الفتح

Al-Fath

سورت ۴۸ · آیات: ۲۹ · مدنی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. إِنَّا فَتَحۡنَا لَكَ فَتۡحٗا مُّبِينٗا

    آیت ⁦۴۸:۱⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) yaqeen jano , hum ney tumhen khuli hoi fatah ata kerdi hai ,

  2. لِّيَغۡفِرَ لَكَ ٱللَّهُ مَا تَقَدَّمَ مِن ذَنۢبِكَ وَمَا تَأَخَّرَ وَيُتِمَّ نِعۡمَتَهُۥ عَلَيۡكَ وَيَهۡدِيَكَ صِرَٰطٗا مُّسۡتَقِيمٗا

    آیت ⁦۴۸:۲⁩ کھولیں

    takay Allah tumhari agli pichli tamam kotahiyon ko moaaf kerday , aur takay apni naimat tum per mukammal kerday , aur tumhen seedhay raastay per ley chalay ,

  3. وَيَنصُرَكَ ٱللَّهُ نَصۡرًا عَزِيزًا

    آیت ⁦۴۸:۳⁩ کھولیں

    aur ( takay ) Allah tumhari aesi madad keray jo sabb per ghalib aajaye .

  4. هُوَ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ ٱلسَّكِينَةَ فِي قُلُوبِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ لِيَزۡدَادُوٓاْ إِيمَٰنٗا مَّعَ إِيمَٰنِهِمۡۗ وَلِلَّهِ جُنُودُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا

    آیت ⁦۴۸:۴⁩ کھولیں

    wohi hai jiss ney emaan walon kay dilon mein sakeenat utaar di , takay unn kay emaan mein mazeed emaan ka izafa ho aur aasmano aur zameen kay tamam lashkar Allah hi kay hain , aur Allah ilm ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik

  5. لِّيُدۡخِلَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَا وَيُكَفِّرَ عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عِندَ ٱللَّهِ فَوۡزًا عَظِيمٗا

    آیت ⁦۴۸:۵⁩ کھولیں

    takay woh momin mardon aur aurton ko aesay baaghaat mein dakhil keray jinn kay neechay nehren behti hain , jahan woh hamesha basay rahen gay , aur unn ki buraiyon ko unn say door kerday aur Allah kay nazdeek yeh bari zabardast kamiyabi hai

  6. وَيُعَذِّبَ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَٱلۡمُنَٰفِقَٰتِ وَٱلۡمُشۡرِكِينَ وَٱلۡمُشۡرِكَٰتِ ٱلظَّآنِّينَ بِٱللَّهِ ظَنَّ ٱلسَّوۡءِۚ عَلَيۡهِمۡ دَآئِرَةُ ٱلسَّوۡءِۖ وَغَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ وَلَعَنَهُمۡ وَأَعَدَّ لَهُمۡ جَهَنَّمَۖ وَسَآءَتۡ مَصِيرٗا

    آیت ⁦۴۸:۶⁩ کھولیں

    aur takay unn munafiq mardon aur munafiq aurton aur mushrik mardon aur mushrik aurton ko azab dey jo Allah kay sath bad-gumaniyan rakhtay hain . burai ka pher unhi per parra huwa hai , aur Allah unn say naraz hai , uss ney unn ko apni rehmat say door kerdiya hai , aur unn kay liye jahannum tayyar ker rakhi hai , aur woh boht hi bura thikana hai .

  7. وَلِلَّهِ جُنُودُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمًا

    آیت ⁦۴۸:۷⁩ کھولیں

    aur aasmano aur zameen kay tamam lashkar Allah hi kay hain , aur Allah iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .

  8. إِنَّآ أَرۡسَلۡنَٰكَ شَٰهِدٗا وَمُبَشِّرٗا وَنَذِيرٗا

    آیت ⁦۴۸:۸⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) hum ney tumhen gawahi denay wala , khushkhabri denay wala aur khabrdar kernay wala bana ker bheja hai ,

  9. لِّتُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَتُعَزِّرُوهُ وَتُوَقِّرُوهُۚ وَتُسَبِّحُوهُ بُكۡرَةٗ وَأَصِيلًا

    آیت ⁦۴۸:۹⁩ کھولیں

    takay ( aey logo ! ) tum Allah aur uss kay Rasool per emaan lao , aur uss ki madad kero , aur uss ki taazeem kero , aur subha o shaam Allah ki tasbeeh kertay raho .

  10. إِنَّ ٱلَّذِينَ يُبَايِعُونَكَ إِنَّمَا يُبَايِعُونَ ٱللَّهَ يَدُ ٱللَّهِ فَوۡقَ أَيۡدِيهِمۡۚ فَمَن نَّكَثَ فَإِنَّمَا يَنكُثُ عَلَىٰ نَفۡسِهِۦۖ وَمَنۡ أَوۡفَىٰ بِمَا عَٰهَدَ عَلَيۡهُ ٱللَّهَ فَسَيُؤۡتِيهِ أَجۡرًا عَظِيمٗا 

    آیت ⁦۴۸:۱۰⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) jo log tum say beyat ker rahey hain woh dar-haqeeqat Allah say beyat ker-rahey hain . Allah ka haath unn kay haathon per hai . uss kay baad jo koi ehad torray ga , uss kay ehad torrney ka wabal ussi per parray ga , aur jo koi uss ehad ko poora keray ga jo uss ney Allah say kiya hai , to Allah uss ko zabardast sawab ata keray ga .

  11. سَيَقُولُ لَكَ ٱلۡمُخَلَّفُونَ مِنَ ٱلۡأَعۡرَابِ شَغَلَتۡنَآ أَمۡوَٰلُنَا وَأَهۡلُونَا فَٱسۡتَغۡفِرۡ لَنَاۚ يَقُولُونَ بِأَلۡسِنَتِهِم مَّا لَيۡسَ فِي قُلُوبِهِمۡۚ قُلۡ فَمَن يَمۡلِكُ لَكُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔا إِنۡ أَرَادَ بِكُمۡ ضَرًّا أَوۡ أَرَادَ بِكُمۡ نَفۡعَۢاۚ بَلۡ كَانَ ٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرَۢا

    آیت ⁦۴۸:۱۱⁩ کھولیں

    woh dehaati jo ( hudaibia kay safar mein ) peechay reh gaye thay , abb woh tum say zaroor yeh kahen gay kay : humaray maal o dolat aur humaray ehal o ayaal ney hamen mashghool kerliya tha , iss liye humaray liye maghfirat ki dua ker-dijiye . woh apni zabanon say woh baaten kehtay hain jo unn kay dilon mein nahi hoten . ( unn say ) kaho kay : acha to agar Allah tumhen koi nuqsan phonchana chahye ya faeeda phonchana chahye to kon hai jo Allah kay samney tumharay moamlay mein kuch bhi kernay ki taqat rakhta ho-? balkay jo kuch tum kertay ho , Allah uss say poori tarah ba-khabar hai .

  12. بَلۡ ظَنَنتُمۡ أَن لَّن يَنقَلِبَ ٱلرَّسُولُ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ إِلَىٰٓ أَهۡلِيهِمۡ أَبَدٗا وَزُيِّنَ ذَٰلِكَ فِي قُلُوبِكُمۡ وَظَنَنتُمۡ ظَنَّ ٱلسَّوۡءِ وَكُنتُمۡ قَوۡمَۢا بُورٗا

    آیت ⁦۴۸:۱۲⁩ کھولیں

    haqeeqat to yeh hai kay tum ney yeh samjha tha kay Rasool ( SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam ) aur doosray musalman kabhi apney ghar walon kay paas loat ker nahi ayen gay , aur yehi baat tumharay dilon ko achi maloom hoti thi , aur tum ney buray buray gumaan kiye thay , aur tum aesay log ban gaye thay jinhen barbad hona tha .

  13. وَمَن لَّمۡ يُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ فَإِنَّآ أَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ سَعِيرٗا

    آیت ⁦۴۸:۱۳⁩ کھولیں

    aur jo shaks Allah aur uss kay Rasool per emaan naa laye , to ( woh yaad rakhay kay ) hum ney kafiron kay liye bharakti hoi aag tayyar ker rakhi hai .

  14. وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ يَغۡفِرُ لِمَن يَشَآءُ وَيُعَذِّبُ مَن يَشَآءُۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا

    آیت ⁦۴۸:۱۴⁩ کھولیں

    aur aasmano aur zameen ki saltanat tamam tarr Allah hi ki hai , woh jiss ko chahye , bakhsh dey , aur jiss ko chahye , azab dey , aur Allah boht bakhshney wala , boht meharban hai .

  15. سَيَقُولُ ٱلۡمُخَلَّفُونَ إِذَا ٱنطَلَقۡتُمۡ إِلَىٰ مَغَانِمَ لِتَأۡخُذُوهَا ذَرُونَا نَتَّبِعۡكُمۡۖ يُرِيدُونَ أَن يُبَدِّلُواْ كَلَٰمَ ٱللَّهِۚ قُل لَّن تَتَّبِعُونَا كَذَٰلِكُمۡ قَالَ ٱللَّهُ مِن قَبۡلُۖ فَسَيَقُولُونَ بَلۡ تَحۡسُدُونَنَاۚ بَلۡ كَانُواْ لَا يَفۡقَهُونَ إِلَّا قَلِيلٗا

    آیت ⁦۴۸:۱۵⁩ کھولیں

    . ( musalmano ! ) jab tum ghaneemat kay maal lenay kay liye chalo gay to yeh ( hudaibia kay safar say ) peechay rehney walay tum say kahen gay kay : hamen bhi apney sath chalney do . woh chahen gay kay Allah ki baat ko badal den . tum keh dena kay : tum hergiz humaray sath nahi chalo gay . Allah ney pehlay say yun hi farma rakha hai . iss per woh kahen gay kay : darasal aap log hum say hasad rakhtay hain . nahi ! balkay haqeeqat yeh hai kay yeh log khud hi aesay hain kay boht kam baat samajhtay hain .

  16. قُل لِّلۡمُخَلَّفِينَ مِنَ ٱلۡأَعۡرَابِ سَتُدۡعَوۡنَ إِلَىٰ قَوۡمٍ أُوْلِي بَأۡسٖ شَدِيدٖ تُقَٰتِلُونَهُمۡ أَوۡ يُسۡلِمُونَۖ فَإِن تُطِيعُواْ يُؤۡتِكُمُ ٱللَّهُ أَجۡرًا حَسَنٗاۖ وَإِن تَتَوَلَّوۡاْ كَمَا تَوَلَّيۡتُم مِّن قَبۡلُ يُعَذِّبۡكُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا

    آیت ⁦۴۸:۱۶⁩ کھولیں

    inn peechay rehney walay dehaatiyon say keh dena kay : unqareeb tumhen aesay logon kay paas ( larrney kay liye ) bulaya jaye ga jo baray sakht jangjoo hon gay , kay ya to unn say larrtay raho , ya woh itaat qubool kerlen . uss waqt agar tum ( jihad kay uss hukum ki ) itaat kero gay to Allah tumhen acha ajar dey ga , aur agar tum mun morro gay jaisa kay tum ney pehlay mun morra tha to Allah tumhen dardnak azab dey ga .

  17. لَّيۡسَ عَلَى ٱلۡأَعۡمَىٰ حَرَجٞ وَلَا عَلَى ٱلۡأَعۡرَجِ حَرَجٞ وَلَا عَلَى ٱلۡمَرِيضِ حَرَجٞۗ وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ يُدۡخِلۡهُ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ وَمَن يَتَوَلَّ يُعَذِّبۡهُ عَذَابًا أَلِيمٗا

    آیت ⁦۴۸:۱۷⁩ کھولیں

    andhay aadmi per ( jihad naa kernay ka ) koi gunah nahi hai , naa langray aadmi per koi gunah hai , aur naa beemar aadmi per gunah hai . aur jo shaks bhi Allah aur uss kay Rasool ka kehna maaney , Allah uss ko aesi jannaton mein dakhil keray ga jinn kay neechay nehren behti hon gi . aur jo koi mun morray ga , ussay dardnak azab dey ga .

  18. ۞لَّقَدۡ رَضِيَ ٱللَّهُ عَنِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ إِذۡ يُبَايِعُونَكَ تَحۡتَ ٱلشَّجَرَةِ فَعَلِمَ مَا فِي قُلُوبِهِمۡ فَأَنزَلَ ٱلسَّكِينَةَ عَلَيۡهِمۡ وَأَثَٰبَهُمۡ فَتۡحٗا قَرِيبٗا

    آیت ⁦۴۸:۱۸⁩ کھولیں

    yaqeenan Allah unn mominon say bara khush huwa jab woh darkht kay neechay tum say beyat ker rahey thay , aur unn kay dilon mein jo kuch tha woh bhi Allah ko maloom tha , iss liye uss ney unn per sakeenat utaar di , aur unn ko inaam mein aik qareebi fatah ata farma di ,

  19. وَمَغَانِمَ كَثِيرَةٗ يَأۡخُذُونَهَاۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمٗا

    آیت ⁦۴۸:۱۹⁩ کھولیں

    aur ghaneemat mein milney walay boht say maal bhi jo unn kay haath ayen gay ! aur Allah iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .

  20. وَعَدَكُمُ ٱللَّهُ مَغَانِمَ كَثِيرَةٗ تَأۡخُذُونَهَا فَعَجَّلَ لَكُمۡ هَٰذِهِۦ وَكَفَّ أَيۡدِيَ ٱلنَّاسِ عَنكُمۡ وَلِتَكُونَ ءَايَةٗ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ وَيَهۡدِيَكُمۡ صِرَٰطٗا مُّسۡتَقِيمٗا 

    آیت ⁦۴۸:۲۰⁩ کھولیں

    Allah ney tum say boht say maal-e-ghaneemat ka wada ker rakha hai jo tum hasil kero gay , abb fori tor per uss ney tumhen yeh fatah dey di hai , aur logon kay haathon ko tum say rok diya , takay yeh mominon kay liye aik nishani ban jaye , aur tumhen Allah seedhay raastay per daal dey ,

  21. وَأُخۡرَىٰ لَمۡ تَقۡدِرُواْ عَلَيۡهَا قَدۡ أَحَاطَ ٱللَّهُ بِهَاۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٗا

    آیت ⁦۴۸:۲۱⁩ کھولیں

    aur aik fatah aur bhi hai jo abhi tumharay qaboo mein nahi aai , lekin Allah ney uss ko apney ehatay mein ley rakha hai , aur Allah her cheez per poori tarah qadir hai .

  22. وَلَوۡ قَٰتَلَكُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوَلَّوُاْ ٱلۡأَدۡبَٰرَ ثُمَّ لَا يَجِدُونَ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرٗا

    آیت ⁦۴۸:۲۲⁩ کھولیں

    aur yeh kafir log tum say larrtay to yaqeenan peeth pher ker bhag jatay , phir enhen koi yaar o madadgaar bhi naa milta ,

  23. سُنَّةَ ٱللَّهِ ٱلَّتِي قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلُۖ وَلَن تَجِدَ لِسُنَّةِ ٱللَّهِ تَبۡدِيلٗا

    آیت ⁦۴۸:۲۳⁩ کھولیں

    jaisa kay Allah ka yehi dastoor hai jo pehlay say chala aata hai , aur tum Allah kay dastoor mein hergiz tabdeeli nahi pao gay .

  24. وَهُوَ ٱلَّذِي كَفَّ أَيۡدِيَهُمۡ عَنكُمۡ وَأَيۡدِيَكُمۡ عَنۡهُم بِبَطۡنِ مَكَّةَ مِنۢ بَعۡدِ أَنۡ أَظۡفَرَكُمۡ عَلَيۡهِمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرًا

    آیت ⁦۴۸:۲۴⁩ کھولیں

    aur wohi Allah hai jiss ney makkah ki wadi mein unn kay haathon ko tum tak phonchney say , aur tumharay haathon ko unn tak phonchney say rok diya , jabkay woh tumhen unn per qaboo dey chuka tha , aur jo kuch tum ker rahey thay Allah ussay dekh raha tha .

  25. هُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّوكُمۡ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ وَٱلۡهَدۡيَ مَعۡكُوفًا أَن يَبۡلُغَ مَحِلَّهُۥۚ وَلَوۡلَا رِجَالٞ مُّؤۡمِنُونَ وَنِسَآءٞ مُّؤۡمِنَٰتٞ لَّمۡ تَعۡلَمُوهُمۡ أَن تَطَـُٔوهُمۡ فَتُصِيبَكُم مِّنۡهُم مَّعَرَّةُۢ بِغَيۡرِ عِلۡمٖۖ لِّيُدۡخِلَ ٱللَّهُ فِي رَحۡمَتِهِۦ مَن يَشَآءُۚ لَوۡ تَزَيَّلُواْ لَعَذَّبۡنَا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ عَذَابًا أَلِيمًا

    آیت ⁦۴۸:۲۵⁩ کھولیں

    yehi log to hain jinhon ney kufr ikhtiyar kiya , aur tumhen masjid-e-haram say roka , aur qurbani kay janweron ko jo thehray huye kharray thay , apni jagah phonchney say rok diya . aur agar kuch musalman mard aur musalman aurten ( makkah mein ) naa hoten jinn kay baaray mein tumhen khabar bhi naa hoti kay tum unhen pees daalo gay , aur uss ki wajeh say bey khabri mein tum ko nuqsan phonch jata ( to hum inn kafiron say tumhari sulah kay bajaye jang kerwa detay , lekin hum ney jang ko iss liye roka ) takay Allah jiss ko chahye , apni rehmat mein dakhil kerday . ( albatta ) agar woh musalman wahan say hatt jatay to hum inn ( ehal-e-makkah ) mein say jo kafir thay , unhen dardnak saza detay .

  26. إِذۡ جَعَلَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلۡحَمِيَّةَ حَمِيَّةَ ٱلۡجَٰهِلِيَّةِ فَأَنزَلَ ٱللَّهُ سَكِينَتَهُۥ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ وَعَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَأَلۡزَمَهُمۡ كَلِمَةَ ٱلتَّقۡوَىٰ وَكَانُوٓاْ أَحَقَّ بِهَا وَأَهۡلَهَاۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٗا

    آیت ⁦۴۸:۲۶⁩ کھولیں

    . ( chunacheh ) jab inn kafiron ney apney dilon mein uss hamiyat ko jagah di jo jahiliyat ki hamiyat thi to Allah ney apni taraf say apney payghumber aur musalmanon per sakeenat nazil farmaee , aur unn ko taqwa ki baat per jamaye rakha , aur woh issi kay ziyada haq daar aur iss kay ehal thay , aur Allah her cheez ko khoob janney wala hai .

  27. لَّقَدۡ صَدَقَ ٱللَّهُ رَسُولَهُ ٱلرُّءۡيَا بِٱلۡحَقِّۖ لَتَدۡخُلُنَّ ٱلۡمَسۡجِدَ ٱلۡحَرَامَ إِن شَآءَ ٱللَّهُ ءَامِنِينَ مُحَلِّقِينَ رُءُوسَكُمۡ وَمُقَصِّرِينَ لَا تَخَافُونَۖ فَعَلِمَ مَا لَمۡ تَعۡلَمُواْ فَجَعَلَ مِن دُونِ ذَٰلِكَ فَتۡحٗا قَرِيبًا

    آیت ⁦۴۸:۲۷⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay Allah ney apney Rasool ko sacha khuwab dikhaya hai jo waqaey kay bilkul mutabiq hai . tum log inn sha Allah zaroor masjid-e-haram mein iss tarah aman o aman kay sath dakhil hogay kay tum ( mein say kuch ) ney apney saron ko bey khof o khatar mundwaya hoga , aur ( kuch ney ) baal tarashney hon gay . Allah woh baaten janta hai jo tumhen maloom nahi hain . chunacheh uss ney woh khuwab poora honey say pehlay aik qareebi fatah tey kerdi hai .

  28. هُوَ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ رَسُولَهُۥ بِٱلۡهُدَىٰ وَدِينِ ٱلۡحَقِّ لِيُظۡهِرَهُۥ عَلَى ٱلدِّينِ كُلِّهِۦۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدٗا

    آیت ⁦۴۸:۲۸⁩ کھولیں

    wohi hai jiss ney apney Rasool ko hidayat aur sacha deen dey ker bheja hai , takay ussay her doosray deen per ghalib kerday . aur ( uss ki ) gawahi denay kay liye Allah kafi hai .

  29. مُّحَمَّدٞ رَّسُولُ ٱللَّهِۚ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥٓ أَشِدَّآءُ عَلَى ٱلۡكُفَّارِ رُحَمَآءُ بَيۡنَهُمۡۖ تَرَىٰهُمۡ رُكَّعٗا سُجَّدٗا يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّنَ ٱللَّهِ وَرِضۡوَٰنٗاۖ سِيمَاهُمۡ فِي وُجُوهِهِم مِّنۡ أَثَرِ ٱلسُّجُودِۚ ذَٰلِكَ مَثَلُهُمۡ فِي ٱلتَّوۡرَىٰةِۚ وَمَثَلُهُمۡ فِي ٱلۡإِنجِيلِ كَزَرۡعٍ أَخۡرَجَ شَطۡـَٔهُۥ فَـَٔازَرَهُۥ فَٱسۡتَغۡلَظَ فَٱسۡتَوَىٰ عَلَىٰ سُوقِهِۦ يُعۡجِبُ ٱلزُّرَّاعَ لِيَغِيظَ بِهِمُ ٱلۡكُفَّارَۗ وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ مِنۡهُم مَّغۡفِرَةٗ وَأَجۡرًا عَظِيمَۢا

    آیت ⁦۴۸:۲۹⁩ کھولیں

    Muhammad ( SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam ) Allah kay Rasool hain , aur jo log unn kay sath hain , woh kafiron kay muqablay mein sakht hain , ( aur ) aapas mein aik doosray kay liye reham dil hain . tum unhen dekho gay kay kabhi rukoo mein hain , kabhi sajday mein , ( gharz ) Allah kay fazal aur khushnoodi ki talash mein lagay huye hain . unn ki alamaten sajday kay asar say unn kay chehron per numaya hain . yeh hain unn kay woh osaaf jo toraat mein mazkoor hain . aur injeel mein unn ki misal yeh hai kay jaisay aik kheti ho jiss ney apni konpal nikali , phir uss ko mazboot kiya , phir woh moti hogaee , phir woh apney taney per iss tarah seedhi kharri hogaee kay kaashtkaar uss say khush hotay hain , takay Allah unn ( ki iss taraqqi ) say kafiron ka dil jalaye . yeh log jo emaan laye hain , aur enhon ney naik amal kiye hain , Allah ney inn say maghfirat aur zabardast sawab ka wada kerliya hai .