الأحقاف
Al-Ahqaf
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Haa-Meem .
تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ مِنَ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ
آیت ۴۶:۲ کھولیںyeh kitab Allah ki taraf say utaari jarahi hai jo bara sahab-e-iqtidar , bara sahab-e-hikmat hai .
مَا خَلَقۡنَا ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَآ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَأَجَلٖ مُّسَمّٗىۚ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَمَّآ أُنذِرُواْ مُعۡرِضُونَ
آیت ۴۶:۳ کھولیںhum ney aasmano aur zameen ko aur inn kay darmiyan ki cheezon ko kissi bar-haq maqsad kay baghair aur kissi mutayyan miyaad kay baghair peda nahi kerdiya hai . aur jinn logon ney kufr apna liya hai , woh uss cheez say mun morray huye hain jiss say unhen khabrdar kiya gaya hai .
قُلۡ أَرَءَيۡتُم مَّا تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَرُونِي مَاذَا خَلَقُواْ مِنَ ٱلۡأَرۡضِ أَمۡ لَهُمۡ شِرۡكٞ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِۖ ٱئۡتُونِي بِكِتَٰبٖ مِّن قَبۡلِ هَٰذَآ أَوۡ أَثَٰرَةٖ مِّنۡ عِلۡمٍ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
آیت ۴۶:۴ کھولیںtum unn say kaho kay : kiya tum ney unn cheezon per kabhi ghor kiya hai jinn ko tum Allah kay siwa pukartay ho-? mujhay dikhao to sahi kay unhon ney zameen ki konsi cheez peda ki hai ? ya aasmano ( ki takhleeq ) mein unn ka koi hissa hai-? meray paas koi aesi kitab lao jo iss Quran say pehlay ki ho , ya phir koi riwayat jiss ki buniyad ilm per ho , agar tum waqaee sachay ho .
وَمَنۡ أَضَلُّ مِمَّن يَدۡعُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَن لَّا يَسۡتَجِيبُ لَهُۥٓ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَهُمۡ عَن دُعَآئِهِمۡ غَٰفِلُونَ
آیت ۴۶:۵ کھولیںuss shaks say bara gumrah kon hoga jo Allah ko chorr ker unn ( mann gharrat deotaon ) ko pukaray jo qayamat kay din tak uss ki pukar ka jawab nahi dey saktay , aur jinn ko inn ki pukar ki khabar tak nahi hai .
وَإِذَا حُشِرَ ٱلنَّاسُ كَانُواْ لَهُمۡ أَعۡدَآءٗ وَكَانُواْ بِعِبَادَتِهِمۡ كَٰفِرِينَ
آیت ۴۶:۶ کھولیںaur jab logon ko mehshar mein jama kiya jaye ga to woh inn kay dushman ban jayen gay , aur inn ki ibadat hi say munkir hon gay .
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا بَيِّنَٰتٖ قَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَهُمۡ هَٰذَا سِحۡرٞ مُّبِينٌ
آیت ۴۶:۷ کھولیںaur jab inn kay samney humari aayaten apni poori wazahat kay sath parh ker sunai jati hain , to yeh kafir log haq baat kay unn tak phonch janey kay baad bhi uss kay baaray mein yun keh detay hain kay yeh to khula huwa jadoo hai .
أَمۡ يَقُولُونَ ٱفۡتَرَىٰهُۖ قُلۡ إِنِ ٱفۡتَرَيۡتُهُۥ فَلَا تَمۡلِكُونَ لِي مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔاۖ هُوَ أَعۡلَمُ بِمَا تُفِيضُونَ فِيهِۚ كَفَىٰ بِهِۦ شَهِيدَۢا بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡۖ وَهُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
آیت ۴۶:۸ کھولیںkiya inn ka kehna yeh hai kay issay payghumber ney apni taraf say gharr liya hai ? keh do kay : agar mein ney issay apni taraf say gharr liya hai to tum mujhay Allah ki pakar say zara bhi nahi bacha sako gay . jo baaten tum banatay ho , woh unhen khoob janta hai . meray aur tumharay darmiyan gawah banney kay liye woh kafi hai , aur wohi hai jo boht bakhshney wala , bara meharban hai .
قُلۡ مَا كُنتُ بِدۡعٗا مِّنَ ٱلرُّسُلِ وَمَآ أَدۡرِي مَا يُفۡعَلُ بِي وَلَا بِكُمۡۖ إِنۡ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّ وَمَآ أَنَا۠ إِلَّا نَذِيرٞ مُّبِينٞ
آیت ۴۶:۹ کھولیںkaho kay : mein payghumberon mein koi anokha payghumber nahi hun . mujhay maloom nahi hai kay meray sath kiya kiya jaye ga , aur naa yeh maloom hai kay tumharay sath kiya hoga-? . mein kissi aur cheez ki nahi , sirf uss wahi ki perwi kerta hun jo mujhay bheji jati hai . aur mein to sirf aik wazeh andaz say khabrdar kernay wala hun .
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِن كَانَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ وَكَفَرۡتُم بِهِۦ وَشَهِدَ شَاهِدٞ مِّنۢ بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ عَلَىٰ مِثۡلِهِۦ فَـَٔامَنَ وَٱسۡتَكۡبَرۡتُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّٰلِمِينَ
آیت ۴۶:۱۰ کھولیںkaho kay : zara mujhay yeh batao kay agar yeh ( Quran ) Allah ki taraf say ho , aur tum ney uss ka inkar kerdiya , aur bano Israel mein say aik gawah ney iss jaisi baat kay haq mein gawahi bhi dey di , aur uss per emaan bhi ley aaya , aur tum apney ghamand mein mubtala rahey ( to yeh kitney zulm ki baat hai-? ) yaqeen jano kay Allah aesay logon ko hidayat tak nahi phonchata jo zalim hon .
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَوۡ كَانَ خَيۡرٗا مَّا سَبَقُونَآ إِلَيۡهِۚ وَإِذۡ لَمۡ يَهۡتَدُواْ بِهِۦ فَسَيَقُولُونَ هَٰذَآ إِفۡكٞ قَدِيمٞ
آیت ۴۶:۱۱ کھولیںaur jinn logon ney kufr apna liya hai , woh emaan laney walon kay baaray mein yun kehtay hain kay : agar yeh ( emaan lana ) koi achi baat hoti to yeh log iss baaray mein hum say sabqat naa ley jasaktay . aur jab inn kafiron ney iss say khud hidayat hasil nahi ki to woh to yehi kahen gay kay yeh wohi puraney zamaney ka jhoot hai .
وَمِن قَبۡلِهِۦ كِتَٰبُ مُوسَىٰٓ إِمَامٗا وَرَحۡمَةٗۚ وَهَٰذَا كِتَٰبٞ مُّصَدِّقٞ لِّسَانًا عَرَبِيّٗا لِّيُنذِرَ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ وَبُشۡرَىٰ لِلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۴۶:۱۲ کھولیںaur iss say pehlay musa ki kitab rehnuma aur rehmat ban ker aa-chuki hai . aur yeh ( Quran ) woh kitab hai jo arbi zaban mein hotay huye uss ko sacha bata rahi hai , takay inn zalimon ko khabrdar keray , aur naik kaam kernay walon kay liye khushkhabri ban jaye .
إِنَّ ٱلَّذِينَ قَالُواْ رَبُّنَا ٱللَّهُ ثُمَّ ٱسۡتَقَٰمُواْ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
آیت ۴۶:۱۳ کھولیںyaqeenan jinn logon ney yeh keh diya hai kay : humara perwerdigar Allah hai phir woh uss per sabit qadam rahey , to unn per naa koi khof taari hoga , aur naa woh ghumgeen hon gay .
أُوْلَٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِ خَٰلِدِينَ فِيهَا جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
آیت ۴۶:۱۴ کھولیںwoh jannat walay log hain jo hamesha uss mein rahen gay . yeh unn aemal ka badla hoga jo woh kiya kertay thay .
وَوَصَّيۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ بِوَٰلِدَيۡهِ إِحۡسَٰنًاۖ حَمَلَتۡهُ أُمُّهُۥ كُرۡهٗا وَوَضَعَتۡهُ كُرۡهٗاۖ وَحَمۡلُهُۥ وَفِصَٰلُهُۥ ثَلَٰثُونَ شَهۡرًاۚ حَتَّىٰٓ إِذَا بَلَغَ أَشُدَّهُۥ وَبَلَغَ أَرۡبَعِينَ سَنَةٗ قَالَ رَبِّ أَوۡزِعۡنِيٓ أَنۡ أَشۡكُرَ نِعۡمَتَكَ ٱلَّتِيٓ أَنۡعَمۡتَ عَلَيَّ وَعَلَىٰ وَٰلِدَيَّ وَأَنۡ أَعۡمَلَ صَٰلِحٗا تَرۡضَىٰهُ وَأَصۡلِحۡ لِي فِي ذُرِّيَّتِيٓۖ إِنِّي تُبۡتُ إِلَيۡكَ وَإِنِّي مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
آیت ۴۶:۱۵ کھولیںaur hum ney insan ko apney walaiden say acha bartao kernay ka hukum diya hai . uss ki maa ney bari mushaqqat say ussay ( pet mein ) uthaye rakha , aur bari mushaqqat say uss ko jana , aur uss ko uthaye rakhney aur uss kay doodh churraney ki mauddat tees maheenay hoti hai , yahan tak kay jab woh apni poori tawanai ko phonch gaya , aur chaalees saal ki umar tak phonch gaya to woh kehta hai kay : yaar rab ! mujhay tofiq dijiye kay mein aap ki uss naimat ka shukar ada kerun jo aap ney mujhay aur meray maa baap ko ata farmaee , aur aesay naik amal kerun jinn say aap razi hojayen , aur meray liye meri aulad ko bhi salahiyat dey dijiye . mein aap kay huzoor tauba kerta hun , aur mein farmanbardaaron mein shamil hun .
أُوْلَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ نَتَقَبَّلُ عَنۡهُمۡ أَحۡسَنَ مَا عَمِلُواْ وَنَتَجَاوَزُ عَن سَيِّـَٔاتِهِمۡ فِيٓ أَصۡحَٰبِ ٱلۡجَنَّةِۖ وَعۡدَ ٱلصِّدۡقِ ٱلَّذِي كَانُواْ يُوعَدُونَ
آیت ۴۶:۱۶ کھولیںyeh woh log hain jinn say hum unn kay behtareen aemal qubool keren gay , aur unn ki khataon say darguzar keren gay , ( jiss kay nateejay mein ) woh jannat walon mein shamil hon gay , uss sachay waday ki badolat jo unn say kiya jata tha .
وَٱلَّذِي قَالَ لِوَٰلِدَيۡهِ أُفّٖ لَّكُمَآ أَتَعِدَانِنِيٓ أَنۡ أُخۡرَجَ وَقَدۡ خَلَتِ ٱلۡقُرُونُ مِن قَبۡلِي وَهُمَا يَسۡتَغِيثَانِ ٱللَّهَ وَيۡلَكَ ءَامِنۡ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞ فَيَقُولُ مَا هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
آیت ۴۶:۱۷ کھولیںaur aik woh shaks hai jiss ney apney walaiden say kaha hai kay : tuff hai tum per ! kiya tum mujh say yeh wada kertay ho kay mujhay zinda ker kay qabar say nikala jaye ga , halankay mujh say pehlay boht si naslen guzar chuki hain . aur walaiden Allah say fariyad kertay hain , ( aur betay say kehtay hain kay : ) afsos hai tujh per , emaan ley aa . yaqeen jaan kay Allah ka wada sacha hai . to woh kehta hai kay : inn baaton ki iss kay siwa koi haqeeqat nahi hai kay yeh mehaz afsaney hain jo pichlay logon say naqal hotay chalay aarahey hain .
أُوْلَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ حَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقَوۡلُ فِيٓ أُمَمٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِم مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِۖ إِنَّهُمۡ كَانُواْ خَٰسِرِينَ
آیت ۴۶:۱۸ کھولیںyeh woh log hain jinn kay baaray mein jinnaat aur insanon kay unn girohon samet jo inn say pehlay guzray hain , ( azab ki ) baat tey hochuki hai . haqeeqat yeh hai kay yeh sabb bara nuqsan uthaney walay hain .
وَلِكُلّٖ دَرَجَٰتٞ مِّمَّا عَمِلُواْۖ وَلِيُوَفِّيَهُمۡ أَعۡمَٰلَهُمۡ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
آیت ۴۶:۱۹ کھولیںaur her aik ( giroh ) kay apney aemal ki wajeh say mukhtalif darjay hain , aur iss liye hain takay Allah unn ko unn kay aemal ka poora poora badla dey . aur unn per koi zulm nahi hoga .
وَيَوۡمَ يُعۡرَضُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَلَى ٱلنَّارِ أَذۡهَبۡتُمۡ طَيِّبَٰتِكُمۡ فِي حَيَاتِكُمُ ٱلدُّنۡيَا وَٱسۡتَمۡتَعۡتُم بِهَا فَٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَوۡنَ عَذَابَ ٱلۡهُونِ بِمَا كُنتُمۡ تَسۡتَكۡبِرُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَبِمَا كُنتُمۡ تَفۡسُقُونَ
آیت ۴۶:۲۰ کھولیںaur uss din ko yaad rakho jab inn kafiron ko aag kay samney paish kiya jaye ga , ( aur kaha jaye ga kay : ) tum ney apney hissay ki achi cheezen apni dunyawi zindagi mein khatam ker daalen , aur inn say khoob maza ley liya , lehaza aaj tumhen badlay mein zillat ki saza milay gi , kiyonkay tum zameen mein nahaq takabbur kiya kertay thay , aur kiyonkay tum nafarmani kay aadi thay .
۞وَٱذۡكُرۡ أَخَا عَادٍ إِذۡ أَنذَرَ قَوۡمَهُۥ بِٱلۡأَحۡقَافِ وَقَدۡ خَلَتِ ٱلنُّذُرُ مِنۢ بَيۡنِ يَدَيۡهِ وَمِنۡ خَلۡفِهِۦٓ أَلَّا تَعۡبُدُوٓاْ إِلَّا ٱللَّهَ إِنِّيٓ أَخَافُ عَلَيۡكُمۡ عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ
آیت ۴۶:۲۱ کھولیںaur qoam-e-aad kay bhai ( hazrat Hood aleh-assalam ) ka tazkarah kero , jab unhon ney apni qoam ko kham daar teelo ki sarzameen mein khabrdar kiya tha aur aesay khabrdar kernay walay unn say pehlay bhi guzar chukay hain , aur unn kay baad bhi kay : Allah kay siwa kissi ki ibadat naa kero , mujhay tum per aik zabardast din kay azab ka andesha hai .
قَالُوٓاْ أَجِئۡتَنَا لِتَأۡفِكَنَا عَنۡ ءَالِهَتِنَا فَأۡتِنَا بِمَا تَعِدُنَآ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّٰدِقِينَ
آیت ۴۶:۲۲ کھولیںunhon ney kaha : kiya tum humaray paas iss liye aaye ho kay humaray khudaon say hamen bargushta kero-? acha agar tum sachay ho to ley aao hum per woh ( azab ) jiss ki dhamki dey rahey ho .
قَالَ إِنَّمَا ٱلۡعِلۡمُ عِندَ ٱللَّهِ وَأُبَلِّغُكُم مَّآ أُرۡسِلۡتُ بِهِۦ وَلَٰكِنِّيٓ أَرَىٰكُمۡ قَوۡمٗا تَجۡهَلُونَ
آیت ۴۶:۲۳ کھولیںunhon ney farmaya : theek theek ilm to Allah kay paas hai ( kay woh azab kab aaye ga-? ) mujhay jo paygham dey ker bheja gaya hai , mein to tumhen wohi paygham phoncha raha hun , albatta mein yeh zaroor dekh raha hun kay tum aesay log ho jo nadani ki baaten ker rahey ho .
فَلَمَّا رَأَوۡهُ عَارِضٗا مُّسۡتَقۡبِلَ أَوۡدِيَتِهِمۡ قَالُواْ هَٰذَا عَارِضٞ مُّمۡطِرُنَاۚ بَلۡ هُوَ مَا ٱسۡتَعۡجَلۡتُم بِهِۦۖ رِيحٞ فِيهَا عَذَابٌ أَلِيمٞ
آیت ۴۶:۲۴ کھولیںphir huwa yeh kay jab unhon ney uss ( azab ) ko aik badal ki shakal mein aata dekha jo unn ki wadiyon ka rukh ker raha tha to unhon ney kaha kay : yeh badal hai jo hum per barish barsaye ga . nahi ! balkay yeh woh cheez hai jiss ki tum ney jaldi machai thi aik aandhi jiss mein dardnak azab hai ,
تُدَمِّرُ كُلَّ شَيۡءِۭ بِأَمۡرِ رَبِّهَا فَأَصۡبَحُواْ لَا يُرَىٰٓ إِلَّا مَسَٰكِنُهُمۡۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
آیت ۴۶:۲۵ کھولیںjo apney perwerdigar kay hukum say her cheez ko tehas nehas ker daalay gi ! gharz unn ki halat yeh hogaee kay unn kay gharon kay siwa kuch nazar nahi aata tha . aesay mujrim logon ko hum aesi hi saza detay hain .
وَلَقَدۡ مَكَّنَّٰهُمۡ فِيمَآ إِن مَّكَّنَّٰكُمۡ فِيهِ وَجَعَلۡنَا لَهُمۡ سَمۡعٗا وَأَبۡصَٰرٗا وَأَفۡـِٔدَةٗ فَمَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُمۡ سَمۡعُهُمۡ وَلَآ أَبۡصَٰرُهُمۡ وَلَآ أَفۡـِٔدَتُهُم مِّن شَيۡءٍ إِذۡ كَانُواْ يَجۡحَدُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
آیت ۴۶:۲۶ کھولیںaur ( aey arab kay logo ! ) hum ney unn logon ko unn baaton ki taqat di thi jinn ki taqat tumhen nahi di , aur hum ney unn ko kaan , aankhen aur dil sabb kuch dey rakhay thay , lekin naa unn kay kaan aur unn ki aankhen unn kay kuch kaam ayen , aur naa unn kay dil , kiyonkay woh Allah ki aayaton ka inkar kertay thay , aur jiss cheez ka woh mazaq uraya kertay thay , ussi ney unhen aa-ghera .
وَلَقَدۡ أَهۡلَكۡنَا مَا حَوۡلَكُم مِّنَ ٱلۡقُرَىٰ وَصَرَّفۡنَا ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
آیت ۴۶:۲۷ کھولیںaur hum ney aur bastiyon ko bhi halak kiya hai jo tumharay ird-gird waqay then , jabkay hum tarah tarah ki nishaniyan ( unn kay ) samney laa-chukay thay , takay woh baaz aajayen .
فَلَوۡلَا نَصَرَهُمُ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ قُرۡبَانًا ءَالِهَةَۢۖ بَلۡ ضَلُّواْ عَنۡهُمۡۚ وَذَٰلِكَ إِفۡكُهُمۡ وَمَا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
آیت ۴۶:۲۸ کھولیںphir unhon ney Allah ka taqarrub hasil kernay kay liye jinn cheezon ko Allah kay siwa mabood bana rakha tha , unhon ney unn ki kiyon madad naa kerli-? iss kay bajaye woh sabb unn kay liye bey nishan hogaye . yeh to unn ka sarasar jhoot tha , aur bohtan tha jo unhon ney tarash rakha tha .
وَإِذۡ صَرَفۡنَآ إِلَيۡكَ نَفَرٗا مِّنَ ٱلۡجِنِّ يَسۡتَمِعُونَ ٱلۡقُرۡءَانَ فَلَمَّا حَضَرُوهُ قَالُوٓاْ أَنصِتُواْۖ فَلَمَّا قُضِيَ وَلَّوۡاْ إِلَىٰ قَوۡمِهِم مُّنذِرِينَ
آیت ۴۶:۲۹ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) yaad kero jab hum ney jinnaat mein say aik giroh ko tumhari taraf mutawajjah kiya kay woh Quran sunen , chunacheh jab woh wahan phonchay to unhon ney ( aik doosray say ) kaha kay : khamosh hojao phir jab woh parha ja-chuka to woh apni qoam kay paas unhen khabrdar kertay huye wapis phonchay .
قَالُواْ يَٰقَوۡمَنَآ إِنَّا سَمِعۡنَا كِتَٰبًا أُنزِلَ مِنۢ بَعۡدِ مُوسَىٰ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ يَهۡدِيٓ إِلَى ٱلۡحَقِّ وَإِلَىٰ طَرِيقٖ مُّسۡتَقِيمٖ
آیت ۴۶:۳۰ کھولیںunhon ney kaha : aey humari qoam kay logo ! yaqeen jano hum ney aik aesi kitab suni hai jo musa ( aleh-assalam ) kay baad nazil ki gaee hai , apney say pehli kitabon ki tasdeeq kerti hai , haq baat aur seedhay raastay ki taraf raahnumai kerti hai .
يَٰقَوۡمَنَآ أَجِيبُواْ دَاعِيَ ٱللَّهِ وَءَامِنُواْ بِهِۦ يَغۡفِرۡ لَكُم مِّن ذُنُوبِكُمۡ وَيُجِرۡكُم مِّنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
آیت ۴۶:۳۱ کھولیںaey humari qoam kay logo ! Allah kay daee ki baat maan lo , aur uss per emaan ley aao , Allah tumharay gunahon ko moaaf kerday ga , aur tumhen aik dardnak azab say panah dey dey ga .
وَمَن لَّا يُجِبۡ دَاعِيَ ٱللَّهِ فَلَيۡسَ بِمُعۡجِزٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَيۡسَ لَهُۥ مِن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءُۚ أُوْلَٰٓئِكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ
آیت ۴۶:۳۲ کھولیںaur jo koi Allah kay daee ki baat naa maaney to woh sari zameen mein kahen bhi jaker Allah ko aajiz nahi ker-sakta , aur Allah kay siwa uss ko kissi qisam kay rakhwalay bhi nahi milen gay . aesay log khuli gumrahi mein mubtala hain .
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَلَمۡ يَعۡيَ بِخَلۡقِهِنَّ بِقَٰدِرٍ عَلَىٰٓ أَن يُحۡـِۧيَ ٱلۡمَوۡتَىٰۚ بَلَىٰٓۚ إِنَّهُۥ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
آیت ۴۶:۳۳ کھولیںkiya inn ko yeh sujhai nahi diya kay woh Allah jiss ney saray aasmano aur zameen ko peda kiya , aur unn ko peda kernay say uss ko zara bhi thakan nahi hoi , woh yaqeenan iss baat per poori tarah qadir hai kay murdon ko zinda kerday-? aur kiyon naa ho-? woh beyshak her cheez ki poori qudrat rakhney wala hai .
وَيَوۡمَ يُعۡرَضُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَلَى ٱلنَّارِ أَلَيۡسَ هَٰذَا بِٱلۡحَقِّۖ قَالُواْ بَلَىٰ وَرَبِّنَاۚ قَالَ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ
آیت ۴۶:۳۴ کھولیںaur jiss din kafiron ko aag kay samney paish kiya jaye ga , uss din ( unn say poocha jaye ga ) kay kiya yeh ( dozakh ) sach nahi hai ? woh kahen gay kay : humaray rab ki qasam ! yeh waqaee sach hai . Allah irshad farmaye ga kay : phir chakho maza azab ka , uss kufr kay badlay mein jo tum ney ikhtiyar ker rakha tha .
فَٱصۡبِرۡ كَمَا صَبَرَ أُوْلُواْ ٱلۡعَزۡمِ مِنَ ٱلرُّسُلِ وَلَا تَسۡتَعۡجِل لَّهُمۡۚ كَأَنَّهُمۡ يَوۡمَ يَرَوۡنَ مَا يُوعَدُونَ لَمۡ يَلۡبَثُوٓاْ إِلَّا سَاعَةٗ مِّن نَّهَارِۭۚ بَلَٰغٞۚ فَهَلۡ يُهۡلَكُ إِلَّا ٱلۡقَوۡمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
آیت ۴۶:۳۵ کھولیںgharz ( aey payghumber ! ) tum ussi tarah sabar kiye jao jaisay oolool-azm payghumberon ney sabar kiya hai , aur inn kay moamlay mein jaldi naa kero . jiss din yeh log woh cheez dekh len gay jiss say enhen daraya jaraha hai , uss din ( enhen ) yun mehsoos hoga jaisay woh ( duniya mein ) din ki aik gharri say ziyada nahi rahey . yeh hai woh paygham jo phoncha diya gaya hai ! abb barbad to wohi log hon gay jo nafarman hain .