محمد

Muhammad

سورت ۴۷ · آیات: ۳۸ · مدنی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ أَضَلَّ أَعۡمَٰلَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۱⁩ کھولیں

    jinn logon ney kufr ikhtiyar kerliya hai , aur doosron ko Allah kay raastay say roka hai , Allah ney unn kay aemal ikarat kerdiye hain .

  2. وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ وَءَامَنُواْ بِمَا نُزِّلَ عَلَىٰ مُحَمَّدٖ وَهُوَ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّهِمۡ كَفَّرَ عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡ وَأَصۡلَحَ بَالَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۲⁩ کھولیں

    aur jo log emaan ley aaye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , aur her uss baat ko dil say maana hai jo Muhammad ( SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam ) per nazil ki gaee hai aur wohi haq hai jo unn kay perwerdigar ki taraf say aaya hai Allah ney unn ki buraiyon ko moaaf kerdiya hai , aur unn ki halat sanwaar di hai .

  3. ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱتَّبَعُواْ ٱلۡبَٰطِلَ وَأَنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّبَعُواْ ٱلۡحَقَّ مِن رَّبِّهِمۡۚ كَذَٰلِكَ يَضۡرِبُ ٱللَّهُ لِلنَّاسِ أَمۡثَٰلَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۳⁩ کھولیں

    yeh iss liye kay jinn logon ney kufr ikhtiyar kiya hai , woh batil kay peechay chalay hain , aur jo log emaan laye hain , woh uss haq kay peechay chalay hain jo unn kay perwerdigar ki taraf say aaya hai . issi tarah Allah logon ko bata raha hai kay unn kay halaat kiya kiya hain .

  4. فَإِذَا لَقِيتُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَضَرۡبَ ٱلرِّقَابِ حَتَّىٰٓ إِذَآ أَثۡخَنتُمُوهُمۡ فَشُدُّواْ ٱلۡوَثَاقَ فَإِمَّا مَنَّۢا بَعۡدُ وَإِمَّا فِدَآءً حَتَّىٰ تَضَعَ ٱلۡحَرۡبُ أَوۡزَارَهَاۚ ذَٰلِكَۖ وَلَوۡ يَشَآءُ ٱللَّهُ لَٱنتَصَرَ مِنۡهُمۡ وَلَٰكِن لِّيَبۡلُوَاْ بَعۡضَكُم بِبَعۡضٖۗ وَٱلَّذِينَ قُتِلُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَلَن يُضِلَّ أَعۡمَٰلَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۴⁩ کھولیں

    aur jab unn logon say tumhara muqabla ho jinhon ney kufr ikhtiyar ker rakha hai , to gardanen maaro , yahan tak kay jab tum unn ki taqat kuchal chukay ho , to mazbooti say girftaar kerlo , phir chahye ehsan ker kay chorr do , ya fidya ley ker , yahan tak kay jang apney hathiyaar phenk ker khatam hojaye . tumhen to yehi hukum hai , aur agar Allah chahta to khud unn say intiqam ley leta , lekin ( tumhen yeh hukum iss liye diya hai ) takay tumhara aik doosray kay zariye imtihan ley . aur jo log Allah kay raastay mein qatal huye , Allah unn kay aemal ko hergiz ikarat nahi keray ga .

  5. سَيَهۡدِيهِمۡ وَيُصۡلِحُ بَالَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۵⁩ کھولیں

    woh unhen manzil tak phoncha dey ga , aur unn ki halat sanwaar dey ga ,

  6. وَيُدۡخِلُهُمُ ٱلۡجَنَّةَ عَرَّفَهَا لَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۶⁩ کھولیں

    aur unhen jannat mein dakhil keray ga jiss ki unhen khoob pehchan keradi hogi .

  7. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِن تَنصُرُواْ ٱللَّهَ يَنصُرۡكُمۡ وَيُثَبِّتۡ أَقۡدَامَكُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۷⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! agar tum Allah ( kay deen ) ki madad kero gay to woh tumhari madad keray ga , aur tumharay qadam jama dey ga .

  8. وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَتَعۡسٗا لَّهُمۡ وَأَضَلَّ أَعۡمَٰلَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۸⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney kufr apna liya hai , unn kay liye tabahi hai , aur Allah ney unn kay aemal ikarat kerdiye hain .

  9. ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَرِهُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأَحۡبَطَ أَعۡمَٰلَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۹⁩ کھولیں

    yeh iss liye kay unhon ney uss baat ko napasand kiya jo Allah ney nazil ki thi , chunacheh Allah ney unn kay aemal zaya kerdiye .

  10. ۞أَفَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۖ دَمَّرَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡۖ وَلِلۡكَٰفِرِينَ أَمۡثَٰلُهَا 

    آیت ⁦۴۷:۱۰⁩ کھولیں

    bhala kiya inn logon ney zameen mein chal phir ker nahi dekha kay unn logon ka anjam kaisa huwa jo inn say pehlay guzray hain-? Allah ney unn per tabahi daali , aur kafiron kay liye issi jaisay anjam muqaddar hain .

  11. ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ مَوۡلَى ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَأَنَّ ٱلۡكَٰفِرِينَ لَا مَوۡلَىٰ لَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۱۱⁩ کھولیں

    yeh iss liye kay Allah unn logon ka rakhwala hai jo emaan layen , aur kafiron ka koi rakhwala nahi hai .

  12. إِنَّ ٱللَّهَ يُدۡخِلُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يَتَمَتَّعُونَ وَيَأۡكُلُونَ كَمَا تَأۡكُلُ ٱلۡأَنۡعَٰمُ وَٱلنَّارُ مَثۡوٗى لَّهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۱۲⁩ کھولیں

    yaqeen rakho kay jo log emaan laye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , Allah unn ko aesay baaghaat mein dakhil keray ga jinn kay neechay nehren behti hon gi . aur jinhon ney kufr apna liya hai , woh ( yahan to ) mazay urra rahey hain , aur iss tarah kha rahey hain jaisay chopaye khatay hain , aur jahannum unn ka aakhri thikana hai .

  13. وَكَأَيِّن مِّن قَرۡيَةٍ هِيَ أَشَدُّ قُوَّةٗ مِّن قَرۡيَتِكَ ٱلَّتِيٓ أَخۡرَجَتۡكَ أَهۡلَكۡنَٰهُمۡ فَلَا نَاصِرَ لَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۱۳⁩ کھولیں

    aur kitni bastiyan hain jo taqat mein tumhari uss basti say ziyada mazboot then jiss ney ( aey payghumber ! ) tumhen nikala hai , unn sabb ko hum ney halak kerdiya , aur unn ka koi madadgaar naa huwa .

  14. أَفَمَن كَانَ عَلَىٰ بَيِّنَةٖ مِّن رَّبِّهِۦ كَمَن زُيِّنَ لَهُۥ سُوٓءُ عَمَلِهِۦ وَٱتَّبَعُوٓاْ أَهۡوَآءَهُم

    آیت ⁦۴۷:۱۴⁩ کھولیں

    abb batao kay jo log apney perwerdigar ki taraf say aik roshan raastay per hon , kiya woh unn jaisay hosaktay hain jinn ki bad-kaari hi unn kay liye khushnuma bana di gaee ho , aur woh apni nafsani khuwaishaat kay peechay chaltay hon-?

  15. مَّثَلُ ٱلۡجَنَّةِ ٱلَّتِي وُعِدَ ٱلۡمُتَّقُونَۖ فِيهَآ أَنۡهَٰرٞ مِّن مَّآءٍ غَيۡرِ ءَاسِنٖ وَأَنۡهَٰرٞ مِّن لَّبَنٖ لَّمۡ يَتَغَيَّرۡ طَعۡمُهُۥ وَأَنۡهَٰرٞ مِّنۡ خَمۡرٖ لَّذَّةٖ لِّلشَّٰرِبِينَ وَأَنۡهَٰرٞ مِّنۡ عَسَلٖ مُّصَفّٗىۖ وَلَهُمۡ فِيهَا مِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِ وَمَغۡفِرَةٞ مِّن رَّبِّهِمۡۖ كَمَنۡ هُوَ خَٰلِدٞ فِي ٱلنَّارِ وَسُقُواْ مَآءً حَمِيمٗا فَقَطَّعَ أَمۡعَآءَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۱۵⁩ کھولیں

    muttaqi logon say jiss jannat ka wada kiya gaya hai , uss ka haal yeh hai kay uss mein aesay paani ki nehren hain jo kharab honey wala nahi , aesay doodh ki nehren hain jiss ka zaiqa nahi badlay ga , aesi sharab ki nehren hain jo peenay walon kay liye sarapa lazzat hogi , aur aesay shehad ki nehren hain jo nithra huwa hoga , aur inn jannatiyon kay liye wahan her qisam kay phal hon gay , aur inn kay perwerdigar ki taraf say maghfirat ! kiya yeh log unn jaisay hosaktay hain jo hamesha dozakh mein rahen gay , aur unhen garam paani pilaya jaye ga , chunacheh woh unn ki aanton ko tukrray tukrray kerday ga-?

  16. وَمِنۡهُم مَّن يَسۡتَمِعُ إِلَيۡكَ حَتَّىٰٓ إِذَا خَرَجُواْ مِنۡ عِندِكَ قَالُواْ لِلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ مَاذَا قَالَ ءَانِفًاۚ أُوْلَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ طَبَعَ ٱللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ وَٱتَّبَعُوٓاْ أَهۡوَآءَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۱۶⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) inn mein say kuch log woh hain jo tumhari baaten kanon say to suntay hain , lekin jab tumharay paas say nikal ker jatay hain to jinhen ilm ata huwa hai , unn say poochtay hain kay : abhi abhi aap ( SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam ) ney kiya kaha tha-? yeh woh log hain jinn kay dilon per Allah ney mohar laga di hai , aur jo apni nafsani khuwaishaat kay peechay lagg gaye hain .

  17. وَٱلَّذِينَ ٱهۡتَدَوۡاْ زَادَهُمۡ هُدٗى وَءَاتَىٰهُمۡ تَقۡوَىٰهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۱۷⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney hidayat ka raasta ikhtiyar kiya hai , Allah ney unhen hidayat mein aur taraqqi di hai , aur unhen unn kay hissay ka taqwa ata farmaya hai .

  18. فَهَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا ٱلسَّاعَةَ أَن تَأۡتِيَهُم بَغۡتَةٗۖ فَقَدۡ جَآءَ أَشۡرَاطُهَاۚ فَأَنَّىٰ لَهُمۡ إِذَا جَآءَتۡهُمۡ ذِكۡرَىٰهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۱۸⁩ کھولیں

    abb kiya yeh ( kafir ) log qayamat hi ka intizar ker rahey hain kay woh yakayak inn per aan parray-? ( agar aisa hai ) to uss ki alamaten to aa-chuki hain . phir jab woh aa-hi jaye gi to uss waqt unn kay liye naseehat manney ka moaqa kahan say aaye ga-?

  19. فَٱعۡلَمۡ أَنَّهُۥ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا ٱللَّهُ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لِذَنۢبِكَ وَلِلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مُتَقَلَّبَكُمۡ وَمَثۡوَىٰكُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۱۹⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) yaqeen jano kay Allah kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi hai , aur apney qusoor per bhi bakhshish ki dua maangtay raho , aur musalman mardon aur aurton ki bakhshish ki bhi , aur Allah tum sabb ki naqal o harkat aur tumhari qayam gaah ko khoob janta hai .

  20. وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَوۡلَا نُزِّلَتۡ سُورَةٞۖ فَإِذَآ أُنزِلَتۡ سُورَةٞ مُّحۡكَمَةٞ وَذُكِرَ فِيهَا ٱلۡقِتَالُ رَأَيۡتَ ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ يَنظُرُونَ إِلَيۡكَ نَظَرَ ٱلۡمَغۡشِيِّ عَلَيۡهِ مِنَ ٱلۡمَوۡتِۖ فَأَوۡلَىٰ لَهُمۡ 

    آیت ⁦۴۷:۲۰⁩ کھولیں

    aur jo log emaan laye hain , woh kehtay hain kay : kiya acha ho kay koi ( naee ) surat nazil hojaye-? phir jab koi jachi tuli surat nazil hojaye , aur uss mein larraee ka ziker ho to jinn logon kay dilon mein rog hai , tum unhen dekho gay kay woh tumhari taraf iss tarah nazren uthaye huye hain jaisay kissi per moat ki ghashi taari ho . bari kharabi hai aesay logon ki .

  21. طَاعَةٞ وَقَوۡلٞ مَّعۡرُوفٞۚ فَإِذَا عَزَمَ ٱلۡأَمۡرُ فَلَوۡ صَدَقُواْ ٱللَّهَ لَكَانَ خَيۡرٗا لَّهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۲۱⁩ کھولیں

    yeh farmanbardaari ka izhar aur achi achi baaten kertay hain , lekin jab ( jihad ka ) hukum paka hojaye , uss waqt agar yeh Allah kay sath sachay niklen to inn kay haq mein acha ho .

  22. فَهَلۡ عَسَيۡتُمۡ إِن تَوَلَّيۡتُمۡ أَن تُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَتُقَطِّعُوٓاْ أَرۡحَامَكُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۲۲⁩ کھولیں

    phir agar tum ney ( jihad say ) mun morra to tum say kiya tawaqqo rakhi jaye-? yehi kay tum zameen mein fasad machao , aur apney khooni rishtay kaat daalo !

  23. أُوْلَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَعَنَهُمُ ٱللَّهُ فَأَصَمَّهُمۡ وَأَعۡمَىٰٓ أَبۡصَٰرَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۲۳⁩ کھولیں

    yeh woh log hain jinn ko Allah ney apni rehmat say door kerdiya hai , chunacheh unhen behra bana diya hai , aur unn ki aankhen andhi kerdi hain .

  24. أَفَلَا يَتَدَبَّرُونَ ٱلۡقُرۡءَانَ أَمۡ عَلَىٰ قُلُوبٍ أَقۡفَالُهَآ

    آیت ⁦۴۷:۲۴⁩ کھولیں

    bhala kiya yeh log Quran per ghor nahi kertay , ya dilon per woh taalay parray huye hain jo dilon per parra kertay hain-?

  25. إِنَّ ٱلَّذِينَ ٱرۡتَدُّواْ عَلَىٰٓ أَدۡبَٰرِهِم مِّنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ ٱلۡهُدَى ٱلشَّيۡطَٰنُ سَوَّلَ لَهُمۡ وَأَمۡلَىٰ لَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۲۵⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay jo log haq baat say peeth pher ker murr gaye hain , bawajood-yeh-kay hidayat unn kay samney khoob wazeh hochuki thi , unhen shetan ney patti parhai hai , aur unhen door daraz ki umeeden dilai hain .

  26. ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَالُواْ لِلَّذِينَ كَرِهُواْ مَا نَزَّلَ ٱللَّهُ سَنُطِيعُكُمۡ فِي بَعۡضِ ٱلۡأَمۡرِۖ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ إِسۡرَارَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۲۶⁩ کھولیں

    yeh sabb iss liye huwa kay jo log Allah ki nazil ki hoi baaton ko napasand kertay hain , inn ( munafiqon ) ney unn say yeh kaha hai kay : baaz moamlaat mein hum tumhari baat maanen gay . aur Allah unn ki khufiya baaton ko khoob janta hai .

  27. فَكَيۡفَ إِذَا تَوَفَّتۡهُمُ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ يَضۡرِبُونَ وُجُوهَهُمۡ وَأَدۡبَٰرَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۲۷⁩ کھولیں

    phir uss waqt unn ka kiya haal banay ga jab farishtay unn ki rooh iss tarah qabz keren gay kay unn kay chehron per aur peethon per maartay jatay hon gay-?

  28. ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمُ ٱتَّبَعُواْ مَآ أَسۡخَطَ ٱللَّهَ وَكَرِهُواْ رِضۡوَٰنَهُۥ فَأَحۡبَطَ أَعۡمَٰلَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۲۸⁩ کھولیں

    yeh sabb iss liye kay yeh uss tareeqay per chalay jiss ney Allah ko naraz kiya , aur uss ki raza mandi hasil kernay ko khud unhon ney napasand kiya , iss liye Allah ney unn kay aemal ikarat kerdiye .

  29. أَمۡ حَسِبَ ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٌ أَن لَّن يُخۡرِجَ ٱللَّهُ أَضۡغَٰنَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۲۹⁩ کھولیں

    jinn logon kay dilon mein ( nifaq ka ) rog hai , kiya woh yeh samajhtay hain kay unn kay chupay huye keenon ko Allah kabhi zahir nahi keray ga-?

  30. وَلَوۡ نَشَآءُ لَأَرَيۡنَٰكَهُمۡ فَلَعَرَفۡتَهُم بِسِيمَٰهُمۡۚ وَلَتَعۡرِفَنَّهُمۡ فِي لَحۡنِ ٱلۡقَوۡلِۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ أَعۡمَٰلَكُمۡ 

    آیت ⁦۴۷:۳۰⁩ کھولیں

    aur ( musalmano ! ) agar hum chahen to tumhen yeh log iss tarah dikha den kay tum unn ki alamat say unhen pehchan jao , aur ( abb bhi ) tum unhen baat kernay kay dhap say zaroor pehchan hi jao gay , aur Allah tum sabb kay aemal ko khoob janta hai .

  31. وَلَنَبۡلُوَنَّكُمۡ حَتَّىٰ نَعۡلَمَ ٱلۡمُجَٰهِدِينَ مِنكُمۡ وَٱلصَّٰبِرِينَ وَنَبۡلُوَاْ أَخۡبَارَكُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۳۱⁩ کھولیں

    aur hum zaroor tumhen aazmaesh mein daalen gay , takay hum yeh dekh len kay tum mein say kon hain jo mujahid aur sabit qadam rehney walay hain , aur takay tumharay halaat ki janch parrtaal kerlen .

  32. إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ وَشَآقُّواْ ٱلرَّسُولَ مِنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ ٱلۡهُدَىٰ لَن يَضُرُّواْ ٱللَّهَ شَيۡـٔٗا وَسَيُحۡبِطُ أَعۡمَٰلَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۳۲⁩ کھولیں

    yaqeen rakho kay jinn logon ney kufr apna liya hai , aur doosron ko Allah kay raastay say roka hai , aur payghumber say dushmani thaani hai bawajood-yeh-kay unn kay samney hidayat wazeh ho ker aagae thi , woh Allah ko hergiz koi nuqsan nahi phoncha saktay , aur unqareeb Allah unn ka sara kiya dhara gharat kerday ga .

  33. ۞يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَ وَلَا تُبۡطِلُوٓاْ أَعۡمَٰلَكُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۳۳⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! Allah ki itaat kero , aur Rasool ki itaat kero , aur apney aemal ko barbad naa kero .

  34. إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ ثُمَّ مَاتُواْ وَهُمۡ كُفَّارٞ فَلَن يَغۡفِرَ ٱللَّهُ لَهُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۳۴⁩ کھولیں

    jinn logon ney kufr apna liya hai , aur doosron ko Allah kay raastay say roka hai , phir kufr hi ki halat mein mar-gaye hain , Allah kabhi unn ko nahi bakhshay ga .

  35. فَلَا تَهِنُواْ وَتَدۡعُوٓاْ إِلَى ٱلسَّلۡمِ وَأَنتُمُ ٱلۡأَعۡلَوۡنَ وَٱللَّهُ مَعَكُمۡ وَلَن يَتِرَكُمۡ أَعۡمَٰلَكُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۳۵⁩ کھولیں

    lehaza ( aey musalmano ! ) tum kamzor parr ker sulah ki dawat naa do , tum hi sarbuland raho gay , Allah tumharay sath hai , aur woh tumharay aemal ko hergiz barbad nahi keray ga .

  36. إِنَّمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا لَعِبٞ وَلَهۡوٞۚ وَإِن تُؤۡمِنُواْ وَتَتَّقُواْ يُؤۡتِكُمۡ أُجُورَكُمۡ وَلَا يَسۡـَٔلۡكُمۡ أَمۡوَٰلَكُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۳۶⁩ کھولیں

    yeh dunyawi zindagi to bus khel tamasha hai , aur agar tum emaan lao , aur taqwa ikhtiyar kero to Allah tumharay ajar tumhen dey ga , aur tumharay maal tum say nahi maangay ga .

  37. إِن يَسۡـَٔلۡكُمُوهَا فَيُحۡفِكُمۡ تَبۡخَلُواْ وَيُخۡرِجۡ أَضۡغَٰنَكُمۡ

    آیت ⁦۴۷:۳۷⁩ کھولیں

    agar woh tum say tumharay maal talab keray , aur tum say sabb kuch samett ley to tum bukhul say kaam lo gay , aur woh tumharay dil ki naraziyon ko zahir kerday ga .

  38. هَٰٓأَنتُمۡ هَٰٓؤُلَآءِ تُدۡعَوۡنَ لِتُنفِقُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَمِنكُم مَّن يَبۡخَلُۖ وَمَن يَبۡخَلۡ فَإِنَّمَا يَبۡخَلُ عَن نَّفۡسِهِۦۚ وَٱللَّهُ ٱلۡغَنِيُّ وَأَنتُمُ ٱلۡفُقَرَآءُۚ وَإِن تَتَوَلَّوۡاْ يَسۡتَبۡدِلۡ قَوۡمًا غَيۡرَكُمۡ ثُمَّ لَا يَكُونُوٓاْ أَمۡثَٰلَكُم

    آیت ⁦۴۷:۳۸⁩ کھولیں

    dekho ! tum aesay ho kay tumhen Allah kay raastay mein kharch kernay kay liye bulaya jata hai to tum mein say kuch log hain jo bukhul say kaam letay hain , aur jo shaks bhi bukhul kerta hai , woh khud apney aap hi say bukhul kerta hai . aur Allah bey niaz hai , aur tum ho jo mohtaj ho . aur agar tum mun morro gay to woh tumhari jagah doosri qoam peda kerday ga , phir woh tum jaisay nahi hon gay .