الجاثية

Al-Jaathiya

سورت ۴۵ · آیات: ۳۷ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. Haa-Meem .

  2. تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ مِنَ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ

    آیت ⁦۴۵:۲⁩ کھولیں

    yeh kitab Allah ki taraf say utaari jarahi hai jo bara sahab-e-iqtidar , bara sahab-e-hikmat hai .

  3. إِنَّ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ لَأٓيَٰتٖ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۴۵:۳⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay aasmano aur zameen mein manney walon kay liye boht si nishaniyan hain .

  4. وَفِي خَلۡقِكُمۡ وَمَا يَبُثُّ مِن دَآبَّةٍ ءَايَٰتٞ لِّقَوۡمٖ يُوقِنُونَ

    آیت ⁦۴۵:۴⁩ کھولیں

    aur khud tumhari pedaeesh mein , aur unn janweron mein jo uss ney ( zameen mein ) phela rakhay hain , unn logon kay liye bari nishaniyan hain jo yaqeen keren .

  5. وَٱخۡتِلَٰفِ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ وَمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مِن رِّزۡقٖ فَأَحۡيَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَا وَتَصۡرِيفِ ٱلرِّيَٰحِ ءَايَٰتٞ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ

    آیت ⁦۴۵:۵⁩ کھولیں

    neez raat aur din kay aaney janey mein , aur Allah ney aasman say rizq ka jo zariya utaara , phir uss say zameen ko uss kay murda hojaney kay baad naee zindagi di , uss mein aur hawaon ki gardish mein unn logon kay liye bari nishaniyan hain jo aqal say kaam len .

  6. تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱللَّهِ نَتۡلُوهَا عَلَيۡكَ بِٱلۡحَقِّۖ فَبِأَيِّ حَدِيثِۭ بَعۡدَ ٱللَّهِ وَءَايَٰتِهِۦ يُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۴۵:۶⁩ کھولیں

    yeh Allah ki aayaten hain jo hum tumhen theek theek parh ker suna rahey hain . abb Allah aur uss ki aayaton kay baad kon si baat hai jiss per yeh log emaan layen gay-?

  7. وَيۡلٞ لِّكُلِّ أَفَّاكٍ أَثِيمٖ

    آیت ⁦۴۵:۷⁩ کھولیں

    bura ho har uss jhootay gunehgaar ka

  8. يَسۡمَعُ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِ ثُمَّ يُصِرُّ مُسۡتَكۡبِرٗا كَأَن لَّمۡ يَسۡمَعۡهَاۖ فَبَشِّرۡهُ بِعَذَابٍ أَلِيمٖ

    آیت ⁦۴۵:۸⁩ کھولیں

    jo Allah ki aayaten sunta hai jabkay woh ussay parh ker sunai jarahi hoti hain , phir bhi woh takabbur kay aalam mein iss tarah ( kufr per ) arra rehta hai jaisay uss ney woh aayaten suni hi nahi . lehaza aesay shaks ko dardnak azab ki khushkhabri suna do .

  9. وَإِذَا عَلِمَ مِنۡ ءَايَٰتِنَا شَيۡـًٔا ٱتَّخَذَهَا هُزُوًاۚ أُوْلَٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ

    آیت ⁦۴۵:۹⁩ کھولیں

    aur jab humari aayaton mein say koi aayat aesay shaks kay ilm mein aati hai to woh uss ka mazaq banata hai . aesay logon ko woh azab hoga jo zaleel ker kay rakh dey ga .

  10. مِّن وَرَآئِهِمۡ جَهَنَّمُۖ وَلَا يُغۡنِي عَنۡهُم مَّا كَسَبُواْ شَيۡـٔٗا وَلَا مَا ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَوۡلِيَآءَۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٌ 

    آیت ⁦۴۵:۱۰⁩ کھولیں

    unn kay aagay jahannum hai , aur jo kuch unhon ney kamaya hai , naa woh unn kay kuch kaam aaye ga , aur naa woh kaam ayen gay jinn ko unhon ney Allah kay bajaye apna rakhwala bana rakha hai . aur unn kay hissay mein aik zabardast azab aaye ga .

  11. هَٰذَا هُدٗىۖ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمۡ لَهُمۡ عَذَابٞ مِّن رِّجۡزٍ أَلِيمٌ

    آیت ⁦۴۵:۱۱⁩ کھولیں

    yeh ( Quran ) sarapa hidayat hai , aur jinn logon ney apney perwerdigar ki aayaton ka inkar kiya hai , unn kay liye bala ka dardnak azab hai .

  12. ۞ٱللَّهُ ٱلَّذِي سَخَّرَ لَكُمُ ٱلۡبَحۡرَ لِتَجۡرِيَ ٱلۡفُلۡكُ فِيهِ بِأَمۡرِهِۦ وَلِتَبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِهِۦ وَلَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ

    آیت ⁦۴۵:۱۲⁩ کھولیں

    Allah woh hai jiss ney samandar ko tumharay kaam mein laga diya hai , takay uss kay hukum say uss mein kashtiyan chalen , aur takay tum uss ka fazal talash kero , aur takay tum shukar ada kero .

  13. وَسَخَّرَ لَكُم مَّا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا مِّنۡهُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ

    آیت ⁦۴۵:۱۳⁩ کھولیں

    aur aasmano aur zameen mein jo kuch hai , uss sabb ko uss ney apni taraf say tumharay kaam mein laga rakha hai . yaqeenan iss mein unn logon kay liye bari nishaniyan hain jo ghor-o-fiker say kaam len .

  14. قُل لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ يَغۡفِرُواْ لِلَّذِينَ لَا يَرۡجُونَ أَيَّامَ ٱللَّهِ لِيَجۡزِيَ قَوۡمَۢا بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ

    آیت ⁦۴۵:۱۴⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) jo log emaan ley aaye hain , unn say kaho kay jo log Allah kay dino ka andesha nahi rakhtay unn say darguzar keren , takay Allah logon ko unn kamon ka badla dey jo woh kiya kertay thay .

  15. مَنۡ عَمِلَ صَٰلِحٗا فَلِنَفۡسِهِۦۖ وَمَنۡ أَسَآءَ فَعَلَيۡهَاۖ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُمۡ تُرۡجَعُونَ

    آیت ⁦۴۵:۱۵⁩ کھولیں

    jo shaks bhi naik kaam kerta hai , woh apney hi faeeday kay liye kerta hai , aur jo bura kaam kerta hai , woh apna hi nuqsan kerta hai , phir tum sabb ko apney perwerdigar hi kay paas wapis laya jaye ga .

  16. وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحُكۡمَ وَٱلنُّبُوَّةَ وَرَزَقۡنَٰهُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ وَفَضَّلۡنَٰهُمۡ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۴۵:۱۶⁩ کھولیں

    aur hum ney bano Israel ko kitab , aur hukoomat aur nabwooat ata ki thi , aur unhen pakeezah cheezon ka rizq diya tha , aur unhen duniya jahan kay logon per foqiyat bakhshi thi ,

  17. وَءَاتَيۡنَٰهُم بَيِّنَٰتٖ مِّنَ ٱلۡأَمۡرِۖ فَمَا ٱخۡتَلَفُوٓاْ إِلَّا مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَهُمُ ٱلۡعِلۡمُ بَغۡيَۢا بَيۡنَهُمۡۚ إِنَّ رَبَّكَ يَقۡضِي بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فِيمَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ

    آیت ⁦۴۵:۱۷⁩ کھولیں

    aur unhen khulay khulay ehkaam diye thay . iss kay baad unn mein jo ikhtilaf peda huwa , woh unn kay paas ilm aajaney kay baad hi huwa , sirf iss liye kay unn ko aik doosray say zidd hogaee thi . yaqeenan tumhara perwerdigar unn kay darmiyan qayamat kay din unn baaton ka faisla kerday ga jinn mein woh ikhtilaf kiya kertay thay .

  18. ثُمَّ جَعَلۡنَٰكَ عَلَىٰ شَرِيعَةٖ مِّنَ ٱلۡأَمۡرِ فَٱتَّبِعۡهَا وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَ ٱلَّذِينَ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۴۵:۱۸⁩ کھولیں

    phir ( aey payghumber ! ) hum ney tumhen deen ki aik khaas shariyat per rakha hai , lehaza tum ussi ki perwi kero , aur unn logon ki khuwaishaat kay peechay naa chalna jo haqeeqat ka ilm nahi rakhtay .

  19. إِنَّهُمۡ لَن يُغۡنُواْ عَنكَ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـٔٗاۚ وَإِنَّ ٱلظَّٰلِمِينَ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٖۖ وَٱللَّهُ وَلِيُّ ٱلۡمُتَّقِينَ

    آیت ⁦۴۵:۱۹⁩ کھولیں

    woh Allah kay muqablay mein tumharay zara bhi kaam nahi aa-saktay . aur haqeeqat yeh hai kay zalim log aik doosray kay dost hain , aur Allah muttaqi logon ka dost hai .

  20. هَٰذَا بَصَٰٓئِرُ لِلنَّاسِ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٞ لِّقَوۡمٖ يُوقِنُونَ 

    آیت ⁦۴۵:۲۰⁩ کھولیں

    yeh ( Quran ) tamam logon kay liye baseeraton ka majmooa hai , aur jo log yaqeen keren , unn kay liye manzil tak phonchaney ka zariya aur sarapa rehmat hai .

  21. أَمۡ حَسِبَ ٱلَّذِينَ ٱجۡتَرَحُواْ ٱلسَّيِّـَٔاتِ أَن نَّجۡعَلَهُمۡ كَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ سَوَآءٗ مَّحۡيَاهُمۡ وَمَمَاتُهُمۡۚ سَآءَ مَا يَحۡكُمُونَ

    آیت ⁦۴۵:۲۱⁩ کھولیں

    jinn logon ney buray buray kamon ka irtikab kiya hai , kiya woh yeh samjhay huye hain kay enhen/unhen hum inn/unn logon kay barabar kerden gay jo emaan laye hain , aur jinhon ney naik amal kiye hain , jiss kay nateejay mein inn/unn ka jeena aur marna aik hi jaisa hojaye-? kitni buri baat hai jo yeh tey kiye huye hain !

  22. وَخَلَقَ ٱللَّهُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّ وَلِتُجۡزَىٰ كُلُّ نَفۡسِۭ بِمَا كَسَبَتۡ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ

    آیت ⁦۴۵:۲۲⁩ کھولیں

    Allah ney saray aasmano aur zameen ko bar-haq maqsad kay liye peda kiya hai , aur iss liye kiya hai kay her shaks ko uss kay kiye huye kamon ka badla diya jaye , aur detay waqt unn per koi zulm naa kiya jaye .

  23. أَفَرَءَيۡتَ مَنِ ٱتَّخَذَ إِلَٰهَهُۥ هَوَىٰهُ وَأَضَلَّهُ ٱللَّهُ عَلَىٰ عِلۡمٖ وَخَتَمَ عَلَىٰ سَمۡعِهِۦ وَقَلۡبِهِۦ وَجَعَلَ عَلَىٰ بَصَرِهِۦ غِشَٰوَةٗ فَمَن يَهۡدِيهِ مِنۢ بَعۡدِ ٱللَّهِۚ أَفَلَا تَذَكَّرُونَ

    آیت ⁦۴۵:۲۳⁩ کھولیں

    phir kiya tum ney ussay bhi dekha jiss ney apna khuda apni nafsani khuwaish ko bana liya hai , aur ilm kay bawajood Allah ney ussay gumrahi mein daal diya , aur uss kay kaan aur dil per mohar laga di , aur uss ki aankh per perda daal diya ? abb Allah kay baad kon hai jo ussay raastay per laye-? kiya phir bhi tum log sabaq nahi letay-?

  24. وَقَالُواْ مَا هِيَ إِلَّا حَيَاتُنَا ٱلدُّنۡيَا نَمُوتُ وَنَحۡيَا وَمَا يُهۡلِكُنَآ إِلَّا ٱلدَّهۡرُۚ وَمَا لَهُم بِذَٰلِكَ مِنۡ عِلۡمٍۖ إِنۡ هُمۡ إِلَّا يَظُنُّونَ

    آیت ⁦۴۵:۲۴⁩ کھولیں

    aur yeh log kehtay hain kay : jo kuch zindagi hai , bus yehi humari dunyawi zindagi hai , ( issi mein ) hum martay aur jeetay hain aur hamen koi aur nahi , zamana hi halak ker deta hai . halankay iss baat ka unhen kuch bhi ilm nahi hai , bus wehmi andazay lagatay hain .

  25. وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا بَيِّنَٰتٖ مَّا كَانَ حُجَّتَهُمۡ إِلَّآ أَن قَالُواْ ٱئۡتُواْ بِـَٔابَآئِنَآ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

    آیت ⁦۴۵:۲۵⁩ کھولیں

    aur jab humari aayaten poori wazahat kay sath unn ko parh ker sunai jati hain to yeh kehney kay siwa unn ki koi daleel nahi hoti kay : agar tum sachay ho to humaray baap dadon ko ( zinda ker kay ) ley aao .

  26. قُلِ ٱللَّهُ يُحۡيِيكُمۡ ثُمَّ يُمِيتُكُمۡ ثُمَّ يَجۡمَعُكُمۡ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ لَا رَيۡبَ فِيهِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۴۵:۲۶⁩ کھولیں

    keh do kay Allah hi tumhen zindagi deta hai , phir woh tumhen moat dey ga , phir tum sabb ko qayamat kay din jama keray ga jiss mein kissi qisam ka koi shak nahi hai , lekin aksar log samajhtay nahi hain .

  27. وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَيَوۡمَ تَقُومُ ٱلسَّاعَةُ يَوۡمَئِذٖ يَخۡسَرُ ٱلۡمُبۡطِلُونَ

    آیت ⁦۴۵:۲۷⁩ کھولیں

    aur aasmano aur zameen ki saltanat Allah hi ki hai , aur jiss din qayamat aa-khari hogi , uss din jo log batil per hain , woh sakht nuqsan uthayen gay .

  28. وَتَرَىٰ كُلَّ أُمَّةٖ جَاثِيَةٗۚ كُلُّ أُمَّةٖ تُدۡعَىٰٓ إِلَىٰ كِتَٰبِهَا ٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَوۡنَ مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۴۵:۲۸⁩ کھولیں

    aur tum her giroh ko dekho gay kay woh ghuttnon kay ball gira huwa hai . her giroh ko uss kay aemal namay ki taraf bulaya jaye ga , ( aur kaha jaye ga kay : ) aaj tumhen unn aemal ka badla diya jaye ga jo tum kiya kertay thay .

  29. هَٰذَا كِتَٰبُنَا يَنطِقُ عَلَيۡكُم بِٱلۡحَقِّۚ إِنَّا كُنَّا نَسۡتَنسِخُ مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۴۵:۲۹⁩ کھولیں

    yeh humara ( likhwaya huwa ) daftar hai jo tumharay baaray mein theek theek bol raha hai . tum jo kuch kertay thay , hum uss sabb ko likhwa liya kertay thay .

  30. فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ فَيُدۡخِلُهُمۡ رَبُّهُمۡ فِي رَحۡمَتِهِۦۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡمُبِينُ 

    آیت ⁦۴۵:۳۰⁩ کھولیں

    chunacheh jo log emaan laye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , unn ko to unn ka perwerdigar apni rehmat mein dakhil keray ga yehi khuli hoi kamiyabi hai

  31. وَأَمَّا ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَفَلَمۡ تَكُنۡ ءَايَٰتِي تُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ فَٱسۡتَكۡبَرۡتُمۡ وَكُنتُمۡ قَوۡمٗا مُّجۡرِمِينَ

    آیت ⁦۴۵:۳۱⁩ کھولیں

    rahey woh log jinhon ney kufr apna liya tha , ( unn say kaha jaye ga kay : ) bhala kiya tumharay samney meri aayaten nahi parhi jati then-? phir bhi tum ney takabbur say kaam liya , aur mujrim banay rahey ,

  32. وَإِذَا قِيلَ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞ وَٱلسَّاعَةُ لَا رَيۡبَ فِيهَا قُلۡتُم مَّا نَدۡرِي مَا ٱلسَّاعَةُ إِن نَّظُنُّ إِلَّا ظَنّٗا وَمَا نَحۡنُ بِمُسۡتَيۡقِنِينَ

    آیت ⁦۴۵:۳۲⁩ کھولیں

    aur jab tum say kaha jata tha kay Allah ka wada sacha hai , aur qayamat woh haqeeqat hai jiss mein koi bhi shak nahi hai , to tum yeh kehtay thay kay : hum nahi jantay kay qayamat kiya hoti hai ? uss kay baaray mein hum jo kuch khayal kertay hain , bus aik gumaan saa hota hai , aur hamen yaqeen bilkul nahi hai .

  33. وَبَدَا لَهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا عَمِلُواْ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ

    آیت ⁦۴۵:۳۳⁩ کھولیں

    aur ( uss moaqa per ) unhon ney jo aemal kiye thay , unn ki buraiyan khul ker unn kay samney aajayen gi , aur jiss cheez ka woh mazaq uratay thay , wohi unn ko aa-gheray gi ,

  34. وَقِيلَ ٱلۡيَوۡمَ نَنسَىٰكُمۡ كَمَا نَسِيتُمۡ لِقَآءَ يَوۡمِكُمۡ هَٰذَا وَمَأۡوَىٰكُمُ ٱلنَّارُ وَمَا لَكُم مِّن نَّٰصِرِينَ

    آیت ⁦۴۵:۳۴⁩ کھولیں

    aur unn say kaha jaye ga kay : aaj hum tumhen ussi tarah bhula den gay jaisay tum ney yeh baat bhula daali thi kay tumhen apney iss din ka samna kerna hoga , aur tumhara thikana aag hai , aur tumhen kissi qisam kay madadgaar moyassar nahi ayen gay .

  35. ذَٰلِكُم بِأَنَّكُمُ ٱتَّخَذۡتُمۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ هُزُوٗا وَغَرَّتۡكُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَاۚ فَٱلۡيَوۡمَ لَا يُخۡرَجُونَ مِنۡهَا وَلَا هُمۡ يُسۡتَعۡتَبُونَ

    آیت ⁦۴۵:۳۵⁩ کھولیں

    yeh sabb iss liye kay tum ney Allah ki aayaton ko mazaq banaya tha , aur dunyawi zindagi ney tumhen dhokay mein daal diya tha . chunacheh aaj aesay logon ko naa wahan say nikala jaye ga , aur naa unn say moaafi maangney ko kaha jaye ga .

  36. فَلِلَّهِ ٱلۡحَمۡدُ رَبِّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَرَبِّ ٱلۡأَرۡضِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۴۵:۳۶⁩ کھولیں

    gharz tareef tamam tarr Allah ki hai jo saray aasmano ka bhi malik hai , zameen ka bhi malik , aur tamam jahano ka bhi malik .

  37. وَلَهُ ٱلۡكِبۡرِيَآءُ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ

    آیت ⁦۴۵:۳۷⁩ کھولیں

    aur tamam tarr barai ussi ko hasil hai , aasmano mein bhi , aur zameen mein bhi , aur wohi hai jiss ka iqtidar bhi kamil hai , jiss ki hikmat bhi kamil .