الحجر

Al-Hijr

سورت ۱۵ · آیات: ۹۹ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. الٓرۚ تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِ وَقُرۡءَانٖ مُّبِينٖ

    آیت ⁦۱۵:۱⁩ کھولیں

    Alif-Laam-Raa . yeh ( Allah ki ) kitab aur roshan Quran ki aayaten hain .

  2. رُّبَمَا يَوَدُّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡ كَانُواْ مُسۡلِمِينَ

    آیت ⁦۱۵:۲⁩ کھولیں

    aik waqt aaye ga jab yeh kafir log bari tamannayen keren gay kay kaash woh musalman hotay .

  3. ذَرۡهُمۡ يَأۡكُلُواْ وَيَتَمَتَّعُواْ وَيُلۡهِهِمُ ٱلۡأَمَلُۖ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۱۵:۳⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) enhen inn ki halat per chorr do kay yeh khoob kha len , mazay urra len , aur khayali umeeden enhen ghaflat mein daalay rakhen , kiyonkay unqareeb enhen pata chal jaye ga ( kay haqeeqat kiya thi ) .

  4. وَمَآ أَهۡلَكۡنَا مِن قَرۡيَةٍ إِلَّا وَلَهَا كِتَابٞ مَّعۡلُومٞ

    آیت ⁦۱۵:۴⁩ کھولیں

    aur hum ney jiss kissi basti ko halak kiya tha , uss kay liye aik moyyan waqt likha huwa tha .

  5. مَّا تَسۡبِقُ مِنۡ أُمَّةٍ أَجَلَهَا وَمَا يَسۡتَـٔۡخِرُونَ

    آیت ⁦۱۵:۵⁩ کھولیں

    koi qoam apney moyyan waqt say naa pehlay halak hoti hai , aur naa uss say aagay jasakti hai .

  6. وَقَالُواْ يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِي نُزِّلَ عَلَيۡهِ ٱلذِّكۡرُ إِنَّكَ لَمَجۡنُونٞ

    آیت ⁦۱۵:۶⁩ کھولیں

    aur yeh log kehtay hain kay : aey woh shaks jiss per yeh ziker ( yani Quran ) utaara gaya hai ! tum yaqeeni tor per majnoon ho .

  7. لَّوۡ مَا تَأۡتِينَا بِٱلۡمَلَٰٓئِكَةِ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّٰدِقِينَ

    آیت ⁦۱۵:۷⁩ کھولیں

    agar tum waqaee sachay ho to humaray paas farishton ko kiyon nahi ley aatay-?

  8. مَا نُنَزِّلُ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةَ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَمَا كَانُوٓاْ إِذٗا مُّنظَرِينَ

    آیت ⁦۱۵:۸⁩ کھولیں

    hum farishton ko utaartay hain to bar-haq faisla dey ker utaartay hain , aur aisa hota to unn ko mohlat bhi naa milti .

  9. إِنَّا نَحۡنُ نَزَّلۡنَا ٱلذِّكۡرَ وَإِنَّا لَهُۥ لَحَٰفِظُونَ

    آیت ⁦۱۵:۹⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay yeh ziker ( yani Quran ) hum ney hi utaara hai , aur hum hi iss ki hifazat kernay walay hain .

  10. وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ فِي شِيَعِ ٱلۡأَوَّلِينَ 

    آیت ⁦۱۵:۱۰⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) hum tum say pehlay bhi pichli qoamon kay mukhtalif girohon mein apney payghumber bhej chukay hain .

  11. وَمَا يَأۡتِيهِم مِّن رَّسُولٍ إِلَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ

    آیت ⁦۱۵:۱۱⁩ کھولیں

    aur unn kay paas koi Rasool aisa nahi aata tha jiss ka woh mazaq naa uratay hon .

  12. كَذَٰلِكَ نَسۡلُكُهُۥ فِي قُلُوبِ ٱلۡمُجۡرِمِينَ

    آیت ⁦۱۵:۱۲⁩ کھولیں

    mujrim logon kay dilon mein yeh baat hum issi tarah dakhil kertay hain

  13. لَا يُؤۡمِنُونَ بِهِۦ وَقَدۡ خَلَتۡ سُنَّةُ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۱۵:۱۳⁩ کھولیں

    kay who uss per emaan nahi latay . aur pichlay logon ka bhi yehi tareeqa chala aaya hai .

  14. وَلَوۡ فَتَحۡنَا عَلَيۡهِم بَابٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِ فَظَلُّواْ فِيهِ يَعۡرُجُونَ

    آیت ⁦۱۵:۱۴⁩ کھولیں

    aur agar ( bil-farz ) hum unn kay liye aasman ka koi darwaza khol den , aur woh din ki roshni mein uss per charrhtay bhi chalay jayen ,

  15. لَقَالُوٓاْ إِنَّمَا سُكِّرَتۡ أَبۡصَٰرُنَا بَلۡ نَحۡنُ قَوۡمٞ مَّسۡحُورُونَ

    آیت ⁦۱۵:۱۵⁩ کھولیں

    tab bhi yehi kahen gay kay humari nazar bandi kerdi gaee hai , balkay hum log jadoo kay asar mein aaye huye hain .

  16. وَلَقَدۡ جَعَلۡنَا فِي ٱلسَّمَآءِ بُرُوجٗا وَزَيَّنَّٰهَا لِلنَّٰظِرِينَ

    آیت ⁦۱۵:۱۶⁩ کھولیں

    aur hum ney aasman mein boht say burj banaye hain , aur uss ko dekhney walon kay liye sajawat ata ki hai ,

  17. وَحَفِظۡنَٰهَا مِن كُلِّ شَيۡطَٰنٖ رَّجِيمٍ

    آیت ⁦۱۵:۱۷⁩ کھولیں

    aur ussay her mardood shetan say mehfooz rakha hai ,

  18. إِلَّا مَنِ ٱسۡتَرَقَ ٱلسَّمۡعَ فَأَتۡبَعَهُۥ شِهَابٞ مُّبِينٞ

    آیت ⁦۱۵:۱۸⁩ کھولیں

    albatta jo koi chori say kuch sunney ki koshish keray to aik roshan shola uss ka peecha kerta hai .

  19. وَٱلۡأَرۡضَ مَدَدۡنَٰهَا وَأَلۡقَيۡنَا فِيهَا رَوَٰسِيَ وَأَنۢبَتۡنَا فِيهَا مِن كُلِّ شَيۡءٖ مَّوۡزُونٖ

    آیت ⁦۱۵:۱۹⁩ کھولیں

    aur zameen ko hum ney phela diya hai , aur uss ko jamaney kay liye uss mein pahar rakh diye hain , aur uss mein her qisam ki cheezen tawazun kay sath ugai hain .

  20. وَجَعَلۡنَا لَكُمۡ فِيهَا مَعَٰيِشَ وَمَن لَّسۡتُمۡ لَهُۥ بِرَٰزِقِينَ 

    آیت ⁦۱۵:۲۰⁩ کھولیں

    aur uss mein tumharay liye bhi rozi kay saman peda kiye hain , aur unn ( makhlooqaat ) kay liye bhi jinhen tum rizq nahi detay .

  21. وَإِن مِّن شَيۡءٍ إِلَّا عِندَنَا خَزَآئِنُهُۥ وَمَا نُنَزِّلُهُۥٓ إِلَّا بِقَدَرٖ مَّعۡلُومٖ

    آیت ⁦۱۵:۲۱⁩ کھولیں

    aur koi ( zaroorat ki ) cheez aesi nahi hai jiss kay humaray paas khazaney mojood naa hon , magar hum uss ko aik moyyan miqdaar mein utaartay hain .

  22. وَأَرۡسَلۡنَا ٱلرِّيَٰحَ لَوَٰقِحَ فَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَسۡقَيۡنَٰكُمُوهُ وَمَآ أَنتُمۡ لَهُۥ بِخَٰزِنِينَ

    آیت ⁦۱۵:۲۲⁩ کھولیں

    aur woh hawayen jo badalon ko paani say bhar deti hain , hum ney bheji hain , phir aasman say paani hum ney utaara hai , phir iss/uss say tumhen sairaab hum ney kiya hai , aur tumharay bus mein yeh nahi hai kay tum iss/uss ko zakheera ker kay rakh sako .

  23. وَإِنَّا لَنَحۡنُ نُحۡيِۦ وَنُمِيتُ وَنَحۡنُ ٱلۡوَٰرِثُونَ

    آیت ⁦۱۵:۲۳⁩ کھولیں

    hum hi zindagi detay hain , aur hum hi moat detay hain , aur hum hi sabb kay waris hain .

  24. وَلَقَدۡ عَلِمۡنَا ٱلۡمُسۡتَقۡدِمِينَ مِنكُمۡ وَلَقَدۡ عَلِمۡنَا ٱلۡمُسۡتَـٔۡخِرِينَ

    آیت ⁦۱۵:۲۴⁩ کھولیں

    tum mein say jo aagay nikal gaye hain , unn ko bhi hum jantay hain , aur jo peechay reh gaye hain , unn say bhi hum waqif hain .

  25. وَإِنَّ رَبَّكَ هُوَ يَحۡشُرُهُمۡۚ إِنَّهُۥ حَكِيمٌ عَلِيمٞ

    آیت ⁦۱۵:۲۵⁩ کھولیں

    aur yaqeen rakho kay tumhara perwerdigar hi hai jo inn/unn sabb ko hashar mein ikattha keray ga , beyshak uss ki hikmat bhi bari hai , uss ka ilm bhi bara .

  26. وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ مِن صَلۡصَٰلٖ مِّنۡ حَمَإٖ مَّسۡنُونٖ

    آیت ⁦۱۵:۲۶⁩ کھولیں

    hum ney insan ko sarray huye garay ki khankhanati hoi mitti say peda kiya ,

  27. وَٱلۡجَآنَّ خَلَقۡنَٰهُ مِن قَبۡلُ مِن نَّارِ ٱلسَّمُومِ

    آیت ⁦۱۵:۲۷⁩ کھولیں

    aur jinnaat ko iss say pehlay hum ney lo ki aag say peda kiya tha .

  28. وَإِذۡ قَالَ رَبُّكَ لِلۡمَلَٰٓئِكَةِ إِنِّي خَٰلِقُۢ بَشَرٗا مِّن صَلۡصَٰلٖ مِّنۡ حَمَإٖ مَّسۡنُونٖ

    آیت ⁦۱۵:۲۸⁩ کھولیں

    aur woh waqt yaad kero jab tumharay perwerdigar ney farishton say kaha tha kay : mein garay ki khankhanati hoi mitti say aik bashar ko peda kernay wala hun .

  29. فَإِذَا سَوَّيۡتُهُۥ وَنَفَخۡتُ فِيهِ مِن رُّوحِي فَقَعُواْ لَهُۥ سَٰجِدِينَ

    آیت ⁦۱۵:۲۹⁩ کھولیں

    lehaza jab mein uss ko poori tarah bana lun , aur uss mein apni rooh phoonk dun to tum sabb uss kay aagay sajday mein gir jana .

  30. فَسَجَدَ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ كُلُّهُمۡ أَجۡمَعُونَ 

    آیت ⁦۱۵:۳۰⁩ کھولیں

    chunacheh saray kay saray farishton ney sajda kiya ,

  31. إِلَّآ إِبۡلِيسَ أَبَىٰٓ أَن يَكُونَ مَعَ ٱلسَّٰجِدِينَ

    آیت ⁦۱۵:۳۱⁩ کھولیں

    siwaye iblees kay kay uss ney sajda kernay walon mein shamil honey say inkar kerdiya .

  32. قَالَ يَٰٓإِبۡلِيسُ مَا لَكَ أَلَّا تَكُونَ مَعَ ٱلسَّٰجِدِينَ

    آیت ⁦۱۵:۳۲⁩ کھولیں

    Allah ney kaha : iblees ! tujhay kiya huwa kay tu sajda kernay walon mein shamil nahi huwa-?

  33. قَالَ لَمۡ أَكُن لِّأَسۡجُدَ لِبَشَرٍ خَلَقۡتَهُۥ مِن صَلۡصَٰلٖ مِّنۡ حَمَإٖ مَّسۡنُونٖ

    آیت ⁦۱۵:۳۳⁩ کھولیں

    uss ney kaha : mein aisa ( gira huwa ) nahi hun kay aik aesay bashar ko sajda kerun jissay tu ney sarray huye garay ki khankhanati hoi mitti say peda kiya hai .

  34. قَالَ فَٱخۡرُجۡ مِنۡهَا فَإِنَّكَ رَجِيمٞ

    آیت ⁦۱۵:۳۴⁩ کھولیں

    Allah ney kaha : acha to yahan say nikal jaa , kiyonkay tu mardood hogaya hai ,

  35. وَإِنَّ عَلَيۡكَ ٱللَّعۡنَةَ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلدِّينِ

    آیت ⁦۱۵:۳۵⁩ کھولیں

    aur tujh per qayamat kay din tak phitkaar parri rahey gi .

  36. قَالَ رَبِّ فَأَنظِرۡنِيٓ إِلَىٰ يَوۡمِ يُبۡعَثُونَ

    آیت ⁦۱۵:۳۶⁩ کھولیں

    kehney laga : ya rab ! phir mujhay uss din tak ( zinda rehney ki ) mohlat deydey jab log marney kay baad dobara zinda kiye jayen gay .

  37. قَالَ فَإِنَّكَ مِنَ ٱلۡمُنظَرِينَ

    آیت ⁦۱۵:۳۷⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya kay : jaa phir tujhay mohlat ( to ) dey di gaee .

  38. إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡوَقۡتِ ٱلۡمَعۡلُومِ

    آیت ⁦۱۵:۳۸⁩ کھولیں

    . ( magar ) aik aesi miyaad kay din tak jo hamen maloom hai .

  39. قَالَ رَبِّ بِمَآ أَغۡوَيۡتَنِي لَأُزَيِّنَنَّ لَهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَأُغۡوِيَنَّهُمۡ أَجۡمَعِينَ

    آیت ⁦۱۵:۳۹⁩ کھولیں

    kehney laga : ya rab ! chunkay tu ney mujhay gumrah kiya hai , iss liye abb mein qasam khata hun kay inn insanon kay liye duniya mein dilkashi peda kerun ga , aur inn sabb ko gumrah ker kay rahun ga ,

  40. إِلَّا عِبَادَكَ مِنۡهُمُ ٱلۡمُخۡلَصِينَ 

    آیت ⁦۱۵:۴۰⁩ کھولیں

    siwaye teray unn bandon kay jinhen tu ney unn mein say apney liye mukhlis bana liya ho .

  41. قَالَ هَٰذَا صِرَٰطٌ عَلَيَّ مُسۡتَقِيمٌ

    آیت ⁦۱۵:۴۱⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya : yeh hai woh seedha raasta jo mujh tak phonchta hai .

  42. إِنَّ عِبَادِي لَيۡسَ لَكَ عَلَيۡهِمۡ سُلۡطَٰنٌ إِلَّا مَنِ ٱتَّبَعَكَ مِنَ ٱلۡغَاوِينَ

    آیت ⁦۱۵:۴۲⁩ کھولیں

    yaqeen rakh kay jo meray banday hain , unn per tera koi zor nahi chalay ga , siwaye unn gumrah logon kay jo teray peechay chalen gay

  43. وَإِنَّ جَهَنَّمَ لَمَوۡعِدُهُمۡ أَجۡمَعِينَ

    آیت ⁦۱۵:۴۳⁩ کھولیں

    aur jahannum aesay tamam logon ka tey shuda thikana hai .

  44. لَهَا سَبۡعَةُ أَبۡوَٰبٖ لِّكُلِّ بَابٖ مِّنۡهُمۡ جُزۡءٞ مَّقۡسُومٌ

    آیت ⁦۱۵:۴۴⁩ کھولیں

    uss kay saat darwazay hain . her darwazay ( mein dakhlay ) kay liye unn ( dozakhiyon ka ) aik aik giroh baant diya gaya hai .

  45. إِنَّ ٱلۡمُتَّقِينَ فِي جَنَّٰتٖ وَعُيُونٍ

    آیت ⁦۱۵:۴۵⁩ کھولیں

    . ( doosri taraf ) muttaqi log baaghaat aur chashmon kay darmiyan rahen gay .

  46. ٱدۡخُلُوهَا بِسَلَٰمٍ ءَامِنِينَ

    آیت ⁦۱۵:۴۶⁩ کھولیں

    . ( unn say kaha jaye ga kay ) inn ( baaghaat ) mein salamti kay sath bey khof ho ker dakhil hojao .

  47. وَنَزَعۡنَا مَا فِي صُدُورِهِم مِّنۡ غِلٍّ إِخۡوَٰنًا عَلَىٰ سُرُرٖ مُّتَقَٰبِلِينَ

    آیت ⁦۱۵:۴۷⁩ کھولیں

    unn kay seenon mein jo kuch ranjish hogi , ussay hum nikal phenken gay , woh bhai bhai ban ker aamney samney oonchi nishiston per bethay hon gay .

  48. لَا يَمَسُّهُمۡ فِيهَا نَصَبٞ وَمَا هُم مِّنۡهَا بِمُخۡرَجِينَ

    آیت ⁦۱۵:۴۸⁩ کھولیں

    wahan naa koi thakan unn kay paas aaye gi , aur naa unn ko wahan say nikala jaye ga .

  49. ۞نَبِّئۡ عِبَادِيٓ أَنِّيٓ أَنَا ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ

    آیت ⁦۱۵:۴۹⁩ کھولیں

    meray bandon ko bata do kay mein hi boht bakhshney wala , bara meharban hun .

  50. وَأَنَّ عَذَابِي هُوَ ٱلۡعَذَابُ ٱلۡأَلِيمُ 

    آیت ⁦۱۵:۵۰⁩ کھولیں

    aur yeh bhi bata do kay mera azab hi dardnak azab hai .

  51. وَنَبِّئۡهُمۡ عَن ضَيۡفِ إِبۡرَٰهِيمَ

    آیت ⁦۱۵:۵۱⁩ کھولیں

    aur enhen Ibrahim kay mehmano ka haal suna do ,

  52. إِذۡ دَخَلُواْ عَلَيۡهِ فَقَالُواْ سَلَٰمٗا قَالَ إِنَّا مِنكُمۡ وَجِلُونَ

    آیت ⁦۱۵:۵۲⁩ کھولیں

    uss waqt ka haal jab woh unn kay paas phonchay , aur salam kiya . Ibrahim ney kaha kay : hamen to tum say darr lagg raha hai .

  53. قَالُواْ لَا تَوۡجَلۡ إِنَّا نُبَشِّرُكَ بِغُلَٰمٍ عَلِيمٖ

    آیت ⁦۱۵:۵۳⁩ کھولیں

    unhon ney kaha : dariye nahi , hum to aap ko aik sahab ilm-e-larkay ( ki wiladat ) ki khushkhabri dey rahey hain .

  54. قَالَ أَبَشَّرۡتُمُونِي عَلَىٰٓ أَن مَّسَّنِيَ ٱلۡكِبَرُ فَبِمَ تُبَشِّرُونَ

    آیت ⁦۱۵:۵۴⁩ کھولیں

    Ibrahim ney kaha : kiya tum mujhay iss halat mein khushkhabri dey rahey ho jabkay mujh per burhapa chah chuka hai ? phir kiss buniyad per mujhay khushkhabri dey rahey ho-?

  55. قَالُواْ بَشَّرۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ فَلَا تَكُن مِّنَ ٱلۡقَٰنِطِينَ

    آیت ⁦۱۵:۵۵⁩ کھولیں

    woh bolay : hum ney aap ko sachi khushkhabri di hai , lehaza aap unn logon mein shamil naa hon jo naa umeed hojatay hain .

  56. قَالَ وَمَن يَقۡنَطُ مِن رَّحۡمَةِ رَبِّهِۦٓ إِلَّا ٱلضَّآلُّونَ

    آیت ⁦۱۵:۵۶⁩ کھولیں

    Ibrahim ney kaha : apney perwerdigar ki rehmat say gumrahon kay siwa kon na-umeed hosakta hai ?

  57. قَالَ فَمَا خَطۡبُكُمۡ أَيُّهَا ٱلۡمُرۡسَلُونَ

    آیت ⁦۱۵:۵۷⁩ کھولیں

    . ( phir ) unhon ney poocha kay : Allah kay bhejay huye farishto ! abb aap kay samney kiya mohim hai ?

  58. قَالُوٓاْ إِنَّآ أُرۡسِلۡنَآ إِلَىٰ قَوۡمٖ مُّجۡرِمِينَ

    آیت ⁦۱۵:۵۸⁩ کھولیں

    unhon ney kaha : hamen aik mujrim qoam ki taraf ( azab nazil kernay kay liye ) bheja gaya hai ,

  59. إِلَّآ ءَالَ لُوطٍ إِنَّا لَمُنَجُّوهُمۡ أَجۡمَعِينَ

    آیت ⁦۱۵:۵۹⁩ کھولیں

    albatta loot kay ghar walay uss say mustasna hain , unn sabb ko hum bachlen gay ,

  60. إِلَّا ٱمۡرَأَتَهُۥ قَدَّرۡنَآ إِنَّهَا لَمِنَ ٱلۡغَٰبِرِينَ 

    آیت ⁦۱۵:۶۰⁩ کھولیں

    siwaye unn ki biwi kay . hum ney yeh tey ker rakha hai kay woh unn logon mein shamil rahey gi jo ( azab ka nishana banney kay liye ) peechay reh jayen gay .

  61. فَلَمَّا جَآءَ ءَالَ لُوطٍ ٱلۡمُرۡسَلُونَ

    آیت ⁦۱۵:۶۱⁩ کھولیں

    chunacheh jab yeh farishtay loot kay ghar walon kay paas phonchay .

  62. قَالَ إِنَّكُمۡ قَوۡمٞ مُّنكَرُونَ

    آیت ⁦۱۵:۶۲⁩ کھولیں

    to loot ney kaha : aap log ajnabi maloom hotay hain .

  63. قَالُواْ بَلۡ جِئۡنَٰكَ بِمَا كَانُواْ فِيهِ يَمۡتَرُونَ

    آیت ⁦۱۵:۶۳⁩ کھولیں

    unhon ney kaha : nahi , balkay hum aap kay paas woh ( azab ) ley ker aaye hain jiss mein yeh log shak kiya kertay thay .

  64. وَأَتَيۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ وَإِنَّا لَصَٰدِقُونَ

    آیت ⁦۱۵:۶۴⁩ کھولیں

    hum aap kay paas atal faisla ley ker aaye hain , aur yaqeen rakhiye kay hum sachay hain .

  65. فَأَسۡرِ بِأَهۡلِكَ بِقِطۡعٖ مِّنَ ٱلَّيۡلِ وَٱتَّبِعۡ أَدۡبَٰرَهُمۡ وَلَا يَلۡتَفِتۡ مِنكُمۡ أَحَدٞ وَٱمۡضُواْ حَيۡثُ تُؤۡمَرُونَ

    آیت ⁦۱۵:۶۵⁩ کھولیں

    lehaza aap raat kay kissi hissay mein apney ghar walon ko ley ker nikal jaiye , aur aap khud unn kay peechay peechay chaliye , aur aap mein say koi peechay murr ker naa dekhay , aur wahin janey kay liye chaltay rahen jahan ka aap ko hukum diya jaraha hai .

  66. وَقَضَيۡنَآ إِلَيۡهِ ذَٰلِكَ ٱلۡأَمۡرَ أَنَّ دَابِرَ هَٰٓؤُلَآءِ مَقۡطُوعٞ مُّصۡبِحِينَ

    آیت ⁦۱۵:۶۶⁩ کھولیں

    aur ( iss tarah ) hum ney loot tak apna yeh faisla phoncha diya kay subha hotay hi inn logon ki jarr kaat ker rakh di jaye gi .

  67. وَجَآءَ أَهۡلُ ٱلۡمَدِينَةِ يَسۡتَبۡشِرُونَ

    آیت ⁦۱۵:۶۷⁩ کھولیں

    aur shehar walay khushi manatay huye ( loot kay paas ) aa-phonchay .

  68. قَالَ إِنَّ هَٰٓؤُلَآءِ ضَيۡفِي فَلَا تَفۡضَحُونِ

    آیت ⁦۱۵:۶۸⁩ کھولیں

    loot ney ( unn say ) kaha kay : yeh log meray mehman hain , lehaza mujhay ruswa naa kero ,

  69. وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَلَا تُخۡزُونِ

    آیت ⁦۱۵:۶۹⁩ کھولیں

    aur Allah say daro , aur mujhay zaleel naa kero .

  70. قَالُوٓاْ أَوَلَمۡ نَنۡهَكَ عَنِ ٱلۡعَٰلَمِينَ 

    آیت ⁦۱۵:۷۰⁩ کھولیں

    kehney lagay : kiya hum ney aap ko pehlay hi duniya jahan kay logon ( ko mehman bananey ) say mana nahi ker rakha tha-?

  71. قَالَ هَٰٓؤُلَآءِ بَنَاتِيٓ إِن كُنتُمۡ فَٰعِلِينَ

    آیت ⁦۱۵:۷۱⁩ کھولیں

    loot ney kaha : agar tum meray kehney per amal kero to yeh meri betiyan ( jo tumharay nikah mein hain , tumharay paas ) mojood hi hain .

  72. لَعَمۡرُكَ إِنَّهُمۡ لَفِي سَكۡرَتِهِمۡ يَعۡمَهُونَ

    آیت ⁦۱۵:۷۲⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) tumhari zindagi ki qasam ! haqeeqat yeh hai kay woh log apni bad-masti mein andhay banay huye thay .

  73. فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّيۡحَةُ مُشۡرِقِينَ

    آیت ⁦۱۵:۷۳⁩ کھولیں

    chunacheh sooraj nikaltay hi unn ko chinghaarr ney aa-pakra ,

  74. فَجَعَلۡنَا عَٰلِيَهَا سَافِلَهَا وَأَمۡطَرۡنَا عَلَيۡهِمۡ حِجَارَةٗ مِّن سِجِّيلٍ

    آیت ⁦۱۵:۷۴⁩ کھولیں

    phir hum ney uss zameen ko tah o baala ker kay rakh diya , aur unn per pakki mitti kay pathron ki barish barsa di .

  75. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّلۡمُتَوَسِّمِينَ

    آیت ⁦۱۵:۷۵⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay iss saray waqaey mein unn logon kay liye bari nishaniyan hain jo ibrat ki nigah say dekhtay hon .

  76. وَإِنَّهَا لَبِسَبِيلٖ مُّقِيمٍ

    آیت ⁦۱۵:۷۶⁩ کھولیں

    aur yeh bastiyan aik aesay raastay per waqay hain jiss per log mustaqil chaltay rehtay hain .

  77. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۱۵:۷۷⁩ کھولیں

    yaqeenan iss mein emaan walon kay liye bari ibrat hai .

  78. وَإِن كَانَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡأَيۡكَةِ لَظَٰلِمِينَ

    آیت ⁦۱۵:۷۸⁩ کھولیں

    aur aieka kay bashinday ( bhi ) baray zalim thay .

  79. فَٱنتَقَمۡنَا مِنۡهُمۡ وَإِنَّهُمَا لَبِإِمَامٖ مُّبِينٖ

    آیت ⁦۱۵:۷۹⁩ کھولیں

    chunacheh hum ney unn say bhi intiqam liya . aur unn dono qoamon ki bastiyan khuli shahraah per waqay hain .

  80. وَلَقَدۡ كَذَّبَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡحِجۡرِ ٱلۡمُرۡسَلِينَ 

    آیت ⁦۱۵:۸۰⁩ کھولیں

    aur hajar kay bashindon ney bhi payghumberon ko jhutlaya tha .

  81. وَءَاتَيۡنَٰهُمۡ ءَايَٰتِنَا فَكَانُواْ عَنۡهَا مُعۡرِضِينَ

    آیت ⁦۱۵:۸۱⁩ کھولیں

    aur hum ney unn ko apni nishaniyan den to woh unn say mun morray rahey .

  82. وَكَانُواْ يَنۡحِتُونَ مِنَ ٱلۡجِبَالِ بُيُوتًا ءَامِنِينَ

    آیت ⁦۱۵:۸۲⁩ کھولیں

    aur woh paharon ko tarash tarash ker bey khof o khatar makan banaya kertay thay .

  83. فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّيۡحَةُ مُصۡبِحِينَ

    آیت ⁦۱۵:۸۳⁩ کھولیں

    aakhir unhen subha subha aik chinghaarr ney aa-pakra .

  84. فَمَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ

    آیت ⁦۱۵:۸۴⁩ کھولیں

    aur nateeja yeh huwa kay jiss hunar say woh kamai kertay thay , woh unn kay kuch kaam naa aaya .

  85. وَمَا خَلَقۡنَا ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَآ إِلَّا بِٱلۡحَقِّۗ وَإِنَّ ٱلسَّاعَةَ لَأٓتِيَةٞۖ فَٱصۡفَحِ ٱلصَّفۡحَ ٱلۡجَمِيلَ

    آیت ⁦۱۵:۸۵⁩ کھولیں

    aur hum ney aasmano aur zameen ko aur unn kay darmiyan jo kuch hai uss ko kissi bar-haq maqsad kay baghair peda nahi kiya . aur qayamat ki gharri aa-ker rahey gi . lehaza ( aey payghumber ! inn kafiron kay tarz-e-amal per ) khoobsurti kay sath darguzar say kaam lo .

  86. إِنَّ رَبَّكَ هُوَ ٱلۡخَلَّٰقُ ٱلۡعَلِيمُ

    آیت ⁦۱۵:۸۶⁩ کھولیں

    yaqeen rakho kay tumhara rab hi sabb ko peda kernay wala , sabb kuch janney wala hai .

  87. وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَٰكَ سَبۡعٗا مِّنَ ٱلۡمَثَانِي وَٱلۡقُرۡءَانَ ٱلۡعَظِيمَ

    آیت ⁦۱۵:۸۷⁩ کھولیں

    aur hum ney tumhen saat aesi aayaten dey rakhi hain jo baar baar parhi jati hain , aur azmat wala Quran ata kiya hai .

  88. لَا تَمُدَّنَّ عَيۡنَيۡكَ إِلَىٰ مَا مَتَّعۡنَا بِهِۦٓ أَزۡوَٰجٗا مِّنۡهُمۡ وَلَا تَحۡزَنۡ عَلَيۡهِمۡ وَٱخۡفِضۡ جَنَاحَكَ لِلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۱۵:۸۸⁩ کھولیں

    aur tum unn cheezon ki taraf hergiz aankh utha ker bhi naa dekho jo hum ney inn ( kafiron ) mein say mukhtalif logon ko mazay uraney kay liye dey rakhi hain , aur naa inn logon per apna dil kurrhao , aur jo log emaan ley aaye hain , unn kay liye apni shafqat ka bazoo phela do .

  89. وَقُلۡ إِنِّيٓ أَنَا ٱلنَّذِيرُ ٱلۡمُبِينُ

    آیت ⁦۱۵:۸۹⁩ کھولیں

    aur ( kufr kernay walon say ) keh do kay mein to bus khulay alfaz mein tanbeeh kernay wala hun .

  90. كَمَآ أَنزَلۡنَا عَلَى ٱلۡمُقۡتَسِمِينَ 

    آیت ⁦۱۵:۹۰⁩ کھولیں

    . ( yeh tanbeeh Quran-e-azeem kay zariye ussi tarah nazil ki gaee hai ) jaisay hum ney unn tafarqa kernay walon per nazil ki thi .

  91. ٱلَّذِينَ جَعَلُواْ ٱلۡقُرۡءَانَ عِضِينَ

    آیت ⁦۱۵:۹۱⁩ کھولیں

    jinhon ney ( apni ) parhi janey wali kitab kay hissay bakhray kerliye thay .

  92. فَوَرَبِّكَ لَنَسۡـَٔلَنَّهُمۡ أَجۡمَعِينَ

    آیت ⁦۱۵:۹۲⁩ کھولیں

    chunacheh tumharay rab ki qasam ! hum aik aik ker kay unn sabb say poochen gay .

  93. عَمَّا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۱۵:۹۳⁩ کھولیں

    kay woh kiya kuch kiya kertay thay .

  94. فَٱصۡدَعۡ بِمَا تُؤۡمَرُ وَأَعۡرِضۡ عَنِ ٱلۡمُشۡرِكِينَ

    آیت ⁦۱۵:۹۴⁩ کھولیں

    lehaza jiss baat ka tumhen hukum diya jaraha hai , ussay al-al-aelaan logon ko suna do , aur jo log ( phir bhi ) shirk keren , unn ki perwa matt kero .

  95. إِنَّا كَفَيۡنَٰكَ ٱلۡمُسۡتَهۡزِءِينَ

    آیت ⁦۱۵:۹۵⁩ کھولیں

    yaqeen rakho kay hum tumhari taraf say unn logon say nimatney kay liye kafi hain jo ( tumhara ) mazaq uratay hain ,

  96. ٱلَّذِينَ يَجۡعَلُونَ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَۚ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۱۵:۹۶⁩ کھولیں

    jinhon ney Allah kay sath koi aur mabood gharr rakha hai . chunacheh unqareeb unhen sabb pata chal jaye ga .

  97. وَلَقَدۡ نَعۡلَمُ أَنَّكَ يَضِيقُ صَدۡرُكَ بِمَا يَقُولُونَ

    آیت ⁦۱۵:۹۷⁩ کھولیں

    yaqeenan hum jantay hain kay jo baaten yeh banatay hain , unn say tumhara dil tang hota hai .

  98. فَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ وَكُن مِّنَ ٱلسَّٰجِدِينَ

    آیت ⁦۱۵:۹۸⁩ کھولیں

    to ( iss ka ilaj yeh hai kay ) tum apney perwerdigar ki hamd kay sath uss ki tasbeeh kertay raho , aur sajda baja laney walon mein shamil raho .

  99. وَٱعۡبُدۡ رَبَّكَ حَتَّىٰ يَأۡتِيَكَ ٱلۡيَقِينُ

    آیت ⁦۱۵:۹۹⁩ کھولیں

    aur apney perwerdigar ki ibadat kertay raho , yahan tak kay tum per woh cheez aajaye jiss ka aana yaqeeni hai .