يونس

Yunus

سورت ۱۰ · آیات: ۱۰۹ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. الٓرۚ تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡحَكِيمِ

    آیت ⁦۱۰:۱⁩ کھولیں

    Alif-Laam-Raa . yeh uss kitab ki aayaten hain jo hikmat say bhari hoi hai .

  2. أَكَانَ لِلنَّاسِ عَجَبًا أَنۡ أَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ رَجُلٖ مِّنۡهُمۡ أَنۡ أَنذِرِ ٱلنَّاسَ وَبَشِّرِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَنَّ لَهُمۡ قَدَمَ صِدۡقٍ عِندَ رَبِّهِمۡۗ قَالَ ٱلۡكَٰفِرُونَ إِنَّ هَٰذَا لَسَٰحِرٞ مُّبِينٌ

    آیت ⁦۱۰:۲⁩ کھولیں

    kiya logon kay liye yeh taajjub ki baat hai kay hum ney khud unhi mein kay aik shaks per wahi nazil ki hai kay : logon ko ( Allah ki khilaf warzi say ) darao , aur jo log emaan ley aaye hain , unn ko khushkhabri do kay unn kay rab kay nazdeek unn ka sahih maani mein bara paya hai . ( magar jab uss ney logon ko yeh paygham diya to ) kafiron ney kaha kay yeh to khula jadoogar hai .

  3. إِنَّ رَبَّكُمُ ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ يُدَبِّرُ ٱلۡأَمۡرَۖ مَا مِن شَفِيعٍ إِلَّا مِنۢ بَعۡدِ إِذۡنِهِۦۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡ فَٱعۡبُدُوهُۚ أَفَلَا تَذَكَّرُونَ

    آیت ⁦۱۰:۳⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay tumhara perwerdigar Allah hai jiss ney saray aasmano aur zameen ko cheh din mein peda kiya , phir uss ney arsh per iss tarah istawa farmaya kay woh her cheez ka intizam kerta hai . koi uss ki ijazat kay baghair ( uss kay samney ) kissi ki sifarish kernay wala nahi . wohi Allah hai tumhara perwerdigar ! lehaza uss ki ibadat kero . kiya tum phir bhi dhiyan nahi detay-?

  4. إِلَيۡهِ مَرۡجِعُكُمۡ جَمِيعٗاۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقًّاۚ إِنَّهُۥ يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥ لِيَجۡزِيَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ بِٱلۡقِسۡطِۚ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَهُمۡ شَرَابٞ مِّنۡ حَمِيمٖ وَعَذَابٌ أَلِيمُۢ بِمَا كَانُواْ يَكۡفُرُونَ

    آیت ⁦۱۰:۴⁩ کھولیں

    ussi ki taraf tum sabb ko loattna hai . yeh Allah ka sacha wada hai . yaqeenan sari makhlooq ko shuroo mein bhi wohi peda kerta hai , aur dobara bhi wohi peda keray ga , takay jo log emaan laye hain , aur jinhon ney naik amal kiye hain , unn ko insaf kay sath uss ka sila dey . aur jinhon ney kufr apna liya hai , unn-kay liye kholtay huye paani ka mashroob hai , aur dukh denay wala azab hai , kiyonkay woh haq ka inkar kertay thay .

  5. هُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ ٱلشَّمۡسَ ضِيَآءٗ وَٱلۡقَمَرَ نُورٗا وَقَدَّرَهُۥ مَنَازِلَ لِتَعۡلَمُواْ عَدَدَ ٱلسِّنِينَ وَٱلۡحِسَابَۚ مَا خَلَقَ ٱللَّهُ ذَٰلِكَ إِلَّا بِٱلۡحَقِّۚ يُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۱۰:۵⁩ کھولیں

    aur Allah wohi hai jiss ney sooraj ko sarapa roshni banaya , aur chaand ko sarapa noor , aur uss kay ( safar ) kay liye manzilen muqarrar kerden , takay tum barson ki ginti aur ( maheenon ka ) hisab maloom ker-sako-? . Allah ney yeh sabb kuch baghair kissi sahih maqsad kay peda nahi kerdiya . woh yeh nishaniyan unn logon kay liye khol khol ker biyan kerta hai jo samajh rakhtay hain .

  6. إِنَّ فِي ٱخۡتِلَٰفِ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ وَمَا خَلَقَ ٱللَّهُ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَّقُونَ

    آیت ⁦۱۰:۶⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay raat din kay aagay peechay aaney mein aur Allah ney aasmano aur zameen mein jo kuch peda kiya hai , uss mein unn logon kay liye bari nishaniyan hain jinn kay dil mein khuda ka khof ho .

  7. إِنَّ ٱلَّذِينَ لَا يَرۡجُونَ لِقَآءَنَا وَرَضُواْ بِٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَٱطۡمَأَنُّواْ بِهَا وَٱلَّذِينَ هُمۡ عَنۡ ءَايَٰتِنَا غَٰفِلُونَ

    آیت ⁦۱۰:۷⁩ کھولیں

    jo log hum say ( aakhirat mein ) aa-milney ki koi tawaqqo hi nahi rakhtay , aur dunyawi zindagi mein magan aur ussi per mutmaeen hogaye hain , aur jo humari nishaniyon say ghafil hain .

  8. أُوْلَٰٓئِكَ مَأۡوَىٰهُمُ ٱلنَّارُ بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ

    آیت ⁦۱۰:۸⁩ کھولیں

    unn ka thikana apney kartoot ki wajeh say dozakh hai .

  9. إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ يَهۡدِيهِمۡ رَبُّهُم بِإِيمَٰنِهِمۡۖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهِمُ ٱلۡأَنۡهَٰرُ فِي جَنَّٰتِ ٱلنَّعِيمِ

    آیت ⁦۱۰:۹⁩ کھولیں

    . ( doosri taraf ) jo log emaan laye hain , aur jinhon ney naik amal kiye hain , unn kay emaan ki wajeh say unn ka perwerdigar unhen uss manzil tak phonchaye ga kay naimaton say bharay baaghaat mein unn kay neechay say nehren behti hon gi .

  10. دَعۡوَىٰهُمۡ فِيهَا سُبۡحَٰنَكَ ٱللَّهُمَّ وَتَحِيَّتُهُمۡ فِيهَا سَلَٰمٞۚ وَءَاخِرُ دَعۡوَىٰهُمۡ أَنِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ 

    آیت ⁦۱۰:۱۰⁩ کھولیں

    uss mein ( dakhlay kay waqt ) unn ki pukar yeh hogi kay : ya Allah ! teri zaat her aeb say pak hai . " aur aik doosray kay khair maqdam kay liye jo lafz woh bolen gay , woh salam hoga , aur unn ki aakhri pukar yeh hogi kay: tamam tareefen Allah ki hain jo saray jahano ka perwerdigar hai . "

  11. ۞وَلَوۡ يُعَجِّلُ ٱللَّهُ لِلنَّاسِ ٱلشَّرَّ ٱسۡتِعۡجَالَهُم بِٱلۡخَيۡرِ لَقُضِيَ إِلَيۡهِمۡ أَجَلُهُمۡۖ فَنَذَرُ ٱلَّذِينَ لَا يَرۡجُونَ لِقَآءَنَا فِي طُغۡيَٰنِهِمۡ يَعۡمَهُونَ

    آیت ⁦۱۰:۱۱⁩ کھولیں

    aur agar Allah ( inn kafir ) logon ko burai ( yani azab ) ka nishana bananey mein bhi itni hi jaldi kerta jitni jaldi woh achaiyan maangney mein machatay hain to unn ki mohlat tamam kerdi gaee hoti . ( lekin aesi jald bazi humari hikmat kay khilaf hai ) lehaza jo log hum say ( aakhirat mein ) milney ki tawaqqo nahi rakhtay , hum unhen unn kay haal per chorr detay hain kay woh apni sarkashi mein bhataktay phiren .

  12. وَإِذَا مَسَّ ٱلۡإِنسَٰنَ ٱلضُّرُّ دَعَانَا لِجَنۢبِهِۦٓ أَوۡ قَاعِدًا أَوۡ قَآئِمٗا فَلَمَّا كَشَفۡنَا عَنۡهُ ضُرَّهُۥ مَرَّ كَأَن لَّمۡ يَدۡعُنَآ إِلَىٰ ضُرّٖ مَّسَّهُۥۚ كَذَٰلِكَ زُيِّنَ لِلۡمُسۡرِفِينَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۱۰:۱۲⁩ کھولیں

    aur jab insan ko koi takleef phonchti hai to woh letay bethay aur kharray huye ( her halat mein ) hamen pukarta hai . phir jab hum uss ki takleef door ker-detay hain , to iss tarah chal kharra hota hai jaisay kabhi apney aap ko phonchney wali kissi takleef mein hamen pukara hi naa tha . jo log hadd say guzar jatay hain , unhen apney kartoot issi tarah khushnuma maloom hotay hain .

  13. وَلَقَدۡ أَهۡلَكۡنَا ٱلۡقُرُونَ مِن قَبۡلِكُمۡ لَمَّا ظَلَمُواْ وَجَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَمَا كَانُواْ لِيُؤۡمِنُواْۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡمُجۡرِمِينَ

    آیت ⁦۱۰:۱۳⁩ کھولیں

    aur hum ney tum say pehlay ( kaee ) qoamon ko uss moaqa per halak kiya jab unhon ney zulm ka irtikab kiya tha , aur unn kay payghumber unn kay paas roshan dalaeel ley ker aaye thay , aur woh aesay naa thay kay emaan latay . aesay mujrim logon ko hum aisa hi badla detay hain .

  14. ثُمَّ جَعَلۡنَٰكُمۡ خَلَٰٓئِفَ فِي ٱلۡأَرۡضِ مِنۢ بَعۡدِهِمۡ لِنَنظُرَ كَيۡفَ تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۱۰:۱۴⁩ کھولیں

    phir hum ney unn kay baad zameen mein tum ko janasheen banaya hai takay yeh dekhen kay tum kaisay amal kertay ho-?

  15. وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَاتُنَا بَيِّنَٰتٖ قَالَ ٱلَّذِينَ لَا يَرۡجُونَ لِقَآءَنَا ٱئۡتِ بِقُرۡءَانٍ غَيۡرِ هَٰذَآ أَوۡ بَدِّلۡهُۚ قُلۡ مَا يَكُونُ لِيٓ أَنۡ أُبَدِّلَهُۥ مِن تِلۡقَآيِٕ نَفۡسِيٓۖ إِنۡ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّۖ إِنِّيٓ أَخَافُ إِنۡ عَصَيۡتُ رَبِّي عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ

    آیت ⁦۱۰:۱۵⁩ کھولیں

    aur woh log jo ( aakhirat mein ) hum say aa-milney ki tawaqqo nahi rakhtay jab unn kay samney humari aayaten parhi jati hain , jabkay woh bilkul wazeh hoti hain , to woh yeh kehtay hain kay : yeh nahi , koi aur Quran ley ker aao , ya iss mein tabdeeli kero . " ( aey payghumber ! ) unn say keh do kay : mujhay yeh haq nahi phonchta kay mein iss mein apni taraf say koi tabdeeli kerun . mein to kissi aur cheez ki nahi , sirf uss wahi ki perwi kerta hun jo mujh per nazil ki jati hai . agar kabhi mein apney rab ki nafarmani ker bethun to mujhay aik zabardast din kay azab ka khof hai .

  16. قُل لَّوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَا تَلَوۡتُهُۥ عَلَيۡكُمۡ وَلَآ أَدۡرَىٰكُم بِهِۦۖ فَقَدۡ لَبِثۡتُ فِيكُمۡ عُمُرٗا مِّن قَبۡلِهِۦٓۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ

    آیت ⁦۱۰:۱۶⁩ کھولیں

    keh do kay : agar Allah chahta to mein iss Quran ko tumharay samney naa parhta , aur naa Allah tumhen iss say waqif kerata . aakhir uss say pehlay bhi to mein aik umar tumharay darmiyan basar ker-chuka hun . kiya phir bhi tum aqal say kaam nahi letay ?

  17. فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ كَذَّبَ بِـَٔايَٰتِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلۡمُجۡرِمُونَ

    آیت ⁦۱۰:۱۷⁩ کھولیں

    phir uss shaks say bara zalim kon hoga jo Allah per jhoot bohtan baandhay , ya uss ki aayaton ko jhutlaye-? yaqeen rakho kay mujrim log falah nahi paatay . "

  18. وَيَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَضُرُّهُمۡ وَلَا يَنفَعُهُمۡ وَيَقُولُونَ هَٰٓؤُلَآءِ شُفَعَٰٓؤُنَا عِندَ ٱللَّهِۚ قُلۡ أَتُنَبِّـُٔونَ ٱللَّهَ بِمَا لَا يَعۡلَمُ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَلَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ

    آیت ⁦۱۰:۱۸⁩ کھولیں

    aur yeh log Allah ko chorr ker unn ( mann gharrat khudaon ) ki ibadat kertay hain jo naa inn ko koi nuqsan phoncha saktay hain , naa inn ko koi faeeda dey saktay hain , aur kehtay hain kay yeh Allah kay paas humari sifarish kernay walay hain . ( aey payghumber ! inn say ) kaho kay : kiya tum Allah ko uss cheez ki khabar dey rahey ho jiss ka koi wajood Allah kay ilm mein nahi hai , naa aasmano mein naa zameen mein-? " ( haqeeqat yeh hai kay ) Allah inn/unn ki mushrikana baaton say bilkul pak aur kahen baala o bartar hai .

  19. وَمَا كَانَ ٱلنَّاسُ إِلَّآ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ فَٱخۡتَلَفُواْۚ وَلَوۡلَا كَلِمَةٞ سَبَقَتۡ مِن رَّبِّكَ لَقُضِيَ بَيۡنَهُمۡ فِيمَا فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ

    آیت ⁦۱۰:۱۹⁩ کھولیں

    aur ( shuroo mein ) tamam insan kissi aur deen kay nahi , sirf aik hi deen kay qaeel thay . phir baad mein woh aapas mein ikhtilaf kerkay alag alag huye . aur agar tumharay perwerdigar ki taraf say aik baat pehlay say tey naa hochuki hoti to jiss moamlay mein yeh log ikhtilaf ker rahey hain , uss ka faisla ( duniya hi mein ) kerdiya jata .

  20. وَيَقُولُونَ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ ءَايَةٞ مِّن رَّبِّهِۦۖ فَقُلۡ إِنَّمَا ٱلۡغَيۡبُ لِلَّهِ فَٱنتَظِرُوٓاْ إِنِّي مَعَكُم مِّنَ ٱلۡمُنتَظِرِينَ 

    آیت ⁦۱۰:۲۰⁩ کھولیں

    aur yeh log kehtay hain kay : iss nabi per iss kay rab ki taraf say koi nishani kiyon nazil nahi ki gaee-? " to ( aey payghumber ! tum jawab mein ) keh do kay : ghaib ki baaten to sirf Allah kay ikhtiyar mein hain . lehaza tum intizar kero . mein bhi tumharay sath intizar kerta hun .

  21. وَإِذَآ أَذَقۡنَا ٱلنَّاسَ رَحۡمَةٗ مِّنۢ بَعۡدِ ضَرَّآءَ مَسَّتۡهُمۡ إِذَا لَهُم مَّكۡرٞ فِيٓ ءَايَاتِنَاۚ قُلِ ٱللَّهُ أَسۡرَعُ مَكۡرًاۚ إِنَّ رُسُلَنَا يَكۡتُبُونَ مَا تَمۡكُرُونَ

    آیت ⁦۱۰:۲۱⁩ کھولیں

    aur insanon ka haal yeh hai kay jab unn ko phonchney wali kissi takleef kay baad hum unn ko rehmat ka maza chakhatay hain to zara si dair mein woh humari nishaniyon kay baaray mein chaalbaazi shuroo ker-detay hain . keh do kay : Allah iss say bhi jaldi koi chaal chal sakta hai . yaqeenan humaray farishtay tumhari sari chaalbaaziyon ko likh rahey hain .

  22. هُوَ ٱلَّذِي يُسَيِّرُكُمۡ فِي ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِۖ حَتَّىٰٓ إِذَا كُنتُمۡ فِي ٱلۡفُلۡكِ وَجَرَيۡنَ بِهِم بِرِيحٖ طَيِّبَةٖ وَفَرِحُواْ بِهَا جَآءَتۡهَا رِيحٌ عَاصِفٞ وَجَآءَهُمُ ٱلۡمَوۡجُ مِن كُلِّ مَكَانٖ وَظَنُّوٓاْ أَنَّهُمۡ أُحِيطَ بِهِمۡ دَعَوُاْ ٱللَّهَ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَ لَئِنۡ أَنجَيۡتَنَا مِنۡ هَٰذِهِۦ لَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلشَّٰكِرِينَ

    آیت ⁦۱۰:۲۲⁩ کھولیں

    woh Allah hi to hai jo tumhen khushki mein bhi aur samandar mein bhi safar kerata hai , yahan tak kay jab tum kashtiyon mein sawar hotay ho , aur yeh kashtiyan logon ko ley ker khushgawar hawa kay sath paani per chalti hain , aur log iss baat per magan hotay hain to achanak unn kay paas aik tez aandhi aati hai , aur her taraf say unn per mojen uthti hain , aur woh yeh samajh letay hain kay woh her taraf say ghir gaye , to uss waqt woh khuloos kay sath sirf Allah per aetiqaad ker kay sirf ussi ko pukartay hain , ( aur kehtay hain kay : ) ( ya Allah ! ) agar tu ney hamen iss ( museebat say ) nijat dey di to hum zaroor bil-zaroor shukar guzaar logon mein shamil hojayen gay . "

  23. فَلَمَّآ أَنجَىٰهُمۡ إِذَا هُمۡ يَبۡغُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّۗ يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِنَّمَا بَغۡيُكُمۡ عَلَىٰٓ أَنفُسِكُمۖ مَّتَٰعَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ ثُمَّ إِلَيۡنَا مَرۡجِعُكُمۡ فَنُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۱۰:۲۳⁩ کھولیں

    lekin jab Allah unn ko nijat dey deta hai to ziyada dair nahi guzarti kay woh zameen mein nahaq sarkashi kernay lagtay hain . aray logo ! tumhari yeh sarkashi dar-haqeeqat khud tumharay apney khilaf par rahi hai . abb to dunyawi zindagi kay mazay urra lo , aakhir ko humaray paas hi tumhen loat ker aana hai . uss waqt hum tumhen batayen gay kay tum kiya kuch kertay rahey ho .

  24. إِنَّمَا مَثَلُ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا كَمَآءٍ أَنزَلۡنَٰهُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ فَٱخۡتَلَطَ بِهِۦ نَبَاتُ ٱلۡأَرۡضِ مِمَّا يَأۡكُلُ ٱلنَّاسُ وَٱلۡأَنۡعَٰمُ حَتَّىٰٓ إِذَآ أَخَذَتِ ٱلۡأَرۡضُ زُخۡرُفَهَا وَٱزَّيَّنَتۡ وَظَنَّ أَهۡلُهَآ أَنَّهُمۡ قَٰدِرُونَ عَلَيۡهَآ أَتَىٰهَآ أَمۡرُنَا لَيۡلًا أَوۡ نَهَارٗا فَجَعَلۡنَٰهَا حَصِيدٗا كَأَن لَّمۡ تَغۡنَ بِٱلۡأَمۡسِۚ كَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ

    آیت ⁦۱۰:۲۴⁩ کھولیں

    dunyawi zindagi ki misal to kuch aesi hai jaisay hum ney aasman say paani barsaya jiss ki wajeh say zameen say ugney wali woh cheezen khoob ghani hogaeen jo insan aur maweshi khatay hain , yahan tak kay jab zameen ney apna yeh zewar pehan liya , aur singhaar ker kay khushnuma hogaee , aur uss kay malik samajhney lagay kay bus abb yeh poori tarah unn kay qaboo mein hai , to kissi raat ya din kay waqt humara hukum aagaya ( kay uss per koi aafat aajaye ) , aur hum ney uss ko katti hoi kheti ki sapaat zameen mein iss tarah tabdeel kerdiya jaisay kal woh thi hi nahi . issi tarah hum nishaniyon ko unn logon kay liye khol khol ker biyan kertay hain jo ghor-o-fiker say kaam letay hain .

  25. وَٱللَّهُ يَدۡعُوٓاْ إِلَىٰ دَارِ ٱلسَّلَٰمِ وَيَهۡدِي مَن يَشَآءُ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ

    آیت ⁦۱۰:۲۵⁩ کھولیں

    aur Allah logon ko salamti kay ghar ki taraf dawat deta hai , aur jiss ko chahta hai seedhay raastay tak phoncha deta hai .

  26. ۞لِّلَّذِينَ أَحۡسَنُواْ ٱلۡحُسۡنَىٰ وَزِيَادَةٞۖ وَلَا يَرۡهَقُ وُجُوهَهُمۡ قَتَرٞ وَلَا ذِلَّةٌۚ أُوْلَٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ

    آیت ⁦۱۰:۲۶⁩ کھولیں

    jinn logon ney behtar kaam kiye hain , behtareen halat unhi kay liye hai aur uss say barh ker kuch aur bhi ! neez unn kay chehron per naa kabhi siyahi chaye gi , naa zillat . woh jannat kay baasi hain ! woh uss mein hamesha rahen gay .

  27. وَٱلَّذِينَ كَسَبُواْ ٱلسَّيِّـَٔاتِ جَزَآءُ سَيِّئَةِۭ بِمِثۡلِهَا وَتَرۡهَقُهُمۡ ذِلَّةٞۖ مَّا لَهُم مِّنَ ٱللَّهِ مِنۡ عَاصِمٖۖ كَأَنَّمَآ أُغۡشِيَتۡ وُجُوهُهُمۡ قِطَعٗا مِّنَ ٱلَّيۡلِ مُظۡلِمًاۚ أُوْلَٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ

    آیت ⁦۱۰:۲۷⁩ کھولیں

    rahey woh log jinhon ney buraiyan kamai hain , to ( unn ki ) burai ka badla ussi jaisa bura hoga . aur unn per zillat chai hoi hogi , Allah ( kay azab ) say unhen koi bachaney wala nahi hoga . aisa lagay ga jaisay unn kay chehron per andheri raat ki tehen charrhadi gaee hain . woh dozakh kay baasi hain . woh uss mein hamesha rahen gay .

  28. وَيَوۡمَ نَحۡشُرُهُمۡ جَمِيعٗا ثُمَّ نَقُولُ لِلَّذِينَ أَشۡرَكُواْ مَكَانَكُمۡ أَنتُمۡ وَشُرَكَآؤُكُمۡۚ فَزَيَّلۡنَا بَيۡنَهُمۡۖ وَقَالَ شُرَكَآؤُهُم مَّا كُنتُمۡ إِيَّانَا تَعۡبُدُونَ

    آیت ⁦۱۰:۲۸⁩ کھولیں

    aur ( yaad rakho ) woh din jab hum unn sabb ko ikattha keren gay , phir jinn logon ney shirk kiya tha , unn say kahen gay kay : zara apni jagah thehrao , tum bhi aur woh bhi jinn ko tum ney Allah ka shareek maana tha ! phir unn kay darmiyan ( abid aur mabood ka ) jo rishta tha , hum woh khatam kerden gay , aur unn kay woh shareek kahen gay kay : tum humari ibadat to nahi kertay thay

  29. فَكَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدَۢا بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمۡ إِن كُنَّا عَنۡ عِبَادَتِكُمۡ لَغَٰفِلِينَ

    آیت ⁦۱۰:۲۹⁩ کھولیں

    humaray aur tumharay darmiyan Allah gawah banney kay liye kafi hai ( kay ) hum tumhari ibadat say bilkul bey khabar thay . "

  30. هُنَالِكَ تَبۡلُواْ كُلُّ نَفۡسٖ مَّآ أَسۡلَفَتۡۚ وَرُدُّوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ مَوۡلَىٰهُمُ ٱلۡحَقِّۖ وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ 

    آیت ⁦۱۰:۳۰⁩ کھولیں

    her shaks ney mazi mein jo kuch kiya hoga , uss moaqa per woh khud uss ko parakh ley ga , aur sabb ko Allah ki taraf loata diya jaye ga jo inn/unn ka malik-e-haqeeqi hai , aur jo jhoot unhon ney tarash rakhay thay , unn ka koi suragh unhen nahi milay ga .

  31. قُلۡ مَن يَرۡزُقُكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِ أَمَّن يَمۡلِكُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَٰرَ وَمَن يُخۡرِجُ ٱلۡحَيَّ مِنَ ٱلۡمَيِّتِ وَيُخۡرِجُ ٱلۡمَيِّتَ مِنَ ٱلۡحَيِّ وَمَن يُدَبِّرُ ٱلۡأَمۡرَۚ فَسَيَقُولُونَ ٱللَّهُۚ فَقُلۡ أَفَلَا تَتَّقُونَ

    آیت ⁦۱۰:۳۱⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! inn mushrikon say ) kaho kay : kon hai jo tumhen aasman aur zameen say rizq phonchata hai-? ya bhala kon hai jo sunney aur dekhney ki quooaton ka malik hai-? aur kon hai jo jandaar ko bey jaan say aur bey jaan ko jandaar say bahir nikal lata hai-? aur kon hai jo her kaam ka intizam kerta hai-? " to yeh log kahen gay kay : Allah ! to tum inn say kaho kay : kiya phir bhi tum Allah say nahi dartay-?

  32. فَذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمُ ٱلۡحَقُّۖ فَمَاذَا بَعۡدَ ٱلۡحَقِّ إِلَّا ٱلضَّلَٰلُۖ فَأَنَّىٰ تُصۡرَفُونَ

    آیت ⁦۱۰:۳۲⁩ کھولیں

    phir to logo ! wohi Allah hai jo tumhara malik-e-bar-haq hai . phir haq wazeh hojaney kay baad gumrahi kay siwa aur kiya baqi reh gaya-? uss kay bawajood tumhen koi kahan ulta liye jaraha hai ?

  33. كَذَٰلِكَ حَقَّتۡ كَلِمَتُ رَبِّكَ عَلَى ٱلَّذِينَ فَسَقُوٓاْ أَنَّهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۱۰:۳۳⁩ کھولیں

    issi tarah jinn logon ney nafarmani ka shewa apna liya hai , unn kay baaray mein Allah ki yeh baat sachi hogaee hai kay woh emaan nahi layen gay .

  34. قُلۡ هَلۡ مِن شُرَكَآئِكُم مَّن يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥۚ قُلِ ٱللَّهُ يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥۖ فَأَنَّىٰ تُؤۡفَكُونَ

    آیت ⁦۱۰:۳۴⁩ کھولیں

    kaho kay : jinn ko tum Allah kay sath shareek mantay ho , kiya unn mein koi aisa hai jo makhlooqaat ko pehli baar peda keray , phir ( unn ki moat kay baad ) unhen dobara phir peda kerday-? " kaho kay : Allah hai jo makhlooqaat ko pehli baar peda kerta hai , phir unn ( ki moat kay baad ) unhen dobara phir peda kerday ga . phir aakhir koi tumhen kahan ondhay mun liye jaraha hai-?"

  35. قُلۡ هَلۡ مِن شُرَكَآئِكُم مَّن يَهۡدِيٓ إِلَى ٱلۡحَقِّۚ قُلِ ٱللَّهُ يَهۡدِي لِلۡحَقِّۗ أَفَمَن يَهۡدِيٓ إِلَى ٱلۡحَقِّ أَحَقُّ أَن يُتَّبَعَ أَمَّن لَّا يَهِدِّيٓ إِلَّآ أَن يُهۡدَىٰۖ فَمَا لَكُمۡ كَيۡفَ تَحۡكُمُونَ

    آیت ⁦۱۰:۳۵⁩ کھولیں

    kaho kay : jinn ko tum Allah kay sath shareek mantay ho , kiya unn mein koi aisa hai jo tumhen haq ka raasta dikhaye-? " kaho kay : Allah haq ka raasta dikhata hai . abb batao kay jo haq ka raasta dikhata ho , kiya woh iss baat ka ziyada haq daar hai kay uss ki baat maani jaye , ya woh ( ziyada haq daar hai ) jiss ko khud uss waqt tak raasta naa soojhay jab tak koi doosra uss ki rehnumai naa keray-? bhala tumhen ho kiya gaya hai ? tum kiss tarah ki baaten tey kerletay ho ?"

  36. وَمَا يَتَّبِعُ أَكۡثَرُهُمۡ إِلَّا ظَنًّاۚ إِنَّ ٱلظَّنَّ لَا يُغۡنِي مِنَ ٱلۡحَقِّ شَيۡـًٔاۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِمَا يَفۡعَلُونَ

    آیت ⁦۱۰:۳۶⁩ کھولیں

    aur ( haqeeqat yeh hai kay ) inn ( mushrikeen ) mein say aksar log kissi aur cheez kay nahi , sirf wehmi andazay kay peechay chaltay hain , aur yeh yaqeeni baat hai kay haq kay moamlay mein wehmi andaza kuch bhi kaam nahi dey sakta . yaqeen jano , jo kuch yeh log ker rahey hain , Allah uss ka poora poora ilm rakhta hai .

  37. وَمَا كَانَ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانُ أَن يُفۡتَرَىٰ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلَٰكِن تَصۡدِيقَ ٱلَّذِي بَيۡنَ يَدَيۡهِ وَتَفۡصِيلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَا رَيۡبَ فِيهِ مِن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۱۰:۳۷⁩ کھولیں

    aur yeh Quran aisa nahi hai kay issay kissi ney apni taraf say gharr liya ho , Allah ney naa utaara ho balkay yeh ( wahi ki ) unn baaton ki tasdeeq kerta hai jo iss say pehlay aa-chuki hain , aur Allah ney jo baaten ( loah-e-mehfooz mein ) likh rakhi hain , unn ki tafseel biyan kerta hai . iss mein zara bhi shak ki gunjaeesh nahi hai . yeh uss zaat ki taraf say hai jo tamam jahano ki perwerish kerti hai .

  38. أَمۡ يَقُولُونَ ٱفۡتَرَىٰهُۖ قُلۡ فَأۡتُواْ بِسُورَةٖ مِّثۡلِهِۦ وَٱدۡعُواْ مَنِ ٱسۡتَطَعۡتُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

    آیت ⁦۱۰:۳۸⁩ کھولیں

    kiya phir bhi yeh log kehtay hain kay : payghumber ney ussay apni taraf say gharr liya hai ? kaho kay : phir to tum bhi iss jaisi aik hi surat ( gharr ker ) ley aao , aur ( iss kaam mein madad lenay kay liye ) Allah kay siwa jiss kissi ko bula sako bula lo , agar sachay ho .

  39. بَلۡ كَذَّبُواْ بِمَا لَمۡ يُحِيطُواْ بِعِلۡمِهِۦ وَلَمَّا يَأۡتِهِمۡ تَأۡوِيلُهُۥۚ كَذَٰلِكَ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلظَّٰلِمِينَ

    آیت ⁦۱۰:۳۹⁩ کھولیں

    baat darasal yeh hai kay jiss cheez ka ehata yeh apney ilm say nahi ker-sakay , ussay unhon ney jhoot qarar dey diya , aur abhi iss ka anjam bhi unn kay samney nahi aaya . issi tarah jo log inn say pehlay thay , unhon ney bhi ( apney payghumberon ko ) jhutlaya tha . phir dekho kay unn zalimon ka anjam kaisa huwa-?

  40. وَمِنۡهُم مَّن يُؤۡمِنُ بِهِۦ وَمِنۡهُم مَّن لَّا يُؤۡمِنُ بِهِۦۚ وَرَبُّكَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُفۡسِدِينَ 

    آیت ⁦۱۰:۴۰⁩ کھولیں

    aur unn mein say kuch aesay hain jo iss ( Quran ) per emaan ley ayen gay , aur kuch woh hain jo iss per emaan nahi layen gay , aur tumhara perwerdigar fasad phelaney walon ko khoob janta hai .

  41. وَإِن كَذَّبُوكَ فَقُل لِّي عَمَلِي وَلَكُمۡ عَمَلُكُمۡۖ أَنتُم بَرِيٓـُٔونَ مِمَّآ أَعۡمَلُ وَأَنَا۠ بَرِيٓءٞ مِّمَّا تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۱۰:۴۱⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) agar yeh tumhen jhutlayen to ( inn say ) keh do kay : mera amal meray liye hai , aur tumhara amal tumharay liye . jo kaam mein kerta hun , uss ki zimma daari tum per nahi hai , aur jo kaam tum kertay ho , uss ki zimma daari mujh per nahi .

  42. وَمِنۡهُم مَّن يَسۡتَمِعُونَ إِلَيۡكَۚ أَفَأَنتَ تُسۡمِعُ ٱلصُّمَّ وَلَوۡ كَانُواْ لَا يَعۡقِلُونَ

    آیت ⁦۱۰:۴۲⁩ کھولیں

    aur unn mein kuch aesay bhi hain jo tumhari baaton ko ( ba-zahir ) kaan laga ker suntay hain , ( magar dil mein haq ki talab nahi rakhtay , iss liye dar-haqeeqat behray hain ) to kiya tum behron ko sunao gay , chahye woh samajhtay naa hon-?

  43. وَمِنۡهُم مَّن يَنظُرُ إِلَيۡكَۚ أَفَأَنتَ تَهۡدِي ٱلۡعُمۡيَ وَلَوۡ كَانُواْ لَا يُبۡصِرُونَ

    آیت ⁦۱۰:۴۳⁩ کھولیں

    aur inn mein say kuch woh hain jo tumhari taraf dekhtay hain , ( magar dil mein insaf naa honey ki wajeh say woh andhon jaisay hain ) to kiya tum andhon ko raasta dikhao gay , chahye unhen kuch bhi sujhai naa deta ho-?

  44. إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَظۡلِمُ ٱلنَّاسَ شَيۡـٔٗا وَلَٰكِنَّ ٱلنَّاسَ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ

    آیت ⁦۱۰:۴۴⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay Allah logon per zara bhi zulm nahi kerta , lekin insan hain jo khud apni janon per zulm kertay hain .

  45. وَيَوۡمَ يَحۡشُرُهُمۡ كَأَن لَّمۡ يَلۡبَثُوٓاْ إِلَّا سَاعَةٗ مِّنَ ٱلنَّهَارِ يَتَعَارَفُونَ بَيۡنَهُمۡۚ قَدۡ خَسِرَ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِلِقَآءِ ٱللَّهِ وَمَا كَانُواْ مُهۡتَدِينَ

    آیت ⁦۱۰:۴۵⁩ کھولیں

    aur jiss din Allah inn ko ( meydan-e-hashar mein ) ikattha keray ga , to unhen aisa maloom hoga jaisay woh ( duniya mein ya qabar mein ) din ki aik gharri say ziyada nahi rahey ( issi liye ) woh aapas mein aik doosray ko pehchantay hon gay . haqeeqat yeh hai kay unn logon ney baray ghatay ka soda kiya hai jinhon ney Allah say ( aakhirat mein ) ja-milney ko jhutlaya hai , aur jo raah-e-raast per nahi aaye .

  46. وَإِمَّا نُرِيَنَّكَ بَعۡضَ ٱلَّذِي نَعِدُهُمۡ أَوۡ نَتَوَفَّيَنَّكَ فَإِلَيۡنَا مَرۡجِعُهُمۡ ثُمَّ ٱللَّهُ شَهِيدٌ عَلَىٰ مَا يَفۡعَلُونَ

    آیت ⁦۱۰:۴۶⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) jinn baaton ki hum ney inn ( kafiron ko ) dhamki di hoi hai , chahye unn mein say koi baat hum tumhen ( tumhari zindagi mein ) dikha den , ya ( uss say pehlay ) tumhari rooh qabz kerlen , bahar-soorat inn ko aakhir mein humari taraf hi loattna hai , phir ( yeh to zahir hi hai kay ) jo kuch yeh kertay hain , Allah uss ka poora poora mushaeeda ker raha hai . ( lehaza wahan inn ko saza dey ga )

  47. وَلِكُلِّ أُمَّةٖ رَّسُولٞۖ فَإِذَا جَآءَ رَسُولُهُمۡ قُضِيَ بَيۡنَهُم بِٱلۡقِسۡطِ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ

    آیت ⁦۱۰:۴۷⁩ کھولیں

    aur her ummat kay liye aik Rasool bheja gaya hai . phir jab unn ka Rasool aajata hai to unn ka faisla pooray insaf say kiya jata hai , aur unn per zulm nahi kiya jata .

  48. وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

    آیت ⁦۱۰:۴۸⁩ کھولیں

    aur yeh ( kafir ) log ( musalmanon say mazaq uraney kay liye ) kehtay hain kay : agar tum sachay ho to ( Allah ki taraf say azab ka ) yeh wada kab poora hoga-?

  49. قُل لَّآ أَمۡلِكُ لِنَفۡسِي ضَرّٗا وَلَا نَفۡعًا إِلَّا مَا شَآءَ ٱللَّهُۗ لِكُلِّ أُمَّةٍ أَجَلٌۚ إِذَا جَآءَ أَجَلُهُمۡ فَلَا يَسۡتَـٔۡخِرُونَ سَاعَةٗ وَلَا يَسۡتَقۡدِمُونَ

    آیت ⁦۱۰:۴۹⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! inn say ) keh do kay : mein to khud apni zaat ko bhi na koi nuqsan pohchaney ka ikhtiyar rakhta hun na fiada pohchaney ka , magar jitna Allah chahye . her ummat ka aik waqt muqarrar hai . chunacheh jab unn ka woh waqt aajata hai to woh uss say naa aik gharri peechay jasaktay hain , naa aagay aa-saktay hain .

  50. قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِنۡ أَتَىٰكُمۡ عَذَابُهُۥ بَيَٰتًا أَوۡ نَهَارٗا مَّاذَا يَسۡتَعۡجِلُ مِنۡهُ ٱلۡمُجۡرِمُونَ 

    آیت ⁦۱۰:۵۰⁩ کھولیں

    unn say kaho kay : zara mujhay yeh batao kay agar Allah ka azab tum per raat kay waqt aaye ya din kay waqt to uss mein kon si aesi ( ishtiaq kay qabil ) cheez hai jiss kay jald aaney ka yeh mujrim log mutalba ker rahey hain-?

  51. أَثُمَّ إِذَا مَا وَقَعَ ءَامَنتُم بِهِۦٓۚ ءَآلۡـَٰٔنَ وَقَدۡ كُنتُم بِهِۦ تَسۡتَعۡجِلُونَ

    آیت ⁦۱۰:۵۱⁩ کھولیں

    kiya jab woh azab aa-hi parray ga , tab ussay maano gay ? ( uss waqt toh tum say yeh kaha jaye ga kay : ) abb maaney-? halankay tum hi ( iss ka inkar ker kay )uss ki jaldi machaya kertay thay !

  52. ثُمَّ قِيلَ لِلَّذِينَ ظَلَمُواْ ذُوقُواْ عَذَابَ ٱلۡخُلۡدِ هَلۡ تُجۡزَوۡنَ إِلَّا بِمَا كُنتُمۡ تَكۡسِبُونَ

    آیت ⁦۱۰:۵۲⁩ کھولیں

    phir zalimon say kaha jaye ga kay : abb hamesha kay azab ka maza chakho . tumhen kissi aur cheez ka nahi . sirf uss ( badi ) ka badla diya jaraha hai jo tum kamatay rahey ho

  53. ۞وَيَسۡتَنۢبِـُٔونَكَ أَحَقٌّ هُوَۖ قُلۡ إِي وَرَبِّيٓ إِنَّهُۥ لَحَقّٞۖ وَمَآ أَنتُم بِمُعۡجِزِينَ

    آیت ⁦۱۰:۵۳⁩ کھولیں

    aur yeh log tum say poochtay hain kay kiya yeh ( aakhirat ka azab ) waqaee sach hai ? keh do kay : meray perwerdigar ki qasam ! yeh bilkul sach hai , aur tum ( Allah ko ) aajiz nahi ker-saktay .

  54. وَلَوۡ أَنَّ لِكُلِّ نَفۡسٖ ظَلَمَتۡ مَا فِي ٱلۡأَرۡضِ لَٱفۡتَدَتۡ بِهِۦۗ وَأَسَرُّواْ ٱلنَّدَامَةَ لَمَّا رَأَوُاْ ٱلۡعَذَابَۖ وَقُضِيَ بَيۡنَهُم بِٱلۡقِسۡطِ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ

    آیت ⁦۱۰:۵۴⁩ کھولیں

    aur jiss jiss shaks ney zulm ka irtikab kiya hai , agar uss kay paas rooaey zameen ki sari dolat bhi hogi to woh apni jaan churraney kay liye uss ki paishkash kerday ga . aur jab woh azab ko aankhon say dekh len gay to apni sharmindagi ko chupana chahen gay , aur unn ka faisla insaf kay sath hoga , aur unn per zulm nahi hoga .

  55. أَلَآ إِنَّ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ أَلَآ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۱۰:۵۵⁩ کھولیں

    yaad rakho kay aasmano aur zameen mein jo kuch hai Allah hi ka hai . yaad rakho kay Allah ka wada sacha hai , lekin aksar log nahi jantay .

  56. هُوَ يُحۡيِۦ وَيُمِيتُ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ

    آیت ⁦۱۰:۵۶⁩ کھولیں

    wohi zinda kerta hai , aur wohi moat deta hai , aur ussi kay paas tum sabb ko lotaya jaye ga .

  57. يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ قَدۡ جَآءَتۡكُم مَّوۡعِظَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَشِفَآءٞ لِّمَا فِي ٱلصُّدُورِ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٞ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۱۰:۵۷⁩ کھولیں

    logo ! tumharay paas aik aesi cheez aai hai jo tumharay perwerdigar ki taraf say aik naseehat hai , aur dilon ki beemariyon kay liye shifa hai , aur emaan walon kay liye hidayat aur rehmat ka saman hai .

  58. قُلۡ بِفَضۡلِ ٱللَّهِ وَبِرَحۡمَتِهِۦ فَبِذَٰلِكَ فَلۡيَفۡرَحُواْ هُوَ خَيۡرٞ مِّمَّا يَجۡمَعُونَ

    آیت ⁦۱۰:۵۸⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) kaho kay : yeh sabb kuch Allah kay fazal aur rehmat say huwa hai , lehaza issi per to unhen khush hona chahiye . yeh uss tamam dolat say kahen behtar hai jissay yeh jama ker ker kay rakhtay hain .

  59. قُلۡ أَرَءَيۡتُم مَّآ أَنزَلَ ٱللَّهُ لَكُم مِّن رِّزۡقٖ فَجَعَلۡتُم مِّنۡهُ حَرَامٗا وَحَلَٰلٗا قُلۡ ءَآللَّهُ أَذِنَ لَكُمۡۖ أَمۡ عَلَى ٱللَّهِ تَفۡتَرُونَ

    آیت ⁦۱۰:۵۹⁩ کھولیں

    kaho kay : bhala batao Allah ney tumharay liye jo rizq nazil kiya tha , tum ney apni taraf say uss mein say kissi ko haram aur kissi ko halal qarar dey diya ! inn say poocho kay : kiya Allah ney tumhen iss ki ijazat di thi ya tum Allah per jhoota bohtan baandhtay ho-?

  60. وَمَا ظَنُّ ٱلَّذِينَ يَفۡتَرُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَذُو فَضۡلٍ عَلَى ٱلنَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَشۡكُرُونَ 

    آیت ⁦۱۰:۶۰⁩ کھولیں

    aur jo log Allah per bohtan baandhtay hain , roz-e-qayamat kay baaray mein unn ka kiya gumaan hai ? iss mein shak nahi kay Allah insanon kay sath fazal ka moamla kernay wala hai , lekin unn mein say aksar log shukar ada nahi kertay .

  61. وَمَا تَكُونُ فِي شَأۡنٖ وَمَا تَتۡلُواْ مِنۡهُ مِن قُرۡءَانٖ وَلَا تَعۡمَلُونَ مِنۡ عَمَلٍ إِلَّا كُنَّا عَلَيۡكُمۡ شُهُودًا إِذۡ تُفِيضُونَ فِيهِۚ وَمَا يَعۡزُبُ عَن رَّبِّكَ مِن مِّثۡقَالِ ذَرَّةٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا فِي ٱلسَّمَآءِ وَلَآ أَصۡغَرَ مِن ذَٰلِكَ وَلَآ أَكۡبَرَ إِلَّا فِي كِتَٰبٖ مُّبِينٍ

    آیت ⁦۱۰:۶۱⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) tum jiss halat mein bhi hotay ho , aur Quran ka jo hissa bhi tilawat kertay ho , aur ( aey logo ! ) tum jo kaam bhi kertay ho , toh jiss waqt tum iss kaam mein mashghool hotay ho , hum tumhen dekhtay rehtay hain . aur tumharay rab say koi zarra barabar cheez bhi posheeda nahi hai , naa zameen mein naa aasman mein , naa uss say choti , naa bari , magar woh aik wazeh kitab mein darj hai .

  62. أَلَآ إِنَّ أَوۡلِيَآءَ ٱللَّهِ لَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ

    آیت ⁦۱۰:۶۲⁩ کھولیں

    yaad rakho kay jo Allah kay dost hain , unn ko naa koi khof hoga , naa woh ghumgeen hon gay .

  63. ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَكَانُواْ يَتَّقُونَ

    آیت ⁦۱۰:۶۳⁩ کھولیں

    yeh woh log hain jo emaan laye , aur taqwa ikhtiyar kiye rahey .

  64. لَهُمُ ٱلۡبُشۡرَىٰ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَفِي ٱلۡأٓخِرَةِۚ لَا تَبۡدِيلَ لِكَلِمَٰتِ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ

    آیت ⁦۱۰:۶۴⁩ کھولیں

    unn kay liye khushkhabri hai dunyawi zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi . Allah ki baaton mein koi tabdeeli nahi hoti . yehi zabardast kamiyabi hai .

  65. وَلَا يَحۡزُنكَ قَوۡلُهُمۡۘ إِنَّ ٱلۡعِزَّةَ لِلَّهِ جَمِيعًاۚ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ

    آیت ⁦۱۰:۶۵⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) yeh log jo baaten banatay hain woh tumhen ranjeedah naa keren . yaqeen rakho kay iqtidar tamam tarr Allah ka hai , aur woh her baat sunney wala , sabb kuch janney wala hai .

  66. أَلَآ إِنَّ لِلَّهِ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَمَا يَتَّبِعُ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ شُرَكَآءَۚ إِن يَتَّبِعُونَ إِلَّا ٱلظَّنَّ وَإِنۡ هُمۡ إِلَّا يَخۡرُصُونَ

    آیت ⁦۱۰:۶۶⁩ کھولیں

    yaad rakho kay aasmano aur zameen mein jitney jaan daar hain woh sabb Allah hi ki milkiyat mein hain . aur jo log Allah kay siwa doosron ko pukartay hain , woh koi Allah kay ( haqeeqi ) shurka ki perwi nahi kertay . woh kissi aur cheez ki nahi , mehaz gumaan ki perwi kertay hain , aur unn ka kaam iss kay siwa kuch nahi kay andazon kay teer chalatay rahen .

  67. هُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلَّيۡلَ لِتَسۡكُنُواْ فِيهِ وَٱلنَّهَارَ مُبۡصِرًاۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَسۡمَعُونَ

    آیت ⁦۱۰:۶۷⁩ کھولیں

    Allah woh hai jiss ney tumharay liye raat banai , takay tum uss mein sukoon hasil kero , aur din ko aisa banaya jo tumhen dekhney ki salahiyat dey . uss mein yaqeenan unn logon kay liye nishaniyan hain jo ghor say suntay hon .

  68. قَالُواْ ٱتَّخَذَ ٱللَّهُ وَلَدٗاۗ سُبۡحَٰنَهُۥۖ هُوَ ٱلۡغَنِيُّۖ لَهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ إِنۡ عِندَكُم مِّن سُلۡطَٰنِۭ بِهَٰذَآۚ أَتَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۱۰:۶۸⁩ کھولیں

    . ( kuch ) logon ney keh diya kay Allah aulad rakhta hai . pak hai uss ki zaat ! woh her cheez say bey niaz hai . aasmano aur zameen mein jo kuch hai , ussi ka hai . tumharay paas uss baat ki zara bhi koi daleel nahi hai . kiya tum Allah kay zimmay woh baat lagatay ho jiss ka tumhen koi ilm nahi-?

  69. قُلۡ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَفۡتَرُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ لَا يُفۡلِحُونَ

    آیت ⁦۱۰:۶۹⁩ کھولیں

    keh do kay : jo log Allah per jhoota bohtan baandhtay hain , woh falah nahi payen gay .

  70. مَتَٰعٞ فِي ٱلدُّنۡيَا ثُمَّ إِلَيۡنَا مَرۡجِعُهُمۡ ثُمَّ نُذِيقُهُمُ ٱلۡعَذَابَ ٱلشَّدِيدَ بِمَا كَانُواْ يَكۡفُرُونَ 

    آیت ⁦۱۰:۷۰⁩ کھولیں

    . ( unn kay liye ) bus duniya mein thora saa maza hai . phir humaray paas hi unhen loat ker aana hai . phir kufr ka jo ravaiyya unhon ney apna rakha tha , uss kay badlay hum unhen shadeed azab ka maza chakhayen gay .

  71. ۞وَٱتۡلُ عَلَيۡهِمۡ نَبَأَ نُوحٍ إِذۡ قَالَ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ إِن كَانَ كَبُرَ عَلَيۡكُم مَّقَامِي وَتَذۡكِيرِي بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ فَعَلَى ٱللَّهِ تَوَكَّلۡتُ فَأَجۡمِعُوٓاْ أَمۡرَكُمۡ وَشُرَكَآءَكُمۡ ثُمَّ لَا يَكُنۡ أَمۡرُكُمۡ عَلَيۡكُمۡ غُمَّةٗ ثُمَّ ٱقۡضُوٓاْ إِلَيَّ وَلَا تُنظِرُونِ

    آیت ⁦۱۰:۷۱⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) inn kay samney nooh ka waqiaa parh ker sunao , jab unhon ney apni qoam say kaha tha kay : meri qoam kay logo ! agar tumharay darmiyan mera rehna , aur Allah ki aayaat kay zariye khabrdar kerna tumhen bhari maloom horaha hai to mein ney to Allah hi per bharosa ker rakha hai . abb tum apney shareekon ko sath mila ker ( meray khilaf ) apni tadbeeron ko khoob pukhta kerlo , phir jo tadbeer tum kero woh tumharay dil mein kissi ghuttan ka baees naa banay , balkay meray khilaf jo faisla tum ney kiya ho , ussay ( dil khol ker ) ker guzro , aur mujhay zara bhi mohlat naa do ,

  72. فَإِن تَوَلَّيۡتُمۡ فَمَا سَأَلۡتُكُم مِّنۡ أَجۡرٍۖ إِنۡ أَجۡرِيَ إِلَّا عَلَى ٱللَّهِۖ وَأُمِرۡتُ أَنۡ أَكُونَ مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ

    آیت ⁦۱۰:۷۲⁩ کھولیں

    phir bhi agar tum ney mun morray rakha to mein ney tum say iss ( tableegh ) per koi ujrat to nahi maangi . mera ajar kissi aur ney nahi , Allah ney zimmay liya hai , aur mujhay yeh hukum diya gaya hai kay mein farmanbardaar logon mein shamil rahun

  73. فَكَذَّبُوهُ فَنَجَّيۡنَٰهُ وَمَن مَّعَهُۥ فِي ٱلۡفُلۡكِ وَجَعَلۡنَٰهُمۡ خَلَٰٓئِفَ وَأَغۡرَقۡنَا ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَاۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُنذَرِينَ

    آیت ⁦۱۰:۷۳⁩ کھولیں

    phir huwa yeh kay unn logon ney nooh ko jhutlaya , aur nateeja yeh huwa kay hum ney nooh ko aur jo log unn kay sath kashti mein thay unhen bacha liya , aur unn ko kafiron ki jagah zameen mein basaya , aur jinn logon ney humari nishaniyon ko jhutlaya tha , unhen ( toofan mein ) gharq kerdiya . abb dekho kay jinn logon ko khabrdar kiya gaya tha , unn ka anjam kaisa huwa ?

  74. ثُمَّ بَعَثۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِۦ رُسُلًا إِلَىٰ قَوۡمِهِمۡ فَجَآءُوهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَمَا كَانُواْ لِيُؤۡمِنُواْ بِمَا كَذَّبُواْ بِهِۦ مِن قَبۡلُۚ كَذَٰلِكَ نَطۡبَعُ عَلَىٰ قُلُوبِ ٱلۡمُعۡتَدِينَ

    آیت ⁦۱۰:۷۴⁩ کھولیں

    iss kay baad hum ney mukhtalif payghumber unn ki apni apni qoamon kay paas bhejay , woh unn kay paas khulay khulay dalaeel ley ker aaye , lekin unn logon ney jiss baat ko pehli baar jhutla diya tha ussay maan ker hi naa diya . jo log hadd say guzar jatay hain , unn kay dilon per hum issi tarah mohar laga detay hain .

  75. ثُمَّ بَعَثۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِم مُّوسَىٰ وَهَٰرُونَ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦ بِـَٔايَٰتِنَا فَٱسۡتَكۡبَرُواْ وَكَانُواْ قَوۡمٗا مُّجۡرِمِينَ

    آیت ⁦۱۰:۷۵⁩ کھولیں

    iss kay baad hum ney musa aur Haroon ko firon aur uss kay sardaron kay paas apni nishaniyan dey ker bheja , to unhon ney takabbur ka moamla kiya , aur woh mujrim log thay .

  76. فَلَمَّا جَآءَهُمُ ٱلۡحَقُّ مِنۡ عِندِنَا قَالُوٓاْ إِنَّ هَٰذَا لَسِحۡرٞ مُّبِينٞ

    آیت ⁦۱۰:۷۶⁩ کھولیں

    chunacheh jab unn kay paas humari taraf say haq ka paygham aaya to woh kehney lagay kay zaroor yeh khula huwa jadoo hai .

  77. قَالَ مُوسَىٰٓ أَتَقُولُونَ لِلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَكُمۡۖ أَسِحۡرٌ هَٰذَا وَلَا يُفۡلِحُ ٱلسَّٰحِرُونَ

    آیت ⁦۱۰:۷۷⁩ کھولیں

    musa ney kaha : kiya tum haq kay baaray mein aesi baat keh rahey ho jabkay woh tumharay paas aa-chuka hai ? bhala kiya yeh jadoo hai ? halankay jadoogar falah nahi paya kertay .

  78. قَالُوٓاْ أَجِئۡتَنَا لِتَلۡفِتَنَا عَمَّا وَجَدۡنَا عَلَيۡهِ ءَابَآءَنَا وَتَكُونَ لَكُمَا ٱلۡكِبۡرِيَآءُ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا نَحۡنُ لَكُمَا بِمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۱۰:۷۸⁩ کھولیں

    kehney lagay : kiya tum humaray paas iss liye aaye ho kay jiss tor tareeqay per hum ney apney baap dadon ko paya hai , uss say hamen bargushta kerdo , aur iss sarzameen mein tum dono ki chaudhraahat qaeem hojaye-? hum to tum dono ki baat manney walay nahi hain .

  79. وَقَالَ فِرۡعَوۡنُ ٱئۡتُونِي بِكُلِّ سَٰحِرٍ عَلِيمٖ

    آیت ⁦۱۰:۷۹⁩ کھولیں

    aur firon ney ( apney mulazimon say ) kaha kay : jitney mahir jadoogar hain unn sabb ko meray paas ley ker aao .

  80. فَلَمَّا جَآءَ ٱلسَّحَرَةُ قَالَ لَهُم مُّوسَىٰٓ أَلۡقُواْ مَآ أَنتُم مُّلۡقُونَ 

    آیت ⁦۱۰:۸۰⁩ کھولیں

    chunacheh jab jadoogar aagaye , to musa ney unn say kaha : phenko jo kuch tumhen phenkna hai .

  81. فَلَمَّآ أَلۡقَوۡاْ قَالَ مُوسَىٰ مَا جِئۡتُم بِهِ ٱلسِّحۡرُۖ إِنَّ ٱللَّهَ سَيُبۡطِلُهُۥٓ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُصۡلِحُ عَمَلَ ٱلۡمُفۡسِدِينَ

    آیت ⁦۱۰:۸۱⁩ کھولیں

    phir jab unhon ney ( apni laathiyon aur rassiyon ko ) phenka ( aur woh saanp ban ker chalti hoi nazar ayen ) to musa ney kaha kay : yeh jo kuch tum ney dikhaya hai , jadoo hai . Allah abhi iss ko malya mait kiye deta hai . Allah fasadiyon ka kaam banney nahi deta .

  82. وَيُحِقُّ ٱللَّهُ ٱلۡحَقَّ بِكَلِمَٰتِهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُجۡرِمُونَ

    آیت ⁦۱۰:۸۲⁩ کھولیں

    aur Allah sach ko apney hukum say sach ker dikhata hai , chahye mujrim log kitna bura samjhen .

  83. فَمَآ ءَامَنَ لِمُوسَىٰٓ إِلَّا ذُرِّيَّةٞ مِّن قَوۡمِهِۦ عَلَىٰ خَوۡفٖ مِّن فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِمۡ أَن يَفۡتِنَهُمۡۚ وَإِنَّ فِرۡعَوۡنَ لَعَالٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَإِنَّهُۥ لَمِنَ ٱلۡمُسۡرِفِينَ

    آیت ⁦۱۰:۸۳⁩ کھولیں

    phir huwa yeh kay musa per koi aur nahi , lekin khud unn ki qoam kay kuch nojawan firon aur apney sardaron say dartay dartay emaan laye kay kahen firon unhen naa sataye . aur yaqeenan firon zameen mein bara zor aawar tha , aur woh unn logon mein say tha jo kissi hadd per qaeem nahi rehtay .

  84. وَقَالَ مُوسَىٰ يَٰقَوۡمِ إِن كُنتُمۡ ءَامَنتُم بِٱللَّهِ فَعَلَيۡهِ تَوَكَّلُوٓاْ إِن كُنتُم مُّسۡلِمِينَ

    آیت ⁦۱۰:۸۴⁩ کھولیں

    aur musa ney kaha : aey meri qoam ! agar tum waqaee Allah per emaan ley aaye ho to phir ussi per bharosa rakho , agar tum farmanbardaar ho .

  85. فَقَالُواْ عَلَى ٱللَّهِ تَوَكَّلۡنَا رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا فِتۡنَةٗ لِّلۡقَوۡمِ ٱلظَّٰلِمِينَ

    آیت ⁦۱۰:۸۵⁩ کھولیں

    iss per unhon ney kaha : Allah hi per hum ney bharosa kerliya hai . aey humaray perwerdigar hamen inn zalim logon kay haathon aazmaesh mein naa daaliye .

  86. وَنَجِّنَا بِرَحۡمَتِكَ مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ

    آیت ⁦۱۰:۸۶⁩ کھولیں

    aur apni rehmat say hamen kafir qoam say nijat dey dijiye .

  87. وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰ وَأَخِيهِ أَن تَبَوَّءَا لِقَوۡمِكُمَا بِمِصۡرَ بُيُوتٗا وَٱجۡعَلُواْ بُيُوتَكُمۡ قِبۡلَةٗ وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۱۰:۸۷⁩ کھولیں

    aur hum ney musa aur unn kay bhai per wahi bheji kay : tum dono apni qoam ko misir hi kay gharon mein basao , aur apney gharon ko namaz ki jagah bana lo , aur ( iss tarah ) namaz qaeem kero , aur emaan laney walon ko khushkhabri dey do .

  88. وَقَالَ مُوسَىٰ رَبَّنَآ إِنَّكَ ءَاتَيۡتَ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَأَهُۥ زِينَةٗ وَأَمۡوَٰلٗا فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا رَبَّنَا لِيُضِلُّواْ عَن سَبِيلِكَۖ رَبَّنَا ٱطۡمِسۡ عَلَىٰٓ أَمۡوَٰلِهِمۡ وَٱشۡدُدۡ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ فَلَا يُؤۡمِنُواْ حَتَّىٰ يَرَوُاْ ٱلۡعَذَابَ ٱلۡأَلِيمَ

    آیت ⁦۱۰:۸۸⁩ کھولیں

    aur musa ney kaha : aey humaray perwerdigar ! aap ney firon aur uss kay sardaron ko dunyawi zindagi mein bari sajj dhajj aur maal o dolat bakhshi hai . aey humaray perwerdigar ! iss ka nateeja yeh horaha hai kay woh logon ko aap kay raastay say bhatka rahey hain . aey humaray perwerdigar ! unn kay maal o dolat ko tehas nehas ker-dijiye , aur unn kay dilon ko itna sakht ker-dijiye kay woh uss waqt tak emaan naa layen jab tak dard naak azab aankhon say naa dekh len .

  89. قَالَ قَدۡ أُجِيبَت دَّعۡوَتُكُمَا فَٱسۡتَقِيمَا وَلَا تَتَّبِعَآنِّ سَبِيلَ ٱلَّذِينَ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۱۰:۸۹⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya : tumhari dua qubool kerli gaee hai . abb tum dono sabit qadam raho , aur unn logon kay peechay hergiz naa chalna jo haqeeqat say na-waqif hain .

  90. ۞وَجَٰوَزۡنَا بِبَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ ٱلۡبَحۡرَ فَأَتۡبَعَهُمۡ فِرۡعَوۡنُ وَجُنُودُهُۥ بَغۡيٗا وَعَدۡوًاۖ حَتَّىٰٓ إِذَآ أَدۡرَكَهُ ٱلۡغَرَقُ قَالَ ءَامَنتُ أَنَّهُۥ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا ٱلَّذِيٓ ءَامَنَتۡ بِهِۦ بَنُوٓاْ إِسۡرَٰٓءِيلَ وَأَنَا۠ مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ 

    آیت ⁦۱۰:۹۰⁩ کھولیں

    aur hum ney bano Israel ko samandar paar keradiya , to firon aur uss kay lashkar ney bhi zulm aur ziyadti ki niyyat say unn ka peecha kiya , yahan tak kay jab doobney ka anjam uss kay sar per aa-phoncha to kehney laga : mein maan gaya kay jiss khuda per bano Israel emaan laye hain uss kay siwa koi mabood nahi , aur mein bhi farmanbardaaron mein shamil hota hun .

  91. ءَآلۡـَٰٔنَ وَقَدۡ عَصَيۡتَ قَبۡلُ وَكُنتَ مِنَ ٱلۡمُفۡسِدِينَ

    آیت ⁦۱۰:۹۱⁩ کھولیں

    . ( jawab diya gaya kay : ) abb emaan lata hai ? halankay iss say pehlay nafarmani kerta raha , aur musalsal fasad hi machata raha .

  92. فَٱلۡيَوۡمَ نُنَجِّيكَ بِبَدَنِكَ لِتَكُونَ لِمَنۡ خَلۡفَكَ ءَايَةٗۚ وَإِنَّ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلنَّاسِ عَنۡ ءَايَٰتِنَا لَغَٰفِلُونَ

    آیت ⁦۱۰:۹۲⁩ کھولیں

    lehaza aaj hum teray ( sirf ) jism ko bachayen gay , takay tu apney baad kay logon kay liye ibrat ka nishan ban jaye , ( kiyonkay ) boht say log humari nishaniyon say ghafil banay huye hain .

  93. وَلَقَدۡ بَوَّأۡنَا بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ مُبَوَّأَ صِدۡقٖ وَرَزَقۡنَٰهُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ فَمَا ٱخۡتَلَفُواْ حَتَّىٰ جَآءَهُمُ ٱلۡعِلۡمُۚ إِنَّ رَبَّكَ يَقۡضِي بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فِيمَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ

    آیت ⁦۱۰:۹۳⁩ کھولیں

    aur hum ney bano Israel ko aesi jagah basaya jo sahih maani mein basney kay laeeq jagah thi , aur unn ko pakeezah cheezon ka rizq bakhsha . phir unhon ney ( deen-e-haq kay baaray mein ) uss waqt tak ikhtilaf nahi kiya jab tak unn kay paas ilm nahi aagaya . yaqeen rakho kay jinn baaton mein woh ikhtilaf kiya kertay thay , unn ka faisla tumhara perwerdigar qayamat kay din keray ga .

  94. فَإِن كُنتَ فِي شَكّٖ مِّمَّآ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ فَسۡـَٔلِ ٱلَّذِينَ يَقۡرَءُونَ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكَۚ لَقَدۡ جَآءَكَ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّكَ فَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمُمۡتَرِينَ

    آیت ⁦۱۰:۹۴⁩ کھولیں

    phir ( aey payghumber ! ) agar ( bafrz-e-mohaal ) tumhen uss kalam mein zara bhi shak ho jo hum ney tum per nazil kiya hai to unn logon say poocho jo tum say pehlay say ( aasmani ) kitab parhtay hain . yaqeen rakho kay tumharay paas tumharay perwerdigar ki taraf say haq hi aaya hai , lehaza tum kabhi bhi shak kernay walon mein shamil naa hona .

  95. وَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ فَتَكُونَ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ

    آیت ⁦۱۰:۹۵⁩ کھولیں

    neez kabhi hergiz unn logon mein shamil naa hona jinhon ney Allah ki aayaton ko jhutlaya hai , werna tum unn logon mein shamil hojao gay jinhon ney ghatay ka soda kerliya hai .

  96. إِنَّ ٱلَّذِينَ حَقَّتۡ عَلَيۡهِمۡ كَلِمَتُ رَبِّكَ لَا يُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۱۰:۹۶⁩ کھولیں

    beyshak jinn logon kay baaray mein tumharay rab ki baat tey hochuki hai , woh emaan nahi layen gay ,

  97. وَلَوۡ جَآءَتۡهُمۡ كُلُّ ءَايَةٍ حَتَّىٰ يَرَوُاْ ٱلۡعَذَابَ ٱلۡأَلِيمَ

    آیت ⁦۱۰:۹۷⁩ کھولیں

    chahye her qisam ki nishani unn kay samney aajaye , yahan tak kay woh dardnak azab aankhon say naa dekh len .

  98. فَلَوۡلَا كَانَتۡ قَرۡيَةٌ ءَامَنَتۡ فَنَفَعَهَآ إِيمَٰنُهَآ إِلَّا قَوۡمَ يُونُسَ لَمَّآ ءَامَنُواْ كَشَفۡنَا عَنۡهُمۡ عَذَابَ ٱلۡخِزۡيِ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَمَتَّعۡنَٰهُمۡ إِلَىٰ حِينٖ

    آیت ⁦۱۰:۹۸⁩ کھولیں

    bhala koi basti aesi kiyon naa hoi kay aesay waqt emaan ley aati kay uss ka emaan ussay faeeda phoncha sakta-? albatta sirf Younus ki qoam kay log aesay thay . jab woh emaan ley aaye to hum ney dunyawi zindagi mein ruswai ka azab unn say utha liya , aur unn ko aik mauddat tak zindagi ka lutf uthaney diya .

  99. وَلَوۡ شَآءَ رَبُّكَ لَأٓمَنَ مَن فِي ٱلۡأَرۡضِ كُلُّهُمۡ جَمِيعًاۚ أَفَأَنتَ تُكۡرِهُ ٱلنَّاسَ حَتَّىٰ يَكُونُواْ مُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۱۰:۹۹⁩ کھولیں

    aur agar Allah chahta to rooaey zameen per basney walay sabb kay sabb emaan ley aatay . to kiya tum logon per zabardasti kero gay takay woh sabb momin ban jayen-?

  100. وَمَا كَانَ لِنَفۡسٍ أَن تُؤۡمِنَ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ وَيَجۡعَلُ ٱلرِّجۡسَ عَلَى ٱلَّذِينَ لَا يَعۡقِلُونَ 

    آیت ⁦۱۰:۱۰۰⁩ کھولیں

    aur kissi bhi shaks kay liye yeh mumkin nahi hai kay woh Allah ki ijazat kay baghair momin ban jaye , aur jo log aqal say kaam nahi letay , Allah unn per gandagi musallat ker deta hai .

  101. قُلِ ٱنظُرُواْ مَاذَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَمَا تُغۡنِي ٱلۡأٓيَٰتُ وَٱلنُّذُرُ عَن قَوۡمٖ لَّا يُؤۡمِنُونَ 

    آیت ⁦۱۰:۱۰۱⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) inn say kaho kay : zara nazar dorrao kay aasmano aur zameen mein kiya kiya cheezen hain-? lekin jinn logon ko emaan lana hi nahi hai , unn kay liye ( zameen o aasman mein pheli hoi ) nishaniyan aur aagah kernay walay ( payghumber ) kuch bhi kaar aamad nahi hotay .

  102. فَهَلۡ يَنتَظِرُونَ إِلَّا مِثۡلَ أَيَّامِ ٱلَّذِينَ خَلَوۡاْ مِن قَبۡلِهِمۡۚ قُلۡ فَٱنتَظِرُوٓاْ إِنِّي مَعَكُم مِّنَ ٱلۡمُنتَظِرِينَ 

    آیت ⁦۱۰:۱۰۲⁩ کھولیں

    bhala batao kay yeh log ( emaan laney kay liye ) iss kay siwa kiss baat ka intizar ker rahey hain kay uss tarah kay din yeh bhi dekhen jaisay inn say pehlay kay logon ney dekhay thay ? keh do kay : acha ! tum intizar kero , mein bhi tumharay sath muntazir hun .

  103. ثُمَّ نُنَجِّي رُسُلَنَا وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۚ كَذَٰلِكَ حَقًّا عَلَيۡنَا نُنجِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ 

    آیت ⁦۱۰:۱۰۳⁩ کھولیں

    phir ( jab azab aata hai to ) hum apney payghumberon ko aur jo log emaan ley aatay hain unn ko nijat dey detay hain . issi tarah hum ney yeh baat apney zimmay ley rakhi hai kay hum tamam ( doosray ) mominon ko bhi nijat den .

  104. قُلۡ يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِن كُنتُمۡ فِي شَكّٖ مِّن دِينِي فَلَآ أَعۡبُدُ ٱلَّذِينَ تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلَٰكِنۡ أَعۡبُدُ ٱللَّهَ ٱلَّذِي يَتَوَفَّىٰكُمۡۖ وَأُمِرۡتُ أَنۡ أَكُونَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ 

    آیت ⁦۱۰:۱۰۴⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) inn say kaho kay : aey logo ! agar tum meray deen kay baaray mein kissi shak mein mubtala ho to ( sunn lo kay ) tum Allah kay siwa jinn jinn ki ibadat kertay ho mein unn ki ibadat nahi kerta , balkay mein uss Allah ki ibadat kerta hun jo tumhari rooh qabz kerta hai . aur mujhay yeh hukum diya gaya hai kay mein mominon mein shamil rahun .

  105. وَأَنۡ أَقِمۡ وَجۡهَكَ لِلدِّينِ حَنِيفٗا وَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ 

    آیت ⁦۱۰:۱۰۵⁩ کھولیں

    aur ( mujh say ) yeh ( kaha gaya hai ) kay : apna rukh yaksoi kay sath iss deen ki taraf qaeem rakhna , aur hergiz unn logon mein shamil naa hona jo Allah kay sath kissi ko shareek mantay hain .

  106. وَلَا تَدۡعُ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَنفَعُكَ وَلَا يَضُرُّكَۖ فَإِن فَعَلۡتَ فَإِنَّكَ إِذٗا مِّنَ ٱلظَّٰلِمِينَ 

    آیت ⁦۱۰:۱۰۶⁩ کھولیں

    aur Allah taalaa ko chorr ker kissi aesay ( mann gharrat mabood ) ko naa pukarna jo tumhen naa koi faeeda phoncha sakta hai , naa koi nuqsan . phir bhi agar tum ( bafrz-e-mohaal ) aisa ker bethay to tumhara shumar bhi zalimon mein hoga .

  107. وَإِن يَمۡسَسۡكَ ٱللَّهُ بِضُرّٖ فَلَا كَاشِفَ لَهُۥٓ إِلَّا هُوَۖ وَإِن يُرِدۡكَ بِخَيۡرٖ فَلَا رَآدَّ لِفَضۡلِهِۦۚ يُصِيبُ بِهِۦ مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦۚ وَهُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ 

    آیت ⁦۱۰:۱۰۷⁩ کھولیں

    aur agar tumhen Allah koi takleef phoncha dey to uss kay siwa koi nahi hai jo ussay door kerday , aur agar woh tumhen koi bhalai phonchaney ka irada kerlay to koi nahi hai jo uss kay fazal ka rukh pher dey . woh apna fazal apney bandon mein say jiss ko chahta hai phoncha deta hai , aur woh boht bakhshney wala bara meharban hai .

  108. قُلۡ يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ قَدۡ جَآءَكُمُ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّكُمۡۖ فَمَنِ ٱهۡتَدَىٰ فَإِنَّمَا يَهۡتَدِي لِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن ضَلَّ فَإِنَّمَا يَضِلُّ عَلَيۡهَاۖ وَمَآ أَنَا۠ عَلَيۡكُم بِوَكِيلٖ 

    آیت ⁦۱۰:۱۰۸⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) keh do kay : logo ! tumharay perwerdigar ki taraf say tumharay paas haq aagaya hai , abb jo shaks hidayat ka raasta apnaye ga woh khud apney faeeday kay liye apnaye ga , aur jo gumrahi ikhtiyar keray ga , uss ki gumrahi ka nuqsan khud ussi ko phonchay ga , aur mein tumharay kamon ka zimma daar nahi hun .

  109. وَٱتَّبِعۡ مَا يُوحَىٰٓ إِلَيۡكَ وَٱصۡبِرۡ حَتَّىٰ يَحۡكُمَ ٱللَّهُۚ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلۡحَٰكِمِينَ 

    آیت ⁦۱۰:۱۰۹⁩ کھولیں

    aur jo wahi tumharay paas bheji jarahi hai , tum uss ki ittaba kero , aur sabar say kaam lo , yahan tak kay Allah koi faisla kerday , aur woh behtareen faisla kernay wala hai .