الإسراء

Al-Israa

سورت ۱۷ · آیات: ۱۱۱ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. سُبۡحَٰنَ ٱلَّذِيٓ أَسۡرَىٰ بِعَبۡدِهِۦ لَيۡلٗا مِّنَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ إِلَى ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡأَقۡصَا ٱلَّذِي بَٰرَكۡنَا حَوۡلَهُۥ لِنُرِيَهُۥ مِنۡ ءَايَٰتِنَآۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡبَصِيرُ

    آیت ⁦۱۷:۱⁩ کھولیں

    pak hai woh zaat jo apney banday ko raaton raat masjid-e-haram say masjid-e-aqsa tak ley gaee jiss kay mahol per hum ney barkaten nazil ki hain , takay hum unhen apni kuch nishaniyan dikhayen . beyshak woh her baat sunney wali , her cheez dekhney wali zaat hai .

  2. وَءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ وَجَعَلۡنَٰهُ هُدٗى لِّبَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ أَلَّا تَتَّخِذُواْ مِن دُونِي وَكِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۲⁩ کھولیں

    aur hum ney musa ko kitab di thi , aur uss ko bani Israel kay liye iss hidayat ka zariya banaya tha kay tum meray siwa kissi aur ko apna kaarsaz qarar naa dena ,

  3. ذُرِّيَّةَ مَنۡ حَمَلۡنَا مَعَ نُوحٍۚ إِنَّهُۥ كَانَ عَبۡدٗا شَكُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۳⁩ کھولیں

    aey unn logon ki aulad jinn ko hum ney nooh kay sath kashti mein sawar kiya tha ! aur woh baray shukar guzaar banday thay .

  4. وَقَضَيۡنَآ إِلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ فِي ٱلۡكِتَٰبِ لَتُفۡسِدُنَّ فِي ٱلۡأَرۡضِ مَرَّتَيۡنِ وَلَتَعۡلُنَّ عُلُوّٗا كَبِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۴⁩ کھولیں

    aur hum ney kitab mein faisla ker kay bano Israel ko iss baat say aagah kerdiya tha kay tum zameen mein do martaba fasad machao gay , aur bari sarkashi ka muzahira kero gay .

  5. فَإِذَا جَآءَ وَعۡدُ أُولَىٰهُمَا بَعَثۡنَا عَلَيۡكُمۡ عِبَادٗا لَّنَآ أُوْلِي بَأۡسٖ شَدِيدٖ فَجَاسُواْ خِلَٰلَ ٱلدِّيَارِۚ وَكَانَ وَعۡدٗا مَّفۡعُولٗا

    آیت ⁦۱۷:۵⁩ کھولیں

    chunacheh jab inn do waqiyaat mein say pehla waqiaa paish aaya to hum ney tumharay saron per apney aesay banday musallat kerdiye jo sakht jangjoo thay , aur woh tumharay shehron mein ghuss ker phel gaye . aur yeh aik aisa wada tha jissay poora ho ker rehna hi tha .

  6. ثُمَّ رَدَدۡنَا لَكُمُ ٱلۡكَرَّةَ عَلَيۡهِمۡ وَأَمۡدَدۡنَٰكُم بِأَمۡوَٰلٖ وَبَنِينَ وَجَعَلۡنَٰكُمۡ أَكۡثَرَ نَفِيرًا

    آیت ⁦۱۷:۶⁩ کھولیں

    phir hum ney tumhen yeh moaqa diya kay tum palat ker unn per ghalib aao , aur tumharay maal o dolat aur aulad mein izafa kiya , aur tumhari nafri pehlay say ziyada barha di .

  7. إِنۡ أَحۡسَنتُمۡ أَحۡسَنتُمۡ لِأَنفُسِكُمۡۖ وَإِنۡ أَسَأۡتُمۡ فَلَهَاۚ فَإِذَا جَآءَ وَعۡدُ ٱلۡأٓخِرَةِ لِيَسُـُٔواْ وُجُوهَكُمۡ وَلِيَدۡخُلُواْ ٱلۡمَسۡجِدَ كَمَا دَخَلُوهُ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَلِيُتَبِّرُواْ مَا عَلَوۡاْ تَتۡبِيرًا

    آیت ⁦۱۷:۷⁩ کھولیں

    agar tum achay kaam kero gay to apney hi faeeday kay liye kero gay , aur buray kaam kero gay to bhi woh tumharay liye hi bura hoga . chunacheh jab doosray waqaey ki miyaad aai ( to hum ney doosray dushmanon ko tum per musallat kerdiya ) takay woh tumharay chehron ko bigaar daalen , aur takay woh masjid mein ussi tarah dakhil hon jaisay pehlay log dakhil huye thay , aur jiss jiss cheez per unn ka zor chalay , uss ko tehas nehas ker kay rakh den .

  8. عَسَىٰ رَبُّكُمۡ أَن يَرۡحَمَكُمۡۚ وَإِنۡ عُدتُّمۡ عُدۡنَاۚ وَجَعَلۡنَا جَهَنَّمَ لِلۡكَٰفِرِينَ حَصِيرًا

    آیت ⁦۱۷:۸⁩ کھولیں

    aen mumkin hai kay ( abb ) tumhara rab tum per reham keray . lekin agar tum phir wohi kaam kero gay , to hum bhi dobara wohi keren gay , aur hum ney jahannum ko kafiron kay liye qaid khana bana hi rakha hai .

  9. إِنَّ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانَ يَهۡدِي لِلَّتِي هِيَ أَقۡوَمُ وَيُبَشِّرُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ ٱلَّذِينَ يَعۡمَلُونَ ٱلصَّٰلِحَٰتِ أَنَّ لَهُمۡ أَجۡرٗا كَبِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۹⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay yeh Quran woh raasta dikhata hai jo sabb say ziyada seedha hai , aur jo log ( iss per ) emaan laaker naik amal kertay hain , unhen khushkhabri deta hai kay unn kay liye bara ajar hai ,

  10. وَأَنَّ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ أَعۡتَدۡنَا لَهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا 

    آیت ⁦۱۷:۱۰⁩ کھولیں

    aur yeh batata hai kay jo log aakhirat per emaan nahi rakhtay , unn kay liye hum ney aik dardnak azab tayyar ker rakha hai .

  11. وَيَدۡعُ ٱلۡإِنسَٰنُ بِٱلشَّرِّ دُعَآءَهُۥ بِٱلۡخَيۡرِۖ وَكَانَ ٱلۡإِنسَٰنُ عَجُولٗا

    آیت ⁦۱۷:۱۱⁩ کھولیں

    aur insan burai iss tarah maangta hai jaisay ussay bhalai maangni chahiye , aur insan bara jald baaz waqay huwa hai .

  12. وَجَعَلۡنَا ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَ ءَايَتَيۡنِۖ فَمَحَوۡنَآ ءَايَةَ ٱلَّيۡلِ وَجَعَلۡنَآ ءَايَةَ ٱلنَّهَارِ مُبۡصِرَةٗ لِّتَبۡتَغُواْ فَضۡلٗا مِّن رَّبِّكُمۡ وَلِتَعۡلَمُواْ عَدَدَ ٱلسِّنِينَ وَٱلۡحِسَابَۚ وَكُلَّ شَيۡءٖ فَصَّلۡنَٰهُ تَفۡصِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۱۲⁩ کھولیں

    aur hum ney raat aur din ko do nishaniyon kay tor per peda kiya hai . phir raat ki nishani ko to andheri bana diya , aur din ki nishani ko roshan kerdiya , takay tum apney rab ka fazal talash ker-sako-? , aur takay tumhen salon ki ginti aur ( maheenon ka ) hisab maloom hosakay . aur hum ney her cheez ko alag alag wazeh kerdiya hai .

  13. وَكُلَّ إِنسَٰنٍ أَلۡزَمۡنَٰهُ طَٰٓئِرَهُۥ فِي عُنُقِهِۦۖ وَنُخۡرِجُ لَهُۥ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ كِتَٰبٗا يَلۡقَىٰهُ مَنشُورًا

    آیت ⁦۱۷:۱۳⁩ کھولیں

    aur her shaks ( kay amal ) ka anjam hum ney uss kay apney galay say chimta diya hai , aur qayamat kay din hum ( uss ka ) aemal nama aik tehreer ki shakal mein nikal ker uss kay samney kerden gay jissay woh khula huwa dekhay ga .

  14. ٱقۡرَأۡ كِتَٰبَكَ كَفَىٰ بِنَفۡسِكَ ٱلۡيَوۡمَ عَلَيۡكَ حَسِيبٗا

    آیت ⁦۱۷:۱۴⁩ کھولیں

    . ( kaha jaye ga kay ) lo parh lo apna aemal nama ! aaj tum khud apna hisab lenay kay liye kafi ho .

  15. مَّنِ ٱهۡتَدَىٰ فَإِنَّمَا يَهۡتَدِي لِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن ضَلَّ فَإِنَّمَا يَضِلُّ عَلَيۡهَاۚ وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰۗ وَمَا كُنَّا مُعَذِّبِينَ حَتَّىٰ نَبۡعَثَ رَسُولٗا

    آیت ⁦۱۷:۱۵⁩ کھولیں

    jo shaks seedhi raah per chalta hai , to woh khud apney faeeday kay liye chalta hai , aur jo gumrahi ka raasta ikhtiyar kerta hai , woh apney hi nuqsan kay liye ikhtiyar kerta hai . aur koi bojh uthaney wala kissi doosray ka bojh nahi uthaye ga . aur hum kabhi kissi ko uss waqt tak saza nahi detay jab tak koi payghumber ( uss kay paas ) naa bhej den .

  16. وَإِذَآ أَرَدۡنَآ أَن نُّهۡلِكَ قَرۡيَةً أَمَرۡنَا مُتۡرَفِيهَا فَفَسَقُواْ فِيهَا فَحَقَّ عَلَيۡهَا ٱلۡقَوۡلُ فَدَمَّرۡنَٰهَا تَدۡمِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۱۶⁩ کھولیں

    aur jab hum kissi basti ko halak kernay ka irada kertay hain to uss kay khush haal logon ko ( emaan aur itaat ka ) hukum detay hain , phir woh wahan nafarmaniyan kertay hain , to unn per baat poori hojati hai , chunacheh hum unhen tabah o barbad ker daaltay hain .

  17. وَكَمۡ أَهۡلَكۡنَا مِنَ ٱلۡقُرُونِ مِنۢ بَعۡدِ نُوحٖۗ وَكَفَىٰ بِرَبِّكَ بِذُنُوبِ عِبَادِهِۦ خَبِيرَۢا بَصِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۱۷⁩ کھولیں

    aur kitni hi naslen hain jo hum ney nooh kay baad halak ken ! aur tumhara rab apney bandon kay gunahon say poori tarah ba-khabar hai , sabb kuch dekh raha hai .

  18. مَّن كَانَ يُرِيدُ ٱلۡعَاجِلَةَ عَجَّلۡنَا لَهُۥ فِيهَا مَا نَشَآءُ لِمَن نُّرِيدُ ثُمَّ جَعَلۡنَا لَهُۥ جَهَنَّمَ يَصۡلَىٰهَا مَذۡمُومٗا مَّدۡحُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۱۸⁩ کھولیں

    jo shaks duniya kay fori faeeday hi chahta hai to hum jiss kay liye chahtay hain , jitna chahtay hain , ussay yahin per jaldi dey detay hain , phir uss kay liye hum ney jahannum rakh chorri hai jiss mein woh zaleel o khuwar ho ker dakhil hoga .

  19. وَمَنۡ أَرَادَ ٱلۡأٓخِرَةَ وَسَعَىٰ لَهَا سَعۡيَهَا وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَأُوْلَٰٓئِكَ كَانَ سَعۡيُهُم مَّشۡكُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۱۹⁩ کھولیں

    aur jo shaks aakhirat ( ka faeeda ) chahye , aur uss kay liye wesi hi koshish keray jaisi uss kay liye kerni chahye , jabkay woh momin bhi ho , to aesay logon ki koshish ki poori qadar daani ki jaye gi .

  20. كُلّٗا نُّمِدُّ هَٰٓؤُلَآءِ وَهَٰٓؤُلَآءِ مِنۡ عَطَآءِ رَبِّكَۚ وَمَا كَانَ عَطَآءُ رَبِّكَ مَحۡظُورًا 

    آیت ⁦۱۷:۲۰⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) jahan tak ( duniya mein ) tumharay rab ki ata ka talluq hai , hum inn ko bhi uss say nawaztay hain , aur unn ko bhi . aur ( duniya mein ) tumharay rab ki ata kissi kay liye band nahi hai .

  21. ٱنظُرۡ كَيۡفَ فَضَّلۡنَا بَعۡضَهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۚ وَلَلۡأٓخِرَةُ أَكۡبَرُ دَرَجَٰتٖ وَأَكۡبَرُ تَفۡضِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۲۱⁩ کھولیں

    dekho hum ney kiss tarah unn mein say aik ko doosray per fazilat dey rakhi hai . aur yaqeen rakho kay aakhirat darjaat kay aetbar say bhi boht bari hai , aur fazilat kay aetbar say bhi kahen ziyada hai .

  22. لَّا تَجۡعَلۡ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ فَتَقۡعُدَ مَذۡمُومٗا مَّخۡذُولٗا

    آیت ⁦۱۷:۲۲⁩ کھولیں

    Allah kay sath kissi aur ko mabood naa banao , werna tum qabil-e-malamat ( aur ) bey-yaro-madadgaar ho ker beth raho gay .

  23. ۞وَقَضَىٰ رَبُّكَ أَلَّا تَعۡبُدُوٓاْ إِلَّآ إِيَّاهُ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَٰنًاۚ إِمَّا يَبۡلُغَنَّ عِندَكَ ٱلۡكِبَرَ أَحَدُهُمَآ أَوۡ كِلَاهُمَا فَلَا تَقُل لَّهُمَآ أُفّٖ وَلَا تَنۡهَرۡهُمَا وَقُل لَّهُمَا قَوۡلٗا كَرِيمٗا

    آیت ⁦۱۷:۲۳⁩ کھولیں

    aur tumharay perwerdigar ney yeh hukum diya hai kay uss kay siwa kissi ki ibadat naa kero , aur walaiden kay sath acha sulook kero . agar walaiden mein say koi aik ya dono tumharay paas burhapay ko phonch jayen to unhen uff tak naa kaho , aur naa unhen jhirko , balkay unn say izzat kay sath baat kiya kero ,

  24. وَٱخۡفِضۡ لَهُمَا جَنَاحَ ٱلذُّلِّ مِنَ ٱلرَّحۡمَةِ وَقُل رَّبِّ ٱرۡحَمۡهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۲۴⁩ کھولیں

    aur unn kay sath mohabbat ka bartao kertay huye unn kay samney apney aap ko inkisari say jhukao , aur yeh dua kero kay : ya rab ! jiss tarah unhon ney meray bachpan mein mujhay paala hai , aap bhi unn kay sath rehmat ka moamla kijiye .

  25. رَّبُّكُمۡ أَعۡلَمُ بِمَا فِي نُفُوسِكُمۡۚ إِن تَكُونُواْ صَٰلِحِينَ فَإِنَّهُۥ كَانَ لِلۡأَوَّٰبِينَ غَفُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۲۵⁩ کھولیں

    tumhara rab khoob janta hai kay tumharay dilon mein kiya hai . agar tum naik ban jao , to woh unn logon ki khatayen boht moaaf kerta hai jo kasrat say iss/uss ki taraf rujoo kertay hain .

  26. وَءَاتِ ذَا ٱلۡقُرۡبَىٰ حَقَّهُۥ وَٱلۡمِسۡكِينَ وَٱبۡنَ ٱلسَّبِيلِ وَلَا تُبَذِّرۡ تَبۡذِيرًا

    آیت ⁦۱۷:۲۶⁩ کھولیں

    aur rishta daar ko uss ka haq do , aur miskeen aur musafir ko ( unn ka haq , ) aur apney maal ko beyhooda kamon mein naa urao .

  27. إِنَّ ٱلۡمُبَذِّرِينَ كَانُوٓاْ إِخۡوَٰنَ ٱلشَّيَٰطِينِۖ وَكَانَ ٱلشَّيۡطَٰنُ لِرَبِّهِۦ كَفُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۲۷⁩ کھولیں

    yaqeen jano kay jo log beyhooda kamon mein maal uratay hain , woh shetan kay bhai hain , aur shetan apney perwerdigar ka bara nashukra hai .

  28. وَإِمَّا تُعۡرِضَنَّ عَنۡهُمُ ٱبۡتِغَآءَ رَحۡمَةٖ مِّن رَّبِّكَ تَرۡجُوهَا فَقُل لَّهُمۡ قَوۡلٗا مَّيۡسُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۲۸⁩ کھولیں

    aur agar kabhi tumhen inn ( rishta daaron , miskeeno aur musfiron ) say iss liye mun pherna parray kay tumhen Allah ki mutawaqqay rehmat ka intizar ho to aesay mein unn kay sath narmi say baat kerliya kero .

  29. وَلَا تَجۡعَلۡ يَدَكَ مَغۡلُولَةً إِلَىٰ عُنُقِكَ وَلَا تَبۡسُطۡهَا كُلَّ ٱلۡبَسۡطِ فَتَقۡعُدَ مَلُومٗا مَّحۡسُورًا

    آیت ⁦۱۷:۲۹⁩ کھولیں

    aur naa to ( aesay kanjoos bano kay ) apney haath ko gardan say baandh ker rakho , aur naa ( aesay fuzool kharch kay ) haath ko bilkul hi khula chorr do jiss kay nateejay mein tumhen qabil-e-malamat aur qallash ho ker bethna parray .

  30. إِنَّ رَبَّكَ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُۚ إِنَّهُۥ كَانَ بِعِبَادِهِۦ خَبِيرَۢا بَصِيرٗا 

    آیت ⁦۱۷:۳۰⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay tumhara rab jiss kay liye chahta hai rizq mein wusat ata farma deta hai , aur ( jiss kay liye chahta hai ) tangi peda ker deta hai . yaqeen rakho kay woh apney bandon kay halaat say achi tarah ba-khabar hai , unhen poori tarah dekh raha hai .

  31. وَلَا تَقۡتُلُوٓاْ أَوۡلَٰدَكُمۡ خَشۡيَةَ إِمۡلَٰقٖۖ نَّحۡنُ نَرۡزُقُهُمۡ وَإِيَّاكُمۡۚ إِنَّ قَتۡلَهُمۡ كَانَ خِطۡـٔٗا كَبِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۳۱⁩ کھولیں

    aur apni aulad ko muflisi kay khof say qatal naa kero . hum unhen bhi rizq den gay , aur tumhen bhi . yaqeen jano kay unn ko qatal kerna bari bhari ghalati hai .

  32. وَلَا تَقۡرَبُواْ ٱلزِّنَىٰٓۖ إِنَّهُۥ كَانَ فَٰحِشَةٗ وَسَآءَ سَبِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۳۲⁩ کھولیں

    aur zina kay paas bhi naa phatko . woh yaqeeni tor per bari bey hayai aur bey-raah-ravi hai .

  33. وَلَا تَقۡتُلُواْ ٱلنَّفۡسَ ٱلَّتِي حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِٱلۡحَقِّۗ وَمَن قُتِلَ مَظۡلُومٗا فَقَدۡ جَعَلۡنَا لِوَلِيِّهِۦ سُلۡطَٰنٗا فَلَا يُسۡرِف فِّي ٱلۡقَتۡلِۖ إِنَّهُۥ كَانَ مَنصُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۳۳⁩ کھولیں

    aur jiss jaan ko Allah ney hurmat ata ki hai , ussay qatal naa kero , illa yeh kay tumhen ( sharann ) uss ka haq phonchta ho . aur jo shaks mazloomana tor per qatal hojaye to hum ney uss kay wali ko ( qisaas ka ) ikhtiyar diya hai . chunacheh uss per lazim hai kay woh qatal kernay mein hadd say tajawuz naa keray . yaqeenan woh iss laeeq hai kay uss ki madad ki jaye .

  34. وَلَا تَقۡرَبُواْ مَالَ ٱلۡيَتِيمِ إِلَّا بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ حَتَّىٰ يَبۡلُغَ أَشُدَّهُۥۚ وَأَوۡفُواْ بِٱلۡعَهۡدِۖ إِنَّ ٱلۡعَهۡدَ كَانَ مَسۡـُٔولٗا

    آیت ⁦۱۷:۳۴⁩ کھولیں

    aur yateem kay maal kay paas bhi naa phatko , magar aesay tareeqay say jo ( uss kay haq mein ) behtareen ho , yahan tak kay woh apni pukhtagi ko phonch jaye . aur ehad ko poora kero , yaqeen jano kay ehad kay baaray mein ( tumhari ) baaz purs honey wali hai .

  35. وَأَوۡفُواْ ٱلۡكَيۡلَ إِذَا كِلۡتُمۡ وَزِنُواْ بِٱلۡقِسۡطَاسِ ٱلۡمُسۡتَقِيمِۚ ذَٰلِكَ خَيۡرٞ وَأَحۡسَنُ تَأۡوِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۳۵⁩ کھولیں

    aur jab kissi ko koi cheez paymaney say naap ker do to poora napo , aur tolney kay liye sahih tarazoo istimal kero . yehi tareeqa durust hai , aur issi ka anjam behtar hai .

  36. وَلَا تَقۡفُ مَا لَيۡسَ لَكَ بِهِۦ عِلۡمٌۚ إِنَّ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡبَصَرَ وَٱلۡفُؤَادَ كُلُّ أُوْلَٰٓئِكَ كَانَ عَنۡهُ مَسۡـُٔولٗا

    آیت ⁦۱۷:۳۶⁩ کھولیں

    aur jiss baat ka tumhen yaqeen naa ho , ( ussay sach samajh ker ) uss kay peechay matt parro . yaqeen rakho kay kaan , aankh aur dil sabb kay baaray mein ( tum say ) sawal hoga .

  37. وَلَا تَمۡشِ فِي ٱلۡأَرۡضِ مَرَحًاۖ إِنَّكَ لَن تَخۡرِقَ ٱلۡأَرۡضَ وَلَن تَبۡلُغَ ٱلۡجِبَالَ طُولٗا

    آیت ⁦۱۷:۳۷⁩ کھولیں

    aur zameen per akarr ker matt chalo . naa tum zameen ko phaarr saktay ho , aur naa bulandi mein paharon ko phonch saktay ho .

  38. كُلُّ ذَٰلِكَ كَانَ سَيِّئُهُۥ عِندَ رَبِّكَ مَكۡرُوهٗا

    آیت ⁦۱۷:۳۸⁩ کھولیں

    yeh saray buray kaam aesay hain jo tumharay perwerdigar ko bilkul napasand hain .

  39. ذَٰلِكَ مِمَّآ أَوۡحَىٰٓ إِلَيۡكَ رَبُّكَ مِنَ ٱلۡحِكۡمَةِۗ وَلَا تَجۡعَلۡ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ فَتُلۡقَىٰ فِي جَهَنَّمَ مَلُومٗا مَّدۡحُورًا

    آیت ⁦۱۷:۳۹⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) yeh woh hikmat ki baaten hain jo tumharay perwerdigar ney tum per wahi kay zariye phonchai hain . aur ( aey insan ! ) Allah kay sath kissi aur ko mabood naa bana , werna tujhay malamat kerkay , dhakkay dey ker dozakh mein phenk diya jaye ga .

  40. أَفَأَصۡفَىٰكُمۡ رَبُّكُم بِٱلۡبَنِينَ وَٱتَّخَذَ مِنَ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةِ إِنَٰثًاۚ إِنَّكُمۡ لَتَقُولُونَ قَوۡلًا عَظِيمٗا 

    آیت ⁦۱۷:۴۰⁩ کھولیں

    bhala kiya tumharay rab ney tumhen to betay denay kay liye chunn liya hai , aur khud apney liye farishton ko betiyan bana liya hai ? haqeeqat yeh hai kay tum log bari sangeen baat keh rahey ho .

  41. وَلَقَدۡ صَرَّفۡنَا فِي هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ لِيَذَّكَّرُواْ وَمَا يَزِيدُهُمۡ إِلَّا نُفُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۴۱⁩ کھولیں

    aur hum ney iss Quran mein tarah tarah say wazahaten ki hain , takay log hosh mein ayen , magar yeh log hain kay iss say inn kay bidakney hi mein aur izafa horaha hai .

  42. قُل لَّوۡ كَانَ مَعَهُۥٓ ءَالِهَةٞ كَمَا يَقُولُونَ إِذٗا لَّٱبۡتَغَوۡاْ إِلَىٰ ذِي ٱلۡعَرۡشِ سَبِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۴۲⁩ کھولیں

    keh do kay : agar Allah kay sath aur bhi khuda hotay jaisay kay yeh log kehtay hain to woh arsh walay ( haqeeqi khuda ) per charrhai kernay kay liye koi raasta peda kerletay .

  43. سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يَقُولُونَ عُلُوّٗا كَبِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۴۳⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay jo baaten yeh log banatay hain uss ki zaat unn say bilkul pak aur boht baala o bartar hai .

  44. تُسَبِّحُ لَهُ ٱلسَّمَٰوَٰتُ ٱلسَّبۡعُ وَٱلۡأَرۡضُ وَمَن فِيهِنَّۚ وَإِن مِّن شَيۡءٍ إِلَّا يُسَبِّحُ بِحَمۡدِهِۦ وَلَٰكِن لَّا تَفۡقَهُونَ تَسۡبِيحَهُمۡۚ إِنَّهُۥ كَانَ حَلِيمًا غَفُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۴۴⁩ کھولیں

    saton aasman aur zameen aur unn ki sari makhlooqaat uss ki paki biyan kerti hain , aur koi cheez aesi nahi hai jo uss ki hamd kay sath uss ki tasbeeh naa ker rahi ho , lekin tum log unn ki tasbeeh ko samajhtay nahi ho . haqeeqat yeh hai kay woh bara burdbaar , boht moaaf kernay wala hai .

  45. وَإِذَا قَرَأۡتَ ٱلۡقُرۡءَانَ جَعَلۡنَا بَيۡنَكَ وَبَيۡنَ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ حِجَابٗا مَّسۡتُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۴۵⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) jab tum Quran parhtay ho to hum tumharay aur unn logon kay darmiyan jo aakhirat per emaan nahi rakhtay , aik aunn dekha perda haeel ker-detay hain .

  46. وَجَعَلۡنَا عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ أَكِنَّةً أَن يَفۡقَهُوهُ وَفِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَقۡرٗاۚ وَإِذَا ذَكَرۡتَ رَبَّكَ فِي ٱلۡقُرۡءَانِ وَحۡدَهُۥ وَلَّوۡاْ عَلَىٰٓ أَدۡبَٰرِهِمۡ نُفُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۴۶⁩ کھولیں

    aur hum unn kay dilon per aisa ghilaf charha detay hain kay woh ussay samajhtay nahi , aur unn kay kanon mein garani peda ker-detay hain . aur jab tum Quran mein tanha apney rab ka ziker kertay ho to yeh log nafrat kay aalam mein peeth pher ker chal detay hain .

  47. نَّحۡنُ أَعۡلَمُ بِمَا يَسۡتَمِعُونَ بِهِۦٓ إِذۡ يَسۡتَمِعُونَ إِلَيۡكَ وَإِذۡ هُمۡ نَجۡوَىٰٓ إِذۡ يَقُولُ ٱلظَّٰلِمُونَ إِن تَتَّبِعُونَ إِلَّا رَجُلٗا مَّسۡحُورًا

    آیت ⁦۱۷:۴۷⁩ کھولیں

    hamen khoob maloom hai kay jab yeh log tumhari baat kaan laga ker suntay hain to kiss liye suntay hain , aur jab yeh aapas mein sargoshiyan kertay hain ( to inn baaton ka bhi hamen poora ilm hai ) jab yeh zalim ( apni biradari kay musalmanon say ) yun kehtay hain kay : tum to bus aik aesay aadmi kay peechay chal parray ho jiss per jadoo hogaya hai .

  48. ٱنظُرۡ كَيۡفَ ضَرَبُواْ لَكَ ٱلۡأَمۡثَالَ فَضَلُّواْ فَلَا يَسۡتَطِيعُونَ سَبِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۴۸⁩ کھولیں

    dekho unhon ney tum per kaisi kaisi phabtiyan chust ki hain . yeh raah say bhatak chukay hain , chunacheh yeh raastay per nahi aa-saktay .

  49. وَقَالُوٓاْ أَءِذَا كُنَّا عِظَٰمٗا وَرُفَٰتًا أَءِنَّا لَمَبۡعُوثُونَ خَلۡقٗا جَدِيدٗا

    آیت ⁦۱۷:۴۹⁩ کھولیں

    aur yeh kehtay hain kay : kiya jab humara wajood haddiyon mein tabdeel ho ker choora choora hojaye ga to bhala kiya uss waqt hamen naye siray say peda ker kay uthaya jaye ga-?

  50. ۞قُلۡ كُونُواْ حِجَارَةً أَوۡ حَدِيدًا 

    آیت ⁦۱۷:۵۰⁩ کھولیں

    keh do kay : tum pathar ya loha bhi ban jao

  51. أَوۡ خَلۡقٗا مِّمَّا يَكۡبُرُ فِي صُدُورِكُمۡۚ فَسَيَقُولُونَ مَن يُعِيدُنَاۖ قُلِ ٱلَّذِي فَطَرَكُمۡ أَوَّلَ مَرَّةٖۚ فَسَيُنۡغِضُونَ إِلَيۡكَ رُءُوسَهُمۡ وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هُوَۖ قُلۡ عَسَىٰٓ أَن يَكُونَ قَرِيبٗا

    آیت ⁦۱۷:۵۱⁩ کھولیں

    ya koi aur aesi makhlooq ban jao jiss kay baaray mein tum dil mein sochtay ho kay ( uss ka zinda hona ) aur bhi mushkil hai , ( phir bhi tumhen zinda kerdiya jaye ga ) abb woh kahen gay kay : kon hamen dobara zinda keray ga-? keh do kay : wohi zinda keray ga jiss ney tumhen pehli baar peda kiya tha . phir woh tumharay samney sar halla halla ker kahen gay kay : aisa kab hoga-? keh dena kay : kiya baeed hai kay woh waqt qareeb hi aagaya ho .

  52. يَوۡمَ يَدۡعُوكُمۡ فَتَسۡتَجِيبُونَ بِحَمۡدِهِۦ وَتَظُنُّونَ إِن لَّبِثۡتُمۡ إِلَّا قَلِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۵۲⁩ کھولیں

    jiss din woh tumhen bulaye ga to tum iss/uss ki hamd kertay huye iss/uss kay hukum ki tameel kero gay , aur yeh samajh rahey ho gay kay tum bus thori si mauddat ( duniya mein ) rahey thay .

  53. وَقُل لِّعِبَادِي يَقُولُواْ ٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُۚ إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ يَنزَغُ بَيۡنَهُمۡۚ إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ كَانَ لِلۡإِنسَٰنِ عَدُوّٗا مُّبِينٗا

    آیت ⁦۱۷:۵۳⁩ کھولیں

    meray ( momin ) bandon say keh do kay wohi baat kaha keren jo behtareen ho . dar-haqeeqat shetan logon kay darmiyan fasad daalta hai . shetan yaqeeni tor per insan ka khula dushman hai .

  54. رَّبُّكُمۡ أَعۡلَمُ بِكُمۡۖ إِن يَشَأۡ يَرۡحَمۡكُمۡ أَوۡ إِن يَشَأۡ يُعَذِّبۡكُمۡۚ وَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ عَلَيۡهِمۡ وَكِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۵۴⁩ کھولیں

    tumhara perwerdigar tumhen khoob janta hai . agar woh chahye toh tum per reham farma dey , aur chahye to tumhen azab deydey , aur ( aey payghumber ! ) hum ney tumhen unn ki baaton ka zimma daar bana ker nahi bheja hai .

  55. وَرَبُّكَ أَعۡلَمُ بِمَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَلَقَدۡ فَضَّلۡنَا بَعۡضَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ عَلَىٰ بَعۡضٖۖ وَءَاتَيۡنَا دَاوُۥدَ زَبُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۵۵⁩ کھولیں

    aur tumhara perwerdigar unn sabb ko janta hai jo aasmano mein hain aur jo zameen mein hain . aur hum ney kuch nabiyon ko doosray nabiyon per fazilat di hai , aur hum ney dawood ko zaboor ata ki thi .

  56. قُلِ ٱدۡعُواْ ٱلَّذِينَ زَعَمۡتُم مِّن دُونِهِۦ فَلَا يَمۡلِكُونَ كَشۡفَ ٱلضُّرِّ عَنكُمۡ وَلَا تَحۡوِيلًا

    آیت ⁦۱۷:۵۶⁩ کھولیں

    . ( jo log Allah kay ilawa doosray maboodon ko mantay hain , unn say ) keh do kay : jinn ko tum ney Allah kay siwa mabood samajh rakha hai , unhen pukar ker dekho . hoga yeh kay naa woh tum say koi takleef door ker-saken gay , aur naa ussay tabdeel ker-saken gay .

  57. أُوْلَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ يَبۡتَغُونَ إِلَىٰ رَبِّهِمُ ٱلۡوَسِيلَةَ أَيُّهُمۡ أَقۡرَبُ وَيَرۡجُونَ رَحۡمَتَهُۥ وَيَخَافُونَ عَذَابَهُۥٓۚ إِنَّ عَذَابَ رَبِّكَ كَانَ مَحۡذُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۵۷⁩ کھولیں

    jinn ko yeh log pukartay hain , woh toh khud apney perwerdigar tak phonchney ka waseela talash kertay hain kay unn mein say kon Allah kay ziyada qareeb hojaye , aur woh uss ki rehmat kay umeedwaar rehtay hain , aur uss kay azab say dartay hain . yaqeenan tumharay rab ka azab hai hi aesi cheez jiss say dara jaye .

  58. وَإِن مِّن قَرۡيَةٍ إِلَّا نَحۡنُ مُهۡلِكُوهَا قَبۡلَ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ أَوۡ مُعَذِّبُوهَا عَذَابٗا شَدِيدٗاۚ كَانَ ذَٰلِكَ فِي ٱلۡكِتَٰبِ مَسۡطُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۵۸⁩ کھولیں

    aur koi basti aesi nahi hai jissay hum roz-e-qayamat say pehlay halak naa keren , ya ussay sakht azab naa den . yeh baat ( taqdeer ki ) kitab mein likhi ja-chuki hai .

  59. وَمَا مَنَعَنَآ أَن نُّرۡسِلَ بِٱلۡأٓيَٰتِ إِلَّآ أَن كَذَّبَ بِهَا ٱلۡأَوَّلُونَۚ وَءَاتَيۡنَا ثَمُودَ ٱلنَّاقَةَ مُبۡصِرَةٗ فَظَلَمُواْ بِهَاۚ وَمَا نُرۡسِلُ بِٱلۡأٓيَٰتِ إِلَّا تَخۡوِيفٗا

    آیت ⁦۱۷:۵۹⁩ کھولیں

    aur hum ko nishaniyan ( yani kuffaar kay maangay huye moajzaat ) bhejney say kissi aur cheez ney nahi , balkay iss baat ney roka hai kay pichlay log aesi nishaniyon ko jhutla chukay hain . aur hum ney qoam-e-samood ko oontni di thi jo aankhen kholney kay liye kafi thi , magar unhon ney uss kay sath zulm kiya . aur hum nishaniyan daraney hi kay liye bhejtay hain .

  60. وَإِذۡ قُلۡنَا لَكَ إِنَّ رَبَّكَ أَحَاطَ بِٱلنَّاسِۚ وَمَا جَعَلۡنَا ٱلرُّءۡيَا ٱلَّتِيٓ أَرَيۡنَٰكَ إِلَّا فِتۡنَةٗ لِّلنَّاسِ وَٱلشَّجَرَةَ ٱلۡمَلۡعُونَةَ فِي ٱلۡقُرۡءَانِۚ وَنُخَوِّفُهُمۡ فَمَا يَزِيدُهُمۡ إِلَّا طُغۡيَٰنٗا كَبِيرٗا 

    آیت ⁦۱۷:۶۰⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) woh waqt yaad kero jab hum ney tum say kaha tha kay tumhara perwerdigar ( apney ilm say ) tamam logon ka ehata kiye huye hai . aur hum ney jo nazara tumhen dikhaya hai ,uss ko hum ney ( kafir ) logon kay liye bus aik fitna bana diya , neez uss darkht ko bhi jiss per Quran mein lanat aai hai . aur hum toh unn ko daratay rehtay hain , lekin iss say unn ki sakht sarkashi hi mein izafa horaha hai .

  61. وَإِذۡ قُلۡنَا لِلۡمَلَٰٓئِكَةِ ٱسۡجُدُواْ لِأٓدَمَ فَسَجَدُوٓاْ إِلَّآ إِبۡلِيسَ قَالَ ءَأَسۡجُدُ لِمَنۡ خَلَقۡتَ طِينٗا

    آیت ⁦۱۷:۶۱⁩ کھولیں

    aur woh waqt yaad kero jab hum ney farishton say kaha tha kay Adam ko sajda kero . chunacheh unhon ney sajda kiya , lekin iblees ney nahi kiya . uss ney kaha kay : kiya mein uss ko sajda kerun jissay tu ney mitti say peda kiya hai-?

  62. قَالَ أَرَءَيۡتَكَ هَٰذَا ٱلَّذِي كَرَّمۡتَ عَلَيَّ لَئِنۡ أَخَّرۡتَنِ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ لَأَحۡتَنِكَنَّ ذُرِّيَّتَهُۥٓ إِلَّا قَلِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۶۲⁩ کھولیں

    kehney laga : bhala batao yeh hai woh makhlooq jissay tu ney meray muqablay mein izzat bakhshi hai ! agar tu ney mujhay qayamat kay din tak mohlat di toh mein iss ki aulad mein say thoray say logon ko chorr ker baqi sabb kay jabron mein lagaam daalun ga .

  63. قَالَ ٱذۡهَبۡ فَمَن تَبِعَكَ مِنۡهُمۡ فَإِنَّ جَهَنَّمَ جَزَآؤُكُمۡ جَزَآءٗ مَّوۡفُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۶۳⁩ کھولیں

    Allah ney kaha : jaa phir unn mein say jo teray peechay chalay ga to jahannum hi tum sabb ki saza hogi , mukammal aur bharpoor saza .

  64. وَٱسۡتَفۡزِزۡ مَنِ ٱسۡتَطَعۡتَ مِنۡهُم بِصَوۡتِكَ وَأَجۡلِبۡ عَلَيۡهِم بِخَيۡلِكَ وَرَجِلِكَ وَشَارِكۡهُمۡ فِي ٱلۡأَمۡوَٰلِ وَٱلۡأَوۡلَٰدِ وَعِدۡهُمۡۚ وَمَا يَعِدُهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ إِلَّا غُرُورًا

    آیت ⁦۱۷:۶۴⁩ کھولیں

    aur inn mein say jiss jiss per tera bus chalay , unhen apni aawaz say behka ley , aur inn per apney sawaron aur piyadon ki foaj charha laa , aur inn kay maal aur aulad mein apna hissa laga ley , aur unn say khoob waday kerlay aur ( haqeeqat yeh hai kay ) shetan unn say jo wada bhi kerta hai , woh dhokay kay siwa kuch nahi hota

  65. إِنَّ عِبَادِي لَيۡسَ لَكَ عَلَيۡهِمۡ سُلۡطَٰنٞۚ وَكَفَىٰ بِرَبِّكَ وَكِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۶۵⁩ کھولیں

    yaqeen rakh kay jo meray banday hain , unn per tera koi bus nahi chalay ga , aur tera perwerdigar ( unn ki ) rakhwali kay liye kafi hai .

  66. رَّبُّكُمُ ٱلَّذِي يُزۡجِي لَكُمُ ٱلۡفُلۡكَ فِي ٱلۡبَحۡرِ لِتَبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ كَانَ بِكُمۡ رَحِيمٗا

    آیت ⁦۱۷:۶۶⁩ کھولیں

    tumhara perwerdigar woh hai jo tumharay liye samandar mein kashtiyan ley chalta hai , takay tum uss ka fazal talash kero . yaqeenan woh tumharay sath bari rehmat ka moamla kernay wala hai .

  67. وَإِذَا مَسَّكُمُ ٱلضُّرُّ فِي ٱلۡبَحۡرِ ضَلَّ مَن تَدۡعُونَ إِلَّآ إِيَّاهُۖ فَلَمَّا نَجَّىٰكُمۡ إِلَى ٱلۡبَرِّ أَعۡرَضۡتُمۡۚ وَكَانَ ٱلۡإِنسَٰنُ كَفُورًا

    آیت ⁦۱۷:۶۷⁩ کھولیں

    aur jab samandar mein tumhen koi takleef phonchti hai , toh jinn ( deotaon ) ko tum pukara kertay ho , woh sabb ghaeeb hojatay hain , bus Allah hi Allah reh jata hai . phir jab Allah tumhen bacha ker khushki tak phoncha deta hai to tum mun morr letay ho . aur insan bara hi nashukra hai .

  68. أَفَأَمِنتُمۡ أَن يَخۡسِفَ بِكُمۡ جَانِبَ ٱلۡبَرِّ أَوۡ يُرۡسِلَ عَلَيۡكُمۡ حَاصِبٗا ثُمَّ لَا تَجِدُواْ لَكُمۡ وَكِيلًا

    آیت ⁦۱۷:۶۸⁩ کھولیں

    toh kiya tumhen iss baat ka koi darr nahi raha kay Allah tumhen khushki hi kay aik hissay mein dhansa dey , ya tum per pathar barsaney wali aandhi bhej dey , aur phir tumhen apna koi rakhwala naa milay ?

  69. أَمۡ أَمِنتُمۡ أَن يُعِيدَكُمۡ فِيهِ تَارَةً أُخۡرَىٰ فَيُرۡسِلَ عَلَيۡكُمۡ قَاصِفٗا مِّنَ ٱلرِّيحِ فَيُغۡرِقَكُم بِمَا كَفَرۡتُمۡ ثُمَّ لَا تَجِدُواْ لَكُمۡ عَلَيۡنَا بِهِۦ تَبِيعٗا

    آیت ⁦۱۷:۶۹⁩ کھولیں

    aur kiya tum iss baat say bhi bey fiker hogaye ho kay woh tumhen dobara ussi ( samandar ) mein ley jaye , phir tum per hawa ka toofan bhej ker tumhari nashukri ki saza mein tumhen gharq ker daalay , phir tumhen koi naa milay jo iss moamlay mein humara peecha ker-sakay-?

  70. ۞وَلَقَدۡ كَرَّمۡنَا بَنِيٓ ءَادَمَ وَحَمَلۡنَٰهُمۡ فِي ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِ وَرَزَقۡنَٰهُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ وَفَضَّلۡنَٰهُمۡ عَلَىٰ كَثِيرٖ مِّمَّنۡ خَلَقۡنَا تَفۡضِيلٗا 

    آیت ⁦۱۷:۷۰⁩ کھولیں

    aur haqeeqat yeh hai kay hum ney Adam ki aulad ko izzat bakhshi hai , aur unhen khushki aur samandar dono mein sawariyan mohaiyya ki hain , aur unn ko pakeezah cheezon ka rizq diya hai , aur unn ko apni boht si makhlooqaat per fazilat ata ki hai .

  71. يَوۡمَ نَدۡعُواْ كُلَّ أُنَاسِۭ بِإِمَٰمِهِمۡۖ فَمَنۡ أُوتِيَ كِتَٰبَهُۥ بِيَمِينِهِۦ فَأُوْلَٰٓئِكَ يَقۡرَءُونَ كِتَٰبَهُمۡ وَلَا يُظۡلَمُونَ فَتِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۷۱⁩ کھولیں

    uss din ko yaad rakho jab hum tamam insanon ko unn kay aemal naamon kay sath bulain gay . phir jinhen unn ka aemal nama dahaney haath mein diya jaye ga , to woh apney aemal namay ko parhen gay , aur unn per resha barabar bhi zulm nahi hoga .

  72. وَمَن كَانَ فِي هَٰذِهِۦٓ أَعۡمَىٰ فَهُوَ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ أَعۡمَىٰ وَأَضَلُّ سَبِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۷۲⁩ کھولیں

    aur jo shaks duniya mein andha bana raha , woh aakhirat mein bhi andha , balkay raastay say aur ziyada bhatka huwa rahey ga .

  73. وَإِن كَادُواْ لَيَفۡتِنُونَكَ عَنِ ٱلَّذِيٓ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ لِتَفۡتَرِيَ عَلَيۡنَا غَيۡرَهُۥۖ وَإِذٗا لَّٱتَّخَذُوكَ خَلِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۷۳⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) jo wahi hum ney tumharay paas bheji hai , yeh ( kafir ) log tumhen fitney mein daal ker uss say hataney lagay thay , takay tum uss kay bajaye koi aur baat humaray naam per gharr ker paish kero , aur uss soorat mein yeh tumhen apna gehra dost bana letay .

  74. وَلَوۡلَآ أَن ثَبَّتۡنَٰكَ لَقَدۡ كِدتَّ تَرۡكَنُ إِلَيۡهِمۡ شَيۡـٔٗا قَلِيلًا

    آیت ⁦۱۷:۷۴⁩ کھولیں

    aur agar hum ney tumhen sabit qadam naa banaya hota to tum bhi unn ki taraf kuch kuch jhukney kay qareeb ja-phonchtay .

  75. إِذٗا لَّأَذَقۡنَٰكَ ضِعۡفَ ٱلۡحَيَوٰةِ وَضِعۡفَ ٱلۡمَمَاتِ ثُمَّ لَا تَجِدُ لَكَ عَلَيۡنَا نَصِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۷۵⁩ کھولیں

    aur agar aisa hojata to hum tumhen duniya mein bhi dugni saza detay , aur marney kay baad bhi dugni , phir tumhen humaray muqablay mein koi madadgaar naa milta .

  76. وَإِن كَادُواْ لَيَسۡتَفِزُّونَكَ مِنَ ٱلۡأَرۡضِ لِيُخۡرِجُوكَ مِنۡهَاۖ وَإِذٗا لَّا يَلۡبَثُونَ خِلَٰفَكَ إِلَّا قَلِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۷۶⁩ کھولیں

    iss kay ilawa yeh log iss fiker mein bhi hain kay iss sarzameen ( makkah ) say tumharay qadam ukhaaren , takay tumhen yahan say nikal bahir keren . aur agar aisa huwa to yeh bhi tumharay baad ziyada dair yahan nahi thehar saken gay .

  77. سُنَّةَ مَن قَدۡ أَرۡسَلۡنَا قَبۡلَكَ مِن رُّسُلِنَاۖ وَلَا تَجِدُ لِسُنَّتِنَا تَحۡوِيلًا

    آیت ⁦۱۷:۷۷⁩ کھولیں

    yeh humara woh tareeq-e-kaar hai jo hum ney apney unn payghumberon kay sath ikhtiyar kiya tha jo hum ney tum say pehlay bhejay thay . aur tum humaray tareeqay mein koi tabdeeli nahi pao gay .

  78. أَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ لِدُلُوكِ ٱلشَّمۡسِ إِلَىٰ غَسَقِ ٱلَّيۡلِ وَقُرۡءَانَ ٱلۡفَجۡرِۖ إِنَّ قُرۡءَانَ ٱلۡفَجۡرِ كَانَ مَشۡهُودٗا

    آیت ⁦۱۷:۷۸⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) sooraj dhalney kay waqt say ley ker raat kay andheray tak namaz qaeem kero , aur fajar kay waqt Quran parhney ka ehtimam kero . yaad rakho kay fajar ki tilawat mein majmaa hazir hota hai .

  79. وَمِنَ ٱلَّيۡلِ فَتَهَجَّدۡ بِهِۦ نَافِلَةٗ لَّكَ عَسَىٰٓ أَن يَبۡعَثَكَ رَبُّكَ مَقَامٗا مَّحۡمُودٗا

    آیت ⁦۱۷:۷۹⁩ کھولیں

    aur raat kay kuch hissay mein tahajjud parha kero jo tumharay liye aik izafi ibadat hai . umeed hai kay tumhara perwerdigar tumhen maqam-e-mehmood tak phonchaye ga .

  80. وَقُل رَّبِّ أَدۡخِلۡنِي مُدۡخَلَ صِدۡقٖ وَأَخۡرِجۡنِي مُخۡرَجَ صِدۡقٖ وَٱجۡعَل لِّي مِن لَّدُنكَ سُلۡطَٰنٗا نَّصِيرٗا 

    آیت ⁦۱۷:۸۰⁩ کھولیں

    aur yeh dua kero kay : ya rab ! mujhay jahan dakhil farma achai kay sath dakhil farma , aur jahan say nikal achai kay sath nikal , aur mujhay khaas apney paas say aisa iqtidar ata farma jiss kay sath ( teri ) madad ho .

  81. وَقُلۡ جَآءَ ٱلۡحَقُّ وَزَهَقَ ٱلۡبَٰطِلُۚ إِنَّ ٱلۡبَٰطِلَ كَانَ زَهُوقٗا

    آیت ⁦۱۷:۸۱⁩ کھولیں

    aur kaho kay : haq aan phoncha , aur batil mitt gaya , aur yaqeenan batil aesi hi cheez hai jo mitney wali hai .

  82. وَنُنَزِّلُ مِنَ ٱلۡقُرۡءَانِ مَا هُوَ شِفَآءٞ وَرَحۡمَةٞ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ وَلَا يَزِيدُ ٱلظَّٰلِمِينَ إِلَّا خَسَارٗا

    آیت ⁦۱۷:۸۲⁩ کھولیں

    aur hum woh Quran nazil ker rahey hain jo mominon kay liye shifa aur rehmat ka saman hai , albatta zalimon kay hissay mein uss say nuqsan kay siwa kissi aur cheez ka izafa nahi hota .

  83. وَإِذَآ أَنۡعَمۡنَا عَلَى ٱلۡإِنسَٰنِ أَعۡرَضَ وَنَـَٔا بِجَانِبِهِۦ وَإِذَا مَسَّهُ ٱلشَّرُّ كَانَ يَـُٔوسٗا

    آیت ⁦۱۷:۸۳⁩ کھولیں

    aur jab hum insan ko koi naimat detay hain to woh mun morr leta hai , aur pehlo badal leta hai , aur agar uss ko koi burai choo jaye to mayyus ho bethta hai .

  84. قُلۡ كُلّٞ يَعۡمَلُ عَلَىٰ شَاكِلَتِهِۦ فَرَبُّكُمۡ أَعۡلَمُ بِمَنۡ هُوَ أَهۡدَىٰ سَبِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۸۴⁩ کھولیں

    keh do kay : her shaks apney apney tareeqay per kaam ker-raha hai . abb Allah hi behtar janta hai kay kon ziyada sahih raasta per hai .

  85. وَيَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلرُّوحِۖ قُلِ ٱلرُّوحُ مِنۡ أَمۡرِ رَبِّي وَمَآ أُوتِيتُم مِّنَ ٱلۡعِلۡمِ إِلَّا قَلِيلٗا

    آیت ⁦۱۷:۸۵⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) yeh log tum say rooh kay baaray mein poochtay hain . keh do kay : rooh meray perwerdigar kay hukum say ( bani ) hai . aur tumhen jo ilm diya gaya hai , woh bus thora hi saa ilm hai .

  86. وَلَئِن شِئۡنَا لَنَذۡهَبَنَّ بِٱلَّذِيٓ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ ثُمَّ لَا تَجِدُ لَكَ بِهِۦ عَلَيۡنَا وَكِيلًا

    آیت ⁦۱۷:۸۶⁩ کھولیں

    aur agar hum chahen to jo kuch wahi hum ney tumharay paas bheji hai , woh sari wapis ley jayen , phir tum ussay wapis laney kay liye humaray muqablay mein koi madadgaar bhi naa pao .

  87. إِلَّا رَحۡمَةٗ مِّن رَّبِّكَۚ إِنَّ فَضۡلَهُۥ كَانَ عَلَيۡكَ كَبِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۸۷⁩ کھولیں

    lekin yeh to tumharay rab ki taraf say aik rehmat hai ( kay wahi ka silsila jari hai ) haqeeqat yeh hai kay tumharay rab ki taraf say tum per jo fazal horaha hai , woh bara azeem hai .

  88. قُل لَّئِنِ ٱجۡتَمَعَتِ ٱلۡإِنسُ وَٱلۡجِنُّ عَلَىٰٓ أَن يَأۡتُواْ بِمِثۡلِ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ لَا يَأۡتُونَ بِمِثۡلِهِۦ وَلَوۡ كَانَ بَعۡضُهُمۡ لِبَعۡضٖ ظَهِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۸۸⁩ کھولیں

    keh do kay : agar tamam insan aur jinnaat iss kaam per ikatthay bhi hojayen kay iss Quran jaisa kalam bana kerlay ayen , tab bhi woh iss jaisa nahi laasaken gay , chahye woh aik doosray ki kitni madad kerlen .

  89. وَلَقَدۡ صَرَّفۡنَا لِلنَّاسِ فِي هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ مِن كُلِّ مَثَلٖ فَأَبَىٰٓ أَكۡثَرُ ٱلنَّاسِ إِلَّا كُفُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۸۹⁩ کھولیں

    aur hum ney insanon ki bhalai kay liye iss Quran mein her qisam ki hikmat ki baaten tarah tarah say biyan ki hain , phir bhi aksar log inkar kay siwa kissi aur baat per razi nahi hain .

  90. وَقَالُواْ لَن نُّؤۡمِنَ لَكَ حَتَّىٰ تَفۡجُرَ لَنَا مِنَ ٱلۡأَرۡضِ يَنۢبُوعًا 

    آیت ⁦۱۷:۹۰⁩ کھولیں

    aur kehtay hain kay : hum tum per uss waqt tak emaan nahi layen gay jab tak tum zameen ko phaarr ker humaray liye aik chashma naa nikal do ,

  91. أَوۡ تَكُونَ لَكَ جَنَّةٞ مِّن نَّخِيلٖ وَعِنَبٖ فَتُفَجِّرَ ٱلۡأَنۡهَٰرَ خِلَٰلَهَا تَفۡجِيرًا

    آیت ⁦۱۷:۹۱⁩ کھولیں

    ya phir tumharay liye khujooron aur angooron ka aik baagh peda hojaye , aur tum uss kay bech bech mein zameen ko phaarr ker nehren jari kerdo ,

  92. أَوۡ تُسۡقِطَ ٱلسَّمَآءَ كَمَا زَعَمۡتَ عَلَيۡنَا كِسَفًا أَوۡ تَأۡتِيَ بِٱللَّهِ وَٱلۡمَلَٰٓئِكَةِ قَبِيلًا

    آیت ⁦۱۷:۹۲⁩ کھولیں

    ya jaisay tum daway kertay ho , aasman kay tukrray tukrray ker kay ussay hum per gira do , ya phir Allah ko aur farishton ko humaray aamney samney ley aao ,

  93. أَوۡ يَكُونَ لَكَ بَيۡتٞ مِّن زُخۡرُفٍ أَوۡ تَرۡقَىٰ فِي ٱلسَّمَآءِ وَلَن نُّؤۡمِنَ لِرُقِيِّكَ حَتَّىٰ تُنَزِّلَ عَلَيۡنَا كِتَٰبٗا نَّقۡرَؤُهُۥۗ قُلۡ سُبۡحَانَ رَبِّي هَلۡ كُنتُ إِلَّا بَشَرٗا رَّسُولٗا

    آیت ⁦۱۷:۹۳⁩ کھولیں

    ya phir tumharay liye aik soney ka ghar peda hojaye , ya tum aasman per charh jao , aur hum tumharay charrney ko bhi uss waqt tak nahi maanen gay jab tak tum hum per aesi kitab nazil naa kerdo jissay hum parh saken . ( aey payghumber ! ) keh do kay : subhan Allah ! mein to aik bashar hun jissay payghumber bana ker bheja gaya hai . iss say ziyada kuch nahi .

  94. وَمَا مَنَعَ ٱلنَّاسَ أَن يُؤۡمِنُوٓاْ إِذۡ جَآءَهُمُ ٱلۡهُدَىٰٓ إِلَّآ أَن قَالُوٓاْ أَبَعَثَ ٱللَّهُ بَشَرٗا رَّسُولٗا

    آیت ⁦۱۷:۹۴⁩ کھولیں

    aur jab unn logon kay paas hidayat ka paygham aaya to unn ko emaan laney say issi baat ney to roka kay woh kehtay thay : kiya Allah ney aik bashar ko Rasool bana ker bheja hai ?

  95. قُل لَّوۡ كَانَ فِي ٱلۡأَرۡضِ مَلَٰٓئِكَةٞ يَمۡشُونَ مُطۡمَئِنِّينَ لَنَزَّلۡنَا عَلَيۡهِم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ مَلَكٗا رَّسُولٗا

    آیت ⁦۱۷:۹۵⁩ کھولیں

    keh do kay : agar zameen mein farishtay hi itminan say chal phir rahey hotay to beyshak hum aasman say kissi farishtay ko Rasool bana ker inn/unn per utaar detay .

  96. قُلۡ كَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدَۢا بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡۚ إِنَّهُۥ كَانَ بِعِبَادِهِۦ خَبِيرَۢا بَصِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۹۶⁩ کھولیں

    keh do kay : Allah meray aur tumharay darmiyan gawah banney kay liye kafi hai . beyshak woh apney bandon say poori tarah ba-khabar hai , sabb kuch dekh raha hai .

  97. وَمَن يَهۡدِ ٱللَّهُ فَهُوَ ٱلۡمُهۡتَدِۖ وَمَن يُضۡلِلۡ فَلَن تَجِدَ لَهُمۡ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِهِۦۖ وَنَحۡشُرُهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ عَلَىٰ وُجُوهِهِمۡ عُمۡيٗا وَبُكۡمٗا وَصُمّٗاۖ مَّأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ كُلَّمَا خَبَتۡ زِدۡنَٰهُمۡ سَعِيرٗا

    آیت ⁦۱۷:۹۷⁩ کھولیں

    aur jissay Allah hidayat dey , wohi sahih raastay per hota hai , aur jinn logon ko woh gumrahi mein mubtala kerday , to uss kay siwa tumhen unn kay koi madadgaar nahi mil saktay . aur hum unhen qayamat kay din mun kay ball iss tarah ikattha keren gay kay woh andhay , goongay aur behray hon gay . unn ka thikana jahannum hoga . jab kabhi uss ki aag dheemi honey lagay gi , hum ussay aur ziyada bharka den gay .

  98. ذَٰلِكَ جَزَآؤُهُم بِأَنَّهُمۡ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَقَالُوٓاْ أَءِذَا كُنَّا عِظَٰمٗا وَرُفَٰتًا أَءِنَّا لَمَبۡعُوثُونَ خَلۡقٗا جَدِيدًا

    آیت ⁦۱۷:۹۸⁩ کھولیں

    yeh unn ki saza hai , kiyonkay unhon ney humari aayaton ka inkar kiya tha , aur yeh kaha tha kay : kiya jab hum ( mar ker ) haddiyan hi haddiyan reh jayen gay , aur choora choora hojayen gay to kiya phir bhi hamen naye siray say zinda ker kay uthaya jaye ga-?

  99. ۞أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ قَادِرٌ عَلَىٰٓ أَن يَخۡلُقَ مِثۡلَهُمۡ وَجَعَلَ لَهُمۡ أَجَلٗا لَّا رَيۡبَ فِيهِ فَأَبَى ٱلظَّٰلِمُونَ إِلَّا كُفُورٗا

    آیت ⁦۱۷:۹۹⁩ کھولیں

    bhala kiya unhen itni si baat nahi soojhi kay woh Allah jiss ney saray aasmano aur zameen ko peda kiya hai , woh iss baat per qadir hai kay inn jaisay aadmi phir say peda kerday-? aur uss ney inn kay liye aik aesi miyaad muqarrar ker rakhi hai jiss ( kay aaney ) mein zara bhi shak nahi hai . phir bhi yeh zalim inkar kay siwa kissi baat per razi nahi .

  100. قُل لَّوۡ أَنتُمۡ تَمۡلِكُونَ خَزَآئِنَ رَحۡمَةِ رَبِّيٓ إِذٗا لَّأَمۡسَكۡتُمۡ خَشۡيَةَ ٱلۡإِنفَاقِۚ وَكَانَ ٱلۡإِنسَٰنُ قَتُورٗا 

    آیت ⁦۱۷:۱۰۰⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! inn kafiron say ) keh do kay : agar meray perwerdigar ki rehmat kay khazaney kahen tumharay ikhtiyar mein hotay to tum kharch hojaney kay darr say zaroor haath rok letay , aur insan hai hi bara tang dil !

  101. وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَىٰ تِسۡعَ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖۖ فَسۡـَٔلۡ بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ إِذۡ جَآءَهُمۡ فَقَالَ لَهُۥ فِرۡعَوۡنُ إِنِّي لَأَظُنُّكَ يَٰمُوسَىٰ مَسۡحُورٗا 

    آیت ⁦۱۷:۱۰۱⁩ کھولیں

    aur hum ney musa ko no khuli khuli nishaniyan di then . abb bano Israel say pooch lo kay jab woh inn logon kay paas gaye to firon ney unn say kaha kay : aey musa ! tumharay baaray mein mera to khayal yeh hai kay kissi ney tum per jadoo kerdiya hai .

  102. قَالَ لَقَدۡ عَلِمۡتَ مَآ أَنزَلَ هَٰٓؤُلَآءِ إِلَّا رَبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ بَصَآئِرَ وَإِنِّي لَأَظُنُّكَ يَٰفِرۡعَوۡنُ مَثۡبُورٗا 

    آیت ⁦۱۷:۱۰۲⁩ کھولیں

    musa ney kaha : tumhen khoob maloom hai kay yeh sari nishaniyan kissi aur ney nahi , aasmano aur zameen kay perwerdigar ney baseerat peda kernay kay liye nazil ki hain . aur aey firon ! tumharay baaray mein mera gumaan yeh hai kay tumhari barbadi aaney wali hai .

  103. فَأَرَادَ أَن يَسۡتَفِزَّهُم مِّنَ ٱلۡأَرۡضِ فَأَغۡرَقۡنَٰهُ وَمَن مَّعَهُۥ جَمِيعٗا 

    آیت ⁦۱۷:۱۰۳⁩ کھولیں

    phir firon ney yeh irada kiya tha kay inn sabb ( bano Israel ) ko uss sarzameen say ukhaar phenkay , lekin hum ney ussay aur jitney log uss kay sath thay , unn sabb ko gharq kerdiya ,

  104. وَقُلۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِۦ لِبَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ ٱسۡكُنُواْ ٱلۡأَرۡضَ فَإِذَا جَآءَ وَعۡدُ ٱلۡأٓخِرَةِ جِئۡنَا بِكُمۡ لَفِيفٗا 

    آیت ⁦۱۷:۱۰۴⁩ کھولیں

    aur uss kay baad bano Israel say kaha kay : tum zameen mein baso , phir jab aakhirat ka wada poora honey ka waqt aaye ga to hum tum sabb ko jama ker kay hazir kerden gay .

  105. وَبِٱلۡحَقِّ أَنزَلۡنَٰهُ وَبِٱلۡحَقِّ نَزَلَۗ وَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ إِلَّا مُبَشِّرٗا وَنَذِيرٗا 

    آیت ⁦۱۷:۱۰۵⁩ کھولیں

    aur hum ney iss Quran ko haq hi kay sath nazil kiya hai , aur haq hi kay sath yeh utra hai . aur ( aey payghumber ! ) hum ney tumhen kissi aur kaam kay liye nahi , balkay sirf iss liye bheja hai kay tum ( farmanbardaaron ko ) khushkhabri do , aur ( nafarmano ko ) khabrdar kero .

  106. وَقُرۡءَانٗا فَرَقۡنَٰهُ لِتَقۡرَأَهُۥ عَلَى ٱلنَّاسِ عَلَىٰ مُكۡثٖ وَنَزَّلۡنَٰهُ تَنزِيلٗا 

    آیت ⁦۱۷:۱۰۶⁩ کھولیں

    aur hum ney Quran kay juda juda hissay banaye , takay tum ussay thehar thehar ker logon kay samney parho , aur hum ney ussay thora thora ker kay utaara hai .

  107. قُلۡ ءَامِنُواْ بِهِۦٓ أَوۡ لَا تُؤۡمِنُوٓاْۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ مِن قَبۡلِهِۦٓ إِذَا يُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ يَخِرُّونَۤ لِلۡأَذۡقَانِۤ سُجَّدٗاۤ 

    آیت ⁦۱۷:۱۰۷⁩ کھولیں

    . ( kafiron say ) keh do kay : chahye tum iss per emaan lao , ya naa lao , jab yeh ( Quran ) unn logon kay samney parha jata hai jinn ko iss say pehlay ilm diya gaya tha to woh thorriyon kay ball sajday mein gir-jatay hain .

  108. وَيَقُولُونَ سُبۡحَٰنَ رَبِّنَآ إِن كَانَ وَعۡدُ رَبِّنَا لَمَفۡعُولٗا 

    آیت ⁦۱۷:۱۰۸⁩ کھولیں

    aur kehtay hain : pak hai humara perwerdigar ! beyshak humaray perwerdigar ka wada to poora hi ho ker rehta hai .

  109. وَيَخِرُّونَ لِلۡأَذۡقَانِ يَبۡكُونَ وَيَزِيدُهُمۡ خُشُوعٗا۩ 

    آیت ⁦۱۷:۱۰۹⁩ کھولیں

    aur woh rotay huye thorriyon kay ball gir-jatay hain , aur yeh ( Quran ) unn kay dilon ki aajzi ko aur barha deta hai .

  110. قُلِ ٱدۡعُواْ ٱللَّهَ أَوِ ٱدۡعُواْ ٱلرَّحۡمَٰنَۖ أَيّٗا مَّا تَدۡعُواْ فَلَهُ ٱلۡأَسۡمَآءُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ وَلَا تَجۡهَرۡ بِصَلَاتِكَ وَلَا تُخَافِتۡ بِهَا وَٱبۡتَغِ بَيۡنَ ذَٰلِكَ سَبِيلٗا 

    آیت ⁦۱۷:۱۱۰⁩ کھولیں

    keh do kay : chahye tum Allah ko pukaro , ya rehman ko pukaro , jiss naam say bhi ( Allah ko ) pukaro gay ( aik hi baat hai ) kiyonkay tamam behtareen naam ussi kay hain . aur tum apni namaz naa boht oonchi aawaz say parho , aur naa boht past aawaz say , balkay inn dono kay darmiyan ( moatadil ) raasta ikhtiyar kero .

  111. وَقُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي لَمۡ يَتَّخِذۡ وَلَدٗا وَلَمۡ يَكُن لَّهُۥ شَرِيكٞ فِي ٱلۡمُلۡكِ وَلَمۡ يَكُن لَّهُۥ وَلِيّٞ مِّنَ ٱلذُّلِّۖ وَكَبِّرۡهُ تَكۡبِيرَۢا

    آیت ⁦۱۷:۱۱۱⁩ کھولیں

    aur kaho kay : tamam tareefen Allah ki hain jiss ney naa koi beta banaya , naa uss ki saltanat mein koi shareek hai , aur naa ussay aajzi say bachaney kay liye koi himayati darkar hai . aur uss ki aesi barai biyan kero jaisi barai biyan kernay ka ussay haq hasil hai .