الروم

Ar-Room

سورت ۳۰ · آیات: ۶۰ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. Alif-Laam-Meem

  2. غُلِبَتِ ٱلرُّومُ

    آیت ⁦۳۰:۲⁩ کھولیں

    romi log qareeb ki sarzameen mein maghloob hogaye hain ,

  3. فِيٓ أَدۡنَى ٱلۡأَرۡضِ وَهُم مِّنۢ بَعۡدِ غَلَبِهِمۡ سَيَغۡلِبُونَ

    آیت ⁦۳۰:۳⁩ کھولیں

    aur woh apney maghloob honey kay baad unqareeb ghalib aajayen gay .

  4. فِي بِضۡعِ سِنِينَۗ لِلَّهِ ٱلۡأَمۡرُ مِن قَبۡلُ وَمِنۢ بَعۡدُۚ وَيَوۡمَئِذٖ يَفۡرَحُ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۳۰:۴⁩ کھولیں

    chand hi salon mein ! sara ikhtiyar Allah hi ka hai , pehlay bhi aur baad mein bhi . aur uss din emaan walay Allah ki di hoi fatah say khush hon gay .

  5. بِنَصۡرِ ٱللَّهِۚ يَنصُرُ مَن يَشَآءُۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ

    آیت ⁦۳۰:۵⁩ کھولیں

    woh jiss ko chahta hai , fatah deta hai , aur wohi sahab-e-iqtidar bhi hai , bara meharban bhi .

  6. وَعۡدَ ٱللَّهِۖ لَا يُخۡلِفُ ٱللَّهُ وَعۡدَهُۥ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۳۰:۶⁩ کھولیں

    yeh Allah ka kiya huwa wada hai . Allah apney waday kay khilaf nahi kerta , lekin aksar log nahi jantay .

  7. يَعۡلَمُونَ ظَٰهِرٗا مِّنَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَهُمۡ عَنِ ٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ غَٰفِلُونَ

    آیت ⁦۳۰:۷⁩ کھولیں

    woh dunyawi zindagi kay sirf zahiri rukh ko jantay hain , aur aakhirat kay baaray mein unn ka haal yeh hai kay woh uss say bilkul ghafil hain .

  8. أَوَلَمۡ يَتَفَكَّرُواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۗ مَّا خَلَقَ ٱللَّهُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَآ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَأَجَلٖ مُّسَمّٗىۗ وَإِنَّ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلنَّاسِ بِلِقَآيِٕ رَبِّهِمۡ لَكَٰفِرُونَ

    آیت ⁦۳۰:۸⁩ کھولیں

    bhala kiya enhon ney apney dilon mein ghor nahi kiya-? Allah ney aasmano aur zameen ko aur unn kay darmiyan pai janey wali cheezon ko baghair kissi bar-haq maqsad kay aur koi miyaad muqarrar kiye baghair peda nahi kerdiya aur boht say log hain kay apney perwerdigar say jaa milney kay munkir hain .

  9. أَوَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَانُوٓاْ أَشَدَّ مِنۡهُمۡ قُوَّةٗ وَأَثَارُواْ ٱلۡأَرۡضَ وَعَمَرُوهَآ أَكۡثَرَ مِمَّا عَمَرُوهَا وَجَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِۖ فَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيَظۡلِمَهُمۡ وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ

    آیت ⁦۳۰:۹⁩ کھولیں

    kiya yeh log zameen mein chalay phiray nahi hain , takay woh yeh dekhtay kay unn say pehlay jo log thay , unn ka anjam kaisa huwa-? woh taqat mein inn say ziyada mazboot thay , aur unhon ney zameen ko bhi jota tha , aur jitna inn logon ney ussay abad kiya hai , uss say ziyada unhon ney uss ko abad kiya tha , aur unn kay paas unn kay payghumber khulay khulay dalaeel ley ker aaye thay ! chunacheh Allah to aisa nahi tha kay unn per zulm keray , lekin woh khud apni janon per zulm kertay rahey .

  10. ثُمَّ كَانَ عَٰقِبَةَ ٱلَّذِينَ أَسَٰٓـُٔواْ ٱلسُّوٓأَىٰٓ أَن كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَكَانُواْ بِهَا يَسۡتَهۡزِءُونَ 

    آیت ⁦۳۰:۱۰⁩ کھولیں

    phir jinn logon ney burai ki thi , unn ka anjam bhi bura hi huwa , kiyonkay unhon ney Allah ki aayaton ko jhutlaya tha , aur woh unn ka mazaq uraya kertay thay .

  11. ٱللَّهُ يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥ ثُمَّ إِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ

    آیت ⁦۳۰:۱۱⁩ کھولیں

    Allah hi makhlooq ki ibtida kerta hai , aur wohi uss ko dobara peda keray ga , phir tum sabb uss kay paas wapis bula liye jao gay .

  12. وَيَوۡمَ تَقُومُ ٱلسَّاعَةُ يُبۡلِسُ ٱلۡمُجۡرِمُونَ

    آیت ⁦۳۰:۱۲⁩ کھولیں

    aur jiss din qayamat barpa hogi , uss roz mujrim log na-umeed hojayen gay .

  13. وَلَمۡ يَكُن لَّهُم مِّن شُرَكَآئِهِمۡ شُفَعَٰٓؤُاْ وَكَانُواْ بِشُرَكَآئِهِمۡ كَٰفِرِينَ

    آیت ⁦۳۰:۱۳⁩ کھولیں

    aur unhon ney jinn ko Allah ka shareek maan rakha tha , unn mein say koi unn ka sirfarishi nahi hoga , aur khud yeh log apney maaney huye shareekon say munkir hojayen gay .

  14. وَيَوۡمَ تَقُومُ ٱلسَّاعَةُ يَوۡمَئِذٖ يَتَفَرَّقُونَ

    آیت ⁦۳۰:۱۴⁩ کھولیں

    aur jiss din qayamat barpa hogi , uss roz log mukhtalif qismon mein butt jayen gay .

  15. فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ فَهُمۡ فِي رَوۡضَةٖ يُحۡبَرُونَ

    آیت ⁦۳۰:۱۵⁩ کھولیں

    chunacheh jo log emaan laye thay , aur unhon ney naik amal kiye thay , unn ko to jannat mein aesi khushiyan di jayen gi jo unn kay chehron say phooti parr rahi hon gi .

  16. وَأَمَّا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَلِقَآيِٕ ٱلۡأٓخِرَةِ فَأُوْلَٰٓئِكَ فِي ٱلۡعَذَابِ مُحۡضَرُونَ

    آیت ⁦۳۰:۱۶⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney kufr apna liya tha aur humari aayaton ko aur aakhirat ka samna kernay ko jhutlaya tha , to aesay logon ko azab mein dhar liya jaye ga .

  17. فَسُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ حِينَ تُمۡسُونَ وَحِينَ تُصۡبِحُونَ

    آیت ⁦۳۰:۱۷⁩ کھولیں

    lehaza Allah ki tasbeeh kero uss waqt bhi jab tumharay paas shaam aati hai , aur uss waqt bhi jab tum per subha tuloo hoti hai ,

  18. وَلَهُ ٱلۡحَمۡدُ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَعَشِيّٗا وَحِينَ تُظۡهِرُونَ

    آیت ⁦۳۰:۱۸⁩ کھولیں

    aur ussi ki hamd hoti hai aasmano mein bhi aur zameen mein bhi aur sooraj dhalney kay waqt bhi ( uss ki tasbeeh kero ) aur uss waqt bhi jab tum per zohar ka waqt aata hai .

  19. يُخۡرِجُ ٱلۡحَيَّ مِنَ ٱلۡمَيِّتِ وَيُخۡرِجُ ٱلۡمَيِّتَ مِنَ ٱلۡحَيِّ وَيُحۡيِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَاۚ وَكَذَٰلِكَ تُخۡرَجُونَ

    آیت ⁦۳۰:۱۹⁩ کھولیں

    woh jandaar ko bey jaan say nikal lata hai , aur bey jaan ko jandaar say nikal leta hai , aur woh zameen ko uss kay murda hojaney kay baad zindagi bakhshta hai . aur issi tarah tum ko ( qabron say ) nikal liya jaye ga .

  20. وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦٓ أَنۡ خَلَقَكُم مِّن تُرَابٖ ثُمَّ إِذَآ أَنتُم بَشَرٞ تَنتَشِرُونَ 

    آیت ⁦۳۰:۲۰⁩ کھولیں

    aur uss ki ( qudrat ki ) aik nishani yeh hai kay uss ney tum ko mitti say peda kiya , phir tum dekhtay hi dekhtay insan ban ker ( zameen mein ) phelay parray ho .

  21. وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦٓ أَنۡ خَلَقَ لَكُم مِّنۡ أَنفُسِكُمۡ أَزۡوَٰجٗا لِّتَسۡكُنُوٓاْ إِلَيۡهَا وَجَعَلَ بَيۡنَكُم مَّوَدَّةٗ وَرَحۡمَةًۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ

    آیت ⁦۳۰:۲۱⁩ کھولیں

    aur uss ki aik nishani yeh hai kay uss ney tumharay liye tum hi mein say biwiyan peda ken , takay tum unn kay paas jaker sukoon hasil kero , aur tumharay darmiyan mohabbat aur rehmat kay jazbaat rakh diye . yaqeenan iss mein unn logon kay liye bari nishaniyan hain jo ghor-o-fiker say kaam letay hain .

  22. وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦ خَلۡقُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَٱخۡتِلَٰفُ أَلۡسِنَتِكُمۡ وَأَلۡوَٰنِكُمۡۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّلۡعَٰلِمِينَ

    آیت ⁦۳۰:۲۲⁩ کھولیں

    aur uss ki nishaniyon ka aik hissa aasmano aur zameen ki pedaeesh aur tumhari zabanon aur rangon ka ikhtilaf bhi hai . yaqeenan iss mein danish mandon kay liye bari nishaniyan hain .

  23. وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦ مَنَامُكُم بِٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ وَٱبۡتِغَآؤُكُم مِّن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَسۡمَعُونَ

    آیت ⁦۳۰:۲۳⁩ کھولیں

    aur uss ki nishaniyon ka aik hissa tumhara raat aur din kay waqt sona aur Allah ka fazal talash kerna hai . yaqeenan iss mein unn logon kay liye bari nishaniyan hain jo baat suntay hon .

  24. وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦ يُرِيكُمُ ٱلۡبَرۡقَ خَوۡفٗا وَطَمَعٗا وَيُنَزِّلُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَيُحۡيِۦ بِهِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَآۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ

    آیت ⁦۳۰:۲۴⁩ کھولیں

    aur uss ki aik nishani yeh hai kay woh tumhen bijli ki chamak dikhata hai jiss say darr bhi lagta hai , aur umeed bhi hoti hai , aur aasman say paani barsata hai , jiss kay zariye woh zameen ko uss kay murda hojaney kay baad zindagi bakhshta hai . yaqeenan iss mein unn logon kay liye bari nishaniyan hain jo aqal say kaam letay hain .

  25. وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦٓ أَن تَقُومَ ٱلسَّمَآءُ وَٱلۡأَرۡضُ بِأَمۡرِهِۦۚ ثُمَّ إِذَا دَعَاكُمۡ دَعۡوَةٗ مِّنَ ٱلۡأَرۡضِ إِذَآ أَنتُمۡ تَخۡرُجُونَ

    آیت ⁦۳۰:۲۵⁩ کھولیں

    aur uss ki aik nishani yeh hai kay aasman aur zameen uss kay hukum say qaeem hain . phir jab woh aik pukar dey ker tumhen zameen say bulaye ga to tum foran nikal parro gay .

  26. وَلَهُۥ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ كُلّٞ لَّهُۥ قَٰنِتُونَ

    آیت ⁦۳۰:۲۶⁩ کھولیں

    aur aasmano aur zameen mein jo bhi hain sabb ussi ki milkiyat hain . sabb ussi kay hukum kay tabey hain

  27. وَهُوَ ٱلَّذِي يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥ وَهُوَ أَهۡوَنُ عَلَيۡهِۚ وَلَهُ ٱلۡمَثَلُ ٱلۡأَعۡلَىٰ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ

    آیت ⁦۳۰:۲۷⁩ کھولیں

    aur wohi hai jo makhlooq ki ibtida kerta hai , phir ussay dobara peda keray ga , aur yeh kaam uss kay liye boht aasaan hai . aur ussi ki sabb say oonchi shaan hai , aasmano mein bhi aur zameen mein bhi , aur wohi hai jo iqtidar wala bhi hai , hikmat wala bhi .

  28. ضَرَبَ لَكُم مَّثَلٗا مِّنۡ أَنفُسِكُمۡۖ هَل لَّكُم مِّن مَّا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُم مِّن شُرَكَآءَ فِي مَا رَزَقۡنَٰكُمۡ فَأَنتُمۡ فِيهِ سَوَآءٞ تَخَافُونَهُمۡ كَخِيفَتِكُمۡ أَنفُسَكُمۡۚ كَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ

    آیت ⁦۳۰:۲۸⁩ کھولیں

    woh tumhen khud tumharay andar say aik misal deta hai . hum ney jo rizq tumhen diya hai , kiya tumharay ghulamon mein say koi uss mein tumhara shareek hai kay uss rizq mein tumhara darja unn kay barabar ho ( aur ) tum unn ghulamon say wesay hi dartay ho jaisay aapas mein aik doosray say dartay ho-? hum issi tarah dalaeel unn logon kay liye khol khol ker biyan kertay hain jo aqal say kaam len .

  29. بَلِ ٱتَّبَعَ ٱلَّذِينَ ظَلَمُوٓاْ أَهۡوَآءَهُم بِغَيۡرِ عِلۡمٖۖ فَمَن يَهۡدِي مَنۡ أَضَلَّ ٱللَّهُۖ وَمَا لَهُم مِّن نَّٰصِرِينَ

    آیت ⁦۳۰:۲۹⁩ کھولیں

    lekin zalim log kissi ilm kay baghair apni khuwaishaat kay peechay chal parray hain . abb uss shaks ko kon hidayat dey sakta hai jissay Allah ney gumrah kerdiya ho , aur aesay logon ka koi madadgaar nahi hoga .

  30. فَأَقِمۡ وَجۡهَكَ لِلدِّينِ حَنِيفٗاۚ فِطۡرَتَ ٱللَّهِ ٱلَّتِي فَطَرَ ٱلنَّاسَ عَلَيۡهَاۚ لَا تَبۡدِيلَ لِخَلۡقِ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ ٱلدِّينُ ٱلۡقَيِّمُ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ 

    آیت ⁦۳۰:۳۰⁩ کھولیں

    lehaza tum yak soo ho ker apna rukh iss deen ki taraf qaeem rakho . Allah ki banai hoi uss fitrat per chalo jiss per uss ney tamam logon ko peda kiya hai Allah ki takhleeq mein koi tabdeeli nahi laee jasakti , yehi bilkul seedha raasta hai , lekin aksar log nahi jantay

  31. ۞مُنِيبِينَ إِلَيۡهِ وَٱتَّقُوهُ وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَلَا تَكُونُواْ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ

    آیت ⁦۳۰:۳۱⁩ کھولیں

    . ( fitrat ki perwi ) iss tarah ( kero ) kay tum ney ussi ( Allah ) say lo laga rakhi ho , aur uss say dartay raho , aur namaz qaeem kero , aur unn logon kay sath shamil naa ho jo shirk ka irtikab kertay hain ,

  32. مِنَ ٱلَّذِينَ فَرَّقُواْ دِينَهُمۡ وَكَانُواْ شِيَعٗاۖ كُلُّ حِزۡبِۭ بِمَا لَدَيۡهِمۡ فَرِحُونَ

    آیت ⁦۳۰:۳۲⁩ کھولیں

    woh jinhon ney apney deen ko tukrray tukrray kerliya , aur mukhtalif firqon mein butt gaye . her giroh apney apney tareeqay per magan hai .

  33. وَإِذَا مَسَّ ٱلنَّاسَ ضُرّٞ دَعَوۡاْ رَبَّهُم مُّنِيبِينَ إِلَيۡهِ ثُمَّ إِذَآ أَذَاقَهُم مِّنۡهُ رَحۡمَةً إِذَا فَرِيقٞ مِّنۡهُم بِرَبِّهِمۡ يُشۡرِكُونَ

    آیت ⁦۳۰:۳۳⁩ کھولیں

    aur jab logon ko koi takleef choo jati hai to woh apney perwerdigar say lo laga ker ussi ko pukartay hain , phir jab woh apni taraf say unhen kissi rehmat ka zaiqa chakha deta hai , to unn mein say kuch log yakayak apney perwerdigar kay sath shirk kernay lagtay hain ,

  34. لِيَكۡفُرُواْ بِمَآ ءَاتَيۡنَٰهُمۡۚ فَتَمَتَّعُواْ فَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۳۰:۳۴⁩ کھولیں

    takay hum ney unhen jo kuch diya tha , uss ki nashukri keren . acha ! kuch mazay urra lo , phir woh waqt door nahi jab tumhen sabb pata chal jaye ga .

  35. أَمۡ أَنزَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ سُلۡطَٰنٗا فَهُوَ يَتَكَلَّمُ بِمَا كَانُواْ بِهِۦ يُشۡرِكُونَ

    آیت ⁦۳۰:۳۵⁩ کھولیں

    bhala kiya hum ney unn per koi aesi daleel nazil ki hai jo uss shirk ka irtikab kernay ko kehti ho jo yeh Allah kay sath kertay rahey hain-?

  36. وَإِذَآ أَذَقۡنَا ٱلنَّاسَ رَحۡمَةٗ فَرِحُواْ بِهَاۖ وَإِن تُصِبۡهُمۡ سَيِّئَةُۢ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيهِمۡ إِذَا هُمۡ يَقۡنَطُونَ

    آیت ⁦۳۰:۳۶⁩ کھولیں

    aur jab hum logon ko rehmat ka maza chakhatay hain to woh iss/uss per itra jatay hain , aur agar unhen khud apney haathon kay kartoot ki wajeh say koi burai phonch jaye to zara si dair mein woh mayyus honey lagtay hain .

  37. أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۳۰:۳۷⁩ کھولیں

    kiya unhon ney yeh nahi dekha kay Allah jiss kay liye chahta hai rizq kushada ker deta hai , aur ( jiss kay liye chahye ) tang ker deta hai . iss mein yaqeenan unn logon kay liye bari nishaniyan hain jo emaan layen .

  38. فَـَٔاتِ ذَا ٱلۡقُرۡبَىٰ حَقَّهُۥ وَٱلۡمِسۡكِينَ وَٱبۡنَ ٱلسَّبِيلِۚ ذَٰلِكَ خَيۡرٞ لِّلَّذِينَ يُرِيدُونَ وَجۡهَ ٱللَّهِۖ وَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ

    آیت ⁦۳۰:۳۸⁩ کھولیں

    lehaza tum rishta daar ko uss ka haq do , aur miskeen aur musafir ko bhi . jo log Allah ki khushnoodi chahtay hain , unn kay liye yeh behtar hai , aur wohi hain jo falah paaney walay hain .

  39. وَمَآ ءَاتَيۡتُم مِّن رِّبٗا لِّيَرۡبُوَاْ فِيٓ أَمۡوَٰلِ ٱلنَّاسِ فَلَا يَرۡبُواْ عِندَ ٱللَّهِۖ وَمَآ ءَاتَيۡتُم مِّن زَكَوٰةٖ تُرِيدُونَ وَجۡهَ ٱللَّهِ فَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُضۡعِفُونَ

    آیت ⁦۳۰:۳۹⁩ کھولیں

    aur yeh jo tum sood detay ho takay woh logon kay maal mein shamil ho ker barh jaye to woh Allah kay nazdeek barhta nahi hai , aur jo zakat tum Allah ki khushnoodi hasil kernay kay iraday say detay ho , to jo log bhi aisa kertay hain woh hain jo ( apney maal ko ) kaee guna barha letay hain .

  40. ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَكُمۡ ثُمَّ رَزَقَكُمۡ ثُمَّ يُمِيتُكُمۡ ثُمَّ يُحۡيِيكُمۡۖ هَلۡ مِن شُرَكَآئِكُم مَّن يَفۡعَلُ مِن ذَٰلِكُم مِّن شَيۡءٖۚ سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ 

    آیت ⁦۳۰:۴۰⁩ کھولیں

    Allah woh hai jiss ney tumhen peda kiya , phir uss ney tumhen rizq diya , phir woh tumhen moat deta hai , phir tumhen zinda keray ga . jinn ko tum ney Allah ka shareek maana huwa hai , kiya unn mein say koi hai jo inn mein say koi kaam kerta ho-? pak hai woh aur boht baala o bartar uss shirk say jiss ka irtikab yeh log kertay hain .

  41. ظَهَرَ ٱلۡفَسَادُ فِي ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِ بِمَا كَسَبَتۡ أَيۡدِي ٱلنَّاسِ لِيُذِيقَهُم بَعۡضَ ٱلَّذِي عَمِلُواْ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ

    آیت ⁦۳۰:۴۱⁩ کھولیں

    logon ney apney haathon jo kamai ki , uss ki wajeh say khushki aur tari mein fasad phela , takay unhon ney jo kaam kiye hain Allah unn mein say kuch ka maza unhen chakhaye , shayad woh baaz aajayen .

  42. قُلۡ سِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلُۚ كَانَ أَكۡثَرُهُم مُّشۡرِكِينَ

    آیت ⁦۳۰:۴۲⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! inn say ) kaho kay : zameen mein chal phir ker dekho kay jo log pehlay guzray hain , unn ka kaisa anjam huwa . unn mein say aksar mushrik thay .

  43. فَأَقِمۡ وَجۡهَكَ لِلدِّينِ ٱلۡقَيِّمِ مِن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَ يَوۡمٞ لَّا مَرَدَّ لَهُۥ مِنَ ٱللَّهِۖ يَوۡمَئِذٖ يَصَّدَّعُونَ

    آیت ⁦۳۰:۴۳⁩ کھولیں

    lehaza tum apna rukh sahih deen ki taraf qaeem rakho , qabal iss kay kay woh din aaye jiss kay talney ka Allah ki taraf say koi imkan nahi hai . uss din log alag alag hojayen gay .

  44. مَن كَفَرَ فَعَلَيۡهِ كُفۡرُهُۥۖ وَمَنۡ عَمِلَ صَٰلِحٗا فَلِأَنفُسِهِمۡ يَمۡهَدُونَ

    آیت ⁦۳۰:۴۴⁩ کھولیں

    jiss ney kufr kiya hai , uss ka kufr ussi per parray ga , aur jinn logon ney naik amal kiya hai , woh apney liye hi raasta bana rahey hain ,

  45. لِيَجۡزِيَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ مِن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلۡكَٰفِرِينَ

    آیت ⁦۳۰:۴۵⁩ کھولیں

    nateeja yeh kay Allah unn logon ko apney fazal say jaza dey ga jo emaan laye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain . yaqeenan Allah kafiron ko pasand nahi kerta .

  46. وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦٓ أَن يُرۡسِلَ ٱلرِّيَاحَ مُبَشِّرَٰتٖ وَلِيُذِيقَكُم مِّن رَّحۡمَتِهِۦ وَلِتَجۡرِيَ ٱلۡفُلۡكُ بِأَمۡرِهِۦ وَلِتَبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِهِۦ وَلَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ

    آیت ⁦۳۰:۴۶⁩ کھولیں

    aur uss ( Allah ki qudrat ) ki aik nishani yeh hai kay woh hawayen bhejta hai jo ( barish ki ) khushkhabri ley ker aati hain , aur iss liye bhejta hai takay tumhen apni rehmat ka kuch maza chakhaye , aur takay kashtiyan uss kay hukum say paani mein chalen , aur tum uss ka fazal talash kero , aur shukar ada kero .

  47. وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ رُسُلًا إِلَىٰ قَوۡمِهِمۡ فَجَآءُوهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَٱنتَقَمۡنَا مِنَ ٱلَّذِينَ أَجۡرَمُواْۖ وَكَانَ حَقًّا عَلَيۡنَا نَصۡرُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۳۰:۴۷⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) hum ney tum say pehlay bhi boht say payghumber unn ki qoamon kay paas bhejay , chunacheh woh unn kay paas khulay khulay dalaeel ley ker aaye . phir jinhon ney jaraeem ka irtikab kiya tha , hum ney unn say intiqam liya , aur hum ney yeh zimma daari li thi kay emaan walon ki madad keren .

  48. ٱللَّهُ ٱلَّذِي يُرۡسِلُ ٱلرِّيَٰحَ فَتُثِيرُ سَحَابٗا فَيَبۡسُطُهُۥ فِي ٱلسَّمَآءِ كَيۡفَ يَشَآءُ وَيَجۡعَلُهُۥ كِسَفٗا فَتَرَى ٱلۡوَدۡقَ يَخۡرُجُ مِنۡ خِلَٰلِهِۦۖ فَإِذَآ أَصَابَ بِهِۦ مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦٓ إِذَا هُمۡ يَسۡتَبۡشِرُونَ

    آیت ⁦۳۰:۴۸⁩ کھولیں

    Allah hi woh hai jo hawayen bhejta hai , chunacheh woh badal ko uthati hain , phir woh uss ( badal ) ko jiss tarah chahta hai , aasman mein phela deta hai , aur ussay kaee tehon ( wali ghata ) mein tabdeel ker deta hai . tab tum dekhtay ho kay uss kay darmiyan say barish baras rahi hai . chunacheh jab woh apney bandon mein say jinn ko chahta hai , woh barish phonchata hai to woh achanak khushi mananey lagtay hain ,

  49. وَإِن كَانُواْ مِن قَبۡلِ أَن يُنَزَّلَ عَلَيۡهِم مِّن قَبۡلِهِۦ لَمُبۡلِسِينَ

    آیت ⁦۳۰:۴۹⁩ کھولیں

    halankay iss say pehlay jab tak unn per barish nahi barsai gaee thi , woh na-umeed horahey thay .

  50. فَٱنظُرۡ إِلَىٰٓ ءَاثَٰرِ رَحۡمَتِ ٱللَّهِ كَيۡفَ يُحۡيِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَآۚ إِنَّ ذَٰلِكَ لَمُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ 

    آیت ⁦۳۰:۵۰⁩ کھولیں

    abb zara Allah ki rehmat kay asraat dekho kay woh zameen ko uss kay murda honey kay baad kiss tarah zindagi bakhshta hai ! haqeeqat yeh hai kay woh murdon ko zinda kernay wala hai , aur woh her cheez per poori tarah qadir hai .

  51. وَلَئِنۡ أَرۡسَلۡنَا رِيحٗا فَرَأَوۡهُ مُصۡفَرّٗا لَّظَلُّواْ مِنۢ بَعۡدِهِۦ يَكۡفُرُونَ

    آیت ⁦۳۰:۵۱⁩ کھولیں

    aur agar hum ( nuqsan deh ) hawa chala den jiss kay nateejay mein woh apney khet ko peela parra huwa dekhen to uss kay baad yeh nashukri kernay lagen .

  52. فَإِنَّكَ لَا تُسۡمِعُ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَلَا تُسۡمِعُ ٱلصُّمَّ ٱلدُّعَآءَ إِذَا وَلَّوۡاْ مُدۡبِرِينَ

    آیت ⁦۳۰:۵۲⁩ کھولیں

    gharz ( aey payghumber ! ) tum murdon ko apni baat nahi suna saktay , aur naa behron ko apni pukar suna saktay ho jab woh peeth pher ker jarahey hon ,

  53. وَمَآ أَنتَ بِهَٰدِ ٱلۡعُمۡيِ عَن ضَلَٰلَتِهِمۡۖ إِن تُسۡمِعُ إِلَّا مَن يُؤۡمِنُ بِـَٔايَٰتِنَا فَهُم مُّسۡلِمُونَ

    آیت ⁦۳۰:۵۳⁩ کھولیں

    aur naa tum andhon ko unn ki gumrahi say nikal ker raastay per daal saktay ho . tum to unhi logon ko apni baat suna saktay ho jo humari aayaton per emaan layen , phir farmanbardaar ban jayen .

  54. ۞ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَكُم مِّن ضَعۡفٖ ثُمَّ جَعَلَ مِنۢ بَعۡدِ ضَعۡفٖ قُوَّةٗ ثُمَّ جَعَلَ مِنۢ بَعۡدِ قُوَّةٖ ضَعۡفٗا وَشَيۡبَةٗۚ يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ وَهُوَ ٱلۡعَلِيمُ ٱلۡقَدِيرُ

    آیت ⁦۳۰:۵۴⁩ کھولیں

    Allah woh hai jiss ney tumhari takhleeq ki ibtida kamzori say ki , phir kamzori kay baad taqat ata farmaee , phir taqat kay baad ( dobara ) kamzori aur burhapa taari kerdiya . woh jo chahta hai , peda kerta hai , aur wohi hai jiss ka ilm bhi kamil hai , qudrat bhi kamil .

  55. وَيَوۡمَ تَقُومُ ٱلسَّاعَةُ يُقۡسِمُ ٱلۡمُجۡرِمُونَ مَا لَبِثُواْ غَيۡرَ سَاعَةٖۚ كَذَٰلِكَ كَانُواْ يُؤۡفَكُونَ

    آیت ⁦۳۰:۵۵⁩ کھولیں

    aur jiss din qayamat barpa hogi , uss din mujrim log qasam kha len gay kay woh ( barzakh mein ) aik gharri say ziyada nahi rahey . issi tarah ( duniya mein bhi ) woh ondhay chala kertay thay .

  56. وَقَالَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ وَٱلۡإِيمَٰنَ لَقَدۡ لَبِثۡتُمۡ فِي كِتَٰبِ ٱللَّهِ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡبَعۡثِۖ فَهَٰذَا يَوۡمُ ٱلۡبَعۡثِ وَلَٰكِنَّكُمۡ كُنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۳۰:۵۶⁩ کھولیں

    jinn logon ko ilm aur emaan ata kiya gaya hai , woh kahen gay kay : tum Allah ki likhi hoi taqdeer kay mutabiq hashar kay din tak ( barzakh mein ) parray rahey ho . abb yeh wohi hashar ka din hai , lekin tum log yaqeen nahi kertay thay .

  57. فَيَوۡمَئِذٖ لَّا يَنفَعُ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مَعۡذِرَتُهُمۡ وَلَا هُمۡ يُسۡتَعۡتَبُونَ

    آیت ⁦۳۰:۵۷⁩ کھولیں

    chunacheh jinn logon ney zulm ki raah apnai thi , uss din unn ki maazrat unhen koi faeeda nahi phonchaye gi , aur naa unn say yeh kaha jaye ga kay Allah ki narazi door kero .

  58. وَلَقَدۡ ضَرَبۡنَا لِلنَّاسِ فِي هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ مِن كُلِّ مَثَلٖۚ وَلَئِن جِئۡتَهُم بِـَٔايَةٖ لَّيَقُولَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا مُبۡطِلُونَ

    آیت ⁦۳۰:۵۸⁩ کھولیں

    aur haqeeqat yeh hai kay hum ney uss Quran mein logon ( ko samjhaney ) ki khatir her qisam ki baaten biyan ki hain . aur ( aey payghumber ! ) inn ka haal yeh hai kay tum inn kay paas koi bhi nishani ley aao , yeh kafir log phir bhi yehi kahen gay kay tum kuch bhi nahi , bilkul ghalat kaar ho .

  59. كَذَٰلِكَ يَطۡبَعُ ٱللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِ ٱلَّذِينَ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۳۰:۵۹⁩ کھولیں

    Allah issi tarah unn logon kay dilon per thappa laga deta hai jo samajh say kaam nahi letay .

  60. فَٱصۡبِرۡ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞۖ وَلَا يَسۡتَخِفَّنَّكَ ٱلَّذِينَ لَا يُوقِنُونَ 

    آیت ⁦۳۰:۶۰⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) tum sabar say kaam lo , yaqeen jano Allah ka wada sacha hai , aur aisa hergiz naa hona chahiye kay jo log yaqeen nahi kertay , unn ki wajeh say tum dhelay parr-jao .