الزخرف

Az-Zukhruf

سورت ۴۳ · آیات: ۸۹ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. Haa-Meem .

  2. وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُبِينِ

    آیت ⁦۴۳:۲⁩ کھولیں

    qasam hai iss wazeh kitab ki ,

  3. إِنَّا جَعَلۡنَٰهُ قُرۡءَٰنًا عَرَبِيّٗا لَّعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ

    آیت ⁦۴۳:۳⁩ کھولیں

    hum ney issay arbi zaban ka Quran banaya hai , takay tum samjho

  4. وَإِنَّهُۥ فِيٓ أُمِّ ٱلۡكِتَٰبِ لَدَيۡنَا لَعَلِيٌّ حَكِيمٌ

    آیت ⁦۴۳:۴⁩ کھولیں

    aur haqeeqat yeh hai kay woh humaray paas loah-e-mehfooz mein baray oonchay darjay ki hikmat say bhari hoi kitab hai .

  5. أَفَنَضۡرِبُ عَنكُمُ ٱلذِّكۡرَ صَفۡحًا أَن كُنتُمۡ قَوۡمٗا مُّسۡرِفِينَ

    آیت ⁦۴۳:۵⁩ کھولیں

    bhala kiya hum mun morr ker iss naseehat namay ko tum say iss bana per hata len kay tum hadd say guzray huye log ho-?

  6. وَكَمۡ أَرۡسَلۡنَا مِن نَّبِيّٖ فِي ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۴۳:۶⁩ کھولیں

    aur kitney hi nabi hum ney pichlay logon mein bhi bhejay hain ,

  7. وَمَا يَأۡتِيهِم مِّن نَّبِيٍّ إِلَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ

    آیت ⁦۴۳:۷⁩ کھولیں

    aur unn logon kay paas koi nabi aisa nahi aaya jiss ka woh mazaq naa uratay hon .

  8. فَأَهۡلَكۡنَآ أَشَدَّ مِنۡهُم بَطۡشٗا وَمَضَىٰ مَثَلُ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۴۳:۸⁩ کھولیں

    phir jo log inn ( makkah walon ) say kahen ziyada zor aawar thay , hum ney unhen halak kerdiya , aur unn pichlay logon ka haal peechay guzar chuka hai .

  9. وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ لَيَقُولُنَّ خَلَقَهُنَّ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡعَلِيمُ

    آیت ⁦۴۳:۹⁩ کھولیں

    aur agar tum inn ( mushrikon ) say poocho kay saray aasman aur zameen kiss ney peda kiye hain , to woh zaroor yehi kahen gay kay : unhen uss zaat ney peda kiya hai jo iqtidar ki bhi malik hai , ilm ki bhi malik .

  10. ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ مَهۡدٗا وَجَعَلَ لَكُمۡ فِيهَا سُبُلٗا لَّعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُونَ 

    آیت ⁦۴۳:۱۰⁩ کھولیں

    yeh woh zaat hai jiss ney tumharay liye zameen ko bichona banaya , aur uss mein tumharay liye raastay banaye , takay tum manzil tak phonch sako ,

  11. وَٱلَّذِي نَزَّلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءَۢ بِقَدَرٖ فَأَنشَرۡنَا بِهِۦ بَلۡدَةٗ مَّيۡتٗاۚ كَذَٰلِكَ تُخۡرَجُونَ

    آیت ⁦۴۳:۱۱⁩ کھولیں

    aur jiss ney aasman say aik khaas andazay say paani utaara , phir hum ney uss kay zariye aik murda ilaqay ko naee zindagi dey di issi tarah tumhen ( qabron say ) nikal ker naee zindagi di jaye gi

  12. وَٱلَّذِي خَلَقَ ٱلۡأَزۡوَٰجَ كُلَّهَا وَجَعَلَ لَكُم مِّنَ ٱلۡفُلۡكِ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ مَا تَرۡكَبُونَ

    آیت ⁦۴۳:۱۲⁩ کھولیں

    aur jiss ney her tarah kay jooray peda kiye , aur tumharay liye woh kashtiyan aur chopaye banaye jinn per tum sawari kertay ho ,

  13. لِتَسۡتَوُۥاْ عَلَىٰ ظُهُورِهِۦ ثُمَّ تَذۡكُرُواْ نِعۡمَةَ رَبِّكُمۡ إِذَا ٱسۡتَوَيۡتُمۡ عَلَيۡهِ وَتَقُولُواْ سُبۡحَٰنَ ٱلَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُۥ مُقۡرِنِينَ

    آیت ⁦۴۳:۱۳⁩ کھولیں

    takay tum unn ki pusht per charrho , phir jab unn per charh ker beth jao to apney perwerdigar ki naimat ko yaad kero , aur yeh kaho kay : pak hai woh zaat jiss ney iss sawari ko humaray bus mein dey diya , werna hum mein yeh taqat nahi thi kay iss ko qaboo mein laasaktay .

  14. وَإِنَّآ إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنقَلِبُونَ

    آیت ⁦۴۳:۱۴⁩ کھولیں

    aur beyshak hum apney perwerdigar ki taraf loat ker janey walay hain .

  15. وَجَعَلُواْ لَهُۥ مِنۡ عِبَادِهِۦ جُزۡءًاۚ إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لَكَفُورٞ مُّبِينٌ

    آیت ⁦۴۳:۱۵⁩ کھولیں

    aur inn ( mushrik ) logon ney yeh baat banai hai kay Allah ka khud uss kay bandon mein say koi juzz hai . haqeeqat yeh hai kay insan khullam khula nashukra hai .

  16. أَمِ ٱتَّخَذَ مِمَّا يَخۡلُقُ بَنَاتٖ وَأَصۡفَىٰكُم بِٱلۡبَنِينَ

    آیت ⁦۴۳:۱۶⁩ کھولیں

    bhala kiya Allah ney apni makhlooq mein say apney liye to betiyan pasand ki hain , aur tumhen beton kay liye muntakhib kiya hai-?

  17. وَإِذَا بُشِّرَ أَحَدُهُم بِمَا ضَرَبَ لِلرَّحۡمَٰنِ مَثَلٗا ظَلَّ وَجۡهُهُۥ مُسۡوَدّٗا وَهُوَ كَظِيمٌ

    آیت ⁦۴۳:۱۷⁩ کھولیں

    halankay unn mein say kissi ko jab uss ( beti ) ki ( wiladat ) ki khushkhabri di jati hai jo uss ney khudaye rehman ki taraf mansoob ker rakhi hai to uss ka chehra siyah parr-jata hai , aur woh dil hi dil mein ghutta rehta hai .

  18. أَوَمَن يُنَشَّؤُاْ فِي ٱلۡحِلۡيَةِ وَهُوَ فِي ٱلۡخِصَامِ غَيۡرُ مُبِينٖ

    آیت ⁦۴۳:۱۸⁩ کھولیں

    aur kiya ( Allah ney aesi aulad pasand ki hai ) jo zewaron mein paali posi jati hai , aur jo behas mubahisay mein apni baat khul ker bhi nahi keh sakti-?

  19. وَجَعَلُواْ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةَ ٱلَّذِينَ هُمۡ عِبَٰدُ ٱلرَّحۡمَٰنِ إِنَٰثًاۚ أَشَهِدُواْ خَلۡقَهُمۡۚ سَتُكۡتَبُ شَهَٰدَتُهُمۡ وَيُسۡـَٔلُونَ

    آیت ⁦۴۳:۱۹⁩ کھولیں

    iss kay ilawa unhon ney farishton ko jo khudaye rehman kay banday hain , moannis bana diya hai . kiya yeh log unn ki takhleeq kay waqt mojood thay-? inn ka yeh dawa likh liya jaye ga , aur inn say baaz purs hogi .

  20. وَقَالُواْ لَوۡ شَآءَ ٱلرَّحۡمَٰنُ مَا عَبَدۡنَٰهُمۗ مَّا لَهُم بِذَٰلِكَ مِنۡ عِلۡمٍۖ إِنۡ هُمۡ إِلَّا يَخۡرُصُونَ 

    آیت ⁦۴۳:۲۰⁩ کھولیں

    aur yeh kehtay hain kay : agar khudaye rehman chahta to hum inn ( farishton ) ki ibadat naa kertay . inn ko iss baat ki haqeeqat ka zara bhi ilm nahi hai , aur inn ka kaam iss kay siwa kuch nahi kay andazon kay teer chalatay hain .

  21. أَمۡ ءَاتَيۡنَٰهُمۡ كِتَٰبٗا مِّن قَبۡلِهِۦ فَهُم بِهِۦ مُسۡتَمۡسِكُونَ

    آیت ⁦۴۳:۲۱⁩ کھولیں

    bhala kiya hum ney unhen iss say pehlay koi kitab di thi jissay yeh thamay bethay hain-?

  22. بَلۡ قَالُوٓاْ إِنَّا وَجَدۡنَآ ءَابَآءَنَا عَلَىٰٓ أُمَّةٖ وَإِنَّا عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِم مُّهۡتَدُونَ

    آیت ⁦۴۳:۲۲⁩ کھولیں

    nahi , balkay inn ka kehna yeh hai kay hum ney apney baap dadon ko aik tareeqay per paya hai , aur hum unhi kay naqsh-e-qadam kay mutabiq theek theek raastay per jarahey hain .

  23. وَكَذَٰلِكَ مَآ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ فِي قَرۡيَةٖ مِّن نَّذِيرٍ إِلَّا قَالَ مُتۡرَفُوهَآ إِنَّا وَجَدۡنَآ ءَابَآءَنَا عَلَىٰٓ أُمَّةٖ وَإِنَّا عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِم مُّقۡتَدُونَ

    آیت ⁦۴۳:۲۳⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) hum ney tum say pehlay jab bhi kissi basti mein koi khabrdar kernay wala ( payghumber ) bheja to wahan kay dolat mand logon ney yehi kaha kay : hum ney apney baap dadon ko aik tareeqay per paya hai , aur hum unhi kay naqsh-e-qadam kay peechay chal rahey hain .

  24. ۞قَٰلَ أَوَلَوۡ جِئۡتُكُم بِأَهۡدَىٰ مِمَّا وَجَدتُّمۡ عَلَيۡهِ ءَابَآءَكُمۡۖ قَالُوٓاْ إِنَّا بِمَآ أُرۡسِلۡتُم بِهِۦ كَٰفِرُونَ

    آیت ⁦۴۳:۲۴⁩ کھولیں

    payghumber ney kaha kay : tum ney apney baap dadon ko jiss tareeqay per paya hai , agar mein tumharay paas uss say ziyada hidayat ki baat ley ker aaya hun to kiya phir bhi ( tum apney tareeqay per chalay jao gay-? ) unhon ney jawab diya kay : tum jo paygham dey ker bhejay gaye ho hum to uss ko manney walay nahi hain .

  25. فَٱنتَقَمۡنَا مِنۡهُمۡۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُكَذِّبِينَ

    آیت ⁦۴۳:۲۵⁩ کھولیں

    nateeja yeh huwa kay hum ney unn say intiqam liya , abb dekh lo kay jhutlaney walon ka anjam kaisa huwa-?

  26. وَإِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِيمُ لِأَبِيهِ وَقَوۡمِهِۦٓ إِنَّنِي بَرَآءٞ مِّمَّا تَعۡبُدُونَ

    آیت ⁦۴۳:۲۶⁩ کھولیں

    aur woh waqt yaad kero jab Ibrahim ney apney baap aur apni qoam say kaha tha kay : mein unn cheezon say beyzar hun jinn ki tum ibadat kertay ho ,

  27. إِلَّا ٱلَّذِي فَطَرَنِي فَإِنَّهُۥ سَيَهۡدِينِ

    آیت ⁦۴۳:۲۷⁩ کھولیں

    siwaye uss zaat kay jiss ney mujhay peda kiya hai , chunacheh wohi meri rehnumai kerta hai .

  28. وَجَعَلَهَا كَلِمَةَۢ بَاقِيَةٗ فِي عَقِبِهِۦ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ

    آیت ⁦۴۳:۲۸⁩ کھولیں

    aur Ibrahim ney iss ( aqeeday ) ko aesi baat bana diya jo unn ki aulad mein baqi rahi , takay log ( shirk say ) baaz ayen .

  29. بَلۡ مَتَّعۡتُ هَٰٓؤُلَآءِ وَءَابَآءَهُمۡ حَتَّىٰ جَآءَهُمُ ٱلۡحَقُّ وَرَسُولٞ مُّبِينٞ

    آیت ⁦۴۳:۲۹⁩ کھولیں

    . ( phir bhi boht say log baaz naa aaye ) uss kay bawajood mein ney unn ko aur unn kay baap dadon ko zindagi kay faeeday diye , yahan tak kay unn kay paas haq aur saaf saaf hidayat denay wala payghumber aagaya .

  30. وَلَمَّا جَآءَهُمُ ٱلۡحَقُّ قَالُواْ هَٰذَا سِحۡرٞ وَإِنَّا بِهِۦ كَٰفِرُونَ 

    آیت ⁦۴۳:۳۰⁩ کھولیں

    aur jab woh haq unn kay paas aaya to woh kehney lagay kay : yeh to jadoo hai , aur hum iss ka inkar kertay hain .

  31. وَقَالُواْ لَوۡلَا نُزِّلَ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانُ عَلَىٰ رَجُلٖ مِّنَ ٱلۡقَرۡيَتَيۡنِ عَظِيمٍ

    آیت ⁦۴۳:۳۱⁩ کھولیں

    aur kehney lagay kay : yeh Quran do bastiyon mein say kissi baray aadmi per kiyon nazil nahi kiya gaya-?

  32. أَهُمۡ يَقۡسِمُونَ رَحۡمَتَ رَبِّكَۚ نَحۡنُ قَسَمۡنَا بَيۡنَهُم مَّعِيشَتَهُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۚ وَرَفَعۡنَا بَعۡضَهُمۡ فَوۡقَ بَعۡضٖ دَرَجَٰتٖ لِّيَتَّخِذَ بَعۡضُهُم بَعۡضٗا سُخۡرِيّٗاۗ وَرَحۡمَتُ رَبِّكَ خَيۡرٞ مِّمَّا يَجۡمَعُونَ

    آیت ⁦۴۳:۳۲⁩ کھولیں

    bhala kiya yeh log hain jo tumharay perwerdigar ki rehmat taqseem keren gay-? dunyawi zindagi mein inn ki rozi kay zaraye bhi hum ney hi inn kay darmiyan taqseem ker rakhay hain , aur hum ney hi inn mein say aik ko doosray per darjaat mein foqiyat di hai , takay woh aik doosray say kaam ley saken . aur tumharay perwerdigar ki rehmat to uss ( dolat ) say kahen behtar cheez hai jo yeh jama ker rahey hain .

  33. وَلَوۡلَآ أَن يَكُونَ ٱلنَّاسُ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ لَّجَعَلۡنَا لِمَن يَكۡفُرُ بِٱلرَّحۡمَٰنِ لِبُيُوتِهِمۡ سُقُفٗا مِّن فِضَّةٖ وَمَعَارِجَ عَلَيۡهَا يَظۡهَرُونَ

    آیت ⁦۴۳:۳۳⁩ کھولیں

    aur agar yeh andesha naa hota kay tamam insan aik hi tareeqay kay ( yani kafir ) hojayen gay to jo log khudaye rehman kay munkir hain , hum unn kay liye unn kay gharon ki chatten bhi chaandi ki bana detay , aur woh serhiyan bhi jinn per woh charrhtay hain ,

  34. وَلِبُيُوتِهِمۡ أَبۡوَٰبٗا وَسُرُرًا عَلَيۡهَا يَتَّكِـُٔونَ

    آیت ⁦۴۳:۳۴⁩ کھولیں

    aur unn kay gharon kay darwazay bhi , aur woh takht bhi jinn per woh takiya laga ker bethtay hain .

  35. وَزُخۡرُفٗاۚ وَإِن كُلُّ ذَٰلِكَ لَمَّا مَتَٰعُ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۚ وَٱلۡأٓخِرَةُ عِندَ رَبِّكَ لِلۡمُتَّقِينَ

    آیت ⁦۴۳:۳۵⁩ کھولیں

    balkay unhen sona bana detay . aur haqeeqat yeh hai kay yeh sabb kuch bhi nahi , sirf dunyawi zindagi ka saman hai . aur aakhirat tumharay perwerdigar kay nazdeek perhezgaron kay liye hai .

  36. وَمَن يَعۡشُ عَن ذِكۡرِ ٱلرَّحۡمَٰنِ نُقَيِّضۡ لَهُۥ شَيۡطَٰنٗا فَهُوَ لَهُۥ قَرِينٞ

    آیت ⁦۴۳:۳۶⁩ کھولیں

    aur jo shaks khudaye rehman kay ziker say andha ban jaye , hum uss per aik shetan musallat ker-detay hain jo uss ka sathi ban jata hai .

  37. وَإِنَّهُمۡ لَيَصُدُّونَهُمۡ عَنِ ٱلسَّبِيلِ وَيَحۡسَبُونَ أَنَّهُم مُّهۡتَدُونَ

    آیت ⁦۴۳:۳۷⁩ کھولیں

    aesay shayateen unn ko raastay say roktay rehtay hain , aur woh samajhtay hain kay hum theek raastay per hain .

  38. حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَنَا قَالَ يَٰلَيۡتَ بَيۡنِي وَبَيۡنَكَ بُعۡدَ ٱلۡمَشۡرِقَيۡنِ فَبِئۡسَ ٱلۡقَرِينُ

    آیت ⁦۴۳:۳۸⁩ کھولیں

    yahan tak kay jab aisa shaks humaray paas aaye ga to ( apney shetan sathi say ) kahey ga kay : kaash ! meray aur teray darmiyan mashriq o maghrib ka fasla hota , kiyonkay tu boht bura sathi tha .

  39. وَلَن يَنفَعَكُمُ ٱلۡيَوۡمَ إِذ ظَّلَمۡتُمۡ أَنَّكُمۡ فِي ٱلۡعَذَابِ مُشۡتَرِكُونَ

    آیت ⁦۴۳:۳۹⁩ کھولیں

    aur aaj jab tum zulm ker-chukay ho to tumhen yeh baat hergiz koi faeeda nahi phonchaye gi kay tum azab mein aik doosray kay shareek ho .

  40. أَفَأَنتَ تُسۡمِعُ ٱلصُّمَّ أَوۡ تَهۡدِي ٱلۡعُمۡيَ وَمَن كَانَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ 

    آیت ⁦۴۳:۴۰⁩ کھولیں

    to phir ( aey payghumber ! ) kiya tum behron ko sunao gay , ya andhon ko aur unn logon ko raastay per lao gay jo khuli gumrahi mein parray huye hain-?

  41. فَإِمَّا نَذۡهَبَنَّ بِكَ فَإِنَّا مِنۡهُم مُّنتَقِمُونَ

    آیت ⁦۴۳:۴۱⁩ کھولیں

    abb to yehi hoga kay agar hum tumhen duniya say uthalen , tab bhi hum inn say badla lenay walay hain ,

  42. أَوۡ نُرِيَنَّكَ ٱلَّذِي وَعَدۡنَٰهُمۡ فَإِنَّا عَلَيۡهِم مُّقۡتَدِرُونَ

    آیت ⁦۴۳:۴۲⁩ کھولیں

    ya agar tumhen bhi woh ( azab ) dikha den jiss ka hum ney inn say wada kiya hai , tab bhi hamen inn per her tarah ki qudrat hasil hai .

  43. فَٱسۡتَمۡسِكۡ بِٱلَّذِيٓ أُوحِيَ إِلَيۡكَۖ إِنَّكَ عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ

    آیت ⁦۴۳:۴۳⁩ کھولیں

    lehaza tum per jo wahi nazil ki gaee hai , ussay mazbooti say thamay rakho , yaqeenan tum seedhay raastay per ho .

  44. وَإِنَّهُۥ لَذِكۡرٞ لَّكَ وَلِقَوۡمِكَۖ وَسَوۡفَ تُسۡـَٔلُونَ

    آیت ⁦۴۳:۴۴⁩ کھولیں

    aur haqeeqat yeh hai kay yeh wahi tumharay liye aur tumhari qoam kay liye aik naik naami ka zariya hai , aur tum sabb say poocha jaye ga ( kay tum ney iss ka kiya haq ada kiya-? )

  45. وَسۡـَٔلۡ مَنۡ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ مِن رُّسُلِنَآ أَجَعَلۡنَا مِن دُونِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ءَالِهَةٗ يُعۡبَدُونَ

    آیت ⁦۴۳:۴۵⁩ کھولیں

    aur tum say pehlay hum ney apney jo payghumber bhejay hain , unn say pooch lo kay kiya hum ney khudaye rehman kay siwa koi aur mabood bhi muqarrar kiye thay jinn ki ibadat ki jaye-?

  46. وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا مُوسَىٰ بِـَٔايَٰتِنَآ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦ فَقَالَ إِنِّي رَسُولُ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۴۳:۴۶⁩ کھولیں

    aur hum ney musa ko apni nishaniyan dey ker firon aur uss kay sardaron kay paas bheja tha , chunacheh musa ney kaha kay : mein Rabb-ul-Aalameen ka bheja huwa payghumber hun .

  47. فَلَمَّا جَآءَهُم بِـَٔايَٰتِنَآ إِذَا هُم مِّنۡهَا يَضۡحَكُونَ

    آیت ⁦۴۳:۴۷⁩ کھولیں

    phir jab unhon ney humari nishaniyan unn kay samney paish ken to woh unn ka mazaq uraney lagay .

  48. وَمَا نُرِيهِم مِّنۡ ءَايَةٍ إِلَّا هِيَ أَكۡبَرُ مِنۡ أُخۡتِهَاۖ وَأَخَذۡنَٰهُم بِٱلۡعَذَابِ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ

    آیت ⁦۴۳:۴۸⁩ کھولیں

    aur hum unhen jo nishani bhi dikhatay , woh pehli nishani say barh charh ker hoti thi , aur hum ney unhen azab mein bhi pakra , takay woh baaz aajayen .

  49. وَقَالُواْ يَٰٓأَيُّهَ ٱلسَّاحِرُ ٱدۡعُ لَنَا رَبَّكَ بِمَا عَهِدَ عِندَكَ إِنَّنَا لَمُهۡتَدُونَ

    آیت ⁦۴۳:۴۹⁩ کھولیں

    aur woh yeh kehney lagay kay : aey jadoogar ! tum say tumharay perwerdigar ney jo ehad ker rakha hai , uss ka wasta dey ker uss say humaray liye dua kero , hum yaqeenan raah-e-raast per aajayen gay .

  50. فَلَمَّا كَشَفۡنَا عَنۡهُمُ ٱلۡعَذَابَ إِذَا هُمۡ يَنكُثُونَ 

    آیت ⁦۴۳:۵۰⁩ کھولیں

    phir jab hum unn say azab ko door ker-detay to pal bhar mein woh apna wada torr daaltay thay .

  51. وَنَادَىٰ فِرۡعَوۡنُ فِي قَوۡمِهِۦ قَالَ يَٰقَوۡمِ أَلَيۡسَ لِي مُلۡكُ مِصۡرَ وَهَٰذِهِ ٱلۡأَنۡهَٰرُ تَجۡرِي مِن تَحۡتِيٓۚ أَفَلَا تُبۡصِرُونَ

    آیت ⁦۴۳:۵۱⁩ کھولیں

    aur firon ney apni qoam kay darmiyan pukar ker kaha kay : aey meri qoam ! kiya misir ki saltanat meray qabazay mein nahi hai-? aur ( dekho ) yeh darya meray neechay beh rahey hain . kiya tumhen dikhai nahi deta-?

  52. أَمۡ أَنَا۠ خَيۡرٞ مِّنۡ هَٰذَا ٱلَّذِي هُوَ مَهِينٞ وَلَا يَكَادُ يُبِينُ

    آیت ⁦۴۳:۵۲⁩ کھولیں

    ya phir maano kay mein iss shaks say kahen behtar hun jo bara haqeer qisam ka hai , aur apni baat khul ker kehna bhi iss kay liye mushkil hai .

  53. فَلَوۡلَآ أُلۡقِيَ عَلَيۡهِ أَسۡوِرَةٞ مِّن ذَهَبٍ أَوۡ جَآءَ مَعَهُ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ مُقۡتَرِنِينَ

    آیت ⁦۴۳:۵۳⁩ کھولیں

    bhala ( agar yeh payghumber hai to ) iss per soney kay kanggan kiyon nahi daalay gaye-? ya phir iss kay sath farishtay paray baandhay huye kiyon naa aaye-?

  54. فَٱسۡتَخَفَّ قَوۡمَهُۥ فَأَطَاعُوهُۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمٗا فَٰسِقِينَ

    آیت ⁦۴۳:۵۴⁩ کھولیں

    iss tarah uss ney apni qoam ko beywaqoof banaya , aur unhon ney uss ka kehna maan liya . haqeeqat yeh hai kay woh sabb gunehgaar log thay .

  55. فَلَمَّآ ءَاسَفُونَا ٱنتَقَمۡنَا مِنۡهُمۡ فَأَغۡرَقۡنَٰهُمۡ أَجۡمَعِينَ

    آیت ⁦۴۳:۵۵⁩ کھولیں

    chunacheh jab unhon ney hamen naraz kerdiya to hum ney unn say intiqam liya , aur unn sabb ko gharq kerdiya .

  56. فَجَعَلۡنَٰهُمۡ سَلَفٗا وَمَثَلٗا لِّلۡأٓخِرِينَ

    آیت ⁦۴۳:۵۶⁩ کھولیں

    aur hum ney unhen aik gaee guzri qoam aur baad walon kay liye ibrat ka namoona banadiya .

  57. ۞وَلَمَّا ضُرِبَ ٱبۡنُ مَرۡيَمَ مَثَلًا إِذَا قَوۡمُكَ مِنۡهُ يَصِدُّونَ

    آیت ⁦۴۳:۵۷⁩ کھولیں

    aur jab ( essa ) ibn-e-maryam ki misal di gaee to tumhari qoam kay log yakayak shor machaney lagay .

  58. وَقَالُوٓاْ ءَأَٰلِهَتُنَا خَيۡرٌ أَمۡ هُوَۚ مَا ضَرَبُوهُ لَكَ إِلَّا جَدَلَۢاۚ بَلۡ هُمۡ قَوۡمٌ خَصِمُونَ

    آیت ⁦۴۳:۵۸⁩ کھولیں

    aur kehney lagay kay : humaray mabood behtar hain ya woh-? unhon ney tumharay samney yeh misal mehaz katt hujjati kay liye di hai , balkay yeh log hain hi jhagrraloo .

  59. إِنۡ هُوَ إِلَّا عَبۡدٌ أَنۡعَمۡنَا عَلَيۡهِ وَجَعَلۡنَٰهُ مَثَلٗا لِّبَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ

    آیت ⁦۴۳:۵۹⁩ کھولیں

    woh ( yani essa aleh-assalam ) to bus humaray aik banday thay jinn per hum ney inaam kiya tha , aur bani Israel kay liye unn ko aik namoona banaya tha .

  60. وَلَوۡ نَشَآءُ لَجَعَلۡنَا مِنكُم مَّلَٰٓئِكَةٗ فِي ٱلۡأَرۡضِ يَخۡلُفُونَ 

    آیت ⁦۴۳:۶۰⁩ کھولیں

    aur agar hum chahen to tum say farishtay peda kerden jo zameen mein aik doosray kay janasheen ban ker raha keren .

  61. وَإِنَّهُۥ لَعِلۡمٞ لِّلسَّاعَةِ فَلَا تَمۡتَرُنَّ بِهَا وَٱتَّبِعُونِۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ مُّسۡتَقِيمٞ

    آیت ⁦۴۳:۶۱⁩ کھولیں

    aur yaqeen rakho kay woh ( yani essa aleh-assalam ) qayamat ki aik nishani hain , iss liye tum uss mein shak naa kero , aur meri baat maano . yehi seedha raasta hai .

  62. وَلَا يَصُدَّنَّكُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُۖ إِنَّهُۥ لَكُمۡ عَدُوّٞ مُّبِينٞ

    آیت ⁦۴۳:۶۲⁩ کھولیں

    aur aisa hergiz naa honey paye kay shetan tumhen iss raastay say rok dey . yaqeen jano woh tumhara khula dushman hai .

  63. وَلَمَّا جَآءَ عِيسَىٰ بِٱلۡبَيِّنَٰتِ قَالَ قَدۡ جِئۡتُكُم بِٱلۡحِكۡمَةِ وَلِأُبَيِّنَ لَكُم بَعۡضَ ٱلَّذِي تَخۡتَلِفُونَ فِيهِۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ

    آیت ⁦۴۳:۶۳⁩ کھولیں

    aur jab essa khuli hoi nishaniyan ley ker aaye thay to unhon ney ( logon say ) kaha tha kay : mein tumharay paas danai ki baat ley ker aaya hun , aur iss liye laya hun kay tumharay samney kuch woh cheezen wazeh kerdun jinn mein tum ikhtilaf kertay ho . lehaza tum Allah say daro , aur meri baat maan lo .

  64. إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ رَبِّي وَرَبُّكُمۡ فَٱعۡبُدُوهُۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ مُّسۡتَقِيمٞ

    آیت ⁦۴۳:۶۴⁩ کھولیں

    yaqeenan Allah hi mera bhi rab hai , aur tumhara bhi rab hai , iss liye uss ki ibadat kero . yehi seedha raasta hai .

  65. فَٱخۡتَلَفَ ٱلۡأَحۡزَابُ مِنۢ بَيۡنِهِمۡۖ فَوَيۡلٞ لِّلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡ عَذَابِ يَوۡمٍ أَلِيمٍ

    آیت ⁦۴۳:۶۵⁩ کھولیں

    phir bhi unn mein say kaee girohon ney ikhtilaf peda kiya , chunacheh unn zalimon kay liye aik dardnak din kay azab ki wajeh say bari kharabi hogi .

  66. هَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا ٱلسَّاعَةَ أَن تَأۡتِيَهُم بَغۡتَةٗ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ

    آیت ⁦۴۳:۶۶⁩ کھولیں

    yeh log bus iss baat ka intizar ker rahey hain kay qayamat inn kay samney achanak aa-khari ho , aur enhen khabar bhi naa ho .

  67. ٱلۡأَخِلَّآءُ يَوۡمَئِذِۭ بَعۡضُهُمۡ لِبَعۡضٍ عَدُوٌّ إِلَّا ٱلۡمُتَّقِينَ

    آیت ⁦۴۳:۶۷⁩ کھولیں

    uss din tamam dost aik doosray kay dushman hon gay , siwaye muttaqi logon kay ,

  68. يَٰعِبَادِ لَا خَوۡفٌ عَلَيۡكُمُ ٱلۡيَوۡمَ وَلَآ أَنتُمۡ تَحۡزَنُونَ

    آیت ⁦۴۳:۶۸⁩ کھولیں

    . ( jinn say kaha jaye ga kay : ) aey meray bando ! aaj tum per naa koi khof taari hoga , aur naa tum ghumgeen hogay .

  69. ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَكَانُواْ مُسۡلِمِينَ

    آیت ⁦۴۳:۶۹⁩ کھولیں

    aey meray woh bando jo humari aayaton per emaan laye thay , aur farmanbardaar rahey thay !

  70. ٱدۡخُلُواْ ٱلۡجَنَّةَ أَنتُمۡ وَأَزۡوَٰجُكُمۡ تُحۡبَرُونَ 

    آیت ⁦۴۳:۷۰⁩ کھولیں

    tum bhi aur tumhari biwiyan bhi , khushi say chamaktay chehron kay sath jannat mein dakhil hojao .

  71. يُطَافُ عَلَيۡهِم بِصِحَافٖ مِّن ذَهَبٖ وَأَكۡوَابٖۖ وَفِيهَا مَا تَشۡتَهِيهِ ٱلۡأَنفُسُ وَتَلَذُّ ٱلۡأَعۡيُنُۖ وَأَنتُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ

    آیت ⁦۴۳:۷۱⁩ کھولیں

    unn kay aagay soney kay piyalay aur glass gardish mein laye jayen gay . aur uss jannat mein her woh cheez hogi jiss ki dilon ko khuwaish hogi , aur jiss say aankhon ko lazzat hasil hogi . ( unn say kaha jaye ga kay : ) iss jannat mein tum hamesha raho gay .

  72. وَتِلۡكَ ٱلۡجَنَّةُ ٱلَّتِيٓ أُورِثۡتُمُوهَا بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۴۳:۷۲⁩ کھولیں

    aur yeh woh jannat hai jiss ka tumhen apney aemal kay badlay waris bana diya gaya hai .

  73. لَكُمۡ فِيهَا فَٰكِهَةٞ كَثِيرَةٞ مِّنۡهَا تَأۡكُلُونَ

    آیت ⁦۴۳:۷۳⁩ کھولیں

    iss mein tumharay liye khoob ifraat kay sath meway hain jinn mein say tum khao gay .

  74. إِنَّ ٱلۡمُجۡرِمِينَ فِي عَذَابِ جَهَنَّمَ خَٰلِدُونَ

    آیت ⁦۴۳:۷۴⁩ کھولیں

    albatta jo log mujrim thay , woh dozakh kay azab mein hamesha rahen gay .

  75. لَا يُفَتَّرُ عَنۡهُمۡ وَهُمۡ فِيهِ مُبۡلِسُونَ

    آیت ⁦۴۳:۷۵⁩ کھولیں

    woh azab unn kay liye halka nahi parrney diya jaye ga , aur woh uss mein mayyus parray hon gay .

  76. وَمَا ظَلَمۡنَٰهُمۡ وَلَٰكِن كَانُواْ هُمُ ٱلظَّٰلِمِينَ

    آیت ⁦۴۳:۷۶⁩ کھولیں

    aur hum ney unn per koi zulm nahi kiya , lekin woh khud hi zalim log thay .

  77. وَنَادَوۡاْ يَٰمَٰلِكُ لِيَقۡضِ عَلَيۡنَا رَبُّكَۖ قَالَ إِنَّكُم مَّٰكِثُونَ

    آیت ⁦۴۳:۷۷⁩ کھولیں

    aur woh ( dozakh kay farishtay say ) pukar ker kahen gay kay : aey malik ! tumhara perwerdigar humara kaam hi tamam kerday . woh kahey ga kay : tumhen issi haal mein rehna hai .

  78. لَقَدۡ جِئۡنَٰكُم بِٱلۡحَقِّ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَكُمۡ لِلۡحَقِّ كَٰرِهُونَ

    آیت ⁦۴۳:۷۸⁩ کھولیں

    aur haqeeqat yeh hai kay hum tumharay paas haq baat ley ker aaye thay , lekin tum mein say aksar log haq baat hi ko bura samajhtay hain .

  79. أَمۡ أَبۡرَمُوٓاْ أَمۡرٗا فَإِنَّا مُبۡرِمُونَ

    آیت ⁦۴۳:۷۹⁩ کھولیں

    haan kiya inn logon ney kuch kernay ka faisla kerliya hai ? acha to hum bhi kuch kernay ka faisla kernay walay hain .

  80. أَمۡ يَحۡسَبُونَ أَنَّا لَا نَسۡمَعُ سِرَّهُمۡ وَنَجۡوَىٰهُمۚ بَلَىٰ وَرُسُلُنَا لَدَيۡهِمۡ يَكۡتُبُونَ 

    آیت ⁦۴۳:۸۰⁩ کھولیں

    kiya unhon ney yeh samajh rakha hai kay hum inn ki khufiya baaten aur inn ki sargoshiyan nahi suntay-? kaisay nahi suntay-? neez humaray farishtay inn kay paas hain , woh sabb kuch likhtay rehtay hain .

  81. قُلۡ إِن كَانَ لِلرَّحۡمَٰنِ وَلَدٞ فَأَنَا۠ أَوَّلُ ٱلۡعَٰبِدِينَ

    آیت ⁦۴۳:۸۱⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) keh do kay : agar khudaye rehman ki koi aulad hoti to sabb say pehla ibadat kernay wala mein hota .

  82. سُبۡحَٰنَ رَبِّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ رَبِّ ٱلۡعَرۡشِ عَمَّا يَصِفُونَ

    آیت ⁦۴۳:۸۲⁩ کھولیں

    woh jo aasmano aur zameen ka bhi malik hai , arsh ka bhi malik , woh unn sari baaton say pak hai jo yeh banaya kertay hain .

  83. فَذَرۡهُمۡ يَخُوضُواْ وَيَلۡعَبُواْ حَتَّىٰ يُلَٰقُواْ يَوۡمَهُمُ ٱلَّذِي يُوعَدُونَ

    آیت ⁦۴۳:۸۳⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) unhen apney haal per chorr do kay yeh unn baaton mein doobay rahen , aur hansi khel kertay rahen , yahan tak kay woh apney uss din say ja-milen jiss ka unn say wada kiya jaraha hai .

  84. وَهُوَ ٱلَّذِي فِي ٱلسَّمَآءِ إِلَٰهٞ وَفِي ٱلۡأَرۡضِ إِلَٰهٞۚ وَهُوَ ٱلۡحَكِيمُ ٱلۡعَلِيمُ

    آیت ⁦۴۳:۸۴⁩ کھولیں

    wohi ( Allah ) hai jo aasman mein bhi mabood hai , aur zameen mein bhi mabood . aur wohi hai jo hikmat ka bhi malik hai , ilm ka bhi malik .

  85. وَتَبَارَكَ ٱلَّذِي لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَا وَعِندَهُۥ عِلۡمُ ٱلسَّاعَةِ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ

    آیت ⁦۴۳:۸۵⁩ کھولیں

    aur bari shaan hai uss ki jiss kay qabazay mein aasmano aur zameen aur unn kay darmiyan tamam cheezon ki saltanat hai , aur ussi kay paas qayamat ka ilm hai , aur ussi kay paas tum sabb ko wapis ley jaya jaye ga .

  86. وَلَا يَمۡلِكُ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِهِ ٱلشَّفَٰعَةَ إِلَّا مَن شَهِدَ بِٱلۡحَقِّ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۴۳:۸۶⁩ کھولیں

    aur yeh log ussay chorr ker jinn maboodon ko pukartay hain , unhen koi sifarish kernay ka ikhtiyar nahi hoga , haan albatta jinn logon ney haq baat ki gawahi di ho , aur unhen uss ka ilm bhi ho .

  87. وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَهُمۡ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۖ فَأَنَّىٰ يُؤۡفَكُونَ

    آیت ⁦۴۳:۸۷⁩ کھولیں

    aur agar tum unn logon say poocho kay unn ko kiss ney peda kiya hai to woh zaroor yehi kahen gay kay Allah ney . iss kay bawajood koi unhen kahan say ondha chala deta hai-?

  88. وَقِيلِهِۦ يَٰرَبِّ إِنَّ هَٰٓؤُلَآءِ قَوۡمٞ لَّا يُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۴۳:۸۸⁩ کھولیں

    aur Allah ko payghumber ki iss baat ka bhi ilm hai kay : ya rab ! yeh aesay log hain jo emaan nahi latay .

  89. فَٱصۡفَحۡ عَنۡهُمۡ وَقُلۡ سَلَٰمٞۚ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۴۳:۸۹⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) tum inn ki perwa naa kero , aur keh do : salam ! kiyonkay unqareeb enhen khud sabb pata chal jaye ga .