العاديات
Al-Aadiyaat
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَٱلۡعَٰدِيَٰتِ ضَبۡحٗا
آیت ۱۰۰:۱ کھولیںqasam hai unn ghorron ki jo haanp haanp ker dorrtay hain ,
فَٱلۡمُورِيَٰتِ قَدۡحٗا
آیت ۱۰۰:۲ کھولیںphir jo ( apni taapon say ) chingariyan uratay hain ,
فَٱلۡمُغِيرَٰتِ صُبۡحٗا
آیت ۱۰۰:۳ کھولیںphir subha kay waqt yalghaar kertay hain ,
فَأَثَرۡنَ بِهِۦ نَقۡعٗا
آیت ۱۰۰:۴ کھولیںphir uss moaqa per ghubar uratay hain ,
فَوَسَطۡنَ بِهِۦ جَمۡعًا
آیت ۱۰۰:۵ کھولیںphir ussi waqt kissi jhamgathay kay beechon beech ja-ghustay hain ,
إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لِرَبِّهِۦ لَكَنُودٞ
آیت ۱۰۰:۶ کھولیںkay insan apney perwerdigar ka bara nashukra hai ,
وَإِنَّهُۥ عَلَىٰ ذَٰلِكَ لَشَهِيدٞ
آیت ۱۰۰:۷ کھولیںaur woh khud iss baat ka gawah hai .
وَإِنَّهُۥ لِحُبِّ ٱلۡخَيۡرِ لَشَدِيدٌ
آیت ۱۰۰:۸ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay woh maal ki mohabbat mein boht paka hai .
۞أَفَلَا يَعۡلَمُ إِذَا بُعۡثِرَ مَا فِي ٱلۡقُبُورِ
آیت ۱۰۰:۹ کھولیںbhala kiya woh waqt ussay maloom nahi hai jab qabron mein jo kuch hai , ussay bahir bikhair diya jaye ga ,
وَحُصِّلَ مَا فِي ٱلصُّدُورِ
آیت ۱۰۰:۱۰ کھولیںaur seenon mein jo kuch hai , ussay zahir kerdiya jaye ga .
إِنَّ رَبَّهُم بِهِمۡ يَوۡمَئِذٖ لَّخَبِيرُۢ
آیت ۱۰۰:۱۱ کھولیںyaqeenan unn ka perwerdigar uss din unn ( ki jo halat hogi uss ) say poori tarah ba-khabar hai .