الدخان

Ad-Dukhaan

سورت ۴۴ · آیات: ۵۹ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. Haa-Meem .

  2. وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُبِينِ

    آیت ⁦۴۴:۲⁩ کھولیں

    qasam hai iss kitab ki jo haq ko wazeh kernay wali hai .

  3. إِنَّآ أَنزَلۡنَٰهُ فِي لَيۡلَةٖ مُّبَٰرَكَةٍۚ إِنَّا كُنَّا مُنذِرِينَ

    آیت ⁦۴۴:۳⁩ کھولیں

    kay hum ney issay aik mubarak raat mein utaara hai , ( kiyonkay ) hum logon ko khabrdar kernay walay thay ,

  4. فِيهَا يُفۡرَقُ كُلُّ أَمۡرٍ حَكِيمٍ

    آیت ⁦۴۴:۴⁩ کھولیں

    issi raat mein her hakeemana moamla humaray hukum say tey kiya jata hai

  5. أَمۡرٗا مِّنۡ عِندِنَآۚ إِنَّا كُنَّا مُرۡسِلِينَ

    آیت ⁦۴۴:۵⁩ کھولیں

    . ( neez ) hum aik payghumber bhejney walay thay ,

  6. رَحۡمَةٗ مِّن رَّبِّكَۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ

    آیت ⁦۴۴:۶⁩ کھولیں

    takay tumharay rab ki taraf say rehmat ka moamla ho yaqeenan wohi hai jo her baat sunney wala , her cheez janney wala hai

  7. رَبِّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَآۖ إِن كُنتُم مُّوقِنِينَ

    آیت ⁦۴۴:۷⁩ کھولیں

    jo saray aasmano aur zameen ka aur unn kay darmiyan her cheez ka rab hai , agar tum waqaee yaqeen kernay walay ho .

  8. لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ يُحۡيِۦ وَيُمِيتُۖ رَبُّكُمۡ وَرَبُّ ءَابَآئِكُمُ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۴۴:۸⁩ کھولیں

    uss kay siwa koi mabood nahi hai , woh zindagi bhi deta hai , aur moat bhi . woh tumhara bhi rab hai , aur tumharay pehlay guzray huye baap dadon ka bhi rab .

  9. بَلۡ هُمۡ فِي شَكّٖ يَلۡعَبُونَ

    آیت ⁦۴۴:۹⁩ کھولیں

    . ( phir bhi kafir emaan nahi latay ) balkay woh shak mein parray huye khel ker rahey hain .

  10. فَٱرۡتَقِبۡ يَوۡمَ تَأۡتِي ٱلسَّمَآءُ بِدُخَانٖ مُّبِينٖ 

    آیت ⁦۴۴:۱۰⁩ کھولیں

    lehaza uss din ka intizar kero jab aasman aik wazeh dhuwan ley ker namoodaar hoga .

  11. يَغۡشَى ٱلنَّاسَۖ هَٰذَا عَذَابٌ أَلِيمٞ

    آیت ⁦۴۴:۱۱⁩ کھولیں

    jo logon per chah jaye ga . yeh aik dardnak saza hai .

  12. رَّبَّنَا ٱكۡشِفۡ عَنَّا ٱلۡعَذَابَ إِنَّا مُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۴۴:۱۲⁩ کھولیں

    . ( uss waqt yeh log kahen gay kay : ) aey humaray perwerdigar ! hum say yeh azab door ker-dijiye , hum zaroor emaan ley ayen gay .

  13. أَنَّىٰ لَهُمُ ٱلذِّكۡرَىٰ وَقَدۡ جَآءَهُمۡ رَسُولٞ مُّبِينٞ

    آیت ⁦۴۴:۱۳⁩ کھولیں

    inn ko naseehat kahan hoti hai ? halankay inn kay paas aisa payghumber aaya hai jiss ney haqeeqat ko khol ker rakh diya hai .

  14. ثُمَّ تَوَلَّوۡاْ عَنۡهُ وَقَالُواْ مُعَلَّمٞ مَّجۡنُونٌ

    آیت ⁦۴۴:۱۴⁩ کھولیں

    phir bhi yeh log uss say mun morray rahey , aur kehney lagay kay : yeh sikhaya parhaya huwa hai , deewana hai .

  15. إِنَّا كَاشِفُواْ ٱلۡعَذَابِ قَلِيلًاۚ إِنَّكُمۡ عَآئِدُونَ

    آیت ⁦۴۴:۱۵⁩ کھولیں

    . ( acha ) hum azab ko kuch arsay tak hata detay hain , yaqeen hai kay tum phir ussi halat per loat aao gay .

  16. يَوۡمَ نَبۡطِشُ ٱلۡبَطۡشَةَ ٱلۡكُبۡرَىٰٓ إِنَّا مُنتَقِمُونَ

    آیت ⁦۴۴:۱۶⁩ کھولیں

    jiss din humari taraf say sabb say bari pakar hogi , uss din hum poora intiqam ley len gay .

  17. ۞وَلَقَدۡ فَتَنَّا قَبۡلَهُمۡ قَوۡمَ فِرۡعَوۡنَ وَجَآءَهُمۡ رَسُولٞ كَرِيمٌ

    آیت ⁦۴۴:۱۷⁩ کھولیں

    aur inn say pehlay hum ney firon ki qoam ko aazmaya tha , aur unn kay paas aik moaziz payghumber aaye thay .

  18. أَنۡ أَدُّوٓاْ إِلَيَّ عِبَادَ ٱللَّهِۖ إِنِّي لَكُمۡ رَسُولٌ أَمِينٞ

    آیت ⁦۴۴:۱۸⁩ کھولیں

    . ( aur unhon ney kaha tha ) kay : Allah kay bandon ko meray hawalay kerdo , mein tumhari taraf aik amanat daar payghumber ban ker aaya hun

  19. وَأَن لَّا تَعۡلُواْ عَلَى ٱللَّهِۖ إِنِّيٓ ءَاتِيكُم بِسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٖ

    آیت ⁦۴۴:۱۹⁩ کھولیں

    aur yeh kay : Allah kay aagay sarkashi matt kero , mein tumharay paas aik khuli hoi daleel paish kerta hun ,

  20. وَإِنِّي عُذۡتُ بِرَبِّي وَرَبِّكُمۡ أَن تَرۡجُمُونِ 

    آیت ⁦۴۴:۲۰⁩ کھولیں

    aur mein iss baat say apney perwerdigar aur tumharay perwerdigar ki panah leta hun kay tum mujhay sangsaar kero .

  21. وَإِن لَّمۡ تُؤۡمِنُواْ لِي فَٱعۡتَزِلُونِ

    آیت ⁦۴۴:۲۱⁩ کھولیں

    aur agar tum mujh per emaan nahi latay to mujh say alag hojao .

  22. فَدَعَا رَبَّهُۥٓ أَنَّ هَٰٓؤُلَآءِ قَوۡمٞ مُّجۡرِمُونَ

    آیت ⁦۴۴:۲۲⁩ کھولیں

    phir unhon ney apney perwerdigar ko pukara kay yeh mujrim log hain .

  23. فَأَسۡرِ بِعِبَادِي لَيۡلًا إِنَّكُم مُّتَّبَعُونَ

    آیت ⁦۴۴:۲۳⁩ کھولیں

    . ( Allah taalaa ney farmaya kay : ) acha tum meray bandon ko ley ker raaton raat rawana hojao . tumhara peecha zaroor kiya jaye ga ,

  24. وَٱتۡرُكِ ٱلۡبَحۡرَ رَهۡوًاۖ إِنَّهُمۡ جُندٞ مُّغۡرَقُونَ

    آیت ⁦۴۴:۲۴⁩ کھولیں

    aur tum samandar ko thehra huwa chorr dena , yaqeenan yeh lashkar duboya jaye ga .

  25. كَمۡ تَرَكُواْ مِن جَنَّٰتٖ وَعُيُونٖ

    آیت ⁦۴۴:۲۵⁩ کھولیں

    kitney baaghaat aur chashmay thay jo yeh log chorr gaye ,

  26. وَزُرُوعٖ وَمَقَامٖ كَرِيمٖ

    آیت ⁦۴۴:۲۶⁩ کھولیں

    aur kitney khet aur shandaar makanaat ,

  27. وَنَعۡمَةٖ كَانُواْ فِيهَا فَٰكِهِينَ

    آیت ⁦۴۴:۲۷⁩ کھولیں

    aur aesh kay kitney saman jinn mein woh mazay ker rahey thay !

  28. كَذَٰلِكَۖ وَأَوۡرَثۡنَٰهَا قَوۡمًا ءَاخَرِينَ

    آیت ⁦۴۴:۲۸⁩ کھولیں

    unn ka anjam issi tarah huwa , aur hum ney unn sabb cheezon ka waris aik doosri qoam ko bana diya .

  29. فَمَا بَكَتۡ عَلَيۡهِمُ ٱلسَّمَآءُ وَٱلۡأَرۡضُ وَمَا كَانُواْ مُنظَرِينَ

    آیت ⁦۴۴:۲۹⁩ کھولیں

    phir naa unn per aasman roya naa zameen , aur naa unn ko kuch mohlat di gaee .

  30. وَلَقَدۡ نَجَّيۡنَا بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ مِنَ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡمُهِينِ 

    آیت ⁦۴۴:۳۰⁩ کھولیں

    aur bani Israel ko hum ney zillat kay azab say nijat dey di ,

  31. مِن فِرۡعَوۡنَۚ إِنَّهُۥ كَانَ عَالِيٗا مِّنَ ٱلۡمُسۡرِفِينَ

    آیت ⁦۴۴:۳۱⁩ کھولیں

    yani firon say . haqeeqat yeh hai kay woh bara sarkash , hadd say guzray huye logon mein say tha .

  32. وَلَقَدِ ٱخۡتَرۡنَٰهُمۡ عَلَىٰ عِلۡمٍ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۴۴:۳۲⁩ کھولیں

    aur hum ney unn ko apney ilm kay mutabiq duniya jahan walon per foqiyat di ,

  33. وَءَاتَيۡنَٰهُم مِّنَ ٱلۡأٓيَٰتِ مَا فِيهِ بَلَٰٓؤٞاْ مُّبِينٌ

    آیت ⁦۴۴:۳۳⁩ کھولیں

    aur unn ko aesi nishaniyan den jinn mein khula huwa inaam tha .

  34. إِنَّ هَٰٓؤُلَآءِ لَيَقُولُونَ

    آیت ⁦۴۴:۳۴⁩ کھولیں

    yeh log saaf kehtay hain

  35. إِنۡ هِيَ إِلَّا مَوۡتَتُنَا ٱلۡأُولَىٰ وَمَا نَحۡنُ بِمُنشَرِينَ

    آیت ⁦۴۴:۳۵⁩ کھولیں

    kay : aur kuch nahi hai , bus humari wohi pehli moat hogi , aur hamen dobara zinda nahi kiya jaye ga .

  36. فَأۡتُواْ بِـَٔابَآئِنَآ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

    آیت ⁦۴۴:۳۶⁩ کھولیں

    agar tum sachay ho to humaray baap dadon ko utha lao .

  37. أَهُمۡ خَيۡرٌ أَمۡ قَوۡمُ تُبَّعٖ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ أَهۡلَكۡنَٰهُمۡۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ مُجۡرِمِينَ

    آیت ⁦۴۴:۳۷⁩ کھولیں

    bhala yeh log behtar hain ya tabaa ki qoam aur woh log jo inn say pehlay thay-? hum ney unn sabb ko halak kerdiya , ( kiyonkay ) woh yaqeeni tor per mujrim log thay .

  38. وَمَا خَلَقۡنَا ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا لَٰعِبِينَ

    آیت ⁦۴۴:۳۸⁩ کھولیں

    aur hum ney aasmano aur zameen aur unn kay darmiyan ki cheezen bey faeeda khel kernay kay liye peda nahi kerdi hain .

  39. مَا خَلَقۡنَٰهُمَآ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۴۴:۳۹⁩ کھولیں

    hum ney unhen bar-haq maqsad hi kay liye peda kiya hai , lekin inn mein say aksar log samajhtay nahi hain .

  40. إِنَّ يَوۡمَ ٱلۡفَصۡلِ مِيقَٰتُهُمۡ أَجۡمَعِينَ 

    آیت ⁦۴۴:۴۰⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay faislay ka din inn sabb ki muqarrara miyaad hai ,

  41. يَوۡمَ لَا يُغۡنِي مَوۡلًى عَن مَّوۡلٗى شَيۡـٔٗا وَلَا هُمۡ يُنصَرُونَ

    آیت ⁦۴۴:۴۱⁩ کھولیں

    jiss din koi himayati kissi himayati kay zara bhi kaam nahi aaye ga , aur unn mein say kissi ki koi madad nahi ki jaye gi ,

  42. إِلَّا مَن رَّحِمَ ٱللَّهُۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ

    آیت ⁦۴۴:۴۲⁩ کھولیں

    siwaye uss kay jiss per Allah reham farmaye . yaqeenan woh mukammal iqtidar ka malik bhi hai , boht meharban bhi .

  43. إِنَّ شَجَرَتَ ٱلزَّقُّومِ

    آیت ⁦۴۴:۴۳⁩ کھولیں

    yaqeen jano kay zaqoom ka darkht

  44. طَعَامُ ٱلۡأَثِيمِ

    آیت ⁦۴۴:۴۴⁩ کھولیں

    gunehgaar ka khana hoga ,

  45. كَٱلۡمُهۡلِ يَغۡلِي فِي ٱلۡبُطُونِ

    آیت ⁦۴۴:۴۵⁩ کھولیں

    tel ki talchat jaisa . woh logon kay pet mein iss tarah josh maaray ga

  46. كَغَلۡيِ ٱلۡحَمِيمِ

    آیت ⁦۴۴:۴۶⁩ کھولیں

    jaisay kholta huwa paani .

  47. خُذُوهُ فَٱعۡتِلُوهُ إِلَىٰ سَوَآءِ ٱلۡجَحِيمِ

    آیت ⁦۴۴:۴۷⁩ کھولیں

    . ( farishton say kaha jaye ga : ) iss ko pakro , aur ghaseet ker dozakh kay beechon beech tak ley jao ,

  48. ثُمَّ صُبُّواْ فَوۡقَ رَأۡسِهِۦ مِنۡ عَذَابِ ٱلۡحَمِيمِ

    آیت ⁦۴۴:۴۸⁩ کھولیں

    phir uss kay sar kay oopper kholtay huye paani ka azab undel do .

  49. ذُقۡ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡكَرِيمُ

    آیت ⁦۴۴:۴۹⁩ کھولیں

    . ( kaha jaye ga kay : ) ley chakh . tu hi hai woh bara sahab-e-iqtidar , bara izzat wala !

  50. إِنَّ هَٰذَا مَا كُنتُم بِهِۦ تَمۡتَرُونَ 

    آیت ⁦۴۴:۵۰⁩ کھولیں

    yeh wohi cheez hai jiss kay baaray mein tum log shak kiya kertay thay .

  51. إِنَّ ٱلۡمُتَّقِينَ فِي مَقَامٍ أَمِينٖ

    آیت ⁦۴۴:۵۱⁩ کھولیں

    . ( doosri taraf ) perhezgar log yaqeenan aman o aman wali jagah mein hon gay ,

  52. فِي جَنَّٰتٖ وَعُيُونٖ

    آیت ⁦۴۴:۵۲⁩ کھولیں

    baaghaat mein aur chashmon mein !

  53. يَلۡبَسُونَ مِن سُندُسٖ وَإِسۡتَبۡرَقٖ مُّتَقَٰبِلِينَ

    آیت ⁦۴۴:۵۳⁩ کھولیں

    woh aamney samney bethay huye sundus aur istabraq ka libas pehnay hon gay .

  54. كَذَٰلِكَ وَزَوَّجۡنَٰهُم بِحُورٍ عِينٖ

    آیت ⁦۴۴:۵۴⁩ کھولیں

    unn kay sath yehi moamla hoga , aur hum bari bari aankhon wali huroon ka unn say biyah kerden gay .

  55. يَدۡعُونَ فِيهَا بِكُلِّ فَٰكِهَةٍ ءَامِنِينَ

    آیت ⁦۴۴:۵۵⁩ کھولیں

    woh wahan baray itminan say her qisam kay meway mangwatay hon gay .

  56. لَا يَذُوقُونَ فِيهَا ٱلۡمَوۡتَ إِلَّا ٱلۡمَوۡتَةَ ٱلۡأُولَىٰۖ وَوَقَىٰهُمۡ عَذَابَ ٱلۡجَحِيمِ

    آیت ⁦۴۴:۵۶⁩ کھولیں

    jo moat unn ko pehle aa-chuki thi , uss kay ilawa wahan woh kissi aur moat ka maza nahi chaken gay , aur Allah unhen dozakh kay azab say mehfooz rakhay ga ,

  57. فَضۡلٗا مِّن رَّبِّكَۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ

    آیت ⁦۴۴:۵۷⁩ کھولیں

    yeh sabb tumharay perwerdigar ki taraf say fazal hoga . ( insan kay liye ) zabardast kamiyabi yehi hai .

  58. فَإِنَّمَا يَسَّرۡنَٰهُ بِلِسَانِكَ لَعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ

    آیت ⁦۴۴:۵۸⁩ کھولیں

    gharz ( aey payghumber ! ) hum ney iss ( Quran ) ko tumhari zaban mein aasaan bana diya hai , takay log naseehat hasil keren .

  59. فَٱرۡتَقِبۡ إِنَّهُم مُّرۡتَقِبُونَ

    آیت ⁦۴۴:۵۹⁩ کھولیں

    abb tum bhi intizar kero , yeh log bhi intizar ker rahey hain .