ق
Qaaf
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
قٓۚ وَٱلۡقُرۡءَانِ ٱلۡمَجِيدِ
آیت ۵۰:۱ کھولیںQaaf , Quran majeed ki qasam ! ( inn kafiron ney payghumber ko kissi daleel ki wajeh say nahi jhutlaya )
بَلۡ عَجِبُوٓاْ أَن جَآءَهُم مُّنذِرٞ مِّنۡهُمۡ فَقَالَ ٱلۡكَٰفِرُونَ هَٰذَا شَيۡءٌ عَجِيبٌ
آیت ۵۰:۲ کھولیںbalkay enhon ney iss baat per hayrat ka izhar kiya hai kay koi ( aakhirat say ) daraney wala khud unhi mein say ( kaisay ) aagaya , chunacheh inn kafiron ney yeh kaha hai kay : yeh to bari ajeeb baat hai ,
أَءِذَا مِتۡنَا وَكُنَّا تُرَابٗاۖ ذَٰلِكَ رَجۡعُۢ بَعِيدٞ
آیت ۵۰:۳ کھولیںbhala kiya jab hum mar khapp jayen aur mitti hojayen gay , ( uss waqt hamen phir zinda kiya jaye ga-? ) yeh wapsi to humari samajh say door hai .
قَدۡ عَلِمۡنَا مَا تَنقُصُ ٱلۡأَرۡضُ مِنۡهُمۡۖ وَعِندَنَا كِتَٰبٌ حَفِيظُۢ
آیت ۵۰:۴ کھولیںwaqiaa to yeh hai kay zameen inn kay jinn hisson ko ( kha ker ) ghata deti hai , hamen unn ka poora ilm hai , aur humaray paas aik kitab hai jo sabb kuch mehfooz rakhti hai .
بَلۡ كَذَّبُواْ بِٱلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَهُمۡ فَهُمۡ فِيٓ أَمۡرٖ مَّرِيجٍ
آیت ۵۰:۵ کھولیںdarasal enhon ney sach ko ussi waqt jhutla diya tha jab woh inn kay paas aaya tha , chunacheh woh mutazaad baaton mein parray huye hain .
أَفَلَمۡ يَنظُرُوٓاْ إِلَى ٱلسَّمَآءِ فَوۡقَهُمۡ كَيۡفَ بَنَيۡنَٰهَا وَزَيَّنَّٰهَا وَمَا لَهَا مِن فُرُوجٖ
آیت ۵۰:۶ کھولیںbhala kiya enhon ney apney oopper aasman ko nahi dekha kay hum ney ussay kaisay banaya hai ? aur hum ney ussay khoobsurti bakhshi hai , aur uss mein kissi qisam kay rakhney nahi hain ,
وَٱلۡأَرۡضَ مَدَدۡنَٰهَا وَأَلۡقَيۡنَا فِيهَا رَوَٰسِيَ وَأَنۢبَتۡنَا فِيهَا مِن كُلِّ زَوۡجِۭ بَهِيجٖ
آیت ۵۰:۷ کھولیںaur zameen hai kay hum ney ussay phela diya hai , aur uss mein paharon kay langar daal diye hain , aur uss mein her tarah ki khushnuma cheezen ugai hain ,
تَبۡصِرَةٗ وَذِكۡرَىٰ لِكُلِّ عَبۡدٖ مُّنِيبٖ
آیت ۵۰:۸ کھولیںtakay woh Allah say lo laganey walay her banday kay liye baseerat aur naseehat ka saman ho ,
وَنَزَّلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ مُّبَٰرَكٗا فَأَنۢبَتۡنَا بِهِۦ جَنَّٰتٖ وَحَبَّ ٱلۡحَصِيدِ
آیت ۵۰:۹ کھولیںaur hum ney aasman say barkaton wala paani utaara , phir uss kay zariye baaghaat aur woh anaj kay daney ugaye jinn ki katai hoti hai ,
وَٱلنَّخۡلَ بَاسِقَٰتٖ لَّهَا طَلۡعٞ نَّضِيدٞ
آیت ۵۰:۱۰ کھولیںaur khujoor kay oonchay oonchay darkht jinn mein teh bar teh khoshay hotay hain !
رِّزۡقٗا لِّلۡعِبَادِۖ وَأَحۡيَيۡنَا بِهِۦ بَلۡدَةٗ مَّيۡتٗاۚ كَذَٰلِكَ ٱلۡخُرُوجُ
آیت ۵۰:۱۱ کھولیںtakay hum bandon ko rizq ata keren , aur ( iss tarah ) hum ney uss paani say aik murda parray huye shehar ko zindagi dey di . bus issi tarah ( insanon ka qabron say ) nikalna bhi hoga .
كَذَّبَتۡ قَبۡلَهُمۡ قَوۡمُ نُوحٖ وَأَصۡحَٰبُ ٱلرَّسِّ وَثَمُودُ
آیت ۵۰:۱۲ کھولیںinn say pehlay nooh ki qoam aur ashaab-ur-Rass aur samood kay logon ney bhi ( iss baat ko ) jhutlaya tha ,
وَعَادٞ وَفِرۡعَوۡنُ وَإِخۡوَٰنُ لُوطٖ
آیت ۵۰:۱۳ کھولیںneez qoam-e-aad aur qoam-e-firon aur loot kay bhaiyon ney bhi ,
وَأَصۡحَٰبُ ٱلۡأَيۡكَةِ وَقَوۡمُ تُبَّعٖۚ كُلّٞ كَذَّبَ ٱلرُّسُلَ فَحَقَّ وَعِيدِ
آیت ۵۰:۱۴ کھولیںaur ashaab al-aeka aur tabaa qoam ney bhi . inn sabb ney payghumberon ko jhutlaya tha , iss liye mein ney jiss azab say daraya tha , woh sach ho ker raha .
أَفَعَيِينَا بِٱلۡخَلۡقِ ٱلۡأَوَّلِۚ بَلۡ هُمۡ فِي لَبۡسٖ مِّنۡ خَلۡقٖ جَدِيدٖ
آیت ۵۰:۱۵ کھولیںbhala kiya hum pehli baar peda kernay say thak gaye thay ? nahi ! lekin yeh log az sar no peda kernay kay baaray mein dhokay mein parray huye hain .
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ وَنَعۡلَمُ مَا تُوَسۡوِسُ بِهِۦ نَفۡسُهُۥۖ وَنَحۡنُ أَقۡرَبُ إِلَيۡهِ مِنۡ حَبۡلِ ٱلۡوَرِيدِ
آیت ۵۰:۱۶ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay hum ney insan ko peda kiya hai , aur uss kay dil mein jo khayalaat aatay hain , unn ( tak ) say hum khoob waqif hain , aur hum uss ki sheh rag say bhi ziyada uss kay qareeb hain ,
إِذۡ يَتَلَقَّى ٱلۡمُتَلَقِّيَانِ عَنِ ٱلۡيَمِينِ وَعَنِ ٱلشِّمَالِ قَعِيدٞ
آیت ۵۰:۱۷ کھولیںuss waqt bhi jab ( aemal ko ) likhney walay do farishtay likh rahey hotay hain , aik dayen janib aur doosra bayen janib betha hota hai .
مَّا يَلۡفِظُ مِن قَوۡلٍ إِلَّا لَدَيۡهِ رَقِيبٌ عَتِيدٞ
آیت ۵۰:۱۸ کھولیںinsan koi lafz zaban say nikal nahi pata , magar uss per aik nigran muqarrar hota hai , her waqt ( likhney kay liye ) tayyar !
وَجَآءَتۡ سَكۡرَةُ ٱلۡمَوۡتِ بِٱلۡحَقِّۖ ذَٰلِكَ مَا كُنتَ مِنۡهُ تَحِيدُ
آیت ۵۰:۱۹ کھولیںaur moat ki sakhti sach mooch aaney hi wali hai . ( aey insan ! ) yeh woh cheez hai jiss say to bidakta tha .
وَنُفِخَ فِي ٱلصُّورِۚ ذَٰلِكَ يَوۡمُ ٱلۡوَعِيدِ
آیت ۵۰:۲۰ کھولیںaur soor phoonka janey wala hai . yeh woh din hoga jiss say daraya jata tha .
وَجَآءَتۡ كُلُّ نَفۡسٖ مَّعَهَا سَآئِقٞ وَشَهِيدٞ
آیت ۵۰:۲۱ کھولیںaur her shaks iss tarah aaye ga kay uss kay sath aik haankney wala hoga , aur aik gawahi denay wala .
لَّقَدۡ كُنتَ فِي غَفۡلَةٖ مِّنۡ هَٰذَا فَكَشَفۡنَا عَنكَ غِطَآءَكَ فَبَصَرُكَ ٱلۡيَوۡمَ حَدِيدٞ
آیت ۵۰:۲۲ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay tu uss waqaey ki taraf say ghaflat mein parra huwa tha , abb hum ney tujh say woh perda hata diya hai jo tujh per parra huwa tha , chunacheh aaj teri nigah khoob tez hogaee hai .
وَقَالَ قَرِينُهُۥ هَٰذَا مَا لَدَيَّ عَتِيدٌ
آیت ۵۰:۲۳ کھولیںaur uss ka sathi kahey ga kay : yeh hai woh ( aemal nama ) jo meray paas tayyar hai .
أَلۡقِيَا فِي جَهَنَّمَ كُلَّ كَفَّارٍ عَنِيدٖ
آیت ۵۰:۲۴ کھولیں. ( hukum diya jaye ga kay ) tum dono her uss shaks ko jahannum mein daal do jo kattar kafir aur haq ka paka dushman tha ,
مَّنَّاعٖ لِّلۡخَيۡرِ مُعۡتَدٖ مُّرِيبٍ
آیت ۵۰:۲۵ کھولیںjo doosron ko bhalai say rokney ka aadi , bey hadd ziyadti kernay wala aur ( haq baat mein ) shak daalney wala tha ,
ٱلَّذِي جَعَلَ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ فَأَلۡقِيَاهُ فِي ٱلۡعَذَابِ ٱلشَّدِيدِ
آیت ۵۰:۲۶ کھولیںjiss ney Allah kay sath kissi aur ko mabood bana rakha tha . lehaza abb tum dono ussay sakht azab mein daal do .
۞قَالَ قَرِينُهُۥ رَبَّنَا مَآ أَطۡغَيۡتُهُۥ وَلَٰكِن كَانَ فِي ضَلَٰلِۭ بَعِيدٖ
آیت ۵۰:۲۷ کھولیںuss ka sathi kahey ga kay : aey humaray perwerdigar ! mein ney issay gumrah nahi kiya tha , balkay yeh khud hi perlay darjay ki gumrahi mein parra huwa tha .
قَالَ لَا تَخۡتَصِمُواْ لَدَيَّ وَقَدۡ قَدَّمۡتُ إِلَيۡكُم بِٱلۡوَعِيدِ
آیت ۵۰:۲۸ کھولیںAllah taalaa kahey ga kay : tum meray samney jhagray naa kero , aur mein to pehlay hi tumharay paas azab ki dhamki bhej chuka tha .
مَا يُبَدَّلُ ٱلۡقَوۡلُ لَدَيَّ وَمَآ أَنَا۠ بِظَلَّٰمٖ لِّلۡعَبِيدِ
آیت ۵۰:۲۹ کھولیںmeray samney woh baat badli nahi jasakti , aur mein bandon per koi zulm kernay wala nahi hun .
يَوۡمَ نَقُولُ لِجَهَنَّمَ هَلِ ٱمۡتَلَأۡتِ وَتَقُولُ هَلۡ مِن مَّزِيدٖ
آیت ۵۰:۳۰ کھولیںwoh waqt ( yaad rakho ) jab hum jahannum say kahen gay kay : kiya to bhar gaee-? aur woh kahey gi kay : kiya kuch aur bhi hai ?
وَأُزۡلِفَتِ ٱلۡجَنَّةُ لِلۡمُتَّقِينَ غَيۡرَ بَعِيدٍ
آیت ۵۰:۳۱ کھولیںaur perhezgaron kay liye jannat itni qareeb kerdi jaye gi kay kuch bhi door nahi rahey gi .
هَٰذَا مَا تُوعَدُونَ لِكُلِّ أَوَّابٍ حَفِيظٖ
آیت ۵۰:۳۲ کھولیں. ( aur kaha jaye ga kay : ) yeh hai woh cheez jiss ka tum say yeh wada kiya jata tha kay woh her uss shaks kay liye hai jo Allah say khoob lo lagaye huye ho , ( aur ) apni nigrani rakhney wala ho ,
مَّنۡ خَشِيَ ٱلرَّحۡمَٰنَ بِٱلۡغَيۡبِ وَجَآءَ بِقَلۡبٖ مُّنِيبٍ
آیت ۵۰:۳۳ کھولیںjo khudaye rehman say ussay dekhay baghair darta ho , aur Allah ki taraf rujoo honey wala dil ley ker aaye .
ٱدۡخُلُوهَا بِسَلَٰمٖۖ ذَٰلِكَ يَوۡمُ ٱلۡخُلُودِ
آیت ۵۰:۳۴ کھولیںtum sabb iss mein salamti kay sath dakhil hojao . woh din abadi zindagi ka din hoga .
لَهُم مَّا يَشَآءُونَ فِيهَا وَلَدَيۡنَا مَزِيدٞ
آیت ۵۰:۳۵ کھولیںinn ( jannatiyon ) ko woh sabb kuch milay ga jo wahan woh chahen gay , aur humaray paas kuch aur ziyada bhi hai .
وَكَمۡ أَهۡلَكۡنَا قَبۡلَهُم مِّن قَرۡنٍ هُمۡ أَشَدُّ مِنۡهُم بَطۡشٗا فَنَقَّبُواْ فِي ٱلۡبِلَٰدِ هَلۡ مِن مَّحِيصٍ
آیت ۵۰:۳۶ کھولیںaur inn ( makkay kay kafiron ) say pehlay hum kitni hi qoamon ko halak ker-chukay hain jinn ki taqat per girift inn say ziyada sakht thi , chunacheh unhon ney saray shehar chaan maaray thay . kiya unn kay liye bhagney ki koi jagah thi-?
إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَذِكۡرَىٰ لِمَن كَانَ لَهُۥ قَلۡبٌ أَوۡ أَلۡقَى ٱلسَّمۡعَ وَهُوَ شَهِيدٞ
آیت ۵۰:۳۷ کھولیںyaqeenan iss mein uss shaks kay liye bari naseehat ka saman hai jiss kay paas dil ho , ya jo hazir dimagh ban ker kaan dahray .
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ وَمَا مَسَّنَا مِن لُّغُوبٖ
آیت ۵۰:۳۸ کھولیںaur hum ney saray aasmano aur zameen ko aur unn kay darmiyan ki cheezon ko cheh din mein peda kiya , aur hamen zara si thakawat bhi choo ker nahi guzri .
فَٱصۡبِرۡ عَلَىٰ مَا يَقُولُونَ وَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ قَبۡلَ طُلُوعِ ٱلشَّمۡسِ وَقَبۡلَ ٱلۡغُرُوبِ
آیت ۵۰:۳۹ کھولیںlehaza ( aey payghumber ! ) jo kuch yeh log keh rahey hain , tum uss per sabar kero , aur apney perwerdigar ki hamd kay sath tasbeeh kertay raho , sooraj nikalney say pehlay bhi , aur sooraj doobney say pehlay bhi .
وَمِنَ ٱلَّيۡلِ فَسَبِّحۡهُ وَأَدۡبَٰرَ ٱلسُّجُودِ
آیت ۵۰:۴۰ کھولیںaur raat kay hisson mein bhi uss ki tasbeeh kero , aur sajdon kay baad bhi .
وَٱسۡتَمِعۡ يَوۡمَ يُنَادِ ٱلۡمُنَادِ مِن مَّكَانٖ قَرِيبٖ
آیت ۵۰:۴۱ کھولیںaur zara tawajjah say suno ! jiss din aik pukarney wala aik qareebi jagah say pukaray ga ,
يَوۡمَ يَسۡمَعُونَ ٱلصَّيۡحَةَ بِٱلۡحَقِّۚ ذَٰلِكَ يَوۡمُ ٱلۡخُرُوجِ
آیت ۵۰:۴۲ کھولیںjiss din log sach mooch uss pukar ki aawaz sunen gay , woh qabron say nikalney ka din hoga .
إِنَّا نَحۡنُ نُحۡيِۦ وَنُمِيتُ وَإِلَيۡنَا ٱلۡمَصِيرُ
آیت ۵۰:۴۳ کھولیںyaqeen rakho hum hi hain jo zindagi bhi detay hain , aur moat bhi , aur aakhir kaar sabb ko humaray paas hi loattna hai ,
يَوۡمَ تَشَقَّقُ ٱلۡأَرۡضُ عَنۡهُمۡ سِرَاعٗاۚ ذَٰلِكَ حَشۡرٌ عَلَيۡنَا يَسِيرٞ
آیت ۵۰:۴۴ کھولیںuss din jab zameen phatt ker unn ko iss tarah bahir kerday gi kay woh jaldi jaldi nikal rahey hon gay . iss tarah sabb ko jama kerlna humaray liye boht aasaan hai .
نَّحۡنُ أَعۡلَمُ بِمَا يَقُولُونَۖ وَمَآ أَنتَ عَلَيۡهِم بِجَبَّارٖۖ فَذَكِّرۡ بِٱلۡقُرۡءَانِ مَن يَخَافُ وَعِيدِ
آیت ۵۰:۴۵ کھولیںjo kuch yeh log kehtay hain , hamen khoob maloom hai , aur ( aey payghumber ! ) tum inn per zabardasti kernay walay nahi ho . lehaza Quran kay zariye her uss shaks ko naseehat kertay raho jo meri waeed say darta ho .