العنكبوت
Al-Ankaboot
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
الٓمٓ
آیت ۲۹:۱ کھولیںAlif-Laam-Meem .
أَحَسِبَ ٱلنَّاسُ أَن يُتۡرَكُوٓاْ أَن يَقُولُوٓاْ ءَامَنَّا وَهُمۡ لَا يُفۡتَنُونَ
آیت ۲۹:۲ کھولیںkiya logon ney yeh samajh rakha hai kay unhen yunhi chorr diya jaye ga kay bus woh yeh keh den kay : hum emaan ley aaye aur unn ko aazmaya naa jaye-?
وَلَقَدۡ فَتَنَّا ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۖ فَلَيَعۡلَمَنَّ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ صَدَقُواْ وَلَيَعۡلَمَنَّ ٱلۡكَٰذِبِينَ
آیت ۲۹:۳ کھولیںhalankay hum ney unn sabb ki aazmaesh ki hai jo unn say pehlay guzar chukay hain . lehaza Allah zaroor maloom ker kay rahey ga kay kon log hain jinhon ney sachai say kaam liya hai , aur woh yeh bhi maloom ker kay rahey ga kay kon log jhootay hain .
أَمۡ حَسِبَ ٱلَّذِينَ يَعۡمَلُونَ ٱلسَّيِّـَٔاتِ أَن يَسۡبِقُونَاۚ سَآءَ مَا يَحۡكُمُونَ
آیت ۲۹:۴ کھولیںjinn logon ney buray buray kaam kiye hain , kiya woh yeh samajhtay hain kay woh hum say bazi ley jayen gay-? boht bura andaza hai jo woh laga rahey hain .
مَن كَانَ يَرۡجُواْ لِقَآءَ ٱللَّهِ فَإِنَّ أَجَلَ ٱللَّهِ لَأٓتٖۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
آیت ۲۹:۵ کھولیںjo shaks Allah say ja-milney ki umeed rakhta ho , ussay yaqeen rakhna chahiye kay Allah ki muqarrar ki hoi miyaad zaroor aa-ker rahey gi , aur wohi hai jo her baat sunta , her cheez janta hai .
وَمَن جَٰهَدَ فَإِنَّمَا يُجَٰهِدُ لِنَفۡسِهِۦٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَغَنِيٌّ عَنِ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۲۹:۶ کھولیںaur jo shaks bhi humaray raastay mein mehnat uthata hai , woh apney hi faeeday kay liye mehnat uthata hai . yaqeenan Allah tamam duniya jahan kay logon say bey niaz hai .
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ لَنُكَفِّرَنَّ عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡ وَلَنَجۡزِيَنَّهُمۡ أَحۡسَنَ ٱلَّذِي كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
آیت ۲۹:۷ کھولیںaur jo log emaan ley aaye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , hum unn ki khataon ko zaroor unn say jhaarr den gay , aur jo amal woh kertay rahey hain , unn ka behtareen badla unhen zaroor den gay .
وَوَصَّيۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ بِوَٰلِدَيۡهِ حُسۡنٗاۖ وَإِن جَٰهَدَاكَ لِتُشۡرِكَ بِي مَا لَيۡسَ لَكَ بِهِۦ عِلۡمٞ فَلَا تُطِعۡهُمَآۚ إِلَيَّ مَرۡجِعُكُمۡ فَأُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
آیت ۲۹:۸ کھولیںaur hum ney insan ko hukum diya hai kay woh apney walaiden kay sath acha sulook keray . aur agar woh tum per zor daalen kay tum meray sath kissi aesay ( mabood ) ko shareek thehrao jiss kay baaray mein tumharay paas koi daleel nahi hai to unn ka kehna matt maano . meri hi taraf tum sabb ko loat ker aana hai , uss waqt mein tumhen bataon ga kay tum kiya kertay rahey ho .
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ لَنُدۡخِلَنَّهُمۡ فِي ٱلصَّٰلِحِينَ
آیت ۲۹:۹ کھولیںaur jo log emaan laye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , hum unhen zaroor naik logon mein shamil keren gay .
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَقُولُ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ فَإِذَآ أُوذِيَ فِي ٱللَّهِ جَعَلَ فِتۡنَةَ ٱلنَّاسِ كَعَذَابِ ٱللَّهِۖ وَلَئِن جَآءَ نَصۡرٞ مِّن رَّبِّكَ لَيَقُولُنَّ إِنَّا كُنَّا مَعَكُمۡۚ أَوَلَيۡسَ ٱللَّهُ بِأَعۡلَمَ بِمَا فِي صُدُورِ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۲۹:۱۰ کھولیںaur kuch log aesay hain kay woh keh detay hain kay : hum Allah per emaan ley aaye hain phir jab unn ko Allah kay raastay mein koi takleef phonchai jati hai to woh logon ki phonchai hoi takleef ko aisa samajhtay hain jaisa Allah ka azab . aur agar kabhi tumharay perwerdigar ki taraf say koi madad unn ( musalmanon ) kay paas aagae hai to woh zaroor yeh kahen gay kay : hum to tumharay sath thay . bhala kiya Allah ko woh baaten achi tarah maloom nahi hain jo saray duniya jahan kay logon kay seenon mein chupi hain-?
وَلَيَعۡلَمَنَّ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَلَيَعۡلَمَنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ
آیت ۲۹:۱۱ کھولیںaur Allah taalaa zaroor maloom ker kay rahey ga kay kon log emaan laye hain , aur woh zaroor maloom ker kay rahey ga kay kon log munafiq hain .
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّبِعُواْ سَبِيلَنَا وَلۡنَحۡمِلۡ خَطَٰيَٰكُمۡ وَمَا هُم بِحَٰمِلِينَ مِنۡ خَطَٰيَٰهُم مِّن شَيۡءٍۖ إِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
آیت ۲۹:۱۲ کھولیںaur jinn logon ney kufr apna liya hai , unhon ney emaan walon say kaha kay : humaray raastay kay peechay chalo to hum tumhari khataon ka bojh uthalen gay , halankay woh unn ki khataon ka zara bhi bojh nahi utha saktay , aur yeh log yaqeenan bilkul jhootay hain .
وَلَيَحۡمِلُنَّ أَثۡقَالَهُمۡ وَأَثۡقَالٗا مَّعَ أَثۡقَالِهِمۡۖ وَلَيُسۡـَٔلُنَّ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ عَمَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
آیت ۲۹:۱۳ کھولیںaur woh apney gunahon kay bojh bhi zaroor uthayen gay , aur apney bojh kay sath kuch aur bojh bhi . aur yeh log jitney jhoot gharra kertay thay , qayamat kay din inn say unn sabb ki baaz purs zaroor ki jaye gi .
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ فَلَبِثَ فِيهِمۡ أَلۡفَ سَنَةٍ إِلَّا خَمۡسِينَ عَامٗا فَأَخَذَهُمُ ٱلطُّوفَانُ وَهُمۡ ظَٰلِمُونَ
آیت ۲۹:۱۴ کھولیںaur hum ney nooh ko unn ki qoam kay paas bheja tha , chunacheh pachas kam aik hazar saal tak woh unn kay darmiyan rahey , phir unn ko toofan ney aa-pakra , aur woh zalim log thay .
فَأَنجَيۡنَٰهُ وَأَصۡحَٰبَ ٱلسَّفِينَةِ وَجَعَلۡنَٰهَآ ءَايَةٗ لِّلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۲۹:۱۵ کھولیںphir hum ney nooh ko aur kashti walon ko bacha liya , aur hum ney uss ko duniya jahan walon kay liye aik ibrat bana diya .
وَإِبۡرَٰهِيمَ إِذۡ قَالَ لِقَوۡمِهِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَٱتَّقُوهُۖ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
آیت ۲۹:۱۶ کھولیںaur hum ney Ibrahim ko bheja jabkay unhon ney apni qoam say kaha tha kay : Allah ki ibadat kero , aur uss say daro yehi baat tumharay liye behtar hai , agar tum samajh say kaam lo .
إِنَّمَا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَوۡثَٰنٗا وَتَخۡلُقُونَ إِفۡكًاۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ لَا يَمۡلِكُونَ لَكُمۡ رِزۡقٗا فَٱبۡتَغُواْ عِندَ ٱللَّهِ ٱلرِّزۡقَ وَٱعۡبُدُوهُ وَٱشۡكُرُواْ لَهُۥٓۖ إِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
آیت ۲۹:۱۷ کھولیںjo kuch tum kertay ho woh yeh hai kay Allah ko chorr ker tum button ko poojtay ho , aur jhooti baaten gharrtay ho . yaqeen jano kay Allah ko chorr ker jinn jinn ki tum ibadat kertay ho , woh tumhen rizq denay ka koi ikhtiyar nahi rakhtay , iss liye rizq Allah kay paas talash kero , aur uss ki ibadat kero , aur uss ka shukar ada kero . ussi kay paas tumhen wapis lotaya jaye ga .
وَإِن تُكَذِّبُواْ فَقَدۡ كَذَّبَ أُمَمٞ مِّن قَبۡلِكُمۡۖ وَمَا عَلَى ٱلرَّسُولِ إِلَّا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
آیت ۲۹:۱۸ کھولیںaur agar tum mujhay jhutla rahey ho to tum say pehlay boht si qoamen jhutlaney ki rawish ikhtiyar ker-chuki hain , aur Rasool per iss kay siwa koi zimma daari nahi hoti kay woh saaf saaf baat phoncha dey .
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ كَيۡفَ يُبۡدِئُ ٱللَّهُ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥٓۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ
آیت ۲۹:۱۹ کھولیںbhala kiya inn logon ney yeh nahi dekha kay Allah kiss tarah makhlooq ko shuroo mein peda kerta hai ? phir wohi ussay dobara peda keray ga , yeh kaam to Allah kay liye boht aasaan hai .
قُلۡ سِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱنظُرُواْ كَيۡفَ بَدَأَ ٱلۡخَلۡقَۚ ثُمَّ ٱللَّهُ يُنشِئُ ٱلنَّشۡأَةَ ٱلۡأٓخِرَةَۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
آیت ۲۹:۲۰ کھولیںkaho kay : zara zameen mein chal phir ker dekho kay Allah ney kiss tarah makhlooq ko shuroo mein peda kiya , phir Allah hi aakhirat wali makhlooq ko bhi utha kharra keray ga . yaqeenan Allah her cheez per qadir hai .
يُعَذِّبُ مَن يَشَآءُ وَيَرۡحَمُ مَن يَشَآءُۖ وَإِلَيۡهِ تُقۡلَبُونَ
آیت ۲۹:۲۱ کھولیںwoh jiss ko chahye ga , saza dey ga , aur jiss per chahye ga reham keray ga , aur ussi ki taraf tum sabb ko palta kerlay jaya jaye ga .
وَمَآ أَنتُم بِمُعۡجِزِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا فِي ٱلسَّمَآءِۖ وَمَا لَكُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ مِن وَلِيّٖ وَلَا نَصِيرٖ
آیت ۲۹:۲۲ کھولیںaur tum naa zameen mein ( Allah ko ) aajiz ker-saktay ho , aur naa aasman mein , aur Allah kay siwa tumhara naa koi rakhwala hai , aur naa koi madadgaar .
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَلِقَآئِهِۦٓ أُوْلَٰٓئِكَ يَئِسُواْ مِن رَّحۡمَتِي وَأُوْلَٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
آیت ۲۹:۲۳ کھولیںaur jinn logon ney Allah ki aayaton ka aur uss say ja-milney ka inkar kiya hai , woh meri rehmat say mayyus hochukay hain , aur unn kay liye dukh denay wala azab hai .
فَمَا كَانَ جَوَابَ قَوۡمِهِۦٓ إِلَّآ أَن قَالُواْ ٱقۡتُلُوهُ أَوۡ حَرِّقُوهُ فَأَنجَىٰهُ ٱللَّهُ مِنَ ٱلنَّارِۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
آیت ۲۹:۲۴ کھولیںgharz Ibrahim ki qoam ka jawab iss kay siwa kuch nahi tha kay unhon ney kaha : qatal ker daalo iss ko ya jala daalo issay ! phir Allah ney Ibrahim ko aag say bachaya . yaqeenan iss waqaey mein unn logon kay liye bari ibraten hain jo emaan latay hain .
وَقَالَ إِنَّمَا ٱتَّخَذۡتُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ أَوۡثَٰنٗا مَّوَدَّةَ بَيۡنِكُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ ثُمَّ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَكۡفُرُ بَعۡضُكُم بِبَعۡضٖ وَيَلۡعَنُ بَعۡضُكُم بَعۡضٗا وَمَأۡوَىٰكُمُ ٱلنَّارُ وَمَا لَكُم مِّن نَّٰصِرِينَ
آیت ۲۹:۲۵ کھولیںaur Ibrahim ney yeh bhi kaha kay : tum ney Allah ko chorr ker button ko ( khuda ) maana huwa hai , jiss kay zariye dunyawi zindagi mein tumhari aapas ki dosti qaeem hai . phir qayamat kay din tum aik doosray ka inkar kero gay , aur aik doosray per lanat bhejo gay , aur tumhara thikana dozakh hoga , aur tumhen kissi bhi tarah kay madadgaar moyassar nahi hon gay .
۞فَـَٔامَنَ لَهُۥ لُوطٞۘ وَقَالَ إِنِّي مُهَاجِرٌ إِلَىٰ رَبِّيٓۖ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
آیت ۲۹:۲۶ کھولیںphir loot unn per emaan laye , aur Ibrahim ney kaha kay : mein apney perwerdigar ki taraf hijrat ker kay jaraha hun , wohi hai jiss ka iqtidar bhi kamil hai , hikmat bhi kamil .
وَوَهَبۡنَا لَهُۥٓ إِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ وَجَعَلۡنَا فِي ذُرِّيَّتِهِ ٱلنُّبُوَّةَ وَٱلۡكِتَٰبَ وَءَاتَيۡنَٰهُ أَجۡرَهُۥ فِي ٱلدُّنۡيَاۖ وَإِنَّهُۥ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ لَمِنَ ٱلصَّٰلِحِينَ
آیت ۲۹:۲۷ کھولیںaur hum ney unhen Ishaq aur Yaqoob ( jaisay betay ) ata farmaye , aur unn ki aulad mein nabwooat aur kitab ka silsila jari rakha , aur unn ka ajar hum ney unhen duniya mein ( bhi ) diya aur yaqeenan aakhirat mein unn ka shumar sualeheen mein hoga .
وَلُوطًا إِذۡ قَالَ لِقَوۡمِهِۦٓ إِنَّكُمۡ لَتَأۡتُونَ ٱلۡفَٰحِشَةَ مَا سَبَقَكُم بِهَا مِنۡ أَحَدٖ مِّنَ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۲۹:۲۸ کھولیںaur hum ney loot ko bheja jabkay uss ney apni qoam say kaha : haqeeqat yeh hai kay tum aesi bey hayai ka kaam kertay ho jo tum say pehlay duniya jahan walon mein say kissi ney nahi kiya .
أَئِنَّكُمۡ لَتَأۡتُونَ ٱلرِّجَالَ وَتَقۡطَعُونَ ٱلسَّبِيلَ وَتَأۡتُونَ فِي نَادِيكُمُ ٱلۡمُنكَرَۖ فَمَا كَانَ جَوَابَ قَوۡمِهِۦٓ إِلَّآ أَن قَالُواْ ٱئۡتِنَا بِعَذَابِ ٱللَّهِ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّٰدِقِينَ
آیت ۲۹:۲۹ کھولیںkiya tum mardon kay paas jatay ho , aur raaston mein daakay daaltay ho , aur apni bhari majlis mein badi ka irtikab kertay ho-? phir unn ki qoam kay logon kay paas iss kay siwa koi jawab nahi tha kay unhon ney kaha : ley aao hum per Allah ka azab agar tum sachay ho !
قَالَ رَبِّ ٱنصُرۡنِي عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
آیت ۲۹:۳۰ کھولیںloot ney kaha : meray perwerdigar ! inn mufsid logon kay muqablay mein meri madad farmaiye .
وَلَمَّا جَآءَتۡ رُسُلُنَآ إِبۡرَٰهِيمَ بِٱلۡبُشۡرَىٰ قَالُوٓاْ إِنَّا مُهۡلِكُوٓاْ أَهۡلِ هَٰذِهِ ٱلۡقَرۡيَةِۖ إِنَّ أَهۡلَهَا كَانُواْ ظَٰلِمِينَ
آیت ۲۹:۳۱ کھولیںaur jab humaray bhejay huye farishtay Ibrahim kay paas ( unn kay beta honey ki ) khushkhabri ley ker phonchay , to unhon ney kaha kay : hum iss basti walon ko halak kernay walay hain . haqeeqat yeh hai kay iss kay bashinday baray zalim banay huye hain .
قَالَ إِنَّ فِيهَا لُوطٗاۚ قَالُواْ نَحۡنُ أَعۡلَمُ بِمَن فِيهَاۖ لَنُنَجِّيَنَّهُۥ وَأَهۡلَهُۥٓ إِلَّا ٱمۡرَأَتَهُۥ كَانَتۡ مِنَ ٱلۡغَٰبِرِينَ
آیت ۲۹:۳۲ کھولیںIbrahim ney kaha : iss basti mein to loot mojood hain . farishton ney kaha : hamen khoob maloom hai kay uss mein kon hai . hum unhen aur unn kay mutallaqeen ko zaroor bacha len gay , siwaye unn ki biwi kay kay woh unn logon mein shamil rahey gi jo peechay reh jayen gay .
وَلَمَّآ أَن جَآءَتۡ رُسُلُنَا لُوطٗا سِيٓءَ بِهِمۡ وَضَاقَ بِهِمۡ ذَرۡعٗاۖ وَقَالُواْ لَا تَخَفۡ وَلَا تَحۡزَنۡ إِنَّا مُنَجُّوكَ وَأَهۡلَكَ إِلَّا ٱمۡرَأَتَكَ كَانَتۡ مِنَ ٱلۡغَٰبِرِينَ
آیت ۲۹:۳۳ کھولیںaur jab humaray bhejay huye farishtay loot kay paas phonchay to loot unn ki wajeh say sakht pareshan huye , aur unn ki wajeh say unn ka dil tang honey laga . unn farishton ney kaha : aap naa dariye , aur naa ghum kijiye . hum aap ko aur aap kay mutallaqeen ko bachlen gay , siwaye aap ki biwi kay jo peechay reh janey walon mein shamil rahey gi .
إِنَّا مُنزِلُونَ عَلَىٰٓ أَهۡلِ هَٰذِهِ ٱلۡقَرۡيَةِ رِجۡزٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِ بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
آیت ۲۹:۳۴ کھولیںiss basti kay bashinday jo bad-kaariyan kertay rahey hain , unn ki wajeh say hum unn per aasman say azab nazil kernay walay hain .
وَلَقَد تَّرَكۡنَا مِنۡهَآ ءَايَةَۢ بَيِّنَةٗ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
آیت ۲۹:۳۵ کھولیںaur hum ney iss basti ki kuch khuli nishani unn logon kay liye chorr di hai jo samajh say kaam len .
وَإِلَىٰ مَدۡيَنَ أَخَاهُمۡ شُعَيۡبٗا فَقَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَٱرۡجُواْ ٱلۡيَوۡمَ ٱلۡأٓخِرَ وَلَا تَعۡثَوۡاْ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُفۡسِدِينَ
آیت ۲۹:۳۶ کھولیںaur madiyan ki taraf hum ney unn kay bhai shoaib ko bheja . chunacheh unhon ney kaha : meri qoam kay logo ! Allah ki ibadat kero , aur aakhirat walay din ki umeed rakho , aur zameen mein fasad phelatay matt phiro .
فَكَذَّبُوهُ فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلرَّجۡفَةُ فَأَصۡبَحُواْ فِي دَارِهِمۡ جَٰثِمِينَ
آیت ۲۹:۳۷ کھولیںphir huwa yeh kay unn logon ney shoaib ko jhutlaya , chunacheh zalzalay ney unn ko aa-pakra , aur woh apney ghar mein ondhay parray reh gaye .
وَعَادٗا وَثَمُودَاْ وَقَد تَّبَيَّنَ لَكُم مِّن مَّسَٰكِنِهِمۡۖ وَزَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَعۡمَٰلَهُمۡ فَصَدَّهُمۡ عَنِ ٱلسَّبِيلِ وَكَانُواْ مُسۡتَبۡصِرِينَ
آیت ۲۹:۳۸ کھولیںaur hum ney aad aur samood ko bhi halak kiya , aur unn ki tabahi tum per unn kay gharon say wazeh hochuki hai . aur shetan ney unn kay aemal ko unn ki nigahon mein khushnuma bana ker unhen raah-e-raast say rok diya tha , halankay woh soojh boojh kay log thay .
وَقَٰرُونَ وَفِرۡعَوۡنَ وَهَٰمَٰنَۖ وَلَقَدۡ جَآءَهُم مُّوسَىٰ بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَٱسۡتَكۡبَرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا كَانُواْ سَٰبِقِينَ
آیت ۲۹:۳۹ کھولیںaur qaroon , firon aur hamaan ko bhi hum ney halak kiya . musa unn kay paas roshan daleelen ley ker aaye thay , magar unhon ney zameen mein takabbur say kaam liya , aur woh ( hum say ) jeet naa sakay .
فَكُلًّا أَخَذۡنَا بِذَنۢبِهِۦۖ فَمِنۡهُم مَّنۡ أَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِ حَاصِبٗا وَمِنۡهُم مَّنۡ أَخَذَتۡهُ ٱلصَّيۡحَةُ وَمِنۡهُم مَّنۡ خَسَفۡنَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ وَمِنۡهُم مَّنۡ أَغۡرَقۡنَاۚ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيَظۡلِمَهُمۡ وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
آیت ۲۹:۴۰ کھولیںhum ney unn sabb ko unn kay gunahon ki wajeh say pakar mein liya , chunacheh unn mein say kuch woh thay jinn per hum ney pathrao kernay wali hawa bheji , aur kuch woh thay jinn ko aik chinghaarr ney aa-pakra , aur kuch woh thay jinn ko hum ney zameen mein dhansa diya , aur kuch woh jinhen hum ney paani mein gharq kerdiya . aur Allah aisa nahi tha kay unn per zulm kerta , lekin yeh log khud apni janon per zulm kiya kertay thay .
مَثَلُ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَوۡلِيَآءَ كَمَثَلِ ٱلۡعَنكَبُوتِ ٱتَّخَذَتۡ بَيۡتٗاۖ وَإِنَّ أَوۡهَنَ ٱلۡبُيُوتِ لَبَيۡتُ ٱلۡعَنكَبُوتِۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ
آیت ۲۹:۴۱ کھولیںjinn logon ney Allah ko chorr ker doosray rakhwalay bana rakhay hain , unn ki misal makri ki si hai jiss ney koi ghar bana liya ho . aur khuli baat hai kay tamam gharon mein sabb say kamzor ghar makri ka hota hai . kaash kay yeh log jantay !
إِنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ مِن شَيۡءٖۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
آیت ۲۹:۴۲ کھولیںyeh log Allah ko chorr ker jiss jiss cheez ko pukartay hain Allah ussay khoob janta hai , aur woh iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .
وَتِلۡكَ ٱلۡأَمۡثَٰلُ نَضۡرِبُهَا لِلنَّاسِۖ وَمَا يَعۡقِلُهَآ إِلَّا ٱلۡعَٰلِمُونَ
آیت ۲۹:۴۳ کھولیںhum yeh misalen logon kay faeeday kay liye detay hain , aur unhen samajhtay wohi hain jo ilm walay hain .
خَلَقَ ٱللَّهُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ
آیت ۲۹:۴۴ کھولیںAllah ney aasmano aur zameen ko bar-haq ( maqsad kay liye ) peda kiya hai . dar-haqeeqat iss mein emaan walon kay liye bari nishani hai .
ٱتۡلُ مَآ أُوحِيَ إِلَيۡكَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَأَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَۖ إِنَّ ٱلصَّلَوٰةَ تَنۡهَىٰ عَنِ ٱلۡفَحۡشَآءِ وَٱلۡمُنكَرِۗ وَلَذِكۡرُ ٱللَّهِ أَكۡبَرُۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تَصۡنَعُونَ
آیت ۲۹:۴۵ کھولیں. ( aey payghumber ! ) jo kitab tumharay paas wahi kay zariye bheji gaee hai , uss ki tilawat kero , aur namaz qaeem kero . beyshak namaz bey hayai aur buray kamon say rokti hai , aur Allah ka ziker sabb say bari cheez hai . aur jo kuch tum kertay ho , Allah uss sabb ko janta hai .
۞وَلَا تُجَٰدِلُوٓاْ أَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ إِلَّا بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ إِلَّا ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡهُمۡۖ وَقُولُوٓاْ ءَامَنَّا بِٱلَّذِيٓ أُنزِلَ إِلَيۡنَا وَأُنزِلَ إِلَيۡكُمۡ وَإِلَٰهُنَا وَإِلَٰهُكُمۡ وَٰحِدٞ وَنَحۡنُ لَهُۥ مُسۡلِمُونَ
آیت ۲۹:۴۶ کھولیںaur ( musalmano ! ) ehal-e-kitab say behas naa kero , magar aesay tareeqay say jo behtareen ho , albatta unn mein say jo ziyadti keren , unn ki baat aur hai aur ( unn say ) yeh kaho kay : hum uss kitab per bhi emaan laye hain jo hum per nazil ki gaee hai , aur uss per bhi jo tum per nazil ki gaee thi , aur humara khuda aur tumhara khuda aik hai , aur hum ussi kay farmanbardaar hain .
وَكَذَٰلِكَ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَۚ فَٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ يُؤۡمِنُونَ بِهِۦۖ وَمِنۡ هَٰٓؤُلَآءِ مَن يُؤۡمِنُ بِهِۦۚ وَمَا يَجۡحَدُ بِـَٔايَٰتِنَآ إِلَّا ٱلۡكَٰفِرُونَ
آیت ۲۹:۴۷ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) issi tarah hum ney tum per kitab nazil ki hai , iss liye jinn logon ko hum ney kitab di hai , woh iss per emaan latay hain , aur inn ( butt paraston ) mein say bhi kuch log hain jo iss per emaan laarahey hain , aur humari aayaton ka inkar sirf wohi log kertay hain jo kafir hain .
وَمَا كُنتَ تَتۡلُواْ مِن قَبۡلِهِۦ مِن كِتَٰبٖ وَلَا تَخُطُّهُۥ بِيَمِينِكَۖ إِذٗا لَّٱرۡتَابَ ٱلۡمُبۡطِلُونَ
آیت ۲۹:۴۸ کھولیںaur tum iss say pehlay naa koi kitab parhtay thay , aur naa koi kitab apney haath say likhtay thay . agar aisa hota to batil walay meen meekh nikal saktay thay .
بَلۡ هُوَ ءَايَٰتُۢ بَيِّنَٰتٞ فِي صُدُورِ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَۚ وَمَا يَجۡحَدُ بِـَٔايَٰتِنَآ إِلَّا ٱلظَّٰلِمُونَ
آیت ۲۹:۴۹ کھولیںhaqeeqat to yeh hai kay yeh Quran aesi nishaniyon ka majmooa hai jo unn logon kay seenon mein bilkul wazeh hain jinhen ilm ata kiya gaya hai , aur humari aayaton ka inkar sirf wohi log kertay hain jo zalim hain .
وَقَالُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ ءَايَٰتٞ مِّن رَّبِّهِۦۚ قُلۡ إِنَّمَا ٱلۡأٓيَٰتُ عِندَ ٱللَّهِ وَإِنَّمَآ أَنَا۠ نَذِيرٞ مُّبِينٌ
آیت ۲۹:۵۰ کھولیںaur yeh log kehtay hain kay : inn ( payghumber SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam ) per inn kay perwerdigar ki taraf say nishaniyan kiyon nahi utaari gaeen-? ( aey payghumber ! inn say ) keh do kay : nishaniyan sirf Allah kay paas hain , aur mein to aik wazeh tor per khabrdar kernay wala hun .
أَوَلَمۡ يَكۡفِهِمۡ أَنَّآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ يُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَرَحۡمَةٗ وَذِكۡرَىٰ لِقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
آیت ۲۹:۵۱ کھولیںbhala kiya inn/unn kay liye yeh ( nishani ) kafi nahi hai kay hum ney tum per kitab utaari hai jo inn/unn ko parh ker sunai jarahi hai-? yaqeenan iss/uss mein inn/unn logon kay liye bari rehmat aur naseehat hai jo manney walay hon .
قُلۡ كَفَىٰ بِٱللَّهِ بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡ شَهِيدٗاۖ يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱلۡبَٰطِلِ وَكَفَرُواْ بِٱللَّهِ أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
آیت ۲۹:۵۲ کھولیںkeh do kay : meray aur tumharay darmiyan gawahi denay kay liye Allah kafi hai , ussay unn tamam cheezon ka ilm hai jo aasmano aur zameen mein mojood hain . aur jo log batil per emaan laye hain , aur Allah ka inkar kiya hai , wohi hain jo sakht nuqsan uthaney walay hain .
وَيَسۡتَعۡجِلُونَكَ بِٱلۡعَذَابِ وَلَوۡلَآ أَجَلٞ مُّسَمّٗى لَّجَآءَهُمُ ٱلۡعَذَابُۚ وَلَيَأۡتِيَنَّهُم بَغۡتَةٗ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ
آیت ۲۹:۵۳ کھولیںaur yeh log tum say azab ki jaldi macha rahey hain . agar ( azab ka ) aik moyyan waqt naa hota to inn per zaroor azab aajata , aur woh aaye ga zaroor ( magar ) itna achanak kay inn ko pata bhi nahi chalay ga .
يَسۡتَعۡجِلُونَكَ بِٱلۡعَذَابِ وَإِنَّ جَهَنَّمَ لَمُحِيطَةُۢ بِٱلۡكَٰفِرِينَ
آیت ۲۹:۵۴ کھولیںyeh tum say azab ki jaldi macha rahey hain , aur yaqeenan jahannum kafiron ko gheray mein ley ley gi ,
يَوۡمَ يَغۡشَىٰهُمُ ٱلۡعَذَابُ مِن فَوۡقِهِمۡ وَمِن تَحۡتِ أَرۡجُلِهِمۡ وَيَقُولُ ذُوقُواْ مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
آیت ۲۹:۵۵ کھولیںuss din jab azab unn per oopper say bhi chah jaye ga , aur inn kay paon kay neechay say bhi , aur kahey ga kay : chakho unn kamon ka maza jo tum kiya kertay thay .
يَٰعِبَادِيَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِنَّ أَرۡضِي وَٰسِعَةٞ فَإِيَّٰيَ فَٱعۡبُدُونِ
آیت ۲۹:۵۶ کھولیںaey meray bando jo emaan laa-chukay ho ! yaqeen jano meri zameen boht wasee hai , lehaza khalis meri ibadat kero .
كُلُّ نَفۡسٖ ذَآئِقَةُ ٱلۡمَوۡتِۖ ثُمَّ إِلَيۡنَا تُرۡجَعُونَ
آیت ۲۹:۵۷ کھولیںher mutanaffas ko moat ka zaiqa chakhna hai , phir humari hi taraf tum sabb ko wapis laya jaye ga .
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ لَنُبَوِّئَنَّهُم مِّنَ ٱلۡجَنَّةِ غُرَفٗا تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ نِعۡمَ أَجۡرُ ٱلۡعَٰمِلِينَ
آیت ۲۹:۵۸ کھولیںaur jo log emaan laye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , unn ko hum zaroor jannat kay aesay bala-khano mein abad keren gay jinn kay neechay nehren behti hon gi , jahan woh hamesha hamesha rahen gay . behtareen ajar hai inn amal kernay walon ka ,
ٱلَّذِينَ صَبَرُواْ وَعَلَىٰ رَبِّهِمۡ يَتَوَكَّلُونَ
آیت ۲۹:۵۹ کھولیںjinhon ney sabar say kaam liya , aur jo apney perwerdigar per bharosa kertay hain .
وَكَأَيِّن مِّن دَآبَّةٖ لَّا تَحۡمِلُ رِزۡقَهَا ٱللَّهُ يَرۡزُقُهَا وَإِيَّاكُمۡۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
آیت ۲۹:۶۰ کھولیںaur kitney janwer hain jo apna rizq uthaye nahi phirtay ! Allah unhen bhi rizq deta hai , aur tumhen bhi , aur wohi hai jo her baat sunta , her cheez janta hai .
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۖ فَأَنَّىٰ يُؤۡفَكُونَ
آیت ۲۹:۶۱ کھولیںaur agar tum unn say poocho kay : kon hai jiss ney aasmano aur zameen ko peda kiya , aur sooraj aur chaand ko kaam per lagaya-? to woh zaroor yeh kahen gay kay : Allah ! phir aakhir yeh log kahan say ondhay chal parrtay hain-?
ٱللَّهُ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦ وَيَقۡدِرُ لَهُۥٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
آیت ۲۹:۶۲ کھولیںAllah apney bandon mein say jiss kay liye chahta hai , rizq mein kushadgi ker deta hai , aur jiss kay liye chahta hai , tangi ker deta hai , yaqeenan Allah her cheez ka mukammal ilm rakhta hai .
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّن نَّزَّلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَحۡيَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ مِنۢ بَعۡدِ مَوۡتِهَا لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۚ قُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡقِلُونَ
آیت ۲۹:۶۳ کھولیںaur agar tum inn say poocho kay : kon hai jiss ney aasman say paani barsaya , phir uss kay zariye zameen kay murda honey kay baad ussay zindagi baskshi-? to woh zaroor yeh kahen gay kay : Allah ! kaho : Alhamdulillah ! lekin unn mein say aksar log aqal say kaam nahi letay .
وَمَا هَٰذِهِ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَآ إِلَّا لَهۡوٞ وَلَعِبٞۚ وَإِنَّ ٱلدَّارَ ٱلۡأٓخِرَةَ لَهِيَ ٱلۡحَيَوَانُۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ
آیت ۲۹:۶۴ کھولیںaur yeh dunyawi zindagi khel kood kay siwa kuch bhi nahi , aur haqeeqat yeh hai kay daar-e-aakhirat hi asal zindagi hai , agar yeh log jantay hotay !
فَإِذَا رَكِبُواْ فِي ٱلۡفُلۡكِ دَعَوُاْ ٱللَّهَ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَ فَلَمَّا نَجَّىٰهُمۡ إِلَى ٱلۡبَرِّ إِذَا هُمۡ يُشۡرِكُونَ
آیت ۲۹:۶۵ کھولیںchunacheh jab yeh kashti mein sawar hotay hain to Allah ko iss tarah pukartay hain kay unn ka aetiqaad khalis ussi per hota hai . phir jab woh unhen bacha ker khushki per ley aata hai to foran shirk kernay lagtay hain .
لِيَكۡفُرُواْ بِمَآ ءَاتَيۡنَٰهُمۡ وَلِيَتَمَتَّعُواْۚ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ
آیت ۲۹:۶۶ کھولیںkerlen yeh log nashukri uss naimat ki jo hum ney unn ko di hai , aur uralen kuch mazay ! phir woh waqt door nahi jab enhen sabb pata chal jaye ga .
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا جَعَلۡنَا حَرَمًا ءَامِنٗا وَيُتَخَطَّفُ ٱلنَّاسُ مِنۡ حَوۡلِهِمۡۚ أَفَبِٱلۡبَٰطِلِ يُؤۡمِنُونَ وَبِنِعۡمَةِ ٱللَّهِ يَكۡفُرُونَ
آیت ۲۹:۶۷ کھولیںbhala kiya enhon ney yeh nahi dekha kay hum ney ( inn kay shehar ko ) aik pur-aman haram bana diya hai , jabkay inn kay ird-gird logon ka haal yeh hai kay unhen uchak liya jata hai . kiya phir bhi yeh batil per emaan latay hain , aur Allah ki naimat ki nashukri kertay hain-?
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ كَذَّبَ بِٱلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَهُۥٓۚ أَلَيۡسَ فِي جَهَنَّمَ مَثۡوٗى لِّلۡكَٰفِرِينَ
آیت ۲۹:۶۸ کھولیںaur uss shaks say bara zalim kon hoga jo Allah per jhoota bohtan baandhay , ya jab uss kay paas haq ki baat phonchay to woh ussay jhutlaye-? kiya jahannum mein ( aesay ) kafiron ka thikana nahi hoga-?
وَٱلَّذِينَ جَٰهَدُواْ فِينَا لَنَهۡدِيَنَّهُمۡ سُبُلَنَاۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَمَعَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۲۹:۶۹ کھولیںaur jinn logon ney humari khatir koshish ki hai , hum unhen zaroor bil-zaroor apney raaston per phonchayen gay , aur yaqeenan Allah naiki kernay walon kay sath hai .