العلق
Al-Alaq
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
ٱقۡرَأۡ بِٱسۡمِ رَبِّكَ ٱلَّذِي خَلَقَ
آیت ۹۶:۱ کھولیںparho apney perwerdigar ka naam ley ker jiss ney sabb kuch peda kiya ,
خَلَقَ ٱلۡإِنسَٰنَ مِنۡ عَلَقٍ
آیت ۹۶:۲ کھولیںuss ney insan ko jamay huye khoon say peda kiya hai .
ٱقۡرَأۡ وَرَبُّكَ ٱلۡأَكۡرَمُ
آیت ۹۶:۳ کھولیںparho , aur tumhara perwerdigar sabb say ziyada karam wala hai ,
ٱلَّذِي عَلَّمَ بِٱلۡقَلَمِ
آیت ۹۶:۴ کھولیںjiss ney qalam say taleem di ,
عَلَّمَ ٱلۡإِنسَٰنَ مَا لَمۡ يَعۡلَمۡ
آیت ۹۶:۵ کھولیںinsan ko uss baat ki taleem di jo woh nahi janta tha .
كَلَّآ إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لَيَطۡغَىٰٓ
آیت ۹۶:۶ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay insan khuli sarkashi ker raha hai
أَن رَّءَاهُ ٱسۡتَغۡنَىٰٓ
آیت ۹۶:۷ کھولیںkiyonkay uss ney apney aap ko bey niaz samajh liya hai .
إِنَّ إِلَىٰ رَبِّكَ ٱلرُّجۡعَىٰٓ
آیت ۹۶:۸ کھولیںsach to yeh hai kay tumharay perwerdigar hi ki taraf sabb ko loattna hai .
أَرَءَيۡتَ ٱلَّذِي يَنۡهَىٰ
آیت ۹۶:۹ کھولیںbhala tum ney uss shaks ko bhi dekha jo aik banday ko mana kerta hai
عَبۡدًا إِذَا صَلَّىٰٓ
آیت ۹۶:۱۰ کھولیںjab woh namaz parhta hai-?
أَرَءَيۡتَ إِن كَانَ عَلَى ٱلۡهُدَىٰٓ
آیت ۹۶:۱۱ کھولیںbhala batlao kay agar woh ( namaz parhney wala ) hidayat per ho ,
أَوۡ أَمَرَ بِٱلتَّقۡوَىٰٓ
آیت ۹۶:۱۲ کھولیںya taqwa ka hukum deta ho , ( to kiya ussay rokna gumrahi nahi-? )
أَرَءَيۡتَ إِن كَذَّبَ وَتَوَلَّىٰٓ
آیت ۹۶:۱۳ کھولیںbhala batlao kay agar woh ( rokney wala ) haq ko jhutlata ho , aur mun morrta ho ,
أَلَمۡ يَعۡلَم بِأَنَّ ٱللَّهَ يَرَىٰ
آیت ۹۶:۱۴ کھولیںkiya ussay yeh maloom nahi hai kay Allah dekh raha hai ?
كَلَّا لَئِن لَّمۡ يَنتَهِ لَنَسۡفَعَۢا بِٱلنَّاصِيَةِ
آیت ۹۶:۱۵ کھولیںkhabrdar ! agar woh baaz naa aaya , to hum ( ussay ) paishani kay baal pakar ker ghaseeten gay ,
نَاصِيَةٖ كَٰذِبَةٍ خَاطِئَةٖ
آیت ۹۶:۱۶ کھولیںuss paishani kay baal jo jhooti hai , gunehgaar hai .
فَلۡيَدۡعُ نَادِيَهُۥ
آیت ۹۶:۱۷ کھولیںabb woh bulaley apni majlis walon ko !
سَنَدۡعُ ٱلزَّبَانِيَةَ
آیت ۹۶:۱۸ کھولیںhum dozakh kay farishton ko bula len gay .
كَلَّا لَا تُطِعۡهُ وَٱسۡجُدۡۤ وَٱقۡتَرِب۩
آیت ۹۶:۱۹ کھولیںhergiz nahi ! uss ki baat naa maano , aur sajda kero , aur qareeb aajao .