الأحزاب
Al-Ahzaab
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ ٱتَّقِ ٱللَّهَ وَلَا تُطِعِ ٱلۡكَٰفِرِينَ وَٱلۡمُنَٰفِقِينَۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
آیت ۳۳:۱ کھولیںaey nabi ! Allah say dartay raho , aur kafiron aur munafiqon ka kehna matt maano . beyshak Allah boht ilm wala , bara hikmat wala hai .
وَٱتَّبِعۡ مَا يُوحَىٰٓ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٗا
آیت ۳۳:۲ کھولیںaur tumharay perwerdigar ki taraf say tum per jo wahi bheji jarahi hai uss ki perwi kero , tum jo kuch kertay ho , Allah yaqeeni tor per uss say poori tarah ba-khabar hai .
وَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلٗا
آیت ۳۳:۳ کھولیںaur Allah per bharosa rakho , aur kaam bananey kay liye Allah bilkul kafi hai .
مَّا جَعَلَ ٱللَّهُ لِرَجُلٖ مِّن قَلۡبَيۡنِ فِي جَوۡفِهِۦۚ وَمَا جَعَلَ أَزۡوَٰجَكُمُ ٱلَّٰٓـِٔي تُظَٰهِرُونَ مِنۡهُنَّ أُمَّهَٰتِكُمۡۚ وَمَا جَعَلَ أَدۡعِيَآءَكُمۡ أَبۡنَآءَكُمۡۚ ذَٰلِكُمۡ قَوۡلُكُم بِأَفۡوَٰهِكُمۡۖ وَٱللَّهُ يَقُولُ ٱلۡحَقَّ وَهُوَ يَهۡدِي ٱلسَّبِيلَ
آیت ۳۳:۴ کھولیںAllah ney kissi bhi shaks kay seenay mein do dil peda nahi kiye , aur tum apni jinn biwiyon ko maa ki pusht say tashbeeh de detay ho , unn ko tumhari maa nahi banaya , aur naa tumharay mun bolay beton ko tumhara haqeeqi beta qarar diya hai . yeh to baaten hi baaten hain jo tum apney mun say keh detay ho , aur Allah wohi baat kehta hai jo haq ho , aur wohi sahih raasta batlata hai .
ٱدۡعُوهُمۡ لِأٓبَآئِهِمۡ هُوَ أَقۡسَطُ عِندَ ٱللَّهِۚ فَإِن لَّمۡ تَعۡلَمُوٓاْ ءَابَآءَهُمۡ فَإِخۡوَٰنُكُمۡ فِي ٱلدِّينِ وَمَوَٰلِيكُمۡۚ وَلَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٞ فِيمَآ أَخۡطَأۡتُم بِهِۦ وَلَٰكِن مَّا تَعَمَّدَتۡ قُلُوبُكُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمًا
آیت ۳۳:۵ کھولیںtum inn ( mun bolay beton ) ko inn kay apney baapon kay naam say pukara kero . yehi tareeqa Allah kay nazdeek pooray insaf ka hai . aur agar tumhen unn kay baap maloom naa hon , to woh tumharay deeni bhai aur tumharay dost hain . aur tum say jo ghalati hojaye uss ki wajeh say tum per koi gunah nahi hoga , albatta jo baat tum apney dilon say jaan boojh ker kero , ( uss per gunah hai . ) beyshak Allah boht bakhshney wala , bara meharban hai .
ٱلنَّبِيُّ أَوۡلَىٰ بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ مِنۡ أَنفُسِهِمۡۖ وَأَزۡوَٰجُهُۥٓ أُمَّهَٰتُهُمۡۗ وَأُوْلُواْ ٱلۡأَرۡحَامِ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلَىٰ بِبَعۡضٖ فِي كِتَٰبِ ٱللَّهِ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُهَٰجِرِينَ إِلَّآ أَن تَفۡعَلُوٓاْ إِلَىٰٓ أَوۡلِيَآئِكُم مَّعۡرُوفٗاۚ كَانَ ذَٰلِكَ فِي ٱلۡكِتَٰبِ مَسۡطُورٗا
آیت ۳۳:۶ کھولیںemaan walon kay liye yeh nabi unn ki apni janon say bhi ziyada qareeb tarr hain , aur inn ki biwiyan unn ki mayen hain . iss kay bawajood Allah ki kitab kay mutabiq pet kay rishta daar doosray mominon aur mohajreen kay muqablay mein aik doosray per ( meeras kay moamlay mein ) ziyada haq rakhtay hain , illa yeh kay tum apney doston ( kay haq mein koi wasiyyat ker kay unn ) kay sath koi naiki kerlo . yeh baat kitab mein likhi hoi hai .
وَإِذۡ أَخَذۡنَا مِنَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ مِيثَٰقَهُمۡ وَمِنكَ وَمِن نُّوحٖ وَإِبۡرَٰهِيمَ وَمُوسَىٰ وَعِيسَى ٱبۡنِ مَرۡيَمَۖ وَأَخَذۡنَا مِنۡهُم مِّيثَٰقًا غَلِيظٗا
آیت ۳۳:۷ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) woh waqt yaad rakho jab hum ney tamam nabiyon say ehad liya tha , aur tum say bhi , aur nooh aur Ibrahim aur musa aur essa ibn-e-maryam say bhi . aur hum ney unn say nihayat pukhta ehad liya tha .
لِّيَسۡـَٔلَ ٱلصَّٰدِقِينَ عَن صِدۡقِهِمۡۚ وَأَعَدَّ لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابًا أَلِيمٗا
آیت ۳۳:۸ کھولیںtakay Allah sachay logon say unn ki sachai kay baaray mein poochay . aur uss ney kafiron kay liye to aik dardnak azab tayyar ker rakha hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَةَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ إِذۡ جَآءَتۡكُمۡ جُنُودٞ فَأَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ رِيحٗا وَجُنُودٗا لَّمۡ تَرَوۡهَاۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرًا
آیت ۳۳:۹ کھولیںaey emaan walo ! yaad kero Allah ney uss waqt tum per kaisa inaam kiya jab tum per boht say lashkar charh aaye thay , phir hum ney unn per aik aandhi bhi bheji , aur aesay lashkar bhi jo tumhen nazar nahi aatay thay . aur tum jo kuch ker rahey thay , Allah uss ko dekh raha tha .
إِذۡ جَآءُوكُم مِّن فَوۡقِكُمۡ وَمِنۡ أَسۡفَلَ مِنكُمۡ وَإِذۡ زَاغَتِ ٱلۡأَبۡصَٰرُ وَبَلَغَتِ ٱلۡقُلُوبُ ٱلۡحَنَاجِرَ وَتَظُنُّونَ بِٱللَّهِ ٱلظُّنُونَا۠
آیت ۳۳:۱۰ کھولیںyaad kero jab woh tum per tumharay oopper say bhi charh aaye thay aur tumharay neechay say bhi , aur jab aankhen pathra gaee then , aur kalejay mun ko aagaye thay , aur tum Allah kay baaray mein tarah tarah ki baaten sochney lagay thay .
هُنَالِكَ ٱبۡتُلِيَ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ وَزُلۡزِلُواْ زِلۡزَالٗا شَدِيدٗا
آیت ۳۳:۱۱ کھولیںuss moaqa per emaan walon ki bari aazmaesh hoi , aur unhen aik sakht bhonchal mein daal ker hella daala gaya .
وَإِذۡ يَقُولُ ٱلۡمُنَٰفِقُونَ وَٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ مَّا وَعَدَنَا ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥٓ إِلَّا غُرُورٗا
آیت ۳۳:۱۲ کھولیںaur yaad kero jab munafiqeen aur woh log jinn kay dilon mein rog hai , yeh keh rahey thay kay : Allah aur uss kay Rasool ney hum say jo wada kiya hai , woh dhokay kay siwa kuch nahi .
وَإِذۡ قَالَت طَّآئِفَةٞ مِّنۡهُمۡ يَٰٓأَهۡلَ يَثۡرِبَ لَا مُقَامَ لَكُمۡ فَٱرۡجِعُواْۚ وَيَسۡتَـٔۡذِنُ فَرِيقٞ مِّنۡهُمُ ٱلنَّبِيَّ يَقُولُونَ إِنَّ بُيُوتَنَا عَوۡرَةٞ وَمَا هِيَ بِعَوۡرَةٍۖ إِن يُرِيدُونَ إِلَّا فِرَارٗا
آیت ۳۳:۱۳ کھولیںaur jab unhi mein say kuch logon ney kaha tha kay : yasrab kay logo ! tumharay liye yahan thehrney ka koi moaqa nahi hai , bus wapis loat jao . aur unhi mein say kuch log nabi say yeh keh ker ( ghar janey ki ) ijazat maang rahey thay kay : humaray ghar ghair mehfooz hain halankay woh ghair mehfooz nahi thay , balkay unn ka maqsad sirf yeh tha kay ( kissi tarah ) bhag kharray hon .
وَلَوۡ دُخِلَتۡ عَلَيۡهِم مِّنۡ أَقۡطَارِهَا ثُمَّ سُئِلُواْ ٱلۡفِتۡنَةَ لَأٓتَوۡهَا وَمَا تَلَبَّثُواْ بِهَآ إِلَّا يَسِيرٗا
آیت ۳۳:۱۴ کھولیںaur agar dushman madiney mein chaaron taraf say aa-ghusay , phir unn say fasad mein shamil honey ko kaha jaye to yeh uss mein zaroor shamil hojayen gay , aur ( uss waqt ) gharon mein thoray hi thehren gay .
وَلَقَدۡ كَانُواْ عَٰهَدُواْ ٱللَّهَ مِن قَبۡلُ لَا يُوَلُّونَ ٱلۡأَدۡبَٰرَۚ وَكَانَ عَهۡدُ ٱللَّهِ مَسۡـُٔولٗا
آیت ۳۳:۱۵ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay enhon ney Allah say pehlay yeh ehad ker rakha tha kay woh peeth pher ker nahi jayen gay . aur Allah say kiye huye ehad ki baaz purs zaroor ho ker rahey gi .
قُل لَّن يَنفَعَكُمُ ٱلۡفِرَارُ إِن فَرَرۡتُم مِّنَ ٱلۡمَوۡتِ أَوِ ٱلۡقَتۡلِ وَإِذٗا لَّا تُمَتَّعُونَ إِلَّا قَلِيلٗا
آیت ۳۳:۱۶ کھولیں. ( aey payghumber ! inn say ) keh do kay : agar tum moat say ya qatal say bhag bhi jao to yeh bhagna tumhen koi faeeda nahi dey ga , aur uss soorat mein tumhen ( zindagi ka ) lutf uthaney ka jo moaqa diya jaye ga , woh thora hi saa hoga .
قُلۡ مَن ذَا ٱلَّذِي يَعۡصِمُكُم مِّنَ ٱللَّهِ إِنۡ أَرَادَ بِكُمۡ سُوٓءًا أَوۡ أَرَادَ بِكُمۡ رَحۡمَةٗۚ وَلَا يَجِدُونَ لَهُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرٗا
آیت ۳۳:۱۷ کھولیںkaho kay : kon hai jo tumhen Allah say bacha sakay , agar woh tumhen koi burai phonchaney ka irada kerlay , ya ( woh kon hai jo uss ki rehmat ko rok sakay , ) agar woh tum per rehmat kernay ka irada kerlay-? aur Allah kay siwa inn logon ko naa koi rakhwala mil sakta hai , naa koi madadgaar .
۞قَدۡ يَعۡلَمُ ٱللَّهُ ٱلۡمُعَوِّقِينَ مِنكُمۡ وَٱلۡقَآئِلِينَ لِإِخۡوَٰنِهِمۡ هَلُمَّ إِلَيۡنَاۖ وَلَا يَأۡتُونَ ٱلۡبَأۡسَ إِلَّا قَلِيلًا
آیت ۳۳:۱۸ کھولیںAllah tum mein say unn logon ko khoob janta hai jo ( jihad mein ) rukawat daaltay hain , aur apney bhaiyon say kehtay hain kay : humaray paas chalay aao aur khud larraee mein aatay nahi , aur aatay hain to boht kam .
أَشِحَّةً عَلَيۡكُمۡۖ فَإِذَا جَآءَ ٱلۡخَوۡفُ رَأَيۡتَهُمۡ يَنظُرُونَ إِلَيۡكَ تَدُورُ أَعۡيُنُهُمۡ كَٱلَّذِي يُغۡشَىٰ عَلَيۡهِ مِنَ ٱلۡمَوۡتِۖ فَإِذَا ذَهَبَ ٱلۡخَوۡفُ سَلَقُوكُم بِأَلۡسِنَةٍ حِدَادٍ أَشِحَّةً عَلَى ٱلۡخَيۡرِۚ أُوْلَٰٓئِكَ لَمۡ يُؤۡمِنُواْ فَأَحۡبَطَ ٱللَّهُ أَعۡمَٰلَهُمۡۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٗا
آیت ۳۳:۱۹ کھولیں. ( aur woh bhi ) tumharay sath lalach rakhtay huye . chunacheh jab khatray ka moaqa aajata hai to woh tumhari taraf chakrai hoi aankhon say iss tarah dekhtay hain jaisay kissi per moat ki ghashi taari horahi ho . phir jab khatra door hojata hai to tumharay samney maal ki hirs mein tez tez zabanen chalatay hain . yeh log hergiz emaan nahi laye hain , iss liye Allah ney inn kay aemal zaya kerdiye hain . aur yeh baat Allah kay liye boht aasaan hai .
يَحۡسَبُونَ ٱلۡأَحۡزَابَ لَمۡ يَذۡهَبُواْۖ وَإِن يَأۡتِ ٱلۡأَحۡزَابُ يَوَدُّواْ لَوۡ أَنَّهُم بَادُونَ فِي ٱلۡأَعۡرَابِ يَسۡـَٔلُونَ عَنۡ أَنۢبَآئِكُمۡۖ وَلَوۡ كَانُواْ فِيكُم مَّا قَٰتَلُوٓاْ إِلَّا قَلِيلٗا
آیت ۳۳:۲۰ کھولیںwoh yeh samajh rahey hain kay ( dushmanon kay ) lashkar abhi gaye nahi hain . aur agar woh lashkar ( dobara ) aajayen to inn ki khuwaish yeh hogi kay woh dehaat mein jaker rahen , ( aur wahin bethay huye ) tumhari khabren maloom kertay rahen . aur agar tumharay darmiyan rahey bhi to larraee mein thora hi hissa len gay .
لَّقَدۡ كَانَ لَكُمۡ فِي رَسُولِ ٱللَّهِ أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ لِّمَن كَانَ يَرۡجُواْ ٱللَّهَ وَٱلۡيَوۡمَ ٱلۡأٓخِرَ وَذَكَرَ ٱللَّهَ كَثِيرٗا
آیت ۳۳:۲۱ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay tumharay liye Rasool Allah ki zaat mein aik behtareen namoona hai , her uss shaks kay liye jo Allah say aur yoam-e-aakhirat say umeed rakhta ho , aur kasrat say Allah ka ziker kerta ho .
وَلَمَّا رَءَا ٱلۡمُؤۡمِنُونَ ٱلۡأَحۡزَابَ قَالُواْ هَٰذَا مَا وَعَدَنَا ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥ وَصَدَقَ ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥۚ وَمَا زَادَهُمۡ إِلَّآ إِيمَٰنٗا وَتَسۡلِيمٗا
آیت ۳۳:۲۲ کھولیںaur jo log emaan rakhtay hain , jab unhon ney ( dushman kay ) lashkaron ko dekha tha to unhon ney yeh kaha tha kay : yeh wohi baat hai jiss ka wada Allah aur uss kay Rasool ney hum say kiya tha , aur Allah aur uss kay Rasool ney sach kaha tha . aur iss waqaey ney unn kay emaan aur tabey daari kay jazbay mein aur izafa kerdiya tha .
مِّنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ رِجَالٞ صَدَقُواْ مَا عَٰهَدُواْ ٱللَّهَ عَلَيۡهِۖ فَمِنۡهُم مَّن قَضَىٰ نَحۡبَهُۥ وَمِنۡهُم مَّن يَنتَظِرُۖ وَمَا بَدَّلُواْ تَبۡدِيلٗا
آیت ۳۳:۲۳ کھولیںinhi emaan walon mein woh log bhi hain jinhon ney Allah say jo ehad kiya tha , ussay sacha ker dikhaya . phir unn mein say kuch woh hain jinhon ney apna nazrana poora kerdiya , aur kuch woh hain jo abhi intizar mein hain , aur unhon ney ( apney iradon mein ) zara si bhi tabdeeli nahi ki .
لِّيَجۡزِيَ ٱللَّهُ ٱلصَّٰدِقِينَ بِصِدۡقِهِمۡ وَيُعَذِّبَ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ إِن شَآءَ أَوۡ يَتُوبَ عَلَيۡهِمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
آیت ۳۳:۲۴ کھولیں. ( yeh waqiaa iss liye huwa ) takay Allah sachon ko unn ki sachai ka inaam dey , aur munafiqon ko agar chahye to azab dey , ya unn ki tauba qubool kerlay . Allah yaqeenan boht bakhshney wala , bara meharban hai .
وَرَدَّ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِغَيۡظِهِمۡ لَمۡ يَنَالُواْ خَيۡرٗاۚ وَكَفَى ٱللَّهُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ ٱلۡقِتَالَۚ وَكَانَ ٱللَّهُ قَوِيًّا عَزِيزٗا
آیت ۳۳:۲۵ کھولیںaur jo log kafir thay , Allah ney unhen unn kay saray ghaiz o ghazab kay sath iss tarah puspa kerdiya kay woh koi faeeda hasil naa ker-sakay . aur mominon ki taraf say larraee kay liye Allah khud kafi hogaya . aur Allah bari quooat ka , baray iqtidar ka malik hai .
وَأَنزَلَ ٱلَّذِينَ ظَٰهَرُوهُم مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ مِن صَيَاصِيهِمۡ وَقَذَفَ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلرُّعۡبَ فَرِيقٗا تَقۡتُلُونَ وَتَأۡسِرُونَ فَرِيقٗا
آیت ۳۳:۲۶ کھولیںaur jinn ehal-e-kitab ney inn ( dushmanon ) ki madad ki thi , unhen Allah unn kay qalon say neechay utaar laya , aur unn kay dilon mein aisa roab daal diya kay ( aey musalmano ! ) unn mein say kuch ko tum qatal ker rahey thay , aur kuch ko qedi bana rahey thay .
وَأَوۡرَثَكُمۡ أَرۡضَهُمۡ وَدِيَٰرَهُمۡ وَأَمۡوَٰلَهُمۡ وَأَرۡضٗا لَّمۡ تَطَـُٔوهَاۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٗا
آیت ۳۳:۲۷ کھولیںaur Allah ney tumhen unn ki zameen ka , unn kay gharon ka aur unn ki dolat ka waris bana diya , aur aik aesi zameen ka bhi jiss tak abhi tumharay qadam nahi phonchay aur Allah her cheez per poori qudrat rakhta hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ قُل لِّأَزۡوَٰجِكَ إِن كُنتُنَّ تُرِدۡنَ ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَا وَزِينَتَهَا فَتَعَالَيۡنَ أُمَتِّعۡكُنَّ وَأُسَرِّحۡكُنَّ سَرَاحٗا جَمِيلٗا
آیت ۳۳:۲۸ کھولیںaey nabi ! apni biwiyon say kaho kay : agar tum dunyawi zindagi aur uss ki zeenat chahti ho to aao , mein tumhen kuch tohfay dey ker khoobsurti kay sath rukhsat kerdun .
وَإِن كُنتُنَّ تُرِدۡنَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَٱلدَّارَ ٱلۡأٓخِرَةَ فَإِنَّ ٱللَّهَ أَعَدَّ لِلۡمُحۡسِنَٰتِ مِنكُنَّ أَجۡرًا عَظِيمٗا
آیت ۳۳:۲۹ کھولیںaur agar tum Allah aur uss kay Rasool aur aalam-e-aakhirat ki talabgaar ho , to yaqeen jano Allah ney tum mein say naik khawateen kay liye shandaar inaam tayyar ker rakha hai .
يَٰنِسَآءَ ٱلنَّبِيِّ مَن يَأۡتِ مِنكُنَّ بِفَٰحِشَةٖ مُّبَيِّنَةٖ يُضَٰعَفۡ لَهَا ٱلۡعَذَابُ ضِعۡفَيۡنِۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٗا
آیت ۳۳:۳۰ کھولیںaey nabi ki biwiyo ! tum mein say jo koi kissi khuli beyhoodgi ka irtikab keray gi , uss ka azab barha ker do guna kerdiya jaye ga , aur Allah kay liye aisa kerna boht aasaan hai .
۞وَمَن يَقۡنُتۡ مِنكُنَّ لِلَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَتَعۡمَلۡ صَٰلِحٗا نُّؤۡتِهَآ أَجۡرَهَا مَرَّتَيۡنِ وَأَعۡتَدۡنَا لَهَا رِزۡقٗا كَرِيمٗا
آیت ۳۳:۳۱ کھولیںaur tum mein say jo koi Allah aur uss kay Rasool ki tabey daar rahey gi , aur naik amal keray gi , ussay hum uss ka sawab bhi do guna den gay , aur uss kay liye hum ney ba-izzat rizq tayyar ker rakha hai .
يَٰنِسَآءَ ٱلنَّبِيِّ لَسۡتُنَّ كَأَحَدٖ مِّنَ ٱلنِّسَآءِ إِنِ ٱتَّقَيۡتُنَّۚ فَلَا تَخۡضَعۡنَ بِٱلۡقَوۡلِ فَيَطۡمَعَ ٱلَّذِي فِي قَلۡبِهِۦ مَرَضٞ وَقُلۡنَ قَوۡلٗا مَّعۡرُوفٗا
آیت ۳۳:۳۲ کھولیںaey nabi ki biwiyo ! agar tum taqwa ikhtiyar kero to tum aam aurton ki tarah nahi ho . lehaza tum nazakat kay sath baat matt kiya kero , kabhi koi aisa shaks beyja lalach kernay lagay jiss kay dil mein rog hota hai , aur baat woh kaho jo bhalai wali ho .
وَقَرۡنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجۡنَ تَبَرُّجَ ٱلۡجَٰهِلِيَّةِ ٱلۡأُولَىٰۖ وَأَقِمۡنَ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتِينَ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَطِعۡنَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓۚ إِنَّمَا يُرِيدُ ٱللَّهُ لِيُذۡهِبَ عَنكُمُ ٱلرِّجۡسَ أَهۡلَ ٱلۡبَيۡتِ وَيُطَهِّرَكُمۡ تَطۡهِيرٗا
آیت ۳۳:۳۳ کھولیںaur apney gharon mein qarar kay sath raho , aur ( ghair mardon ko ) banao singhaar dikhati naa phiro , jaisa kay pehli jahiliyat mein dikhaya jata tha , aur namaz qaeem kero , aur zakat ada kero , aur Allah aur uss kay Rasool ki farmanbardaari kero . aey nabi kay ahl-e-bait ! yani ( ghar walo ) Allah to yeh chahta hai kay tum say gandagi ko door rakhay , aur tumhen aesi pakeezgi ata keray jo her tarah mukammal ho .
وَٱذۡكُرۡنَ مَا يُتۡلَىٰ فِي بُيُوتِكُنَّ مِنۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ وَٱلۡحِكۡمَةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ لَطِيفًا خَبِيرًا
آیت ۳۳:۳۴ کھولیںaur tumharay gharon mein Allah ki jo aayaten aur hikmat ki jo baaten sunai jati hain , unn ko yaad rakho . yaqeen jano Allah boht bareek-been aur her baat say ba-khabar hai .
إِنَّ ٱلۡمُسۡلِمِينَ وَٱلۡمُسۡلِمَٰتِ وَٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ وَٱلۡقَٰنِتِينَ وَٱلۡقَٰنِتَٰتِ وَٱلصَّٰدِقِينَ وَٱلصَّٰدِقَٰتِ وَٱلصَّٰبِرِينَ وَٱلصَّٰبِرَٰتِ وَٱلۡخَٰشِعِينَ وَٱلۡخَٰشِعَٰتِ وَٱلۡمُتَصَدِّقِينَ وَٱلۡمُتَصَدِّقَٰتِ وَٱلصَّٰٓئِمِينَ وَٱلصَّٰٓئِمَٰتِ وَٱلۡحَٰفِظِينَ فُرُوجَهُمۡ وَٱلۡحَٰفِظَٰتِ وَٱلذَّٰكِرِينَ ٱللَّهَ كَثِيرٗا وَٱلذَّٰكِرَٰتِ أَعَدَّ ٱللَّهُ لَهُم مَّغۡفِرَةٗ وَأَجۡرًا عَظِيمٗا
آیت ۳۳:۳۵ کھولیںbeyshak farmanbardaar mard hon ya farmanbardaar aurten , momin mard hon ya momin aurten , ibadat guzaar mard hon ya ibadat guzaar aurten , sachay mard hon ya sachi aurten , sabir mard hon ya sabir aurten , dil say jhukney walay mard hon ya dil say jhukney wali aurten , sadqa kernay walay mard hon ya sadqa kernay wali aurten , roza daar mard hon ya roza daar aurten , apni sharmgahon ki hifazat kernay walay mard hon ya hifazat kernay wali aurten , aur Allah ka kasrat say ziker kernay walay mard hon ya ziker kernay wali aurten , inn sabb kay liye Allah ney maghfirat aur shandaar ajar tayyar ker rakha hai .
وَمَا كَانَ لِمُؤۡمِنٖ وَلَا مُؤۡمِنَةٍ إِذَا قَضَى ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥٓ أَمۡرًا أَن يَكُونَ لَهُمُ ٱلۡخِيَرَةُ مِنۡ أَمۡرِهِمۡۗ وَمَن يَعۡصِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلَٰلٗا مُّبِينٗا
آیت ۳۳:۳۶ کھولیںaur jab Allah aur uss ka Rasool kissi baat ka hatmi faisla kerden to naa kissi momin mard kay liye yeh gunjaeesh hai naa kissi momin aurat kay liye kay unn ko apney moamlay mein koi ikhtiyar baqi rahey . aur jiss kissi ney Allah aur uss kay Rasool ki nafarmani ki , woh khuli gumrahi mein parr-gaya .
وَإِذۡ تَقُولُ لِلَّذِيٓ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِ وَأَنۡعَمۡتَ عَلَيۡهِ أَمۡسِكۡ عَلَيۡكَ زَوۡجَكَ وَٱتَّقِ ٱللَّهَ وَتُخۡفِي فِي نَفۡسِكَ مَا ٱللَّهُ مُبۡدِيهِ وَتَخۡشَى ٱلنَّاسَ وَٱللَّهُ أَحَقُّ أَن تَخۡشَىٰهُۖ فَلَمَّا قَضَىٰ زَيۡدٞ مِّنۡهَا وَطَرٗا زَوَّجۡنَٰكَهَا لِكَيۡ لَا يَكُونَ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ حَرَجٞ فِيٓ أَزۡوَٰجِ أَدۡعِيَآئِهِمۡ إِذَا قَضَوۡاْ مِنۡهُنَّ وَطَرٗاۚ وَكَانَ أَمۡرُ ٱللَّهِ مَفۡعُولٗا
آیت ۳۳:۳۷ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) yaad kero jab tum uss shaks say jiss per Allah ney bhi ehsan kiya tha , aur tum ney bhi ehsan kiya tha , yeh keh rahey thay kay : apni biwi ko apney nikah mein rehney do , aur Allah say daro aur tum apney dil mein woh baat chupaye huye thay jissay Allah khol denay wala tha , aur tum logon say dartay thay , halankay Allah iss baat ka ziyada haq daar hai kay tum uss say daro . phir jab zaid ney apni biwi say talluq khatam kerliya to hum ney uss say tumhara nikah keradiya , takay musalmanon kay liye apney mun bolay beton ki biwiyon ( say nikah kernay ) mein uss waqt koi tangi naa rahey jab unhon ney apni biwiyon say talluq khatam kerliya ho . aur Allah ney jo hukum diya tha , uss per amal to ho ker rehna hi tha .
مَّا كَانَ عَلَى ٱلنَّبِيِّ مِنۡ حَرَجٖ فِيمَا فَرَضَ ٱللَّهُ لَهُۥۖ سُنَّةَ ٱللَّهِ فِي ٱلَّذِينَ خَلَوۡاْ مِن قَبۡلُۚ وَكَانَ أَمۡرُ ٱللَّهِ قَدَرٗا مَّقۡدُورًا
آیت ۳۳:۳۸ کھولیںnabi kay liye uss kaam mein aetraz ki koi baat nahi hoti jo Allah ney uss kay liye tey kerdiya ho . yehi Allah ki woh sunnat hai jiss per unn ( anbiya ) kay moamlay mein bhi amal hota aaya hai jo pehlay guzar chukay hain . aur Allah ka faisla napa tula muqaddar hota hai .
ٱلَّذِينَ يُبَلِّغُونَ رِسَٰلَٰتِ ٱللَّهِ وَيَخۡشَوۡنَهُۥ وَلَا يَخۡشَوۡنَ أَحَدًا إِلَّا ٱللَّهَۗ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ حَسِيبٗا
آیت ۳۳:۳۹ کھولیںpayghumber woh log hain jo Allah kay bhejay huye ehkaam ko logon tak phonchatay hain , aur ussi say dartay hain , aur Allah kay siwa kissi say nahi dartay . aur hisab lenay kay liye Allah ko kissi ki zaroorat nahi .
مَّا كَانَ مُحَمَّدٌ أَبَآ أَحَدٖ مِّن رِّجَالِكُمۡ وَلَٰكِن رَّسُولَ ٱللَّهِ وَخَاتَمَ ٱلنَّبِيِّـۧنَۗ وَكَانَ ٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٗا
آیت ۳۳:۴۰ کھولیں. ( musalmano ! ) Muhammad ( SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam ) tum mardon mein say kissi kay baap nahi hain , lekin woh Allah kay Rasool hain , aur tamam nabiyon mein sabb say aakhri nabi hain . aur Allah her baat ko khoob janney wala hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ ذِكۡرٗا كَثِيرٗا
آیت ۳۳:۴۱ کھولیںaey emaan walo ! Allah ko khoob kasrat say yaad kiya kero ,
وَسَبِّحُوهُ بُكۡرَةٗ وَأَصِيلًا
آیت ۳۳:۴۲ کھولیںaur subha o shaam uss ki tasbeeh kero .
هُوَ ٱلَّذِي يُصَلِّي عَلَيۡكُمۡ وَمَلَٰٓئِكَتُهُۥ لِيُخۡرِجَكُم مِّنَ ٱلظُّلُمَٰتِ إِلَى ٱلنُّورِۚ وَكَانَ بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ رَحِيمٗا
آیت ۳۳:۴۳ کھولیںwohi hai jo khud bhi tum per rehmat bhejna hai , aur uss kay farishtay bhi , takay woh tumhen andheron say nikal ker roshni mein ley aaye , aur woh mominon per boht meharban hai .
تَحِيَّتُهُمۡ يَوۡمَ يَلۡقَوۡنَهُۥ سَلَٰمٞۚ وَأَعَدَّ لَهُمۡ أَجۡرٗا كَرِيمٗا
آیت ۳۳:۴۴ کھولیںjiss din momin log Allah say milen gay uss din unn ka istaqbal salam say hoga , aur Allah ney unn kay liye ba-izzat inaam tayyar ker rakha hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ إِنَّآ أَرۡسَلۡنَٰكَ شَٰهِدٗا وَمُبَشِّرٗا وَنَذِيرٗا
آیت ۳۳:۴۵ کھولیںaey nabi ! beyshak hum ney tumhen aisa bana ker bheja hai kay tum gawahi denay walay , khushkhabri sunaney walay aur khabrdar kernay walay ho ,
وَدَاعِيًا إِلَى ٱللَّهِ بِإِذۡنِهِۦ وَسِرَاجٗا مُّنِيرٗا
آیت ۳۳:۴۶ کھولیںaur Allah kay hukum say logon ko Allah ki taraf bulaney walay , aur roshni phelaney walay chiragh ho .
وَبَشِّرِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ بِأَنَّ لَهُم مِّنَ ٱللَّهِ فَضۡلٗا كَبِيرٗا
آیت ۳۳:۴۷ کھولیںtum mominon ko khushkhabri suna do kay unn per Allah ki taraf say bara fazal honey wala hai ,
وَلَا تُطِعِ ٱلۡكَٰفِرِينَ وَٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَدَعۡ أَذَىٰهُمۡ وَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلٗا
آیت ۳۳:۴۸ کھولیںaur kafiron aur munafiqon ki baat naa maano , aur unn ki taraf say jo takleef phonchay , uss ki perwa naa kero , aur Allah per bharosa kiye raho , aur Allah rakhwala banney kay liye kafi hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا نَكَحۡتُمُ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ ثُمَّ طَلَّقۡتُمُوهُنَّ مِن قَبۡلِ أَن تَمَسُّوهُنَّ فَمَا لَكُمۡ عَلَيۡهِنَّ مِنۡ عِدَّةٖ تَعۡتَدُّونَهَاۖ فَمَتِّعُوهُنَّ وَسَرِّحُوهُنَّ سَرَاحٗا جَمِيلٗا
آیت ۳۳:۴۹ کھولیںaey emaan walo ! jab tum ney momin aurton say nikah kiya ho , phir tum ney unhen chooney say pehlay hi talaq dey di ho , to unn kay zimmay tumhari koi iddat wajib nahi hai jiss ki ginti tumhen shumar kerni ho . lehaza unhen kuch tohfa dey do , aur unhen khoobsurti say rukhsat kerdo .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ إِنَّآ أَحۡلَلۡنَا لَكَ أَزۡوَٰجَكَ ٱلَّٰتِيٓ ءَاتَيۡتَ أُجُورَهُنَّ وَمَا مَلَكَتۡ يَمِينُكَ مِمَّآ أَفَآءَ ٱللَّهُ عَلَيۡكَ وَبَنَاتِ عَمِّكَ وَبَنَاتِ عَمَّٰتِكَ وَبَنَاتِ خَالِكَ وَبَنَاتِ خَٰلَٰتِكَ ٱلَّٰتِي هَاجَرۡنَ مَعَكَ وَٱمۡرَأَةٗ مُّؤۡمِنَةً إِن وَهَبَتۡ نَفۡسَهَا لِلنَّبِيِّ إِنۡ أَرَادَ ٱلنَّبِيُّ أَن يَسۡتَنكِحَهَا خَالِصَةٗ لَّكَ مِن دُونِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۗ قَدۡ عَلِمۡنَا مَا فَرَضۡنَا عَلَيۡهِمۡ فِيٓ أَزۡوَٰجِهِمۡ وَمَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُهُمۡ لِكَيۡلَا يَكُونَ عَلَيۡكَ حَرَجٞۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
آیت ۳۳:۵۰ کھولیںaey nabi ! hum ney tumharay liye tumhari woh biwiyan halal kerdi hain jinn ko tum ney unn ka mehar ada kerdiya hai . neez Allah ney ghaneemat ka jo maal tumhen ata kiya hai , uss mein say jo kaneezen tumhari milkiyat mein aa-chuki hain woh bhi ( tumharay liye halal hain ) aur tumhari woh chacha ki betiyan aur phoopiyon ki betiyan aur mamoo ki betiyan aur khalaon ki betiyan bhi jinhon ney tumharay sath hijrat ki hai , neez koi musalman aurat jiss ney mehar kay baghair nabi ko apney aap ( say nikah kernay ) ki paishkash ki ho , ba-shartey-kay nabi uss say nikah kerna chahye . yeh saray ehkaam khaas tumharay liye hain , doosray mominon kay liye nahi . hamen woh ehkaam khoob maloom hain jo hum ney unn ki biwiyon aur kaneezon kay baaray mein unn per aaeed kiye hain , ( aur tumhen unn say mustasna kiya hai ) takay tum per koi tangi naa rahey , aur Allah boht bakhshney wala bara meharban hai .
۞تُرۡجِي مَن تَشَآءُ مِنۡهُنَّ وَتُـٔۡوِيٓ إِلَيۡكَ مَن تَشَآءُۖ وَمَنِ ٱبۡتَغَيۡتَ مِمَّنۡ عَزَلۡتَ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكَۚ ذَٰلِكَ أَدۡنَىٰٓ أَن تَقَرَّ أَعۡيُنُهُنَّ وَلَا يَحۡزَنَّ وَيَرۡضَيۡنَ بِمَآ ءَاتَيۡتَهُنَّ كُلُّهُنَّۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا فِي قُلُوبِكُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَلِيمٗا
آیت ۳۳:۵۱ کھولیںunn biwiyon mein say tum jiss ki baari chahao multawi kerdo , aur jiss ko chahao , apney paas rakho , aur jinn ko tum ney alag kerdiya ho unn mein say agar kissi ko wapis bulana chahao to uss mein bhi tumharay liye koi gunah nahi hai . iss tareeqay mein iss baat ki ziyada tawaqqo hai kay unn sabb ki aankhen thandi rahen gi , aur unhen ranj nahi hoga , aur tum unhen jo kuch dey do gay , uss per woh sabb ki sabb razi rahen gi . aur Allah unn sabb baaton ko janta hai jo tumharay dilon mein hain , aur Allah ilm aur hilm ka malik hai .
لَّا يَحِلُّ لَكَ ٱلنِّسَآءُ مِنۢ بَعۡدُ وَلَآ أَن تَبَدَّلَ بِهِنَّ مِنۡ أَزۡوَٰجٖ وَلَوۡ أَعۡجَبَكَ حُسۡنُهُنَّ إِلَّا مَا مَلَكَتۡ يَمِينُكَۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ رَّقِيبٗا
آیت ۳۳:۵۲ کھولیںiss kay baad doosri aurten tumharay liye halal nahi hain , aur naa yeh jaeez hai kay tum unn kay badlay koi doosri biwiyan ley aao , chahye unn ki khoobi tumhen pasand aai ho , albatta jo kaneezen tumhari milkiyat mein hon , ( woh tumharay liye halal hain , ) aur Allah her cheez ki poori nigrani kernay wala hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَدۡخُلُواْ بُيُوتَ ٱلنَّبِيِّ إِلَّآ أَن يُؤۡذَنَ لَكُمۡ إِلَىٰ طَعَامٍ غَيۡرَ نَٰظِرِينَ إِنَىٰهُ وَلَٰكِنۡ إِذَا دُعِيتُمۡ فَٱدۡخُلُواْ فَإِذَا طَعِمۡتُمۡ فَٱنتَشِرُواْ وَلَا مُسۡتَـٔۡنِسِينَ لِحَدِيثٍۚ إِنَّ ذَٰلِكُمۡ كَانَ يُؤۡذِي ٱلنَّبِيَّ فَيَسۡتَحۡيِۦ مِنكُمۡۖ وَٱللَّهُ لَا يَسۡتَحۡيِۦ مِنَ ٱلۡحَقِّۚ وَإِذَا سَأَلۡتُمُوهُنَّ مَتَٰعٗا فَسۡـَٔلُوهُنَّ مِن وَرَآءِ حِجَابٖۚ ذَٰلِكُمۡ أَطۡهَرُ لِقُلُوبِكُمۡ وَقُلُوبِهِنَّۚ وَمَا كَانَ لَكُمۡ أَن تُؤۡذُواْ رَسُولَ ٱللَّهِ وَلَآ أَن تَنكِحُوٓاْ أَزۡوَٰجَهُۥ مِنۢ بَعۡدِهِۦٓ أَبَدًاۚ إِنَّ ذَٰلِكُمۡ كَانَ عِندَ ٱللَّهِ عَظِيمًا
آیت ۳۳:۵۳ کھولیںaey emaan walo ! nabi kay gharon mein ( bila ijazat ) dakhil naa ho , illa yeh kay tumhen khaney per aaney ki ijazat dey di jaye , woh bhi iss tarah kay tum uss khaney ki tayyari kay intizar mein naa bethay raho , lekin jab tumhen dawat di jaye to jao , phir jab khana kha chuko to apni apni raah lo , aur baaton mein ji laga ker naa betho . haqeeqat yeh hai kay iss baat say nabi ko takleef phonchti hai , aur woh tum say ( kehtay huye ) sharmatay hain , aur Allah haq baat mein kissi say nahi sharmata . aur jab tumhen nabi ki biwiyon say kuch maangna ho to perday kay peechay say maango . yeh tareeqa tumharay dilon ko bhi aur unn kay dilon ko bhi ziyada pakeezah rakhney ka zariya hoga . aur tumharay liye jaeez nahi hai kay tum Allah kay Rasool ko takleef phonchao , aur naa yeh jaeez hai kay unn kay baad unn ki biwiyon say kabhi bhi nikah kero . yeh Allah kay nazdeek bari sangeen baat hai .
إِن تُبۡدُواْ شَيۡـًٔا أَوۡ تُخۡفُوهُ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٗا
آیت ۳۳:۵۴ کھولیںchahye tum koi baat zahir kero , ya ussay chupao , Allah her cheez ka poora poora ilm rakhney wala hai .
لَّا جُنَاحَ عَلَيۡهِنَّ فِيٓ ءَابَآئِهِنَّ وَلَآ أَبۡنَآئِهِنَّ وَلَآ إِخۡوَٰنِهِنَّ وَلَآ أَبۡنَآءِ إِخۡوَٰنِهِنَّ وَلَآ أَبۡنَآءِ أَخَوَٰتِهِنَّ وَلَا نِسَآئِهِنَّ وَلَا مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُهُنَّۗ وَٱتَّقِينَ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدًا
آیت ۳۳:۵۵ کھولیںnabi ki biwiyon kay liye apney apney baap ( kay samney bey perda aaney ) mein koi gunah nahi hai , naa apney beton kay , naa apney bhaiyon kay , naa apney bhateejon kay , naa apney bhanjon kay , aur naa apni aurton kay , aur naa apni kaneezon kay ( samney aaney mein koi gunah hai . ) aur ( aey khawateen ! ) tum Allah say darti raho . yaqeen jano kay Allah her baat ka mushaeeda kernay wala hai .
إِنَّ ٱللَّهَ وَمَلَٰٓئِكَتَهُۥ يُصَلُّونَ عَلَى ٱلنَّبِيِّۚ يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ صَلُّواْ عَلَيۡهِ وَسَلِّمُواْ تَسۡلِيمًا
آیت ۳۳:۵۶ کھولیںbeyshak Allah aur uss kay farishtay nabi per durood bhejtay hain . aey emaan walo ! tum bhi unn per durood bhejo , aur khoob salam bheja kero .
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُؤۡذُونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ لَعَنَهُمُ ٱللَّهُ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ وَأَعَدَّ لَهُمۡ عَذَابٗا مُّهِينٗا
آیت ۳۳:۵۷ کھولیںjo log Allah aur uss kay Rasool ko takleef phonchatay hain , Allah ney duniya aur aakhirat mein unn per lanat ki hai , aur unn kay liye aisa azab tayyar ker rakha hai jo zaleel ker kay rakh dey ga .
وَٱلَّذِينَ يُؤۡذُونَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ بِغَيۡرِ مَا ٱكۡتَسَبُواْ فَقَدِ ٱحۡتَمَلُواْ بُهۡتَٰنٗا وَإِثۡمٗا مُّبِينٗا
آیت ۳۳:۵۸ کھولیںaur jo log momin mardon aur momin aurton ko unn kay kissi jurm kay baghair takleef phonchatay hain , unhon ney bohtan tarazi aur khulay gunah ka bojh apney oopper laad liya hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ قُل لِّأَزۡوَٰجِكَ وَبَنَاتِكَ وَنِسَآءِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ يُدۡنِينَ عَلَيۡهِنَّ مِن جَلَٰبِيبِهِنَّۚ ذَٰلِكَ أَدۡنَىٰٓ أَن يُعۡرَفۡنَ فَلَا يُؤۡذَيۡنَۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
آیت ۳۳:۵۹ کھولیںaey nabi ! tum apni biwiyon , apni betiyon aur musalmanon ki aurton say keh do kay woh apni chadaren apney ( mun kay ) oopper jhuka liya keren . iss tareeqay mein iss baat ki ziyada tawaqqo hai kay woh pehchan li jayen gi , to unn ko sataya nahi jaye ga . aur Allah boht bakhshney wala , bara meharban hai .
۞لَّئِن لَّمۡ يَنتَهِ ٱلۡمُنَٰفِقُونَ وَٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ وَٱلۡمُرۡجِفُونَ فِي ٱلۡمَدِينَةِ لَنُغۡرِيَنَّكَ بِهِمۡ ثُمَّ لَا يُجَاوِرُونَكَ فِيهَآ إِلَّا قَلِيلٗا
آیت ۳۳:۶۰ کھولیںagar woh log baaz naa aaye jo munafiq hain , jinn kay dilon mein rog hai aur jo shehar mein shar-angez afwahen phelatay hain , to hum zaroor aisa keren gay kay tum unn kay khilaf uth kharray hogay , phir woh uss shehar mein tumharay sath nahi reh saken gay , albatta thoray din
مَّلۡعُونِينَۖ أَيۡنَمَا ثُقِفُوٓاْ أُخِذُواْ وَقُتِّلُواْ تَقۡتِيلٗا
آیت ۳۳:۶۱ کھولیںjinn mein woh phitkaray huye hon gay . ( phir ) jahan kahen milen gay , pakar liye jayen gay , aur unhen aik aik ker kay qatal kerdiya jaye ga .
سُنَّةَ ٱللَّهِ فِي ٱلَّذِينَ خَلَوۡاْ مِن قَبۡلُۖ وَلَن تَجِدَ لِسُنَّةِ ٱللَّهِ تَبۡدِيلٗا
آیت ۳۳:۶۲ کھولیںyeh Allah ka woh mamool hai jiss per unn logon kay moamlay mein bhi amal hota raha hai jo pehlay guzar chukay hain . aur tum Allah kay mamool mein koi tabdeeli hergiz nahi pao gay .
يَسۡـَٔلُكَ ٱلنَّاسُ عَنِ ٱلسَّاعَةِۖ قُلۡ إِنَّمَا عِلۡمُهَا عِندَ ٱللَّهِۚ وَمَا يُدۡرِيكَ لَعَلَّ ٱلسَّاعَةَ تَكُونُ قَرِيبًا
آیت ۳۳:۶۳ کھولیںlog tum say qayamat kay baaray mein poochtay hain . keh do kay uss ka ilm to Allah hi kay paas hai . aur tumhen kiya pata shayad qayamat qareeb hi aagae ho .
إِنَّ ٱللَّهَ لَعَنَ ٱلۡكَٰفِرِينَ وَأَعَدَّ لَهُمۡ سَعِيرًا
آیت ۳۳:۶۴ کھولیںiss mein koi shak nahi kay Allah ney kafiron ko rehmat say door kerdiya hai , aur unn kay liye bharakti hoi aag tayyar ki hai ,
خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ لَّا يَجِدُونَ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرٗا
آیت ۳۳:۶۵ کھولیںjiss mein woh hamesha iss tarah rahen gay kay unhen naa koi himayati mil sakay ga , aur naa koi madadgaar .
يَوۡمَ تُقَلَّبُ وُجُوهُهُمۡ فِي ٱلنَّارِ يَقُولُونَ يَٰلَيۡتَنَآ أَطَعۡنَا ٱللَّهَ وَأَطَعۡنَا ٱلرَّسُولَا۠
آیت ۳۳:۶۶ کھولیںjiss din unn kay chehron ko aag mein ulta palta jaye ga , woh kahen gay kay : aey kaash ! hum ney Allah ki itaat kerli hoti , aur Rasool ka kehna maan liya hota !
وَقَالُواْ رَبَّنَآ إِنَّآ أَطَعۡنَا سَادَتَنَا وَكُبَرَآءَنَا فَأَضَلُّونَا ٱلسَّبِيلَا۠
آیت ۳۳:۶۷ کھولیںaur kahen gay kay : aey humaray perwerdigar ! haqeeqat yeh hai kay hum ney apney sardaron aur apney baron ka kehna maana , aur unhon ney hamen raastay say bhatka diya .
رَبَّنَآ ءَاتِهِمۡ ضِعۡفَيۡنِ مِنَ ٱلۡعَذَابِ وَٱلۡعَنۡهُمۡ لَعۡنٗا كَبِيرٗا
آیت ۳۳:۶۸ کھولیںaey humaray perwerdigar ! unn ko dugna azab dey , aur unn per aesi lanat ker jo bari bhari lanat ho .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ ءَاذَوۡاْ مُوسَىٰ فَبَرَّأَهُ ٱللَّهُ مِمَّا قَالُواْۚ وَكَانَ عِندَ ٱللَّهِ وَجِيهٗا
آیت ۳۳:۶۹ کھولیںaey emaan walo ! unn logon ki tarah naa ban jana jinhon ney musa ko sataya tha , phir Allah ney unn ko unn baaton say bari kerdiya jo unn logon ney banai then . aur woh Allah kay nazdeek baray rutbay walay thay .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَقُولُواْ قَوۡلٗا سَدِيدٗا
آیت ۳۳:۷۰ کھولیںaey emaan walo ! Allah say daro , aur seedhi sachi baat kaha kero ,
يُصۡلِحۡ لَكُمۡ أَعۡمَٰلَكُمۡ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡ ذُنُوبَكُمۡۗ وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَقَدۡ فَازَ فَوۡزًا عَظِيمًا
آیت ۳۳:۷۱ کھولیںAllah tumharay faeeday kay liye tumharay kaam sanwaar dey ga , aur tumharay gunahon ki maghfirat kerday ga . aur jo shaks Allah aur uss kay Rasool ki itaat keray , uss ney woh kamiyabi hasil kerli jo zabardast kamiyabi hai .
إِنَّا عَرَضۡنَا ٱلۡأَمَانَةَ عَلَى ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَٱلۡجِبَالِ فَأَبَيۡنَ أَن يَحۡمِلۡنَهَا وَأَشۡفَقۡنَ مِنۡهَا وَحَمَلَهَا ٱلۡإِنسَٰنُۖ إِنَّهُۥ كَانَ ظَلُومٗا جَهُولٗا
آیت ۳۳:۷۲ کھولیںhum ney yeh amanat aasmano aur zameen aur paharon per paish ki , to unhon ney uss kay uthaney say inkar kiya , aur uss say darr gaye , aur insan ney uss ka bojh utha liya . haqeeqat yeh hai kay woh bara zalim , bara nadan hai .
لِّيُعَذِّبَ ٱللَّهُ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَٱلۡمُنَٰفِقَٰتِ وَٱلۡمُشۡرِكِينَ وَٱلۡمُشۡرِكَٰتِ وَيَتُوبَ ٱللَّهُ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمَۢا
آیت ۳۳:۷۳ کھولیںnateeja yeh hai kay Allah munafiq mardon aur munafiq aurton ko , neez mushrik mardon aur mushrik aurton ko azab dey ga , aur momin mardon aur momin aurton per rehmat kay sath tawajjah farmaye ga . aur Allah boht bakhshney wala , bara meharban hai .