الرعد
Ar-Ra'd
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
الٓمٓرۚ تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِۗ وَٱلَّذِيٓ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ ٱلۡحَقُّ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يُؤۡمِنُونَ
آیت ۱۳:۱ کھولیںAlif-Laam-Meem-Raa . yeh ( Allah ki ) kitab ki aayaten hain , aur ( aey payghumber ! ) jo kuch tum per tumharay perwerdigar ki taraf say nazil kiya gaya hai , bar-haq hai , lekin aksar log emaan nahi laarahey .
ٱللَّهُ ٱلَّذِي رَفَعَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ بِغَيۡرِ عَمَدٖ تَرَوۡنَهَاۖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِي لِأَجَلٖ مُّسَمّٗىۚ يُدَبِّرُ ٱلۡأَمۡرَ يُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُم بِلِقَآءِ رَبِّكُمۡ تُوقِنُونَ
آیت ۱۳:۲ کھولیںAllah woh hai jiss ney aesay sutonon kay baghair aasmano ko buland kiya jo tumhen nazar aa-saken , phir uss ney arsh per istawa farmaya , aur sooraj aur chaand ko kaam per laga diya . her cheez aik moyyan miyaad tak kay liye rawan dawan hai . wohi tamam kamon ki tadbeer kerta hai . wohi inn nishaniyon ko khol khol ker biyan kerta hai , takay tum iss baat ka yaqeen kerlo kay ( aik din ) tumhen apney perwerdigar say jaa milna hai .
وَهُوَ ٱلَّذِي مَدَّ ٱلۡأَرۡضَ وَجَعَلَ فِيهَا رَوَٰسِيَ وَأَنۡهَٰرٗاۖ وَمِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِ جَعَلَ فِيهَا زَوۡجَيۡنِ ٱثۡنَيۡنِۖ يُغۡشِي ٱلَّيۡلَ ٱلنَّهَارَۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ
آیت ۱۳:۳ کھولیںaur wohi zaat hai jiss ney yeh zameen phelai , uss mein pahar aur darya banaye , aur uss mein her qisam kay phalon kay do do jooray peda kiye . woh din ko raat ki chadar urrha deta hai . haqeeqat yeh hai kay inn sari baaton mein unn logon kay liye nishaniyan hain jo ghor-o-fiker keren .
وَفِي ٱلۡأَرۡضِ قِطَعٞ مُّتَجَٰوِرَٰتٞ وَجَنَّٰتٞ مِّنۡ أَعۡنَٰبٖ وَزَرۡعٞ وَنَخِيلٞ صِنۡوَانٞ وَغَيۡرُ صِنۡوَانٖ يُسۡقَىٰ بِمَآءٖ وَٰحِدٖ وَنُفَضِّلُ بَعۡضَهَا عَلَىٰ بَعۡضٖ فِي ٱلۡأُكُلِۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
آیت ۱۳:۴ کھولیںaur zameen mein mukhtalif qatey hain jo paas paas waqaey huye hain , aur angoor kay baagh aur khetiyan aur khujoor kay darkht hain , jinn mein say kuch dohray taney walay hain , aur kuch ikehray taney walay . sabb aik hi paani say sairaab hotay hain , aur hum unn mein say kissi ko zaeeqay mein doosray per foqiyat dey detay hain . yaqeenan inn sabb baaton mein unn logon kay liye nishaniyan hain jo aqal say kaam len .
۞وَإِن تَعۡجَبۡ فَعَجَبٞ قَوۡلُهُمۡ أَءِذَا كُنَّا تُرَٰبًا أَءِنَّا لَفِي خَلۡقٖ جَدِيدٍۗ أُوْلَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِرَبِّهِمۡۖ وَأُوْلَٰٓئِكَ ٱلۡأَغۡلَٰلُ فِيٓ أَعۡنَاقِهِمۡۖ وَأُوْلَٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
آیت ۱۳:۵ کھولیںaur agar tumhen ( inn kafiron per ) taajjub hota hai to inn ka yeh kehna ( waqaee ) ajeeb hai kay : kiya jab hum mitti hojayen gay to kiya sach mooch hum naye siray say peda hon gay ? yeh woh log hain jinhon ney apney rab ( ki qudrat ) ka inkar kiya hai , aur yehi woh log hain jinn kay galon mein toq parray huye hain , aur woh dozakh kay baasi hain . woh hamesha ussi mein rahen gay .
وَيَسۡتَعۡجِلُونَكَ بِٱلسَّيِّئَةِ قَبۡلَ ٱلۡحَسَنَةِ وَقَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِمُ ٱلۡمَثُلَٰتُۗ وَإِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغۡفِرَةٖ لِّلنَّاسِ عَلَىٰ ظُلۡمِهِمۡۖ وَإِنَّ رَبَّكَ لَشَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
آیت ۱۳:۶ کھولیںaur yeh log khushhali ( ki miyaad khatam honey ) say pehlay tum say bad-haali ki jaldi machaye huye hain , halankay inn say pehlay aesay azab kay waqiyaat guzar chukay hain jiss ney logon ko ruswa ker daala tha . aur yeh haqeeqat hai kay logon kay liye unn ki ziyadti kay bawajood tumharay rab ki zaat aik moaaf kernay wali zaat hai , aur yeh bhi haqeeqat hai kay uss ka azab bara sakht hai .
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ ءَايَةٞ مِّن رَّبِّهِۦٓۗ إِنَّمَآ أَنتَ مُنذِرٞۖ وَلِكُلِّ قَوۡمٍ هَادٍ
آیت ۱۳:۷ کھولیںaur jinn logon ney kufr apna liya hai woh kehtay hain kay : bhala inn per ( yani aan-Hazrat SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam per ) inn kay rab ki taraf say koi moajza kiyon nahi utaara gaya-? ( aey payghumber ! ) baat yeh hai kay tum to sirf khatray say hoshiyar kernay walay ho , aur her qoam kay liye koi naa koi aisa shaks huwa hai jo hidayat ka raasta dikhaye .
ٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تَحۡمِلُ كُلُّ أُنثَىٰ وَمَا تَغِيضُ ٱلۡأَرۡحَامُ وَمَا تَزۡدَادُۚ وَكُلُّ شَيۡءٍ عِندَهُۥ بِمِقۡدَارٍ
آیت ۱۳:۸ کھولیںjiss kissi mada ko jo hamal hota hai , Allah uss ko bhi janta hai , aur maon kay reham mein jo koi kami beshi hoti hai , uss ko bhi . aur her cheez ka uss kay haan aik andaza muqarrar hai .
عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ ٱلۡكَبِيرُ ٱلۡمُتَعَالِ
آیت ۱۳:۹ کھولیںwoh ghaeeb o hazir tamam baaton ka janney wala hai , uss ki zaat boht bari hai , uss ki shaan boht oonchi .
سَوَآءٞ مِّنكُم مَّنۡ أَسَرَّ ٱلۡقَوۡلَ وَمَن جَهَرَ بِهِۦ وَمَنۡ هُوَ مُسۡتَخۡفِۭ بِٱلَّيۡلِ وَسَارِبُۢ بِٱلنَّهَارِ
آیت ۱۳:۱۰ کھولیںtum mein say koi chupkay say baat keray ya zor say , koi raat kay waqt chupa huwa ho , ya din kay waqt chal phir raha ho , woh sabb ( Allah kay ilm kay lehaz say ) barabar hain .
لَهُۥ مُعَقِّبَٰتٞ مِّنۢ بَيۡنِ يَدَيۡهِ وَمِنۡ خَلۡفِهِۦ يَحۡفَظُونَهُۥ مِنۡ أَمۡرِ ٱللَّهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُغَيِّرُ مَا بِقَوۡمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُواْ مَا بِأَنفُسِهِمۡۗ وَإِذَآ أَرَادَ ٱللَّهُ بِقَوۡمٖ سُوٓءٗا فَلَا مَرَدَّ لَهُۥۚ وَمَا لَهُم مِّن دُونِهِۦ مِن وَالٍ
آیت ۱۳:۱۱ کھولیںher shaks kay aagay aur peechay woh nigran ( farishtay ) muqarrar hain jo Allah kay hukum say baari baari uss ki hifazat kertay hain . yaqeen jano kay Allah kissi qoam ki halat uss waqt tak nahi badlta jab tak woh khud apney halaat mein tabdeeli naa ley aaye . aur jab Allah kissi qoam per koi aafat laney ka irada kerleta hai to uss ka taalna mumkin nahi , aur aesay logon ka khud uss kay siwa koi rakhwala nahi hosakta .
هُوَ ٱلَّذِي يُرِيكُمُ ٱلۡبَرۡقَ خَوۡفٗا وَطَمَعٗا وَيُنشِئُ ٱلسَّحَابَ ٱلثِّقَالَ
آیت ۱۳:۱۲ کھولیںwohi hai jo tumhen bijli ki chamak dikhlata hai jiss say tumhen ( uss kay girney ka ) darr bhi lagta hai , aur ( barish ki ) umeed bhi bandhti hai , aur wohi ( paani say ) laday huye badal uthata hai .
وَيُسَبِّحُ ٱلرَّعۡدُ بِحَمۡدِهِۦ وَٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ مِنۡ خِيفَتِهِۦ وَيُرۡسِلُ ٱلصَّوَٰعِقَ فَيُصِيبُ بِهَا مَن يَشَآءُ وَهُمۡ يُجَٰدِلُونَ فِي ٱللَّهِ وَهُوَ شَدِيدُ ٱلۡمِحَالِ
آیت ۱۳:۱۳ کھولیںaur badalon ki garaj ussi ki tasbeeh aur hamd kerti hai , aur uss kay roab say farishtay bhi ( tasbeeh mein lagay huye hain ) aur wohi karrakti hoi bijliyan bhejta hai , phir jiss per chahta hai unhen museebat bana ker gira deta hai . aur inn ( kafiron ) ka haal yeh hai kay Allah hi kay baaray mein behasen ker rahey hain , halankay uss ki taqat bari zabardast hai .
لَهُۥ دَعۡوَةُ ٱلۡحَقِّۚ وَٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ لَا يَسۡتَجِيبُونَ لَهُم بِشَيۡءٍ إِلَّا كَبَٰسِطِ كَفَّيۡهِ إِلَى ٱلۡمَآءِ لِيَبۡلُغَ فَاهُ وَمَا هُوَ بِبَٰلِغِهِۦۚ وَمَا دُعَآءُ ٱلۡكَٰفِرِينَ إِلَّا فِي ضَلَٰلٖ
آیت ۱۳:۱۴ کھولیںwohi hai jiss say dua kerna bar-haq hai . aur uss ko chorr ker yeh log jinn ( deotaon ) ko pukartay hain , woh unn ki duaon ka koi jawab nahi detay , albatta unn ki misal uss shaks ki si hai jo paani ki taraf apney dono haath phela ker yeh chahye kay paani khud uss kay mun tak phonch jaye , halankay woh kabhi khud mun tak nahi phonch sakta . aur ( button say ) kafiron kay dua kernay ka nateeja iss kay siwa kuch nahi kay woh bhatakti hi phirti rahey .
وَلِلَّهِۤ يَسۡجُدُۤ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ طَوۡعٗا وَكَرۡهٗا وَظِلَٰلُهُم بِٱلۡغُدُوِّ وَٱلۡأٓصَالِ۩
آیت ۱۳:۱۵ کھولیںaur woh Allah hi hai jiss ko aasmano aur zameen ki sari makhlooqaat sajda kerti hain , kuch khushi say , kuch majboori say , aur unn kay saye bhi subha o shaam uss kay aagay sajda rez hotay hain .
قُلۡ مَن رَّبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ قُلِ ٱللَّهُۚ قُلۡ أَفَٱتَّخَذۡتُم مِّن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءَ لَا يَمۡلِكُونَ لِأَنفُسِهِمۡ نَفۡعٗا وَلَا ضَرّٗاۚ قُلۡ هَلۡ يَسۡتَوِي ٱلۡأَعۡمَىٰ وَٱلۡبَصِيرُ أَمۡ هَلۡ تَسۡتَوِي ٱلظُّلُمَٰتُ وَٱلنُّورُۗ أَمۡ جَعَلُواْ لِلَّهِ شُرَكَآءَ خَلَقُواْ كَخَلۡقِهِۦ فَتَشَٰبَهَ ٱلۡخَلۡقُ عَلَيۡهِمۡۚ قُلِ ٱللَّهُ خَٰلِقُ كُلِّ شَيۡءٖ وَهُوَ ٱلۡوَٰحِدُ ٱلۡقَهَّٰرُ
آیت ۱۳:۱۶ کھولیں. ( aey payghumber ! inn kafiron say ) kaho kay : woh kon hai jo aasmano aur zameen ki perwerish kerta hai-? kaho kay : woh Allah hai ! kaho kay : kiya phir bhi tum ney uss ko chorr ker aesay kaarsaz bana liye hain jinhen khud apney aap ko bhi naa koi faeeda phonchaney ki qudrat hasil hai naa nuqsan phonchaney ki ? kaho kay : kiya andha aur dekhney wala barabar hosakta hai-? ya kiya andheriyan aur roshni aik jaisi hosakti hain-? ya inn logon ney Allah kay aesay shareek maaney huye hain jinhon ney koi cheez ussi tarah peda ki ho jaisay Allah peda kerta hai , aur iss wajeh say inn ko dono ki takhleeq aik jaisi maloom horahi ho-? ( agar koi uss ghalat fehmi mein mubtala hai to iss say ) keh do kay : sirf Allah her cheez ka khaliq hai , aur woh tanha hi aisa hai kay uss ka iqtidar sabb per hawi hai .
أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَسَالَتۡ أَوۡدِيَةُۢ بِقَدَرِهَا فَٱحۡتَمَلَ ٱلسَّيۡلُ زَبَدٗا رَّابِيٗاۖ وَمِمَّا يُوقِدُونَ عَلَيۡهِ فِي ٱلنَّارِ ٱبۡتِغَآءَ حِلۡيَةٍ أَوۡ مَتَٰعٖ زَبَدٞ مِّثۡلُهُۥۚ كَذَٰلِكَ يَضۡرِبُ ٱللَّهُ ٱلۡحَقَّ وَٱلۡبَٰطِلَۚ فَأَمَّا ٱلزَّبَدُ فَيَذۡهَبُ جُفَآءٗۖ وَأَمَّا مَا يَنفَعُ ٱلنَّاسَ فَيَمۡكُثُ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ كَذَٰلِكَ يَضۡرِبُ ٱللَّهُ ٱلۡأَمۡثَالَ
آیت ۱۳:۱۷ کھولیںussi ney aasman say paani barsaya jiss say nadi naalay apni apni bisaat kay mutabiq beh parray , phir paani kay relay ney phoolay huye jhaag ko oopper utha liya . aur issi qisam ka jhaag uss waqt bhi uthta hai jab log zewar ya bartan bananey kay liye dhaaton ko aag per tapatey hain . Allah haq aur batil ki misal issi tarah biyan ker raha hai kay ( dono qisam ka ) jo jhaag hota hai , woh to bahir gir ker zaya hojata hai , lekin woh cheez jo logon kay liye faeeda mand hoti hai , woh zameen mein thehar jati hai . issi qisam ki tamseelen hain jo Allah biyan kerta hai .
لِلَّذِينَ ٱسۡتَجَابُواْ لِرَبِّهِمُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ وَٱلَّذِينَ لَمۡ يَسۡتَجِيبُواْ لَهُۥ لَوۡ أَنَّ لَهُم مَّا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا وَمِثۡلَهُۥ مَعَهُۥ لَٱفۡتَدَوۡاْ بِهِۦٓۚ أُوْلَٰٓئِكَ لَهُمۡ سُوٓءُ ٱلۡحِسَابِ وَمَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ
آیت ۱۳:۱۸ کھولیںbhalai unhi logon kay hissay mein hai jinhon ney apney rab ka kehna maana hai , aur jinhon ney uss ka kehna nahi maana , agar unn kay paas duniya bhar ki sari cheezen bhi hon gi , balkay itni hi aur bhi , to woh ( qayamat kay din ) apni jaan bachaney kay liye woh sabb kuch denay ko tayyar hojayen gay . inn logon kay hissay mein buri tarah ka hisab hai , aur inn ka thikana jahannum hai , aur woh boht bura thikana hai .
۞أَفَمَن يَعۡلَمُ أَنَّمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ ٱلۡحَقُّ كَمَنۡ هُوَ أَعۡمَىٰٓۚ إِنَّمَا يَتَذَكَّرُ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ
آیت ۱۳:۱۹ کھولیںjo shaks yeh yaqeen rakhta ho kay tum per tumharay perwerdigar ki taraf say jo kuch nazil huwa hai , bar-haq hai , bhala woh uss jaisa kaisay hosakta hai jo bilkul andha ho-? haqeeqat yeh hai kay naseehat to wohi log qubool kertay hain jo aqal o hosh rakhtay hon ,
ٱلَّذِينَ يُوفُونَ بِعَهۡدِ ٱللَّهِ وَلَا يَنقُضُونَ ٱلۡمِيثَٰقَ
آیت ۱۳:۲۰ کھولیں. ( yani ) woh log jo Allah say kiye huye ehad ko poora kertay hain , aur moahiday ki khilaf warzi nahi kertay ,
وَٱلَّذِينَ يَصِلُونَ مَآ أَمَرَ ٱللَّهُ بِهِۦٓ أَن يُوصَلَ وَيَخۡشَوۡنَ رَبَّهُمۡ وَيَخَافُونَ سُوٓءَ ٱلۡحِسَابِ
آیت ۱۳:۲۱ کھولیںaur jinn rishton ko Allah ney jooray rakhney ka hukum diya hai , yeh log unhen jooray rakhtay hain , aur apney perwerdigar say dartay hain , aur hisab kay buray anjam say khof khatay hain .
وَٱلَّذِينَ صَبَرُواْ ٱبۡتِغَآءَ وَجۡهِ رَبِّهِمۡ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَأَنفَقُواْ مِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ سِرّٗا وَعَلَانِيَةٗ وَيَدۡرَءُونَ بِٱلۡحَسَنَةِ ٱلسَّيِّئَةَ أُوْلَٰٓئِكَ لَهُمۡ عُقۡبَى ٱلدَّارِ
آیت ۱۳:۲۲ کھولیںaur yeh woh log hain jinhon ney apney rab ki khushnoodi ki khatir sabar say kaam liya hai , aur namaz qaeem ki hai , aur hum ney unhen jo rizq ata farmaya hai , uss mein say khufiya bhi aur aelania bhi kharch kiya hai , aur woh bad-sulooki ka difaa hussn-e-sulook say kertay hain . watan-e-asli mein behtareen anjam inn ka hissa hai ,
جَنَّٰتُ عَدۡنٖ يَدۡخُلُونَهَا وَمَن صَلَحَ مِنۡ ءَابَآئِهِمۡ وَأَزۡوَٰجِهِمۡ وَذُرِّيَّٰتِهِمۡۖ وَٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ يَدۡخُلُونَ عَلَيۡهِم مِّن كُلِّ بَابٖ
آیت ۱۳:۲۳ کھولیںyani hamesha rehney kay liye woh baaghaat jinn mein woh khud bhi dakhil hon gay , aur unn kay baap dadon , biwiyon aur aulad mein say jo naik hon gay , woh bhi . aur ( unn kay istaqbal kay liye ) farishtay unn kay paas her darwazay say ( yeh kehtay huye ) dakhil hon gay
سَلَٰمٌ عَلَيۡكُم بِمَا صَبَرۡتُمۡۚ فَنِعۡمَ عُقۡبَى ٱلدَّارِ
آیت ۱۳:۲۴ کھولیںkay tum ney ( duniya mein ) jo sabar say kaam liya tha , uss ki badolat abb tum per salamti hi salamti nazil hogi , aur ( tumharay ) asli watan mein yeh tumhara behtareen anjam hai !
وَٱلَّذِينَ يَنقُضُونَ عَهۡدَ ٱللَّهِ مِنۢ بَعۡدِ مِيثَٰقِهِۦ وَيَقۡطَعُونَ مَآ أَمَرَ ٱللَّهُ بِهِۦٓ أَن يُوصَلَ وَيُفۡسِدُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ أُوْلَٰٓئِكَ لَهُمُ ٱللَّعۡنَةُ وَلَهُمۡ سُوٓءُ ٱلدَّارِ
آیت ۱۳:۲۵ کھولیںaur ( doosri taraf ) jo log Allah say kiye huye ehad ko mazbooti say baandhney kay baad torrtey hain , aur jinn rishton ko Allah ney jooray rakhney ka hukum diya hai ,unhen kaat daaltay hain , aur zameen mein fasad machatay hain , to aesay logon kay hissay mein lanat aati hai , aur asli watan mein bura anjam inhi ka hai .
ٱللَّهُ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُۚ وَفَرِحُواْ بِٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا فِي ٱلۡأٓخِرَةِ إِلَّا مَتَٰعٞ
آیت ۱۳:۲۶ کھولیںAllah jiss kay liye chahta hai , rizq mein wusat ker deta hai , aur ( jiss kay liye chahta hai ) tangi ker deta hai . yeh ( kafir ) log dunyawi zindagi per magan hain , halankay aakhirat kay muqablay mein dunyawi zindagi ki haisiyat uss say ziyada nahi kay woh mamooli si poonji hai .
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ ءَايَةٞ مِّن رَّبِّهِۦۚ قُلۡ إِنَّ ٱللَّهَ يُضِلُّ مَن يَشَآءُ وَيَهۡدِيٓ إِلَيۡهِ مَنۡ أَنَابَ
آیت ۱۳:۲۷ کھولیںaur jinn logon ney kufr apna liya hai , woh yeh kehtay hain kay inn per ( yani Muhammad SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam per ) inn kay perwerdigar ki taraf say koi nishani kiyon nahi utaari gaee-? keh do kay : Allah jiss ko chahta hai , gumrah ker deta hai , aur apney raastay per unhi ko lata hai jo uss ki taraf rujoo keren .
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَتَطۡمَئِنُّ قُلُوبُهُم بِذِكۡرِ ٱللَّهِۗ أَلَا بِذِكۡرِ ٱللَّهِ تَطۡمَئِنُّ ٱلۡقُلُوبُ
آیت ۱۳:۲۸ کھولیںyeh woh log hain jo emaan laye hain , aur jinn kay dil Allah kay ziker say itminan hasil kertay hain . yaad rakho kay sirf Allah ka ziker hi woh cheez hai jiss say dilon ko itminan naseeb hota hai .
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ طُوبَىٰ لَهُمۡ وَحُسۡنُ مَـَٔابٖ
آیت ۱۳:۲۹ کھولیں. ( gharz ) jo log emaan laye hain , aur jinhon ney naik amal kiye hain , unn kay hissay mein khush haali bhi hai , aur behtareen anjam bhi .
كَذَٰلِكَ أَرۡسَلۡنَٰكَ فِيٓ أُمَّةٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهَآ أُمَمٞ لِّتَتۡلُوَاْ عَلَيۡهِمُ ٱلَّذِيٓ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ وَهُمۡ يَكۡفُرُونَ بِٱلرَّحۡمَٰنِۚ قُلۡ هُوَ رَبِّي لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ عَلَيۡهِ تَوَكَّلۡتُ وَإِلَيۡهِ مَتَابِ
آیت ۱۳:۳۰ کھولیں. ( aey payghumber ! jiss tarah doosray Rasool bhejay gaye thay ) issi tarah hum ney tumhen aik aesi ummat mein Rasool bana ker bheja hai jiss say pehli boht si ummaten guzar chuki hain , takay tum inn kay samney woh kitab parh ker suna do jo hum ney wahi kay zariye tum per nazil ki hai , aur yeh log uss zaat ki nashukri ker rahey hain jo sabb per meharban hai . keh do kay : woh mera paalney wala hai , uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi hai . ussi per mein ney bharosa ker rakha hai , aur ussi ki taraf mujhay loat ker jana hai .
وَلَوۡ أَنَّ قُرۡءَانٗا سُيِّرَتۡ بِهِ ٱلۡجِبَالُ أَوۡ قُطِّعَتۡ بِهِ ٱلۡأَرۡضُ أَوۡ كُلِّمَ بِهِ ٱلۡمَوۡتَىٰۗ بَل لِّلَّهِ ٱلۡأَمۡرُ جَمِيعًاۗ أَفَلَمۡ يَاْيۡـَٔسِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَن لَّوۡ يَشَآءُ ٱللَّهُ لَهَدَى ٱلنَّاسَ جَمِيعٗاۗ وَلَا يَزَالُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ تُصِيبُهُم بِمَا صَنَعُواْ قَارِعَةٌ أَوۡ تَحُلُّ قَرِيبٗا مِّن دَارِهِمۡ حَتَّىٰ يَأۡتِيَ وَعۡدُ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُخۡلِفُ ٱلۡمِيعَادَ
آیت ۱۳:۳۱ کھولیںaur agar koi Quran aisa bhi utarta jiss kay zariye pahar apni jagah say hata diye jatay , ya uss ki badolat zameen shaqq kerdi jati ( aur uss say darya nikal parrtay ) ya uss kay nateejay mein murdon say baat kerli jati , ( tab bhi yeh log emaan naa latay ) . haqeeqat to yeh hai kay tamam tarr ikhtiyar Allah ka hai . kiya phir bhi emaan walon ney yeh soch ker apna zehan farigh nahi kiya kay agar Allah chahta to saray hi insanon ko ( zabardasti ) raah per ley aata? aur jinhon ney kufr apnaya hai , unn per to unn kay kartoot ki wajeh say hamesha koi naa koi kharr-kharaney wali museebat parrti rehti hai , ya unn ki basti kay qareeb kahen nazil hoti rehti hai , yahan tak kay ( aik din ) Allah ney jo wada ker rakha hai , woh aa-ker poora hojaye ga . yaqeen rakho kay Allah waday ki khilaf warzi nahi kerta .
وَلَقَدِ ٱسۡتُهۡزِئَ بِرُسُلٖ مِّن قَبۡلِكَ فَأَمۡلَيۡتُ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ ثُمَّ أَخَذۡتُهُمۡۖ فَكَيۡفَ كَانَ عِقَابِ
آیت ۱۳:۳۲ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) haqeeqat yeh hai kay tum say pehlay payghumberon ka bhi mazaq uraya gaya tha , aur aesay kafiron ko bhi mein ney mohlat di thi , magar kuch waqt kay baad mein ney unn ko girift mein ley liya , abb dekh lo kay mera azab kaisa tha-?
أَفَمَنۡ هُوَ قَآئِمٌ عَلَىٰ كُلِّ نَفۡسِۭ بِمَا كَسَبَتۡۗ وَجَعَلُواْ لِلَّهِ شُرَكَآءَ قُلۡ سَمُّوهُمۡۚ أَمۡ تُنَبِّـُٔونَهُۥ بِمَا لَا يَعۡلَمُ فِي ٱلۡأَرۡضِ أَم بِظَٰهِرٖ مِّنَ ٱلۡقَوۡلِۗ بَلۡ زُيِّنَ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ مَكۡرُهُمۡ وَصُدُّواْ عَنِ ٱلسَّبِيلِۗ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِنۡ هَادٖ
آیت ۱۳:۳۳ کھولیںbhala batao kay aik taraf woh zaat hai jo her her shaks kay her her kaam ki nigrani ker rahi hai , aur doosri taraf inn logon ney Allah kay sath shareek maaney huye hain-? kaho kay : zara unn ( khuda kay shareekon ) kay naam to batao ( agar koi naam lo gay ) to kiya Allah ko kissi aesay wajood ki khabar do gay jiss ka duniya bhar mein Allah ko bhi pata nahi hai ? ya khaali zaban say aesay naam ley lo gay jinn kay peechay koi haqeeqat nahi-? haqeeqat to yeh hai kay inn kafiron ko apni makkaraana baaten bari khoobsurat lagti hain , aur ( iss tarah ) inn ki hidayat kay raastay mein rukawat peda hogaee hai . aur jissay Allah gumrahi mein parra rehney dey , ussay koi raah per laney wala moyassar nahi aa-sakta .
لَّهُمۡ عَذَابٞ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَشَقُّۖ وَمَا لَهُم مِّنَ ٱللَّهِ مِن وَاقٖ
آیت ۱۳:۳۴ کھولیںaesay logon kay liye dunyawi zindagi mein bhi azab hai , aur yaqeenan aakhirat ka azab kahen ziyada bhari hoga , aur koi nahi hai jo enhen Allah ( kay azab ) say bacha sakay .
۞مَّثَلُ ٱلۡجَنَّةِ ٱلَّتِي وُعِدَ ٱلۡمُتَّقُونَۖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ أُكُلُهَا دَآئِمٞ وَظِلُّهَاۚ تِلۡكَ عُقۡبَى ٱلَّذِينَ ٱتَّقَواْۚ وَّعُقۡبَى ٱلۡكَٰفِرِينَ ٱلنَّارُ
آیت ۱۳:۳۵ کھولیں. ( doosri taraf ) woh jannat jiss ka muttaqi logon say wada kiya gaya hai , uss ka haal yeh hai kay uss kay neechay nehren behti hain ,uss kay phal bhi sada bahar hain , aur uss ki chaon bhi ! yeh anjam hai unn logon ka jinhon ney taqwa ikhtiyar kiya , jabkay kafiron ka anjam dozakh ki aag hai .
وَٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ يَفۡرَحُونَ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَۖ وَمِنَ ٱلۡأَحۡزَابِ مَن يُنكِرُ بَعۡضَهُۥۚ قُلۡ إِنَّمَآ أُمِرۡتُ أَنۡ أَعۡبُدَ ٱللَّهَ وَلَآ أُشۡرِكَ بِهِۦٓۚ إِلَيۡهِ أَدۡعُواْ وَإِلَيۡهِ مَـَٔابِ
آیت ۱۳:۳۶ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) jinn logon ko hum ney kitab di hai , woh iss kalam say khush hotay hain jo tum per nazil kiya gaya hai . aur unhi girohon mein woh bhi hain jo iss ki baaz baaton ko manney say inkar kertay hain . keh do kay : mujhay to yeh hukum diya gaya hai kay mein Allah ki ibadat kerun , aur uss kay sath kissi ko khudai mein shareek naa maanun , issi baat ki mein dawat deta hun , aur ussi ( Allah ) ki taraf mujhay loat ker jana hai .
وَكَذَٰلِكَ أَنزَلۡنَٰهُ حُكۡمًا عَرَبِيّٗاۚ وَلَئِنِ ٱتَّبَعۡتَ أَهۡوَآءَهُم بَعۡدَمَا جَآءَكَ مِنَ ٱلۡعِلۡمِ مَا لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن وَلِيّٖ وَلَا وَاقٖ
آیت ۱۳:۳۷ کھولیںaur issi tarah hum ney iss ( Quran ) ko arbi zaban mein aik hukum nama bana ker nazil kiya hai . aur ( aey payghumber ! ) tumharay paas jo ilm aa-chuka hai , agar uss kay baad bhi tum inn logon ki khuwaishaat kay peechay chalay to Allah kay muqablay mein naa tumhara koi madadgaar hoga , naa koi bachaney wala .
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا رُسُلٗا مِّن قَبۡلِكَ وَجَعَلۡنَا لَهُمۡ أَزۡوَٰجٗا وَذُرِّيَّةٗۚ وَمَا كَانَ لِرَسُولٍ أَن يَأۡتِيَ بِـَٔايَةٍ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۗ لِكُلِّ أَجَلٖ كِتَابٞ
آیت ۱۳:۳۸ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay hum ney tum say pehlay bhi boht say Rasool bhejay hain , aur unhen biwi bacchay bhi ata farmaye hain , aur kissi Rasool ko yeh ikhtiyar nahi tha kay woh koi aik aayat bhi Allah kay hukum kay baghair lasakay . her zamaney kay liye alag kitab di gaee hai .
يَمۡحُواْ ٱللَّهُ مَا يَشَآءُ وَيُثۡبِتُۖ وَعِندَهُۥٓ أُمُّ ٱلۡكِتَٰبِ
آیت ۱۳:۳۹ کھولیںAllah jiss ( hukum ) ko chahta hai , mansookh ker deta hai , aur ( jiss ko chahta hai ) baqi rakhta hai . aur tamam kitabon ki jo asal hai , woh ussi kay paas hai .
وَإِن مَّا نُرِيَنَّكَ بَعۡضَ ٱلَّذِي نَعِدُهُمۡ أَوۡ نَتَوَفَّيَنَّكَ فَإِنَّمَا عَلَيۡكَ ٱلۡبَلَٰغُ وَعَلَيۡنَا ٱلۡحِسَابُ
آیت ۱۳:۴۰ کھولیںaur jiss baat ki dhamki hum inn ( kafiron ) ko detay hain , chahye uss ka koi hissa hum tumhen ( tumhari zindagi hi mein ) dikha den , ya ( uss say pehlay hi ) tumhen duniya say utha len , baharhal tumharay zimmay to sirf paygham phoncha dena hai , aur hisab lenay ki zimma daari humari hai .
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا نَأۡتِي ٱلۡأَرۡضَ نَنقُصُهَا مِنۡ أَطۡرَافِهَاۚ وَٱللَّهُ يَحۡكُمُ لَا مُعَقِّبَ لِحُكۡمِهِۦۚ وَهُوَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
آیت ۱۳:۴۱ کھولیںkiya inn logon ko yeh haqeeqat nazar nahi aai kay hum inn ki zameen ko chaaron taraf say ghatatay chalay aarahey hain-? her hukum Allah deta hai . koi nahi hai jo uss kay hukum ko torr sakay , aur woh jald hisab lenay wala hai .
وَقَدۡ مَكَرَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَلِلَّهِ ٱلۡمَكۡرُ جَمِيعٗاۖ يَعۡلَمُ مَا تَكۡسِبُ كُلُّ نَفۡسٖۗ وَسَيَعۡلَمُ ٱلۡكُفَّٰرُ لِمَنۡ عُقۡبَى ٱلدَّارِ
آیت ۱۳:۴۲ کھولیںjo log inn say pehlay guzray hain , chaalen unhon ney bhi chali then , lekin chaal to tamam tarr Allah hi ki chalti hai . koi bhi shaks jo kuch kerta hai , sabb ussay maloom hai , aur kafiron ko unqareeb pata lagg jaye ga kay asli watan ka naik anjam kiss kay hissay mein aata hai .
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَسۡتَ مُرۡسَلٗاۚ قُلۡ كَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدَۢا بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡ وَمَنۡ عِندَهُۥ عِلۡمُ ٱلۡكِتَٰبِ
آیت ۱۳:۴۳ کھولیںaur jinn logon ney kufr apna liya hai , woh kehtay hain kay : tum payghumber nahi ho keh do kay : meray aur tumharay darmiyan gawahi kay liye Allah kafi hai , neez her woh shaks jiss kay paas kitab ka ilm hai !