لقمان
Luqman
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
الٓمٓ
آیت ۳۱:۱ کھولیںAlif-Laam-Meem .
تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡحَكِيمِ
آیت ۳۱:۲ کھولیںyeh uss hikmat wali kitab ki aayaten hain ,
هُدٗى وَرَحۡمَةٗ لِّلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۳۱:۳ کھولیںjo naik logon kay liye hidayat aur rehmat ban ker aai hai ,
ٱلَّذِينَ يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَيُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَهُم بِٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ يُوقِنُونَ
آیت ۳۱:۴ کھولیںwoh naik log jo namaz qaeem kertay hain , aur zakat ada-kertay hain , aur aakhirat ka poora yaqeen rakhtay hain .
أُوْلَٰٓئِكَ عَلَىٰ هُدٗى مِّن رَّبِّهِمۡۖ وَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
آیت ۳۱:۵ کھولیںwohi hain jo apney perwerdigar ki taraf say seedhay raastay per hain , aur wohi hain jo falah paaney walay hain .
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَشۡتَرِي لَهۡوَ ٱلۡحَدِيثِ لِيُضِلَّ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَيَتَّخِذَهَا هُزُوًاۚ أُوْلَٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ
آیت ۳۱:۶ کھولیںaur kuch log woh hain jo Allah say ghafil kernay wali baaton kay khareedaar bantay hain , takay unn kay zariye logon ko bey samjhay boojhay Allah kay raastay say bhatkayen , aur uss ka mazaq urayen . inn logon ko woh azab hoga jo zaleel ker kay rakh dey ga .
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِ ءَايَٰتُنَا وَلَّىٰ مُسۡتَكۡبِرٗا كَأَن لَّمۡ يَسۡمَعۡهَا كَأَنَّ فِيٓ أُذُنَيۡهِ وَقۡرٗاۖ فَبَشِّرۡهُ بِعَذَابٍ أَلِيمٍ
آیت ۳۱:۷ کھولیںaur jab aesay shaks kay samney humari aayaten parh ker sunai jati hain to woh pooray takabbur kay sath mun morr leta hai , jaisay unhen suna hi nahi , goya uss kay dono kanon mein behra-pann hai . lehaza uss ko aik dukh denay walay azab ki khushkhabri suna do .
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ لَهُمۡ جَنَّٰتُ ٱلنَّعِيمِ
آیت ۳۱:۸ کھولیںalbatta jo log emaan ley aaye , aur unhon ney naik amal kiye unn kay liye naimaton kay baaghaat hain ,
خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٗاۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
آیت ۳۱:۹ کھولیںjinn mein woh hamesha rahen gay . yeh Allah ka sacha wada hai , aur woh iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .
خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ بِغَيۡرِ عَمَدٖ تَرَوۡنَهَاۖ وَأَلۡقَىٰ فِي ٱلۡأَرۡضِ رَوَٰسِيَ أَن تَمِيدَ بِكُمۡ وَبَثَّ فِيهَا مِن كُلِّ دَآبَّةٖۚ وَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَنۢبَتۡنَا فِيهَا مِن كُلِّ زَوۡجٖ كَرِيمٍ
آیت ۳۱:۱۰ کھولیںuss ney aasmano ko aesay sutonon kay baghair peda kiya jo tumhen nazar aa-saken , aur zameen mein paharon kay langar daal diye hain , takay woh tumhen ley ker dagmagaye nahi , aur uss mein her qisam kay janwer phela diye hain . aur hum ney aasman say paani barsaya , phir uss ( zameen ) mein her qabil-e-qadar qisam ki nabataat ugayen .
هَٰذَا خَلۡقُ ٱللَّهِ فَأَرُونِي مَاذَا خَلَقَ ٱلَّذِينَ مِن دُونِهِۦۚ بَلِ ٱلظَّٰلِمُونَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
آیت ۳۱:۱۱ کھولیںyeh hai Allah ki takhleeq ! abb zara mujhay dikhao kay Allah kay siwa kissi ney kiya peda kiya-? baat darasal yeh hai kay yeh zalim log khuli gumrahi mein mubtala hain .
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا لُقۡمَٰنَ ٱلۡحِكۡمَةَ أَنِ ٱشۡكُرۡ لِلَّهِۚ وَمَن يَشۡكُرۡ فَإِنَّمَا يَشۡكُرُ لِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن كَفَرَ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَنِيٌّ حَمِيدٞ
آیت ۳۱:۱۲ کھولیںaur hum ney luqman ko danai ata ki thi , ( aur unn say kaha tha ) kay Allah ka shukar kertay raho . aur jo koi Allah ka shukar ada-kerta hai , woh khud apney faeeday kay liye shukar kerta hai , aur agar koi nashukri keray to Allah bara bey niaz hai , bazaat-e-khud qabil-e-tareef !
وَإِذۡ قَالَ لُقۡمَٰنُ لِٱبۡنِهِۦ وَهُوَ يَعِظُهُۥ يَٰبُنَيَّ لَا تُشۡرِكۡ بِٱللَّهِۖ إِنَّ ٱلشِّرۡكَ لَظُلۡمٌ عَظِيمٞ
آیت ۳۱:۱۳ کھولیںaur woh waqt yaad kero jab luqman ney apney betay ko naseehat kertay huye kaha tha kay : meray betay ! Allah kay sath shirk naa kerna . yaqeen jano shirk bara bhari zulm hai .
وَوَصَّيۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ بِوَٰلِدَيۡهِ حَمَلَتۡهُ أُمُّهُۥ وَهۡنًا عَلَىٰ وَهۡنٖ وَفِصَٰلُهُۥ فِي عَامَيۡنِ أَنِ ٱشۡكُرۡ لِي وَلِوَٰلِدَيۡكَ إِلَيَّ ٱلۡمَصِيرُ
آیت ۳۱:۱۴ کھولیںaur hum ney insan ko apney walaiden kay baaray mein yeh takeed ki hai ( kiyonkay ) uss ki maa ney ussay kamzori per kamzori bardasht ker kay pet mein rakha , aur do saal mein uss ka doodh chootta hai kay tum mera shukar ada kero , aur apney maa baap ka . meray paas hi ( tumhen ) loat ker aana hai .
وَإِن جَٰهَدَاكَ عَلَىٰٓ أَن تُشۡرِكَ بِي مَا لَيۡسَ لَكَ بِهِۦ عِلۡمٞ فَلَا تُطِعۡهُمَاۖ وَصَاحِبۡهُمَا فِي ٱلدُّنۡيَا مَعۡرُوفٗاۖ وَٱتَّبِعۡ سَبِيلَ مَنۡ أَنَابَ إِلَيَّۚ ثُمَّ إِلَيَّ مَرۡجِعُكُمۡ فَأُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
آیت ۳۱:۱۵ کھولیںaur agar woh tum per yeh zor daalen kay tum meray sath kissi ko ( khudai mein ) shareek qarar do jiss ki tumharay paas koi daleel nahi to unn ki baat matt maano , aur duniya mein unn kay sath bhalai say raho , aur aesay shaks ka raasta apnao jiss ney mujh say lo laga rakhi ho . phir tum sabb ko meray paas loat ker aana hai , uss waqt mein tumhen bataon ga kay tum kiya kertay rahey ho .
يَٰبُنَيَّ إِنَّهَآ إِن تَكُ مِثۡقَالَ حَبَّةٖ مِّنۡ خَرۡدَلٖ فَتَكُن فِي صَخۡرَةٍ أَوۡ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ أَوۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ يَأۡتِ بِهَا ٱللَّهُۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَطِيفٌ خَبِيرٞ
آیت ۳۱:۱۶ کھولیں. ( luqman ney yeh bhi kaha : ) beta ! agar koi cheez raai kay daney kay barabar bhi ho , aur woh kissi chatan mein ho , ya aasmano mein ya zameen mein , tab bhi Allah ussay hazir kerday ga . yaqeen jano Allah bara bareek-been , boht ba-khabar hai .
يَٰبُنَيَّ أَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ وَأۡمُرۡ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَٱنۡهَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَٱصۡبِرۡ عَلَىٰ مَآ أَصَابَكَۖ إِنَّ ذَٰلِكَ مِنۡ عَزۡمِ ٱلۡأُمُورِ
آیت ۳۱:۱۷ کھولیںbeta ! namaz qaeem kero , aur logon ko naiki ki talqeen kero , aur burai say roko , aur tumhen jo takleef paish aaye , uss per sabar kero . beyshak yeh bari himmat ka kaam hai .
وَلَا تُصَعِّرۡ خَدَّكَ لِلنَّاسِ وَلَا تَمۡشِ فِي ٱلۡأَرۡضِ مَرَحًاۖ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ كُلَّ مُخۡتَالٖ فَخُورٖ
آیت ۳۱:۱۸ کھولیںaur logon kay samney ( ghuroor say ) apney gaal matt phulao , aur zameen per itratay huye matt chalo . yaqeen jano Allah kissi itraney walay shekhi baaz ko pasand nahi kerta .
وَٱقۡصِدۡ فِي مَشۡيِكَ وَٱغۡضُضۡ مِن صَوۡتِكَۚ إِنَّ أَنكَرَ ٱلۡأَصۡوَٰتِ لَصَوۡتُ ٱلۡحَمِيرِ
آیت ۳۱:۱۹ کھولیںaur apni chaal mein aetidaal ikhtiyar kero , aur apni aawaz aahista rakho . beyshak sabb say buri aawaz gadhon ki aawaz hai .
أَلَمۡ تَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ سَخَّرَ لَكُم مَّا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَأَسۡبَغَ عَلَيۡكُمۡ نِعَمَهُۥ ظَٰهِرَةٗ وَبَاطِنَةٗۗ وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يُجَٰدِلُ فِي ٱللَّهِ بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَلَا هُدٗى وَلَا كِتَٰبٖ مُّنِيرٖ
آیت ۳۱:۲۰ کھولیںkiya tum logon ney yeh nahi dekha kay aasmano aur zameen mein jo kuch hai , ussay Allah ney tumharay kaam mein laga rakha hai , aur tum per apni zahiri aur batni naimaten poori poori nichawar ki hain-? phir bhi insanon mein say kuch log hain jo Allah kay baaray mein behasen kertay hain , jabkay unn kay paas naa koi ilm hai , naa hidayat hai , aur naa koi aesi kitab hai jo roshni dikhaye .
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱتَّبِعُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ قَالُواْ بَلۡ نَتَّبِعُ مَا وَجَدۡنَا عَلَيۡهِ ءَابَآءَنَآۚ أَوَلَوۡ كَانَ ٱلشَّيۡطَٰنُ يَدۡعُوهُمۡ إِلَىٰ عَذَابِ ٱلسَّعِيرِ
آیت ۳۱:۲۱ کھولیںaur jab unn say kaha jata hai kay : uss cheez ki ittaba kero jo Allah ney utaari hai to woh kehtay hain : nahi , balkay hum to uss tareeqay kay peechay chalen gay jiss per hum ney apney baap dadon ko paya hai . bhala agar shetan unn ( baap dadon ) ko bharakti aag kay azab ki taraf bulata raha ho , kiya tab bhi ( woh unhi kay peechay chalen gay-? )
۞وَمَن يُسۡلِمۡ وَجۡهَهُۥٓ إِلَى ٱللَّهِ وَهُوَ مُحۡسِنٞ فَقَدِ ٱسۡتَمۡسَكَ بِٱلۡعُرۡوَةِ ٱلۡوُثۡقَىٰۗ وَإِلَى ٱللَّهِ عَٰقِبَةُ ٱلۡأُمُورِ
آیت ۳۱:۲۲ کھولیںaur jo shaks farmanbardaar ban ker apna rukh Allah ki taraf kerday , aur naik amal kernay wala ho , to uss ney yaqeenan bara mazboot kunda thaam liya . aur tamam kamon ka aakhri anjam Allah hi kay hawalay hai .
وَمَن كَفَرَ فَلَا يَحۡزُنكَ كُفۡرُهُۥٓۚ إِلَيۡنَا مَرۡجِعُهُمۡ فَنُنَبِّئُهُم بِمَا عَمِلُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
آیت ۳۱:۲۳ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) jiss kissi ney kufr apna liya hai , tumhen uss ka kufr sadmay mein naa daalay . aakhir unhen humaray paas hi to loattna hai , phir hum unhen batayen gay kay unhon ney kiya kiya hai ? yaqeenan Allah seenon mein chupi hoi baaton ko bhi khoob janta hai .
نُمَتِّعُهُمۡ قَلِيلٗا ثُمَّ نَضۡطَرُّهُمۡ إِلَىٰ عَذَابٍ غَلِيظٖ
آیت ۳۱:۲۴ کھولیںhum unhen kuch mazay uraney ka moaqa dey rahey hain , phir hum unhen aik sakht azab ki taraf kheench kerlay jayen gay .
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۚ قُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
آیت ۳۱:۲۵ کھولیںaur agar tum unn say poocho kay woh kon hai jiss ney aasmano aur zameen ko peda kiya hai ? to woh zaroor yeh kahen gay kay : Allah ! kaho : Alhamdulillah ! iss kay bawajood unn mein say aksar log samajh say kaam nahi letay .
لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
آیت ۳۱:۲۶ کھولیںAllah hi ka hai jo kuch aasmano aur zameen mein hai , beyshak Allah hi hai jo sabb say bey niaz hai , bazaat-e-khud qabil-e-tareef .
وَلَوۡ أَنَّمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ مِن شَجَرَةٍ أَقۡلَٰمٞ وَٱلۡبَحۡرُ يَمُدُّهُۥ مِنۢ بَعۡدِهِۦ سَبۡعَةُ أَبۡحُرٖ مَّا نَفِدَتۡ كَلِمَٰتُ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
آیت ۳۱:۲۷ کھولیںaur zameen mein jitney darkht hain , agar woh qalam ban jayen , aur yeh jo samandar hai , uss kay ilawa saat samandar uss kay sath aur mil jayen , ( aur woh roshnai ban ker Allah ki sifaat likhen ) tab bhi Allah ki baaten khatam nahi hon gi . haqeeqat yeh hai kay Allah iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .
مَّا خَلۡقُكُمۡ وَلَا بَعۡثُكُمۡ إِلَّا كَنَفۡسٖ وَٰحِدَةٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعُۢ بَصِيرٌ
آیت ۳۱:۲۸ کھولیںtum sabb ko peda kerna aur dobara zinda kerna ( Allah kay liye ) aisa hi hai jaisay aik insan ko ( peda kerna aur dobara zinda kerna ) yaqeenan Allah her baat sunta , her cheez dekhta hai .
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَيُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِيٓ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗى وَأَنَّ ٱللَّهَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
آیت ۳۱:۲۹ کھولیںkiya tum ney nahi dekha kay Allah raat ko din mein dakhil ker deta hai , aur din ko raat mein dakhil ker deta hai , aur uss ney sooraj aur chaand ko kaam mein laga rakha hai kay her aik kissi mutayyan miyaad tak rawan dawan hai , aur ( kiya tumhen yeh maloom nahi ) kay Allah poori tarah ba-khabar hai kay tum kiya kertay ho-?
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡحَقُّ وَأَنَّ مَا يَدۡعُونَ مِن دُونِهِ ٱلۡبَٰطِلُ وَأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡعَلِيُّ ٱلۡكَبِيرُ
آیت ۳۱:۳۰ کھولیںyeh sabb kuch iss liye hai kay Allah hi ka wajood sacha hai , aur iss/uss kay siwa jinn ( maboodon ) ko yeh ( mushrik ) pukartay hain , woh bey buniyad hain , aur Allah hi woh hai jiss ki shaan boht oonchi hai , jiss ki zaat boht bari .
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱلۡفُلۡكَ تَجۡرِي فِي ٱلۡبَحۡرِ بِنِعۡمَتِ ٱللَّهِ لِيُرِيَكُم مِّنۡ ءَايَٰتِهِۦٓۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّكُلِّ صَبَّارٖ شَكُورٖ
آیت ۳۱:۳۱ کھولیںkiya tum ney nahi dekha kay kashtiyan samandar mein Allah ki meharbani say chalti hain , takay woh tumhen apni kuch nishaniyan dikhaye-? yaqeenan iss mein her uss shaks kay liye boht si nishaniyan hain jo sabar ka paka , aalaa darjay ka shukar guzaar ho .
وَإِذَا غَشِيَهُم مَّوۡجٞ كَٱلظُّلَلِ دَعَوُاْ ٱللَّهَ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَ فَلَمَّا نَجَّىٰهُمۡ إِلَى ٱلۡبَرِّ فَمِنۡهُم مُّقۡتَصِدٞۚ وَمَا يَجۡحَدُ بِـَٔايَٰتِنَآ إِلَّا كُلُّ خَتَّارٖ كَفُورٖ
آیت ۳۱:۳۲ کھولیںaur jab mojen sayebanon ki tarah unn per charh aati hain to woh Allah ko iss tarah pukartay hain kay uss waqt unn ka aetiqaad khalis ussi per hota hai . phir jab woh unn ko bacha ker khushki per ley aata hai to unn mein say kuch hain jo raah-e-raast per rehtay hain ( baqi phir shirk kernay lagtay hain ) aur humari aayaton ka inkar wohi shaks kerta hai jo paka bad-ehad , perlay darjay ka nashukra ho .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱتَّقُواْ رَبَّكُمۡ وَٱخۡشَوۡاْ يَوۡمٗا لَّا يَجۡزِي وَالِدٌ عَن وَلَدِهِۦ وَلَا مَوۡلُودٌ هُوَ جَازٍ عَن وَالِدِهِۦ شَيۡـًٔاۚ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞۖ فَلَا تَغُرَّنَّكُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا وَلَا يَغُرَّنَّكُم بِٱللَّهِ ٱلۡغَرُورُ
آیت ۳۱:۳۳ کھولیںaey logo ! apney perwerdigar ( ki narazi ) say bacho , aur daro uss din say jab koi baap apney betay kay kaam nahi aaye ga , aur naa kissi betay ki yeh majal hogi kay woh apney baap kay zara bhi kaam aajaye . yaqeen jano kay Allah ka wada sacha hai , iss liye aisa hergiz naa honey paye kay yeh dunyawi zindagi tumhen dhokay mein daal dey , aur aisa hergiz naa honey paye kay woh ( shetan ) tumhen Allah kay moamlay mein dhokay mein daal dey jo sabb say bara dhoka baaz hai .
إِنَّ ٱللَّهَ عِندَهُۥ عِلۡمُ ٱلسَّاعَةِ وَيُنَزِّلُ ٱلۡغَيۡثَ وَيَعۡلَمُ مَا فِي ٱلۡأَرۡحَامِۖ وَمَا تَدۡرِي نَفۡسٞ مَّاذَا تَكۡسِبُ غَدٗاۖ وَمَا تَدۡرِي نَفۡسُۢ بِأَيِّ أَرۡضٖ تَمُوتُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرُۢ
آیت ۳۱:۳۴ کھولیںyaqeenan ( qayamat ki ) gharri ka ilm Allah hi kay paas hai , wohi barish barsata hai , aur wohi janta hai kay maon kay pet mein kiya hai , aur kissi mutanaffas ko yeh pata nahi hai kay woh kal kiya kamaye ga , aur naa kissi mutanaffas ko yeh pata hai kay konsi zameen mein ussay moat aaye gi . beyshak Allah her cheez ka mukammal ilm rakhney wala , her baat say poori tarah ba-khabar hai .