يوسف
Yusuf
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
الٓرۚ تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُبِينِ
آیت ۱۲:۱ کھولیںAlif-Laam-Raa . yeh uss kitab ki aayaten hain jo haq wazeh kernay wali hai .
إِنَّآ أَنزَلۡنَٰهُ قُرۡءَٰنًا عَرَبِيّٗا لَّعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
آیت ۱۲:۲ کھولیںhum ney iss ko aisa Quran bana ker utaara hai jo arbi zaban mein hai , takay tum samajh sako .
نَحۡنُ نَقُصُّ عَلَيۡكَ أَحۡسَنَ ٱلۡقَصَصِ بِمَآ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانَ وَإِن كُنتَ مِن قَبۡلِهِۦ لَمِنَ ٱلۡغَٰفِلِينَ
آیت ۱۲:۳ کھولیں. ( aey payghumber ! ) hum ney tum per yeh Quran jo wahi kay zariye bheja hai , uss kay zariye hum tumhen aik behtareen waqiaa sunatay hain , jabkay tum iss say pehlay iss ( waqaey say ) bilkul bey khabar thay .
إِذۡ قَالَ يُوسُفُ لِأَبِيهِ يَٰٓأَبَتِ إِنِّي رَأَيۡتُ أَحَدَ عَشَرَ كَوۡكَبٗا وَٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَ رَأَيۡتُهُمۡ لِي سَٰجِدِينَ
آیت ۱۲:۴ کھولیں. ( yeh uss waqt ki baat hai ) jab yousuf ney apney walid ( Yaqoob aleh-assalam ) say kaha tha kay : abba jaan ! mein ney ( khuwab mein ) giyara sitaron aur sooraj aur chaand ko dekha hai . mein ney dekha hai kay yeh sabb mujhay sajda ker rahey hain .
قَالَ يَٰبُنَيَّ لَا تَقۡصُصۡ رُءۡيَاكَ عَلَىٰٓ إِخۡوَتِكَ فَيَكِيدُواْ لَكَ كَيۡدًاۖ إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ لِلۡإِنسَٰنِ عَدُوّٞ مُّبِينٞ
آیت ۱۲:۵ کھولیںunhon ney kaha : beta ! apna yeh khuwab apney bhaiyon ko naa batana , kahen aisa naa ho kay woh tumharay liye koi sazish tayyar keren , kiyonkay shetan insan ka khula dushman hai .
وَكَذَٰلِكَ يَجۡتَبِيكَ رَبُّكَ وَيُعَلِّمُكَ مِن تَأۡوِيلِ ٱلۡأَحَادِيثِ وَيُتِمُّ نِعۡمَتَهُۥ عَلَيۡكَ وَعَلَىٰٓ ءَالِ يَعۡقُوبَ كَمَآ أَتَمَّهَا عَلَىٰٓ أَبَوَيۡكَ مِن قَبۡلُ إِبۡرَٰهِيمَ وَإِسۡحَٰقَۚ إِنَّ رَبَّكَ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
آیت ۱۲:۶ کھولیںaur issi tarah tumhara perwerdigar tumhen ( nabwooat kay liye ) muntakhib keray ga , aur tumhen tamam baaton ka sahih matlab nikalna sikhaye ga ( jiss mein khuwabon ki tabeer ka ilm bhi dakhil hai , ) aur tum per aur Yaqoob ki aulad per apni naimat ussi tarah poori keray ga jaisay uss ney iss say pehlay tumharay maa baap per aur Ibrahim aur Ishaq per poori ki thi . yaqeenan tumhara perwerdigar ilm ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .
۞لَّقَدۡ كَانَ فِي يُوسُفَ وَإِخۡوَتِهِۦٓ ءَايَٰتٞ لِّلسَّآئِلِينَ
آیت ۱۲:۷ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay jo log ( tum say yeh waqiaa ) pooch rahey hain , unn kay liye yousuf aur unn kay bhaiyon ( kay halaat mein ) bari nishaniyan hain .
إِذۡ قَالُواْ لَيُوسُفُ وَأَخُوهُ أَحَبُّ إِلَىٰٓ أَبِينَا مِنَّا وَنَحۡنُ عُصۡبَةٌ إِنَّ أَبَانَا لَفِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ
آیت ۱۲:۸ کھولیں. ( yeh uss waqt ka waqiaa hai ) jab yousuf kay unn ( sotelay ) bhaiyon ney ( aapas mein ) kaha tha kay : yaqeeni tor per humaray walid ko humaray muqablay mein yousuf aur uss kay ( haqeeqi ) bhai ( Bin-Yamin ) say ziyada mohabbat hai , halankay hum ( unn kay liye ) aik mazboot jatha banay huye hain . hamen yaqeen hai kay humaray walid kissi khuli ghalat fehmi mein mubtala hain .
ٱقۡتُلُواْ يُوسُفَ أَوِ ٱطۡرَحُوهُ أَرۡضٗا يَخۡلُ لَكُمۡ وَجۡهُ أَبِيكُمۡ وَتَكُونُواْ مِنۢ بَعۡدِهِۦ قَوۡمٗا صَٰلِحِينَ
آیت ۱۲:۹ کھولیں. ( abb iss ka hal yeh hai kay ) yousuf ko qatal hi ker daalo , ya ussay kissi aur sarzameen mein phenk aao , takay tumharay walid ki sari tawajjah khalis tumhari taraf hojaye , aur yeh sabb kernay kay baad phir ( tauba ker kay ) naik ban jao .
قَالَ قَآئِلٞ مِّنۡهُمۡ لَا تَقۡتُلُواْ يُوسُفَ وَأَلۡقُوهُ فِي غَيَٰبَتِ ٱلۡجُبِّ يَلۡتَقِطۡهُ بَعۡضُ ٱلسَّيَّارَةِ إِن كُنتُمۡ فَٰعِلِينَ
آیت ۱۲:۱۰ کھولیںunhi mein say aik kehney walay ney kaha : yousuf ko qatal to naa kero , albatta agar tumhen kuch kerna hi hai to ussay kissi andhay kunaen mein phenk aao , takay koi qafla ussay utha kerlay jaye . }
قَالُواْ يَٰٓأَبَانَا مَا لَكَ لَا تَأۡمَ۬نَّا عَلَىٰ يُوسُفَ وَإِنَّا لَهُۥ لَنَٰصِحُونَ
آیت ۱۲:۱۱ کھولیں. ( chunacheh ) unn bhaiyon ney ( apney walid say ) kaha kay : abba ! yeh aap ko kiya hogaya hai kay aap yousuf kay moamlay mein hum per itminan nahi kertay-? halankay iss mein koi shak naa hona chahiye kay hum uss kay pakay khair khuwa hain .
أَرۡسِلۡهُ مَعَنَا غَدٗا يَرۡتَعۡ وَيَلۡعَبۡ وَإِنَّا لَهُۥ لَحَٰفِظُونَ
آیت ۱۲:۱۲ کھولیںkal aap ussay humaray sath ( tafreeh kay liye ) bhej dijiye , takay woh khaye piye , aur kuch khel kood ley . aur yaqeen rakhiye kay hum uss ki poori hifazat keren gay .
قَالَ إِنِّي لَيَحۡزُنُنِيٓ أَن تَذۡهَبُواْ بِهِۦ وَأَخَافُ أَن يَأۡكُلَهُ ٱلذِّئۡبُ وَأَنتُمۡ عَنۡهُ غَٰفِلُونَ
آیت ۱۲:۱۳ کھولیںYaqoob ney kaha : tum ussay ley jao gay to mujhay ( uss ki judai ka ) ghum hoga , aur mujhay yeh andesha bhi hai kay kissi waqt jab tum uss ki taraf say ghafil ho , to koi bheriya ussay kha jaye .
قَالُواْ لَئِنۡ أَكَلَهُ ٱلذِّئۡبُ وَنَحۡنُ عُصۡبَةٌ إِنَّآ إِذٗا لَّخَٰسِرُونَ
آیت ۱۲:۱۴ کھولیںwoh bolay : hum aik mazboot jathay ki shakal mein hain , agar phir bhi bheriya ussay kha jaye to hum to bilkul hi gaye guzray huye !
فَلَمَّا ذَهَبُواْ بِهِۦ وَأَجۡمَعُوٓاْ أَن يَجۡعَلُوهُ فِي غَيَٰبَتِ ٱلۡجُبِّۚ وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡهِ لَتُنَبِّئَنَّهُم بِأَمۡرِهِمۡ هَٰذَا وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ
آیت ۱۲:۱۵ کھولیںphir huwa yeh kay jab woh unn ko sath ley gaye , aur unhon ney yeh tey ker hi rakha tha kay unhen aik andhay kunaen mein daal den gay , ( chunacheh daal bhi diya ) to hum ney yousuf per wahi bheji kay ( aik waqt aaye ga jab ) tum inn sabb ko jatlao gay kay unhon ney yeh kiya kaam kiya tha , aur uss waqt unhen pata bhi naa hoga ( kay tum kon ho-? )
وَجَآءُوٓ أَبَاهُمۡ عِشَآءٗ يَبۡكُونَ
آیت ۱۲:۱۶ کھولیںaur raat ko woh sabb apney baap kay paas rotay huye phonch gaye .
قَالُواْ يَٰٓأَبَانَآ إِنَّا ذَهَبۡنَا نَسۡتَبِقُ وَتَرَكۡنَا يُوسُفَ عِندَ مَتَٰعِنَا فَأَكَلَهُ ٱلذِّئۡبُۖ وَمَآ أَنتَ بِمُؤۡمِنٖ لَّنَا وَلَوۡ كُنَّا صَٰدِقِينَ
آیت ۱۲:۱۷ کھولیںkehney lagay : abba ji ! yaqeen janiye , hum dorrney ka muqabla kernay chalay gaye thay , aur hum ney yousuf ko apney saman kay paas chorr diya tha , itney mein aik bheriya ussay kha gaya . aur aap humari baat ka yaqeen nahi keren gay , chahye hum kitney hi sachay hon .
وَجَآءُو عَلَىٰ قَمِيصِهِۦ بِدَمٖ كَذِبٖۚ قَالَ بَلۡ سَوَّلَتۡ لَكُمۡ أَنفُسُكُمۡ أَمۡرٗاۖ فَصَبۡرٞ جَمِيلٞۖ وَٱللَّهُ ٱلۡمُسۡتَعَانُ عَلَىٰ مَا تَصِفُونَ
آیت ۱۲:۱۸ کھولیںaur woh yousuf ki qamees per jhoot moott ka khoon bhi laga kerlay aaye . unn kay walid ney kaha : ( haqeeqat yeh nahi hai ) balkay tumharay dilon ney apni taraf say aik baat bana li hai . abb to meray liye sabar hi behtar hai . aur jo baaten tum bana rahey ho , unn per Allah hi ki madad darkar hai .
وَجَآءَتۡ سَيَّارَةٞ فَأَرۡسَلُواْ وَارِدَهُمۡ فَأَدۡلَىٰ دَلۡوَهُۥۖ قَالَ يَٰبُشۡرَىٰ هَٰذَا غُلَٰمٞۚ وَأَسَرُّوهُ بِضَٰعَةٗۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِمَا يَعۡمَلُونَ
آیت ۱۲:۱۹ کھولیںaur ( doosri taraf jiss jagah unhon ney yousuf ko kunaen mein daala tha , wahan ) aik qafla aaya . qaflay kay logon ney aik aadmi paani laney kay liye bheja , aur uss ney apna dol ( kunaen mein ) daala to ( wahan yousuf ( aleh-assalam ) ko dekh ker ) pukar utha : lo khushkhabri suno ! yeh to aik larka hai . aur qaflay walon ney unhen aik tijarat ka maal samajh ker chupa liya , aur jo kuch woh ker rahey thay , Allah ko uss ka poora poora ilm tha .
وَشَرَوۡهُ بِثَمَنِۭ بَخۡسٖ دَرَٰهِمَ مَعۡدُودَةٖ وَكَانُواْ فِيهِ مِنَ ٱلزَّٰهِدِينَ
آیت ۱۲:۲۰ کھولیںaur ( phir ) unhon ney yousuf ko boht kam qeemat mein bech diya jo ginti kay chand dirahmon ki shakal mein thi , aur unn ko yousuf say koi dilchaspi nahi thi .
وَقَالَ ٱلَّذِي ٱشۡتَرَىٰهُ مِن مِّصۡرَ لِٱمۡرَأَتِهِۦٓ أَكۡرِمِي مَثۡوَىٰهُ عَسَىٰٓ أَن يَنفَعَنَآ أَوۡ نَتَّخِذَهُۥ وَلَدٗاۚ وَكَذَٰلِكَ مَكَّنَّا لِيُوسُفَ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلِنُعَلِّمَهُۥ مِن تَأۡوِيلِ ٱلۡأَحَادِيثِۚ وَٱللَّهُ غَالِبٌ عَلَىٰٓ أَمۡرِهِۦ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
آیت ۱۲:۲۱ کھولیںaur misir kay jiss aadmi ney unhen khareeda , uss ney apni biwi say kaha kay : iss ko izzat say rakhna . mujhay aisa lagta hai kay yeh hamen faeeda phonchaye ga , ya phir hum issay beta bana len gay . iss tarah hum ney uss sarzameen mein yousuf kay qadam jamaye , takay unhen baaton ka sahih matlab nikalna sikhayen , aur Allah ko apney kaam per poora qaboo hasil hai , lekin boht say log nahi jantay .
وَلَمَّا بَلَغَ أَشُدَّهُۥٓ ءَاتَيۡنَٰهُ حُكۡمٗا وَعِلۡمٗاۚ وَكَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۱۲:۲۲ کھولیںaur jab yousuf apni bharpoor jawani ko phonchay to hum ney unhen hikmat aur ilm ata kiya , aur jo log naik kaam kertay hain , unn ko hum issi tarah badla detay hain .
وَرَٰوَدَتۡهُ ٱلَّتِي هُوَ فِي بَيۡتِهَا عَن نَّفۡسِهِۦ وَغَلَّقَتِ ٱلۡأَبۡوَٰبَ وَقَالَتۡ هَيۡتَ لَكَۚ قَالَ مَعَاذَ ٱللَّهِۖ إِنَّهُۥ رَبِّيٓ أَحۡسَنَ مَثۡوَايَۖ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلظَّٰلِمُونَ
آیت ۱۲:۲۳ کھولیںaur jiss aurat kay ghar mein woh rehtay thay , uss ney unn ko warghalaney ki koshish ki , aur saray darwazon ko band kerdiya , aur kehney lagi : aa bhi jao ! yousuf ney kaha : Allah ki panah ! woh mera aaqa hai , uss ney mujhay achi tarah rakha hai . sachi baat yeh hai kay jo log zulm kertay hain , unhen falah hasil nahi hoti .
وَلَقَدۡ هَمَّتۡ بِهِۦۖ وَهَمَّ بِهَا لَوۡلَآ أَن رَّءَا بُرۡهَٰنَ رَبِّهِۦۚ كَذَٰلِكَ لِنَصۡرِفَ عَنۡهُ ٱلسُّوٓءَ وَٱلۡفَحۡشَآءَۚ إِنَّهُۥ مِنۡ عِبَادِنَا ٱلۡمُخۡلَصِينَ
آیت ۱۲:۲۴ کھولیںuss aurat ney to wazeh tor per yousuf ( kay sath burai ) ka irada kerliya tha , aur yousuf kay dil mein bhi uss aurat ka khayal aa-chala tha , agar woh apney rab ki daleel ko naa dekh letay , hum ney aisa iss liye kiya takay unn say burai aur bey hayai ka rukh pher den . beyshak woh humaray muntakhib bandon mein say thay .
وَٱسۡتَبَقَا ٱلۡبَابَ وَقَدَّتۡ قَمِيصَهُۥ مِن دُبُرٖ وَأَلۡفَيَا سَيِّدَهَا لَدَا ٱلۡبَابِۚ قَالَتۡ مَا جَزَآءُ مَنۡ أَرَادَ بِأَهۡلِكَ سُوٓءًا إِلَّآ أَن يُسۡجَنَ أَوۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
آیت ۱۲:۲۵ کھولیںaur dono aagay peechay darwazay ki taraf dorray , aur ( iss kash-ma-kash mein ) uss aurat ney unn kay qamees ko peechay ki taraf say phaarr daala . itney mein dono ney uss aurat kay shohar ko darwazay per kharra paya . uss aurat ney foran ( baat bananey kay liye apney shohar say ) kaha kay : jo koi tumhari biwi kay sath burai ka irada keray , uss ki saza iss kay siwa aur kiya hai kay ussay qaid kerdiya jaye , ya koi aur dardnak saza di jaye-?
قَالَ هِيَ رَٰوَدَتۡنِي عَن نَّفۡسِيۚ وَشَهِدَ شَاهِدٞ مِّنۡ أَهۡلِهَآ إِن كَانَ قَمِيصُهُۥ قُدَّ مِن قُبُلٖ فَصَدَقَتۡ وَهُوَ مِنَ ٱلۡكَٰذِبِينَ
آیت ۱۲:۲۶ کھولیںyousuf ney kaha : yeh khud then jo mujhay warghala rahi then . aur uss aurat kay khandan hi mein say aik gawahi denay walay ney yeh gawahi di kay : agar yousuf ki qamees samney ki taraf say phatti ho to aurat sach kehti hai , aur woh jhootay hain .
وَإِن كَانَ قَمِيصُهُۥ قُدَّ مِن دُبُرٖ فَكَذَبَتۡ وَهُوَ مِنَ ٱلصَّٰدِقِينَ
آیت ۱۲:۲۷ کھولیںaur agar inn ki qamees peechay ki taraf say phatti hai to aurat jhoot bolti hai , aur yeh sachay hain .
فَلَمَّا رَءَا قَمِيصَهُۥ قُدَّ مِن دُبُرٖ قَالَ إِنَّهُۥ مِن كَيۡدِكُنَّۖ إِنَّ كَيۡدَكُنَّ عَظِيمٞ
آیت ۱۲:۲۸ کھولیںphir jab shohar ney dekha kay unn ki qamees peechay say phatti hai to uss ney kaha kay : yeh tum aurton ki makkaari hai , waqaee tum aurton ki makkaari bari sakht hai .
يُوسُفُ أَعۡرِضۡ عَنۡ هَٰذَاۚ وَٱسۡتَغۡفِرِي لِذَنۢبِكِۖ إِنَّكِ كُنتِ مِنَ ٱلۡخَاطِـِٔينَ
آیت ۱۲:۲۹ کھولیںyousuf ! tum iss baat ka kuch khayal naa kero , aur aey aurat ! tu apney gunah ki moaafi maang , yaqeeni tor per tu hi khatakaar thi .
۞وَقَالَ نِسۡوَةٞ فِي ٱلۡمَدِينَةِ ٱمۡرَأَتُ ٱلۡعَزِيزِ تُرَٰوِدُ فَتَىٰهَا عَن نَّفۡسِهِۦۖ قَدۡ شَغَفَهَا حُبًّاۖ إِنَّا لَنَرَىٰهَا فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
آیت ۱۲:۳۰ کھولیںaur shehar mein kuch aurten yeh baaten kernay lagen kay : aziz ki biwi apney nojawan ghulam ko warghala rahi hai . iss nojawan ki mohabbat ney ussay fareefta kerliya hai . humaray khayal mein to yaqeeni tor per woh khuli gumrahi mein mubtala hai .
فَلَمَّا سَمِعَتۡ بِمَكۡرِهِنَّ أَرۡسَلَتۡ إِلَيۡهِنَّ وَأَعۡتَدَتۡ لَهُنَّ مُتَّكَـٔٗا وَءَاتَتۡ كُلَّ وَٰحِدَةٖ مِّنۡهُنَّ سِكِّينٗا وَقَالَتِ ٱخۡرُجۡ عَلَيۡهِنَّۖ فَلَمَّا رَأَيۡنَهُۥٓ أَكۡبَرۡنَهُۥ وَقَطَّعۡنَ أَيۡدِيَهُنَّ وَقُلۡنَ حَٰشَ لِلَّهِ مَا هَٰذَا بَشَرًا إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا مَلَكٞ كَرِيمٞ
آیت ۱۲:۳۱ کھولیںchunacheh jab uss yani( aziz ki biwi ) ney unn aurton kay makar ki yeh baat suni to uss ney paygham bhej ker unhen ( apney ghar ) bulwa liya . aur unn kay liye aik takiyon wali nishist tayyar ki , aur unn mein say her aik kay haath mein aik chaqoo dey diya , aur ( yousuf say ) kaha kay : zara bahir nikal ker unn kay samney aajao . abb jo unn aurton ney yousuf ko dekha to unhen hayrat angez ( hadd tak haseen ) paya , aur ( unn kay hussn say mabhoot hoker ) apney haath kaat daalay , aur bol uthen kay : haashaa lillah ! yeh shaks koi insan nahi hai , aik qabil-e-takreem farishtay kay siwa yeh kuch aur nahi hosakta .
قَالَتۡ فَذَٰلِكُنَّ ٱلَّذِي لُمۡتُنَّنِي فِيهِۖ وَلَقَدۡ رَٰوَدتُّهُۥ عَن نَّفۡسِهِۦ فَٱسۡتَعۡصَمَۖ وَلَئِن لَّمۡ يَفۡعَلۡ مَآ ءَامُرُهُۥ لَيُسۡجَنَنَّ وَلَيَكُونٗا مِّنَ ٱلصَّٰغِرِينَ
آیت ۱۲:۳۲ کھولیںaziz ki biwi ney kaha : abb dekho ! yeh hai woh shaks jiss kay baaray mein tum ney mujhay taaney diye thay ! yeh baat waqaee sach hai kay mein ney apna matlab nikalney kay liye iss per doray daalay , magar yeh bach nikla . aur agar yeh meray kehney per amal nahi keray ga to issay qaid zaroor kiya jaye ga , aur yeh zaleel ho ker rahey ga .
قَالَ رَبِّ ٱلسِّجۡنُ أَحَبُّ إِلَيَّ مِمَّا يَدۡعُونَنِيٓ إِلَيۡهِۖ وَإِلَّا تَصۡرِفۡ عَنِّي كَيۡدَهُنَّ أَصۡبُ إِلَيۡهِنَّ وَأَكُن مِّنَ ٱلۡجَٰهِلِينَ
آیت ۱۲:۳۳ کھولیںyousuf ney dua ki kay : ya rab ! yeh aurten mujhay jiss kaam ki dawat dey rahi hain , uss kay muqablay mein qaid khana mujhay ziyada pasand hai . aur agar tu ney mujhay inn ki chaalon say mehfooz naa kiya to mera dil bhi inn ki taraf khinchnay lagay ga , aur jo log jihalat kay kaam kertay hain , unn mein mein bhi shamil hojaon ga .
فَٱسۡتَجَابَ لَهُۥ رَبُّهُۥ فَصَرَفَ عَنۡهُ كَيۡدَهُنَّۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
آیت ۱۲:۳۴ کھولیںchunacheh yousuf kay rab ney unn ki dua qubool ki , aur unn aurton ki chaalon say unhen mehfooz rakha . beyshak wohi hai jo her baat sunney wala , her cheez janney wala hai .
ثُمَّ بَدَا لَهُم مِّنۢ بَعۡدِ مَا رَأَوُاْ ٱلۡأٓيَٰتِ لَيَسۡجُنُنَّهُۥ حَتَّىٰ حِينٖ
آیت ۱۲:۳۵ کھولیںphir unn logon ney ( yousuf ki pakdamni ki ) boht si nishaniyan dekh lenay kay baad bhi munasib yehi samjha kay unhen aik mauddat tak qaid khaney bhej den .
وَدَخَلَ مَعَهُ ٱلسِّجۡنَ فَتَيَانِۖ قَالَ أَحَدُهُمَآ إِنِّيٓ أَرَىٰنِيٓ أَعۡصِرُ خَمۡرٗاۖ وَقَالَ ٱلۡأٓخَرُ إِنِّيٓ أَرَىٰنِيٓ أَحۡمِلُ فَوۡقَ رَأۡسِي خُبۡزٗا تَأۡكُلُ ٱلطَّيۡرُ مِنۡهُۖ نَبِّئۡنَا بِتَأۡوِيلِهِۦٓۖ إِنَّا نَرَىٰكَ مِنَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۱۲:۳۶ کھولیںaur yousuf kay sath do aur nojawan qaid khaney mein dakhil huye . unn mein say aik ney ( aik din yousuf say ) kaha kay : mein ( khuwab mein ) apney aap ko dekhta hun kay mein sharab nichor raha hun aur doosray ney kaha kay : mein ( khuwab mein ) yun dekhta hun kay mein ney apney sar per roti uthai hoi hai , ( aur ) perinday uss mein say kha rahey hain . zara hamen iss ki tabeer batao , hamen tum naik aadmi nazar aatay ho .
قَالَ لَا يَأۡتِيكُمَا طَعَامٞ تُرۡزَقَانِهِۦٓ إِلَّا نَبَّأۡتُكُمَا بِتَأۡوِيلِهِۦ قَبۡلَ أَن يَأۡتِيَكُمَاۚ ذَٰلِكُمَا مِمَّا عَلَّمَنِي رَبِّيٓۚ إِنِّي تَرَكۡتُ مِلَّةَ قَوۡمٖ لَّا يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَهُم بِٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ كَٰفِرُونَ
آیت ۱۲:۳۷ کھولیںyousuf ney kaha : jo khana tumhen ( qaid khaney mein ) diya jata hai , woh abhi aaney nahi paye ga kay mein tumhen iss ki haqeeqat bata dun ga . yeh uss ilm ka aik hissa hai jo meray perwerdigar ney mujhay ata farmaya hai . ( magar iss say pehlay meri aik baat suno ) baat yeh hai kay mein ney unn logon ka deen chorr diya hai jo Allah per emaan nahi rakhtay , aur jo aakhirat kay munkir hain .
وَٱتَّبَعۡتُ مِلَّةَ ءَابَآءِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَإِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَۚ مَا كَانَ لَنَآ أَن نُّشۡرِكَ بِٱللَّهِ مِن شَيۡءٖۚ ذَٰلِكَ مِن فَضۡلِ ٱللَّهِ عَلَيۡنَا وَعَلَى ٱلنَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَشۡكُرُونَ
آیت ۱۲:۳۸ کھولیںaur mein ney apney baap dada Ibrahim , Ishaq aur Yaqoob kay deen ki perwi ki hai . hamen yeh haq nahi hai kay Allah kay sath kissi bhi cheez ko shareek thehrayen . yeh ( toheed ka aqeedah ) hum per aur tamam logon per Allah kay fazal ka hissa hai , lekin aksar log ( iss naimat ka ) shukar ada nahi kertay .
يَٰصَٰحِبَيِ ٱلسِّجۡنِ ءَأَرۡبَابٞ مُّتَفَرِّقُونَ خَيۡرٌ أَمِ ٱللَّهُ ٱلۡوَٰحِدُ ٱلۡقَهَّارُ
آیت ۱۲:۳۹ کھولیںaey meray qaid khaney kay sathiyo! kiya boht say mutafarriq rab behtar hain , ya woh aik Allah jiss ka iqtidar sabb per chaya huwa hai-?
مَا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِهِۦٓ إِلَّآ أَسۡمَآءٗ سَمَّيۡتُمُوهَآ أَنتُمۡ وَءَابَآؤُكُم مَّآ أَنزَلَ ٱللَّهُ بِهَا مِن سُلۡطَٰنٍۚ إِنِ ٱلۡحُكۡمُ إِلَّا لِلَّهِ أَمَرَ أَلَّا تَعۡبُدُوٓاْ إِلَّآ إِيَّاهُۚ ذَٰلِكَ ٱلدِّينُ ٱلۡقَيِّمُ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
آیت ۱۲:۴۰ کھولیںuss kay siwa jiss jiss ki tum ibadat kertay ho , unn ki haqeeqat chand naamon say ziyada nahi hai jo tum ney aur tumharay baap dadon ney rakh liye hain . Allah ney unn kay haq mein koi daleel nahi utaari . hakmiyat Allah kay siwa kissi ko hasil nahi hai , ussi ney yeh hukum diya hai kay uss kay siwa kissi ki ibadat naa kero . yehi seedha seedha deen hai , lekin aksar log nahi jantay .
يَٰصَٰحِبَيِ ٱلسِّجۡنِ أَمَّآ أَحَدُكُمَا فَيَسۡقِي رَبَّهُۥ خَمۡرٗاۖ وَأَمَّا ٱلۡأٓخَرُ فَيُصۡلَبُ فَتَأۡكُلُ ٱلطَّيۡرُ مِن رَّأۡسِهِۦۚ قُضِيَ ٱلۡأَمۡرُ ٱلَّذِي فِيهِ تَسۡتَفۡتِيَانِ
آیت ۱۲:۴۱ کھولیںaey meray qaid khaney kay sathiyo! ( abb apney khuwabon ki tabeer suno ) tum mein say aik ka moamla to yeh hai kay woh ( qaid say azad hoker ) apney aaqa ko sharab pilaye ga . raha doosra to ussay sooli di jaye gi , jiss kay nateejay mein perinday uss kay sar ko ( noach ker ) khayen gay . jiss moamlay mein tum pooch rahey thay , uss ka faisla ( issi tarah ) hochuka hai .
وَقَالَ لِلَّذِي ظَنَّ أَنَّهُۥ نَاجٖ مِّنۡهُمَا ٱذۡكُرۡنِي عِندَ رَبِّكَ فَأَنسَىٰهُ ٱلشَّيۡطَٰنُ ذِكۡرَ رَبِّهِۦ فَلَبِثَ فِي ٱلسِّجۡنِ بِضۡعَ سِنِينَ
آیت ۱۲:۴۲ کھولیںaur unn dono mein say jiss kay baaray mein unn ka gumaan tha kay woh raha hojaye ga , uss say yousuf ney kaha kay : apney aaqa say mera bhi tazkarah ker-dena . phir huwa yeh kay shetan ney uss ko yeh baat bhula di kay woh apney aaqa say yousuf ka tazkarah kerta . chunacheh woh kaee baras qaid khaney mein rahey .
وَقَالَ ٱلۡمَلِكُ إِنِّيٓ أَرَىٰ سَبۡعَ بَقَرَٰتٖ سِمَانٖ يَأۡكُلُهُنَّ سَبۡعٌ عِجَافٞ وَسَبۡعَ سُنۢبُلَٰتٍ خُضۡرٖ وَأُخَرَ يَابِسَٰتٖۖ يَٰٓأَيُّهَا ٱلۡمَلَأُ أَفۡتُونِي فِي رُءۡيَٰيَ إِن كُنتُمۡ لِلرُّءۡيَا تَعۡبُرُونَ
آیت ۱۲:۴۳ کھولیںaur ( chand saal baad misir kay ) badshah ney ( apney darbariyon say ) kaha kay : mein ( khuwab mein ) kiya dekhta hun kay saat moti tazi gayen hain jinhen saat dubli patli gayen kha rahi hain , neez saat khoshay haray bharay hain , aur saat aur hain jo sookhay huye hain . aey darbariyo ! agar tum khuwab ki tabeer dey saktay ho to meray iss khuwab ka matlab batao .
قَالُوٓاْ أَضۡغَٰثُ أَحۡلَٰمٖۖ وَمَا نَحۡنُ بِتَأۡوِيلِ ٱلۡأَحۡلَٰمِ بِعَٰلِمِينَ
آیت ۱۲:۴۴ کھولیںunhon ney kaha kay : yeh pareshan qisam kay khayalaat ( maloom hotay ) hain , aur hum khuwabon ki tabeer kay ilm say waqif ( bhi ) nahi .
وَقَالَ ٱلَّذِي نَجَا مِنۡهُمَا وَٱدَّكَرَ بَعۡدَ أُمَّةٍ أَنَا۠ أُنَبِّئُكُم بِتَأۡوِيلِهِۦ فَأَرۡسِلُونِ
آیت ۱۲:۴۵ کھولیںaur unn do qediyon mein say jo raha hogaya tha , aur ussay aik lambay arsay kay baad ( yousuf ki ) baat yaad aai thi , uss ney kaha kay : mein aap ko iss khuwab ki tabeer bataye deta hun , bus mujhay ( yousuf kay paas qaid khaney mein ) bhej dijiye .
يُوسُفُ أَيُّهَا ٱلصِّدِّيقُ أَفۡتِنَا فِي سَبۡعِ بَقَرَٰتٖ سِمَانٖ يَأۡكُلُهُنَّ سَبۡعٌ عِجَافٞ وَسَبۡعِ سُنۢبُلَٰتٍ خُضۡرٖ وَأُخَرَ يَابِسَٰتٖ لَّعَلِّيٓ أَرۡجِعُ إِلَى ٱلنَّاسِ لَعَلَّهُمۡ يَعۡلَمُونَ
آیت ۱۲:۴۶ کھولیں. ( chunacheh uss ney qaid khaney mein phonch ker yousuf say kaha : ) yousuf ! aey woh shaks jiss ki her baat sachi hoti hai , tum hamen iss ( khuwab ) ka matlab batao kay saat moti tazi gayen hain jinhen saat dubli patli gayen kha rahi hain , aur saat khoshay haray bharay hain , aur doosray saat aur hain jo sookhay huye hain . shayad mein logon kay paas wapis jaon ( aur unhen khuwab ki tabeer bataon ) takay woh bhi haqeeqat jaan len .
قَالَ تَزۡرَعُونَ سَبۡعَ سِنِينَ دَأَبٗا فَمَا حَصَدتُّمۡ فَذَرُوهُ فِي سُنۢبُلِهِۦٓ إِلَّا قَلِيلٗا مِّمَّا تَأۡكُلُونَ
آیت ۱۲:۴۷ کھولیںyousuf ney kaha : tum saat saal tak musalsal ghalla zameen mein ugao gay . uss doran jo fasal kaato , uss ko uss ki baaliyon hi mein rehney dena , albatta thora saa ghalla jo tumharay khaney kay kaam aaye , ( woh nikal liya kero . )
ثُمَّ يَأۡتِي مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ سَبۡعٞ شِدَادٞ يَأۡكُلۡنَ مَا قَدَّمۡتُمۡ لَهُنَّ إِلَّا قَلِيلٗا مِّمَّا تُحۡصِنُونَ
آیت ۱۲:۴۸ کھولیںphir uss kay baad tum per saat saal aesay ayen gay jo baray sakht hon gay , aur jo kuch zakheera tum ney unn salon kay wastay jama ker rakha hoga , uss ko kha jayen gay , haan albatta thora saa hissa jo tum mehfooz ker-sako gay , ( sirf woh bach jaye ga )
ثُمَّ يَأۡتِي مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ عَامٞ فِيهِ يُغَاثُ ٱلنَّاسُ وَفِيهِ يَعۡصِرُونَ
آیت ۱۲:۴۹ کھولیںphir uss kay baad aik saal aisa aaye ga jiss mein logon per khoob barish hogi , aur woh uss mein angoor ka sheera nichoren gay .
وَقَالَ ٱلۡمَلِكُ ٱئۡتُونِي بِهِۦۖ فَلَمَّا جَآءَهُ ٱلرَّسُولُ قَالَ ٱرۡجِعۡ إِلَىٰ رَبِّكَ فَسۡـَٔلۡهُ مَا بَالُ ٱلنِّسۡوَةِ ٱلَّٰتِي قَطَّعۡنَ أَيۡدِيَهُنَّۚ إِنَّ رَبِّي بِكَيۡدِهِنَّ عَلِيمٞ
آیت ۱۲:۵۰ کھولیںaur badshah ney kaha kay : uss ko ( yani yousuf ko ) meray paas ley ker aao . chunacheh jab unn kay paas aelchi phoncha to yousuf ney kaha : apney malik kay paas wapis jao , aur unn say poocho kay unn aurton ka kiya qissa hai jinhon ney apney haath kaat daalay thay-? mera perwerdigar unn aurton kay makar say khoob waqif hai .
قَالَ مَا خَطۡبُكُنَّ إِذۡ رَٰوَدتُّنَّ يُوسُفَ عَن نَّفۡسِهِۦۚ قُلۡنَ حَٰشَ لِلَّهِ مَا عَلِمۡنَا عَلَيۡهِ مِن سُوٓءٖۚ قَالَتِ ٱمۡرَأَتُ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡـَٰٔنَ حَصۡحَصَ ٱلۡحَقُّ أَنَا۠ رَٰوَدتُّهُۥ عَن نَّفۡسِهِۦ وَإِنَّهُۥ لَمِنَ ٱلصَّٰدِقِينَ
آیت ۱۲:۵۱ کھولیںbadshah ney ( unn aurton ko bula ker unn say ) kaha : tumhara kiya qissa tha jab tum ney yousuf ko warghalaney ki koshish ki thi ? unn sabb aurton ney kaha kay : haashaa lillah ! hum ko unn mein zara bhi to koi burai maloom nahi hoi . aziz ki biwi ney kaha kay : abb to haq baat sabb per khul hi gaee hai . mein ney hi unn ko warghalaney ki koshish ki thi , aur haqeeqat yeh hai kay woh bilkul sachay hain .
ذَٰلِكَ لِيَعۡلَمَ أَنِّي لَمۡ أَخُنۡهُ بِٱلۡغَيۡبِ وَأَنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي كَيۡدَ ٱلۡخَآئِنِينَ
آیت ۱۲:۵۲ کھولیں. ( jab yousuf ko qaid khaney mein iss guftoogo ki khabar mili to unhon ney kaha kay : ) yeh sabb kuch mein ney iss liye kiya takay aziz ko yeh baat yaqeen kay sath maloom hojaye kay mein ney uss ki ghair mojoodgi mein uss kay sath koi khayanat nahi ki , aur yeh bhi kay jo log khayanat kertay hain , Allah unn kay faraib ko chalney nahi deta .
۞وَمَآ أُبَرِّئُ نَفۡسِيٓۚ إِنَّ ٱلنَّفۡسَ لَأَمَّارَةُۢ بِٱلسُّوٓءِ إِلَّا مَا رَحِمَ رَبِّيٓۚ إِنَّ رَبِّي غَفُورٞ رَّحِيمٞ
آیت ۱۲:۵۳ کھولیںaur mein yeh dawa nahi kerta kay mera nafs bilkul pak saaf hai . waqiaa yeh hai kay nafs to burai ki talqeen kerta hi rehta hai , haan mera rab reham farmadey to baat aur hai ( kay uss soorat mein nafs ka koi dao nahi chalta ) beyshak mera rab boht bakhshney wala , bara meharban hai .
وَقَالَ ٱلۡمَلِكُ ٱئۡتُونِي بِهِۦٓ أَسۡتَخۡلِصۡهُ لِنَفۡسِيۖ فَلَمَّا كَلَّمَهُۥ قَالَ إِنَّكَ ٱلۡيَوۡمَ لَدَيۡنَا مَكِينٌ أَمِينٞ
آیت ۱۲:۵۴ کھولیںaur badshah ney kaha kay : uss ko meray paas ley aao , mein ussay khalis apna ( moawin ) banaon ga . chunacheh jab ( yousuf badshah kay paas aagaye , aur ) badshah ney unn say baaten ken to uss ney kaha : aaj say humaray paas tumhara bara martaba hoga , aur tum per poora bharosa kiya jaye ga .
قَالَ ٱجۡعَلۡنِي عَلَىٰ خَزَآئِنِ ٱلۡأَرۡضِۖ إِنِّي حَفِيظٌ عَلِيمٞ
آیت ۱۲:۵۵ کھولیںyousuf ney kaha kay : aap mujhay mulk kay khazanon ( kay intizam ) per muqarrar ker-dijiye . yaqeen rakhiye kay mujhay hifazat kerna khoob aata hai , ( aur ) mein ( iss kaam ka ) poora ilm rakhta hun .
وَكَذَٰلِكَ مَكَّنَّا لِيُوسُفَ فِي ٱلۡأَرۡضِ يَتَبَوَّأُ مِنۡهَا حَيۡثُ يَشَآءُۚ نُصِيبُ بِرَحۡمَتِنَا مَن نَّشَآءُۖ وَلَا نُضِيعُ أَجۡرَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۱۲:۵۶ کھولیںaur iss tarah hum ney yousuf ko mulk mein aisa iqtidar ata kiya kay woh uss mein jahan chahen apna thikana banayen . hum apni rehmat jiss ko chahtay hain , phonchatay hain , aur naik logon kay ajar ko zaya nahi kertay .
وَلَأَجۡرُ ٱلۡأٓخِرَةِ خَيۡرٞ لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَكَانُواْ يَتَّقُونَ
آیت ۱۲:۵۷ کھولیںaur aakhirat ka jo ajar hai woh unn logon kay liye kahen ziyada behtar hai jo emaan latay aur taqwa per kaar-band rehtay hain .
وَجَآءَ إِخۡوَةُ يُوسُفَ فَدَخَلُواْ عَلَيۡهِ فَعَرَفَهُمۡ وَهُمۡ لَهُۥ مُنكِرُونَ
آیت ۱۲:۵۸ کھولیںaur ( jab qehat parra to ) yousuf kay bhai aaye , aur unn kay paas phonchay , to yousuf ney unhen pehchan liya , aur woh yousuf ko nahi pehchaney .
وَلَمَّا جَهَّزَهُم بِجَهَازِهِمۡ قَالَ ٱئۡتُونِي بِأَخٖ لَّكُم مِّنۡ أَبِيكُمۡۚ أَلَا تَرَوۡنَ أَنِّيٓ أُوفِي ٱلۡكَيۡلَ وَأَنَا۠ خَيۡرُ ٱلۡمُنزِلِينَ
آیت ۱۲:۵۹ کھولیںaur jab yousuf ney unn ka saman tayyar kerdiya toh unn say kaha kay ( aaenda ) apney baap shareek bhai ko bhi meray paas ley ker aana . kiya tum yeh nahi dekh rahey ho kay mein paymana bhar bhar ker deta hun , aur mein behtareen mehman nawaz bhi hun-?
فَإِن لَّمۡ تَأۡتُونِي بِهِۦ فَلَا كَيۡلَ لَكُمۡ عِندِي وَلَا تَقۡرَبُونِ
آیت ۱۲:۶۰ کھولیںabb agar tum ussay ley ker naa aaye to meray paas tumharay liye koi ghalla nahi hoga , aur tum meray paas bhi naa phatakna .
قَالُواْ سَنُرَٰوِدُ عَنۡهُ أَبَاهُ وَإِنَّا لَفَٰعِلُونَ
آیت ۱۲:۶۱ کھولیںwoh bolay : hum uss kay walid ko uss kay baaray mein behlaney ki koshish keren gay ( kay woh ussay humaray sath bhej den ) aur hum aisa zaroor keren gay .
وَقَالَ لِفِتۡيَٰنِهِ ٱجۡعَلُواْ بِضَٰعَتَهُمۡ فِي رِحَالِهِمۡ لَعَلَّهُمۡ يَعۡرِفُونَهَآ إِذَا ٱنقَلَبُوٓاْ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِمۡ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
آیت ۱۲:۶۲ کھولیںaur yousuf ney apney nokaron say keh diya kay woh unn ( bhaiyon ) ka maal ( jiss kay badlay unhon ney ghalla khareeda hai ) unhi kay kajawon mein rakh den , takay jab yeh apney ghar walon kay paas wapis phonchen to apney maal ko pehchan len . shayad ( iss ehsan ki wajeh say ) woh dobara ayen .
فَلَمَّا رَجَعُوٓاْ إِلَىٰٓ أَبِيهِمۡ قَالُواْ يَٰٓأَبَانَا مُنِعَ مِنَّا ٱلۡكَيۡلُ فَأَرۡسِلۡ مَعَنَآ أَخَانَا نَكۡتَلۡ وَإِنَّا لَهُۥ لَحَٰفِظُونَ
آیت ۱۲:۶۳ کھولیںchunacheh jab woh apney walid kay paas wapis phonchay to unhon ney kaha : abba jaan ! aaenda hamen ghalla denay say inkar kerdiya gaya hai , lehaza aap humaray bhai ( Bin-Yamin ) ko humaray sath bhej dijiye , takay hum ( phir ) ghalla laasaken , aur yaqeen rakhiye kay hum uss ki poori poori hifazat keren gay .
قَالَ هَلۡ ءَامَنُكُمۡ عَلَيۡهِ إِلَّا كَمَآ أَمِنتُكُمۡ عَلَىٰٓ أَخِيهِ مِن قَبۡلُ فَٱللَّهُ خَيۡرٌ حَٰفِظٗاۖ وَهُوَ أَرۡحَمُ ٱلرَّٰحِمِينَ
آیت ۱۲:۶۴ کھولیںwalid ney kaha : kiya mein uss kay baaray mein tum per wesa hi bharosa kerun jaisa uss-kay bhai ( yousuf ) kay baaray mein tum per pehlay kiya tha-? khair ! Allah sabb say barh ker nigehban hai , aur woh sabb say barh ker reham farmaney wala hai .
وَلَمَّا فَتَحُواْ مَتَٰعَهُمۡ وَجَدُواْ بِضَٰعَتَهُمۡ رُدَّتۡ إِلَيۡهِمۡۖ قَالُواْ يَٰٓأَبَانَا مَا نَبۡغِيۖ هَٰذِهِۦ بِضَٰعَتُنَا رُدَّتۡ إِلَيۡنَاۖ وَنَمِيرُ أَهۡلَنَا وَنَحۡفَظُ أَخَانَا وَنَزۡدَادُ كَيۡلَ بَعِيرٖۖ ذَٰلِكَ كَيۡلٞ يَسِيرٞ
آیت ۱۲:۶۵ کھولیںaur jab unhon ney apna saman khola to dekha kay unn ka maal bhi unn ko loata diya gaya hai . woh kehney lagay : abba jaan ! hamen aur kiya chahiye-? yeh humara maal hai jo hamen loata diya gaya hai . aur ( iss martaba ) hum apney ghar walon kay liye aur ghalla layen gay , apney bhai ki hifazat keren gay , aur aik oont ka bojh ziyada ley ker ayen gay . ( iss tarah ) yeh ziyada ghalla bari aasani say mil jaye ga .
قَالَ لَنۡ أُرۡسِلَهُۥ مَعَكُمۡ حَتَّىٰ تُؤۡتُونِ مَوۡثِقٗا مِّنَ ٱللَّهِ لَتَأۡتُنَّنِي بِهِۦٓ إِلَّآ أَن يُحَاطَ بِكُمۡۖ فَلَمَّآ ءَاتَوۡهُ مَوۡثِقَهُمۡ قَالَ ٱللَّهُ عَلَىٰ مَا نَقُولُ وَكِيلٞ
آیت ۱۲:۶۶ کھولیںwalid ney kaha : mein iss ( Bin-Yamin ) ko tumharay sath uss waqt tak hergiz nahi bhejun ga jab tak tum Allah kay naam per mujh say yeh ehad naa kero kay ussay zaroor meray paas wapis ley ker aao gay , illa yeh kay tum ( waqaee ) bey bus hojao . chunacheh jab unhon ney apney walid ko yeh ehad dey diya to walid ney kaha : jo qol o qarar hum ker rahey hain uss per Allah nigehban hai .
وَقَالَ يَٰبَنِيَّ لَا تَدۡخُلُواْ مِنۢ بَابٖ وَٰحِدٖ وَٱدۡخُلُواْ مِنۡ أَبۡوَٰبٖ مُّتَفَرِّقَةٖۖ وَمَآ أُغۡنِي عَنكُم مِّنَ ٱللَّهِ مِن شَيۡءٍۖ إِنِ ٱلۡحُكۡمُ إِلَّا لِلَّهِۖ عَلَيۡهِ تَوَكَّلۡتُۖ وَعَلَيۡهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُتَوَكِّلُونَ
آیت ۱۲:۶۷ کھولیںaur ( sath hi yeh bhi ) kaha kay : meray beto ! tum sabb aik darwazay say ( shehar mein ) dakhil naa hona , balkay mukhtalif darwazon say dakhil hona . mein Allah ki mashiyat say tumhen nahi bacha sakta , hukum Allah kay siwa kissi ka nahi chalta . ussi per mein ney bharosa ker rakha hai , aur jinn jinn ko bharosa kerna ho , unhen chahiye kay ussi per bharosa keren .
وَلَمَّا دَخَلُواْ مِنۡ حَيۡثُ أَمَرَهُمۡ أَبُوهُم مَّا كَانَ يُغۡنِي عَنۡهُم مِّنَ ٱللَّهِ مِن شَيۡءٍ إِلَّا حَاجَةٗ فِي نَفۡسِ يَعۡقُوبَ قَضَىٰهَاۚ وَإِنَّهُۥ لَذُو عِلۡمٖ لِّمَا عَلَّمۡنَٰهُ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
آیت ۱۲:۶۸ کھولیںaur jab woh ( bhai ) ussi tarah ( misir mein ) dakhil huye jiss tarah unn kay walid ney kaha tha , to yeh amal Allah ki mashiyat say unn ko zara bhi bachaney wala nahi tha , lekin Yaqoob kay dil mein aik khuwaish thi jo unhon ney poori kerli . beyshak woh humaray sikhaye huye ilm kay hamil thay , lekin aksar log ( moamlay ki haqeeqat ) nahi jantay .
وَلَمَّا دَخَلُواْ عَلَىٰ يُوسُفَ ءَاوَىٰٓ إِلَيۡهِ أَخَاهُۖ قَالَ إِنِّيٓ أَنَا۠ أَخُوكَ فَلَا تَبۡتَئِسۡ بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
آیت ۱۲:۶۹ کھولیںaur jab yeh log yousuf kay paas phonchay to unhon ney apney ( sagay ) bhai ( Bin-Yamin ) ko apney paas khaas jagah di , ( aur unhen ) bataya kay mein tumhara bhai hun , lehaza tum inn baaton per ranjeedah naa hona jo yeh ( doosray bhai ) kertay rahey hain .
فَلَمَّا جَهَّزَهُم بِجَهَازِهِمۡ جَعَلَ ٱلسِّقَايَةَ فِي رَحۡلِ أَخِيهِ ثُمَّ أَذَّنَ مُؤَذِّنٌ أَيَّتُهَا ٱلۡعِيرُ إِنَّكُمۡ لَسَٰرِقُونَ
آیت ۱۲:۷۰ کھولیںphir jab yousuf ney unn ka saman tayyar kerdiya to paani peenay ka piyala apney ( sagay ) bhai kay kajaway mein rakhwa diya , phir aik munadi ney pukar ker kaha kay : aey qaflay walo ! tum chor ho . .
قَالُواْ وَأَقۡبَلُواْ عَلَيۡهِم مَّاذَا تَفۡقِدُونَ
آیت ۱۲:۷۱ کھولیںunhon ney unn ki taraf murr ker poocha kay : kiya cheez hai jo tum say gumm hogaee hai-?
قَالُواْ نَفۡقِدُ صُوَاعَ ٱلۡمَلِكِ وَلِمَن جَآءَ بِهِۦ حِمۡلُ بَعِيرٖ وَأَنَا۠ بِهِۦ زَعِيمٞ
آیت ۱۲:۷۲ کھولیںunhon ney kaha kay : hamen badshah ka paymana nahi mil raha , aur jo shaks ussay laaker dey ga , uss ko aik oont ka bojh ( inaam mein ) milay ga , aur mein uss ( inaam kay dilwaney ) ki zimma daari leta hun .
قَالُواْ تَٱللَّهِ لَقَدۡ عَلِمۡتُم مَّا جِئۡنَا لِنُفۡسِدَ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا كُنَّا سَٰرِقِينَ
آیت ۱۲:۷۳ کھولیںwoh ( bhai ) bolay : Allah ki qasam ! aap log jantay hain kay hum zameen mein fasad phelaney kay liye nahi aaye thay , aur naa hum chori kernay walay log hain .
قَالُواْ فَمَا جَزَٰٓؤُهُۥٓ إِن كُنتُمۡ كَٰذِبِينَ
آیت ۱۲:۷۴ کھولیںunhon ney kaha kay : agar tum log jhootay ( sabit ) huye to uss ki kiya saza hogi-?
قَالُواْ جَزَٰٓؤُهُۥ مَن وُجِدَ فِي رَحۡلِهِۦ فَهُوَ جَزَٰٓؤُهُۥۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلظَّٰلِمِينَ
آیت ۱۲:۷۵ کھولیںunhon ney kaha : uss ki saza yeh hai kay jiss kay kajaway mein say woh ( piyala ) mil jaye , woh khud saza mein dhar liya jaye . jo log zulm kertay hain , hum unn ko aesi hi saza diya kertay hain .
فَبَدَأَ بِأَوۡعِيَتِهِمۡ قَبۡلَ وِعَآءِ أَخِيهِ ثُمَّ ٱسۡتَخۡرَجَهَا مِن وِعَآءِ أَخِيهِۚ كَذَٰلِكَ كِدۡنَا لِيُوسُفَۖ مَا كَانَ لِيَأۡخُذَ أَخَاهُ فِي دِينِ ٱلۡمَلِكِ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُۚ نَرۡفَعُ دَرَجَٰتٖ مَّن نَّشَآءُۗ وَفَوۡقَ كُلِّ ذِي عِلۡمٍ عَلِيمٞ
آیت ۱۲:۷۶ کھولیںchunacheh yousuf ney apney ( sagay ) bhai kay thelay say pehlay doosray bhaiyon kay thelon ki talashi shuroo ki , phir uss piyalay ko apney ( sagay ) bhai kay thelay mein say bar-aamad kerliya . iss tarah hum ney yousuf ki khatir yeh tadbeer ki . Allah ki yeh mashiyat naa hoti to yousuf kay liye yeh mumkin nahi tha kay woh badshah kay qanoon kay mutabiq apney bhai ko apney paas rakh letay , aur hum jiss ko chahtay hain , uss kay darjay buland ker-detay hain , aur jitney ilm walay hain , unn sabb kay oopper aik bara ilm rakhney wala mojood hai .
۞قَالُوٓاْ إِن يَسۡرِقۡ فَقَدۡ سَرَقَ أَخٞ لَّهُۥ مِن قَبۡلُۚ فَأَسَرَّهَا يُوسُفُ فِي نَفۡسِهِۦ وَلَمۡ يُبۡدِهَا لَهُمۡۚ قَالَ أَنتُمۡ شَرّٞ مَّكَانٗاۖ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا تَصِفُونَ
آیت ۱۲:۷۷ کھولیں. ( baharhal ! ) woh bhai bolay kay : agar iss ( Bin-Yamin ) ney chori ki hai to ( kuch taajjub nahi , kiyonkay ) iss ka aik bhai iss say pehlay bhi chori ker-chuka hai . iss per yousuf ney unn per zahir kiye baghair chupkay say ( dil mein ) kaha kay : tum to uss moamlay mein kahen ziyada buray ho , aur jo biyan tum dey rahey ho , Allah uss ki haqeeqat khoob janta hai .
قَالُواْ يَٰٓأَيُّهَا ٱلۡعَزِيزُ إِنَّ لَهُۥٓ أَبٗا شَيۡخٗا كَبِيرٗا فَخُذۡ أَحَدَنَا مَكَانَهُۥٓۖ إِنَّا نَرَىٰكَ مِنَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۱۲:۷۸ کھولیں. ( abb ) woh kehney lagay kay : aey aziz ! iss ka aik boht boorha baap hai , iss liye iss ki jagah hum mein say kissi ko apney paas rakh lijiye . hum aap ko unn logon mein say samajhtay hain jo ehsan kiya kertay hain .
قَالَ مَعَاذَ ٱللَّهِ أَن نَّأۡخُذَ إِلَّا مَن وَجَدۡنَا مَتَٰعَنَا عِندَهُۥٓ إِنَّآ إِذٗا لَّظَٰلِمُونَ
آیت ۱۲:۷۹ کھولیںyousuf ney kaha : iss ( na-insafi ) say mein Allah ki panah maangta hun kay jiss shaks kay paas say humari cheez mili hai , uss ko chorr ker kissi aur ko pakar len . agar hum aisa keren gay to yaqeeni tor per hum zalim hon gay .
فَلَمَّا ٱسۡتَيۡـَٔسُواْ مِنۡهُ خَلَصُواْ نَجِيّٗاۖ قَالَ كَبِيرُهُمۡ أَلَمۡ تَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ أَبَاكُمۡ قَدۡ أَخَذَ عَلَيۡكُم مَّوۡثِقٗا مِّنَ ٱللَّهِ وَمِن قَبۡلُ مَا فَرَّطتُمۡ فِي يُوسُفَۖ فَلَنۡ أَبۡرَحَ ٱلۡأَرۡضَ حَتَّىٰ يَأۡذَنَ لِيٓ أَبِيٓ أَوۡ يَحۡكُمَ ٱللَّهُ لِيۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلۡحَٰكِمِينَ
آیت ۱۲:۸۰ کھولیںchunacheh jab woh yousuf say mayyus hogaye to alag ho ker chupkay chupkay mashwara kernay lagay . unn sabb mein jo bara tha , uss ney kaha : kiya tumhen maloom nahi kay tumharay walid ney tum say Allah kay naam per ehad liya tha , aur iss say pehlay tum yousuf kay moamlay mein jo qusoor ker-chukay ho , ( woh bhi maloom hai ) lehaza mein toh iss mulk say uss waqt tak nahi talon ga jab tak meray walid mujhay ijazat naa den , ya Allah hi meray haq mein koi faisla farmadey . aur wohi sabb say behtar faisla kernay wala hai .
ٱرۡجِعُوٓاْ إِلَىٰٓ أَبِيكُمۡ فَقُولُواْ يَٰٓأَبَانَآ إِنَّ ٱبۡنَكَ سَرَقَ وَمَا شَهِدۡنَآ إِلَّا بِمَا عَلِمۡنَا وَمَا كُنَّا لِلۡغَيۡبِ حَٰفِظِينَ
آیت ۱۲:۸۱ کھولیںjao , apney walid kay paas wapis jao , aur unn say kaho kay : abba jaan ! aap kay betay ney chori kerli thi , aur hum ney wohi baat kahi hai jo humaray ilm mein aai hai , aur gaib ki nigehbani to humaray bus mein nahi thi .
وَسۡـَٔلِ ٱلۡقَرۡيَةَ ٱلَّتِي كُنَّا فِيهَا وَٱلۡعِيرَ ٱلَّتِيٓ أَقۡبَلۡنَا فِيهَاۖ وَإِنَّا لَصَٰدِقُونَ
آیت ۱۲:۸۲ کھولیںaur jiss basti mein hum thay uss say pooch lijiye , aur jiss qaflay mein hum aaye hain , uss say tehqeeq kerlijiye , yeh bilkul pakki baat hai kay hum sachay hain .
قَالَ بَلۡ سَوَّلَتۡ لَكُمۡ أَنفُسُكُمۡ أَمۡرٗاۖ فَصَبۡرٞ جَمِيلٌۖ عَسَى ٱللَّهُ أَن يَأۡتِيَنِي بِهِمۡ جَمِيعًاۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡعَلِيمُ ٱلۡحَكِيمُ
آیت ۱۲:۸۳ کھولیں. ( chunacheh yeh bhai Yaqoob ( aleh-assalam ) kay paas gaye , aur unn say wohi baat kahi jo baray bhai ney sikhai thi ) Yaqoob ney ( yeh sunn ker ) kaha : nahi , balkay tumharay dilon ney apni taraf say aik baat bana li hai . abb to meray liye sabar hi behtar hai . kuch baeed nahi kay Allah meray paas unn sabb ko ley aaye . beyshak uss ka ilm bhi kamil hai , hikmat bhi kamil .
وَتَوَلَّىٰ عَنۡهُمۡ وَقَالَ يَٰٓأَسَفَىٰ عَلَىٰ يُوسُفَ وَٱبۡيَضَّتۡ عَيۡنَاهُ مِنَ ٱلۡحُزۡنِ فَهُوَ كَظِيمٞ
آیت ۱۲:۸۴ کھولیںaur ( yeh keh ker ) unhon ney mun pher liya , aur kehney lagay : haaye yousuf ! aur unn ki dono aankhen sadmay say ( rotay rotay ) safaid parr-gai then , aur woh dil hi dil mein ghutay jatay thay .
قَالُواْ تَٱللَّهِ تَفۡتَؤُاْ تَذۡكُرُ يُوسُفَ حَتَّىٰ تَكُونَ حَرَضًا أَوۡ تَكُونَ مِنَ ٱلۡهَٰلِكِينَ
آیت ۱۲:۸۵ کھولیںunn kay betay kehney lagay : Allah ki qasam ! aap yousuf ko yaad kerna nahi choren gay , yahan tak kay bilkul ghul ker reh jayen gay , ya halak ho bethen gay .
قَالَ إِنَّمَآ أَشۡكُواْ بَثِّي وَحُزۡنِيٓ إِلَى ٱللَّهِ وَأَعۡلَمُ مِنَ ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
آیت ۱۲:۸۶ کھولیںYaqoob ney kaha : mein apney ranj o ghum ki fariyad ( tum say nahi ) sirf Allah say kerta hun , aur Allah kay baaray mein jitna mein janta hun , tum nahi jantay .
يَٰبَنِيَّ ٱذۡهَبُواْ فَتَحَسَّسُواْ مِن يُوسُفَ وَأَخِيهِ وَلَا تَاْيۡـَٔسُواْ مِن رَّوۡحِ ٱللَّهِۖ إِنَّهُۥ لَا يَاْيۡـَٔسُ مِن رَّوۡحِ ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡقَوۡمُ ٱلۡكَٰفِرُونَ
آیت ۱۲:۸۷ کھولیںmeray beto ! jao , aur yousuf aur uss kay bhai ka kuch suragh lagao , aur Allah ki rehmat say na-umeed naa ho . yaqeen jano , Allah ki rehmat say wohi log naa umeed hotay hain jo kafir hain .
فَلَمَّا دَخَلُواْ عَلَيۡهِ قَالُواْ يَٰٓأَيُّهَا ٱلۡعَزِيزُ مَسَّنَا وَأَهۡلَنَا ٱلضُّرُّ وَجِئۡنَا بِبِضَٰعَةٖ مُّزۡجَىٰةٖ فَأَوۡفِ لَنَا ٱلۡكَيۡلَ وَتَصَدَّقۡ عَلَيۡنَآۖ إِنَّ ٱللَّهَ يَجۡزِي ٱلۡمُتَصَدِّقِينَ
آیت ۱۲:۸۸ کھولیںchunacheh jab woh yousuf kay paas phonchay to unhon ney ( yousuf say ) kaha : aey aziz ! hum per aur humaray ghar walon per sakht museebat parri hoi hai , aur hum aik mamooli si poonji ley ker aaye hain , aap hamen poora poora ghalla dey dijiye , aur Allah kay liye hum per ehsan kijiye . yaqeenan Allah apni khatir ehsan kernay walon ko bara ajar ata farmata hai .
قَالَ هَلۡ عَلِمۡتُم مَّا فَعَلۡتُم بِيُوسُفَ وَأَخِيهِ إِذۡ أَنتُمۡ جَٰهِلُونَ
آیت ۱۲:۸۹ کھولیںyousuf ney kaha : tumhen kuch pata hai kay tum jab jihalat mein mubtala thay to tum ney yousuf aur uss kay bhai kay sath kiya kiya tha-?
قَالُوٓاْ أَءِنَّكَ لَأَنتَ يُوسُفُۖ قَالَ أَنَا۠ يُوسُفُ وَهَٰذَآ أَخِيۖ قَدۡ مَنَّ ٱللَّهُ عَلَيۡنَآۖ إِنَّهُۥ مَن يَتَّقِ وَيَصۡبِرۡ فَإِنَّ ٱللَّهَ لَا يُضِيعُ أَجۡرَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۱۲:۹۰ کھولیں. ( iss/uss per ) woh bol uthay : aray kiya tum hi yousuf ho-? yousuf ney kaha : mein yousuf hun , aur yeh mera bhai hai . Allah ney hum per bara ehsan farmaya hai . haqeeqat yeh hai kay jo shaks taqwa aur sabar say kaam leta hai , to Allah naiki kernay walon ka ajar zaya nahi kerta .
قَالُواْ تَٱللَّهِ لَقَدۡ ءَاثَرَكَ ٱللَّهُ عَلَيۡنَا وَإِن كُنَّا لَخَٰطِـِٔينَ
آیت ۱۲:۹۱ کھولیںunhon ney kaha : Allah ki qasam ! Allah ney tum ko hum per tarjeeh di hai , aur hum yaqeenan khata kaar thay .
قَالَ لَا تَثۡرِيبَ عَلَيۡكُمُ ٱلۡيَوۡمَۖ يَغۡفِرُ ٱللَّهُ لَكُمۡۖ وَهُوَ أَرۡحَمُ ٱلرَّٰحِمِينَ
آیت ۱۲:۹۲ کھولیںyousuf bolay : aaj tum per koi malamat nahi hogi , Allah tumhen moaaf keray , woh saray reham kernay walon say barh ker reham kernay wala hai .
ٱذۡهَبُواْ بِقَمِيصِي هَٰذَا فَأَلۡقُوهُ عَلَىٰ وَجۡهِ أَبِي يَأۡتِ بَصِيرٗا وَأۡتُونِي بِأَهۡلِكُمۡ أَجۡمَعِينَ
آیت ۱۲:۹۳ کھولیںmera yeh qamees ley jao , aur issay meray walid kay chehray per daal dena , iss say unn ki beenai wapis aajaye gi . aur apney saray ghar walon ko meray paas ley aao .
وَلَمَّا فَصَلَتِ ٱلۡعِيرُ قَالَ أَبُوهُمۡ إِنِّي لَأَجِدُ رِيحَ يُوسُفَۖ لَوۡلَآ أَن تُفَنِّدُونِ
آیت ۱۲:۹۴ کھولیںaur jab yeh qafla ( misir say kanaan ki taraf ) rawana huwa to unn kay walid ney ( kanaan mein aas paas kay logon say ) kaha kay : agar tum mujhay yeh naa kaho kay boorha sathiya gaya hai , to mujhay to yousuf ki khushboo aarahi hai .
قَالُواْ تَٱللَّهِ إِنَّكَ لَفِي ضَلَٰلِكَ ٱلۡقَدِيمِ
آیت ۱۲:۹۵ کھولیںlogon ney kaha : Allah ki qasam ! aap abhi tak apni purani ghalat fehmi mein parray huye hain .
فَلَمَّآ أَن جَآءَ ٱلۡبَشِيرُ أَلۡقَىٰهُ عَلَىٰ وَجۡهِهِۦ فَٱرۡتَدَّ بَصِيرٗاۖ قَالَ أَلَمۡ أَقُل لَّكُمۡ إِنِّيٓ أَعۡلَمُ مِنَ ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
آیت ۱۲:۹۶ کھولیںphir jab khushkhabri denay wala phonch gaya to uss ney ( yousuf ki ) qamees unn kay mun per daal di , chunacheh foran unn ki beenai wapis aagae . unhon ney ( apney beton say ) kaha : kiya mein ney tum say nahi kaha tha kay Allah kay baaray mein jitna mein janta hun , tum nahi jantay-?
قَالُواْ يَٰٓأَبَانَا ٱسۡتَغۡفِرۡ لَنَا ذُنُوبَنَآ إِنَّا كُنَّا خَٰطِـِٔينَ
آیت ۱۲:۹۷ کھولیںwoh kehney lagay : abba jaan ! aap humaray gunahon ki bakhshish ki dua farmaiye . hum yaqeenan baray khata kaar thay .
قَالَ سَوۡفَ أَسۡتَغۡفِرُ لَكُمۡ رَبِّيٓۖ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
آیت ۱۲:۹۸ کھولیںYaqoob ney kaha : mein unqareeb apney perwerdigar say tumhari bakhshish ki dua kerun ga . beyshak wohi hai jo boht bakhshney wala , bara meharban hai .
فَلَمَّا دَخَلُواْ عَلَىٰ يُوسُفَ ءَاوَىٰٓ إِلَيۡهِ أَبَوَيۡهِ وَقَالَ ٱدۡخُلُواْ مِصۡرَ إِن شَآءَ ٱللَّهُ ءَامِنِينَ
آیت ۱۲:۹۹ کھولیںphir jab yeh sabb log yousuf kay paas phonchay to unhon ney apney walaiden ko apney paas jagah di , aur sabb say kaha kay : aap sabb misir mein dakhil hojayen , jahan inn sha Allah sabb chain say rahen gay .
وَرَفَعَ أَبَوَيۡهِ عَلَى ٱلۡعَرۡشِ وَخَرُّواْ لَهُۥ سُجَّدٗاۖ وَقَالَ يَٰٓأَبَتِ هَٰذَا تَأۡوِيلُ رُءۡيَٰيَ مِن قَبۡلُ قَدۡ جَعَلَهَا رَبِّي حَقّٗاۖ وَقَدۡ أَحۡسَنَ بِيٓ إِذۡ أَخۡرَجَنِي مِنَ ٱلسِّجۡنِ وَجَآءَ بِكُم مِّنَ ٱلۡبَدۡوِ مِنۢ بَعۡدِ أَن نَّزَغَ ٱلشَّيۡطَٰنُ بَيۡنِي وَبَيۡنَ إِخۡوَتِيٓۚ إِنَّ رَبِّي لَطِيفٞ لِّمَا يَشَآءُۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡعَلِيمُ ٱلۡحَكِيمُ
آیت ۱۲:۱۰۰ کھولیںaur unhon ney apney walaiden ko takht per bithaya , aur woh sabb unn kay samney sajday mein gir parray , aur yousuf ney kaha : abba jaan ! yeh meray puraney khuwab ki tabeer hai jissay meray perwerdigar ney sach ker dikhaya . aur uss ney mujh per bara ehsan farmaya kay mujhay qaid khaney say nikal diya , aur aap logon ko dehaat say yahan ley aaya , halankay iss say pehlay shetan ney meray aur meray bhaiyon kay darmiyan fasad daal diya tha . haqeeqat yeh hai kay mera perwerdigar jo kuch chahta hai , uss kay liye bari lateef tadbeeren kerta hai . beyshak wohi hai jiss ka ilm bhi kamil hai , hikmat bhi kamil .
۞رَبِّ قَدۡ ءَاتَيۡتَنِي مِنَ ٱلۡمُلۡكِ وَعَلَّمۡتَنِي مِن تَأۡوِيلِ ٱلۡأَحَادِيثِۚ فَاطِرَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ أَنتَ وَلِيِّۦ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۖ تَوَفَّنِي مُسۡلِمٗا وَأَلۡحِقۡنِي بِٱلصَّٰلِحِينَ
آیت ۱۲:۱۰۱ کھولیںmeray perwerdigar ! tu ney mujhay hukoomat say bhi hissa ata farmaya , aur mujhay tabeer-e-khuwab kay ilm say bhi nawaza . aasmano aur zameen kay peda kernay walay ! tu hi duniya aur aakhirat mein mera rakhwala hai . mujhay iss halat mein duniya say uthana kay mein tera farmanbardaar hun , aur mujhay naik logon mein shamil kerna .
ذَٰلِكَ مِنۡ أَنۢبَآءِ ٱلۡغَيۡبِ نُوحِيهِ إِلَيۡكَۖ وَمَا كُنتَ لَدَيۡهِمۡ إِذۡ أَجۡمَعُوٓاْ أَمۡرَهُمۡ وَهُمۡ يَمۡكُرُونَ
آیت ۱۲:۱۰۲ کھولیں. ( aey payghumber ! ) yeh tamam waqiaa ghaib ki khabron ka aik hissa hai jo hum tumhen wahi kay zariye bata rahey hain . aur tum uss waqt inn ( yousuf kay bhaiyon ) kay paas mojood nahi thay jab unhon ney sazish ker kay apna faisla pukhta kerliya tha ( kay yousuf ko kunaen mein daalen gay )
وَمَآ أَكۡثَرُ ٱلنَّاسِ وَلَوۡ حَرَصۡتَ بِمُؤۡمِنِينَ
آیت ۱۲:۱۰۳ کھولیںiss kay bawajood aksar log emaan laney walay nahi hain , chahye tumhara kaisa hi dil chahta ho .
وَمَا تَسۡـَٔلُهُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ أَجۡرٍۚ إِنۡ هُوَ إِلَّا ذِكۡرٞ لِّلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۱۲:۱۰۴ کھولیںhalankay tum unn say iss ( tableegh ) per koi ujrat nahi maangtay . yeh to duniya jahan kay sabb logon kay liye bus aik naseehat ka paygham hai .
وَكَأَيِّن مِّنۡ ءَايَةٖ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ يَمُرُّونَ عَلَيۡهَا وَهُمۡ عَنۡهَا مُعۡرِضُونَ
آیت ۱۲:۱۰۵ کھولیںaur aasmano aur zameen mein kitni hi nishaniyan hain jinn per inn ka guzar hota rehta hai , magar yeh unn say mun morr jatay hain .
وَمَا يُؤۡمِنُ أَكۡثَرُهُم بِٱللَّهِ إِلَّا وَهُم مُّشۡرِكُونَ
آیت ۱۲:۱۰۶ کھولیںaur unn mein say aksar log aesay hain kay Allah per emaan rakhtay bhi hain to iss tarah kay woh uss kay sath shirk bhi kertay jatay hain .
أَفَأَمِنُوٓاْ أَن تَأۡتِيَهُمۡ غَٰشِيَةٞ مِّنۡ عَذَابِ ٱللَّهِ أَوۡ تَأۡتِيَهُمُ ٱلسَّاعَةُ بَغۡتَةٗ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ
آیت ۱۲:۱۰۷ کھولیںbhala kiya inn logon ko iss baat ka zara darr nahi hai kay Allah kay azab ki koi bala aa-ker inn ko lapet ley , ya inn per qayamat achanak toot parray aur enhen pehlay say ehsas bhi naa ho-?
قُلۡ هَٰذِهِۦ سَبِيلِيٓ أَدۡعُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِۚ عَلَىٰ بَصِيرَةٍ أَنَا۠ وَمَنِ ٱتَّبَعَنِيۖ وَسُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ وَمَآ أَنَا۠ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
آیت ۱۲:۱۰۸ کھولیں. ( aey payghumber ! ) keh do kay : yeh mera raasta hai . mein bhi poori baseerat kay sath Allah ki taraf bulata hun , aur jinhon ney meri perwi ki hai woh bhi . aur Allah ( her qisam kay shirk say ) pak hai , aur mein unn logon mein say nahi hun jo Allah kay sath kissi ko shareek thehratay hain .
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ إِلَّا رِجَالٗا نُّوحِيٓ إِلَيۡهِم مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡقُرَىٰٓۗ أَفَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۗ وَلَدَارُ ٱلۡأٓخِرَةِ خَيۡرٞ لِّلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
آیت ۱۲:۱۰۹ کھولیںaur hum ney tum say pehlay jo Rasool bhejay woh sabb mukhtalif bastiyon mein basney walay insan hi thay jinn per hum wahi bhejtay thay . to kiya inn logon ney zameen mein chal phir ker yeh nahi dekha kay inn say pehlay ki qoamon ka anjam kaisa huwa-? aur aakhirat ka ghar yaqeenan unn logon kay liye kahen behtar hai jinhon ney taqwa ikhtiyar kiya . kiya phir bhi tum aqal say kaam nahi letay-?
حَتَّىٰٓ إِذَا ٱسۡتَيۡـَٔسَ ٱلرُّسُلُ وَظَنُّوٓاْ أَنَّهُمۡ قَدۡ كُذِبُواْ جَآءَهُمۡ نَصۡرُنَا فَنُجِّيَ مَن نَّشَآءُۖ وَلَا يُرَدُّ بَأۡسُنَا عَنِ ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
آیت ۱۲:۱۱۰ کھولیں. ( pichlay anbiya kay sath bhi yehi huwa kay unn ki qoamon per azab aaney mein kuch dair lagi ) yahan tak kay jab payghumber logon say mayyus hogaye , aur kafir log yeh samajhney lagay kay unhen jhooti dhamkiyan di gaee then to unn payghumberon kay paas humari madad phonch gaee ( yani kafiron per azab aaya ) aur jinn ko hum chahtay thay , unhen bacha liya gaya , aur jo log mujrim hotay hain , unn say humaray azab ko taala nahi jasakta .
لَقَدۡ كَانَ فِي قَصَصِهِمۡ عِبۡرَةٞ لِّأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِۗ مَا كَانَ حَدِيثٗا يُفۡتَرَىٰ وَلَٰكِن تَصۡدِيقَ ٱلَّذِي بَيۡنَ يَدَيۡهِ وَتَفۡصِيلَ كُلِّ شَيۡءٖ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٗ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
آیت ۱۲:۱۱۱ کھولیںyaqeenan unn kay waqiyaat mein aqal o hosh rakhney walon kay liye bara ibrat ka saman hai . yeh koi aesi baat nahi hai jo jhoot moott gharr li gaee ho , balkay iss say pehlay jo kitaben aa-chuki hain , unn ki tasdeeq hai , aur her baat ki wazahat , aur jo log emaan layen unn kay liye hidayat aur rehmat ka saman !