهِ إِلَّا جَعَلَتۡهُ كَٱلرَّمِيمِ

    آیت ⁦۵۱:۴۲⁩ کھولیں

    woh jiss cheez per bhi guzarti , ussay aisa ker chorti jaisay woh gal ker choora choora hogaee ho .

  43. وَفِي ثَمُودَ إِذۡ قِيلَ لَهُمۡ تَمَتَّعُواْ حَتَّىٰ حِينٖ

    آیت ⁦۵۱:۴۳⁩ کھولیں

    aur samood mein bhi ( aesi hi nishani thi ) , jab unn say kaha gaya tha kay : thoray waqt tak mazay urra lo . ( phir seedhay naa huye to azab aaye ga )

  44. فَعَتَوۡاْ عَنۡ أَمۡرِ رَبِّهِمۡ فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّٰعِقَةُ وَهُمۡ يَنظُرُونَ

    آیت ⁦۵۱:۴۴⁩ کھولیں

    iss per bhi unhon ney apney perwerdigar ka hukum manney say sarkashi ikhtiyar ki to unhen karrkay ney aa-pakra , aur woh dekhtay reh gaye .

  45. فَمَا ٱسۡتَطَٰعُواْ مِن قِيَامٖ وَمَا كَانُواْ مُنتَصِرِينَ

    آیت ⁦۵۱:۴۵⁩ کھولیں

    nateeja yeh kay naa to unn mein yeh sakat rahi kay kharray hosaken , aur naa woh iss qabil thay kay apna bachao kertay .

  46. وَقَوۡمَ نُوحٖ مِّن قَبۡلُۖ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمٗا فَٰسِقِينَ

    آیت ⁦۵۱:۴۶⁩ کھولیں

    aur iss say bhi pehlay nooh ki qoam ko bhi hum ney pakar mein liya tha . yaqeen jano woh baray nafarman log thay .

  47. وَٱلسَّمَآءَ بَنَيۡنَٰهَا بِأَيۡيْدٖ وَإِنَّا لَمُوسِعُونَ

    آیت ⁦۵۱:۴۷⁩ کھولیں

    aur aasman ko hum ney quooat say banaya hai , aur hum yaqeenan wusat peda kerney walay hain .

  48. وَٱلۡأَرۡضَ فَرَشۡنَٰهَا فَنِعۡمَ ٱلۡمَٰهِدُونَ

    آیت ⁦۵۱:۴۸⁩ کھولیں

    aur zameen ko hum ney farsh banaya hai , chunacheh hum kiya khoob bichaney walay hain !

  49. وَمِن كُلِّ شَيۡءٍ خَلَقۡنَا زَوۡجَيۡنِ لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ

    آیت ⁦۵۱:۴۹⁩ کھولیں

    aur her cheez kay hum ney jooray peda kiye hain , takay tum naseehat hasil kero .

  50. فَفِرُّوٓاْ إِلَى ٱللَّهِۖ إِنِّي لَكُم مِّنۡهُ نَذِيرٞ مُّبِينٞ 

    آیت ⁦۵۱:۵۰⁩ کھولیں

    lehaza dorro Allah ki taraf . yaqeen jano , mein uss ki taraf say tumharay liye saaf saaf khabrdar kernay wala ( ban ker aaya ) hun .

  51. وَلَا تَجۡعَلُواْ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَۖ إِنِّي لَكُم مِّنۡهُ نَذِيرٞ مُّبِينٞ

    آیت ⁦۵۱:۵۱⁩ کھولیں

    aur Allah kay sath koi aur mabood naa banao . yaqeen jano mein uss ki taraf say tumharay liye saaf saaf khabrdar kernay wala ( ban ker aaya ) hun .

  52. كَذَٰلِكَ مَآ أَتَى ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِم مِّن رَّسُولٍ إِلَّا قَالُواْ سَاحِرٌ أَوۡ مَجۡنُونٌ

    آیت ⁦۵۱:۵۲⁩ کھولیں

    issi tarah inn say pehlay jo log thay , unn kay paas bhi koi payghumber aisa nahi aaya jiss kay baaray mein unhon ney yeh naa kaha ho kay : jadoogar hai , ya deewana hai .

  53. أَتَوَاصَوۡاْ بِهِۦۚ بَلۡ هُمۡ قَوۡمٞ طَاغُونَ

    آیت ⁦۵۱:۵۳⁩ کھولیں

    kiya yeh aik doosray ko iss baat ki wasiyyat kertay chalay aaye hain-? nahi , balkay yeh sarkash log hain .

  54. فَتَوَلَّ عَنۡهُمۡ فَمَآ أَنتَ بِمَلُومٖ

    آیت ⁦۵۱:۵۴⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) tum inn say bey rukhi ikhtiyar kero , kiyonkay tum qabil-e-malamat nahi ho .

  55. وَذَكِّرۡ فَإِنَّ ٱلذِّكۡرَىٰ تَنفَعُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۵۱:۵۵⁩ کھولیں

    aur naseehat kertay raho , kiyonkay naseehat emaan laney walon ko faeeda deti hai .

  56. وَمَا خَلَقۡتُ ٱلۡجِنَّ وَٱلۡإِنسَ إِلَّا لِيَعۡبُدُونِ

    آیت ⁦۵۱:۵۶⁩ کھولیں

    aur mein ney jinnaat aur insanon ko iss kay siwa kissi aur kaam kay liye peda nahi kiya kay woh meri ibadat keren .

  57. مَآ أُرِيدُ مِنۡهُم مِّن رِّزۡقٖ وَمَآ أُرِيدُ أَن يُطۡعِمُونِ

    آیت ⁦۵۱:۵۷⁩ کھولیں

    mein unn say kissi qisam ka rizq nahi chahta , aur naa yeh chahta hun kay woh mujhay khilayen .

  58. إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلرَّزَّاقُ ذُو ٱلۡقُوَّةِ ٱلۡمَتِينُ

    آیت ⁦۵۱:۵۸⁩ کھولیں

    Allah to khud hi razzaq hai , mustehkam quooat wala !

  59. فَإِنَّ لِلَّذِينَ ظَلَمُواْ ذَنُوبٗا مِّثۡلَ ذَنُوبِ أَصۡحَٰبِهِمۡ فَلَا يَسۡتَعۡجِلُونِ

    آیت ⁦۵۱:۵۹⁩ کھولیں

    abb to jinn logon ney zulm kiya hai , unn ki bhi aesi hi baari aaye gi jaisay unn kay ( pichlay ) sathiyon ki baari aai thi , iss liye woh mujh say jaldi ( azab laney ) ka mutalba naa keren .

  60. فَوَيۡلٞ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن يَوۡمِهِمُ ٱلَّذِي يُوعَدُونَ 

    آیت ⁦۵۱:۶۰⁩ کھولیں

    gharz jinn logon ney kufr ikhtiyar kiya hai , unn ki uss din ki wajeh say bari kharabi hogi jiss ka inn say wada kiya jaraha hai .