الأنفال

Al-Anfaal

سورت ۸ · آیات: ۷۵ · مدنی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡأَنفَالِۖ قُلِ ٱلۡأَنفَالُ لِلَّهِ وَٱلرَّسُولِۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَصۡلِحُواْ ذَاتَ بَيۡنِكُمۡۖ وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۸:۱⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) log tum say maal-e-ghaneemat kay baaray mein poochtay hain . keh do kay maal-e-ghaneemat ( kay baaray mein faislay ) ka ikhtiyar Allah aur Rasool ko hasil hai . lehaza tum Allah say daro , aur aapas kay talluqaat durust kerlo , aur Allah aur uss kay Rasool ki itaat kero , agar tum waqaee momin ho .

  2. إِنَّمَا ٱلۡمُؤۡمِنُونَ ٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِرَ ٱللَّهُ وَجِلَتۡ قُلُوبُهُمۡ وَإِذَا تُلِيَتۡ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُهُۥ زَادَتۡهُمۡ إِيمَٰنٗا وَعَلَىٰ رَبِّهِمۡ يَتَوَكَّلُونَ

    آیت ⁦۸:۲⁩ کھولیں

    momin to woh log hain kay jab unn kay samney Allah ka ziker hota hai to unn kay dil darr jatay hain , aur jab unn kay samney uss ki aayaten parhi jati hain to woh aayaten unn kay emaan ko aur taraqqi deti hain , aur woh apney perwerdigar per bharosa kertay hain .

  3. ٱلَّذِينَ يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَمِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ يُنفِقُونَ

    آیت ⁦۸:۳⁩ کھولیں

    jo namaz qaeem kertay hain , aur hum ney unn ko jo rizq diya hai , uss mein say ( fi sabeel Allah ) kharch kertay hain .

  4. أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ حَقّٗاۚ لَّهُمۡ دَرَجَٰتٌ عِندَ رَبِّهِمۡ وَمَغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ

    آیت ⁦۸:۴⁩ کھولیں

    yehi log hain jo haqeeqat mein momin hain . inn kay liye inn kay rab kay paas baray darjay hain , maghfirat hai , aur ba-izzat rizq hai .

  5. كَمَآ أَخۡرَجَكَ رَبُّكَ مِنۢ بَيۡتِكَ بِٱلۡحَقِّ وَإِنَّ فَرِيقٗا مِّنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ لَكَٰرِهُونَ

    آیت ⁦۸:۵⁩ کھولیں

    . ( maal-e-ghaneemat ki taqseem ka ) yeh moamla kuch aisa hi hai jaisay tumharay rab ney tumhen apney ghar say haq ki khatir nikala , jabkay musalmanon kay aik giroh ko yeh baat napasand thi .

  6. يُجَٰدِلُونَكَ فِي ٱلۡحَقِّ بَعۡدَمَا تَبَيَّنَ كَأَنَّمَا يُسَاقُونَ إِلَى ٱلۡمَوۡتِ وَهُمۡ يَنظُرُونَ

    آیت ⁦۸:۶⁩ کھولیں

    woh tum say haq kay moamlay mein uss kay wazeh hojaney kay bawajood iss tarah behas ker rahey thay jaisay unn ko moat ki taraf hanka kerlay jaya jaraha ho , aur woh ( ussay ) aankhon say dekh rahey hon .

  7. وَإِذۡ يَعِدُكُمُ ٱللَّهُ إِحۡدَى ٱلطَّآئِفَتَيۡنِ أَنَّهَا لَكُمۡ وَتَوَدُّونَ أَنَّ غَيۡرَ ذَاتِ ٱلشَّوۡكَةِ تَكُونُ لَكُمۡ وَيُرِيدُ ٱللَّهُ أَن يُحِقَّ ٱلۡحَقَّ بِكَلِمَٰتِهِۦ وَيَقۡطَعَ دَابِرَ ٱلۡكَٰفِرِينَ

    آیت ⁦۸:۷⁩ کھولیں

    aur woh waqt yaad kero jab Allah tum say yeh wada ker raha tha kay do girohon mein say koi aik tumhara hoga , aur tumhari khuwaish thi kay jiss giroh mein ( khatray ka ) koi kaantta nahi tha , woh tumhen milay aur Allah yeh chahta tha kay apney ehkaam say haq ko haq ker dikhaye , aur kafiron ki jarr kaat daalay .

  8. لِيُحِقَّ ٱلۡحَقَّ وَيُبۡطِلَ ٱلۡبَٰطِلَ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُجۡرِمُونَ

    آیت ⁦۸:۸⁩ کھولیں

    takay haq ka haq hona aur batil ka batil hona sabit kerday , chahye mujrim logon ko yeh baat kitni nagawar ho .

  9. إِذۡ تَسۡتَغِيثُونَ رَبَّكُمۡ فَٱسۡتَجَابَ لَكُمۡ أَنِّي مُمِدُّكُم بِأَلۡفٖ مِّنَ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةِ مُرۡدِفِينَ

    آیت ⁦۸:۹⁩ کھولیں

    yaad kero jab tum apney rab say fariyad ker rahey thay , to uss ney tumhari fariyad ka jawab diya kay mein tumhari madad kay liye aik hazar farishton ki kumak bhejney wala hun jo lagataar ayen gay .

  10. وَمَا جَعَلَهُ ٱللَّهُ إِلَّا بُشۡرَىٰ وَلِتَطۡمَئِنَّ بِهِۦ قُلُوبُكُمۡۚ وَمَا ٱلنَّصۡرُ إِلَّا مِنۡ عِندِ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌ 

    آیت ⁦۸:۱۰⁩ کھولیں

    aur yeh wada Allah ney kissi aur wajeh say nahi , balkay sirf iss liye kiya kay woh khushkhabri banay , aur takay tumharay dilon ko itminan hasil ho , werna madad kissi aur kay paas say nahi , sirf Allah kay paas say aati hai . yaqeenan Allah iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .

  11. إِذۡ يُغَشِّيكُمُ ٱلنُّعَاسَ أَمَنَةٗ مِّنۡهُ وَيُنَزِّلُ عَلَيۡكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ لِّيُطَهِّرَكُم بِهِۦ وَيُذۡهِبَ عَنكُمۡ رِجۡزَ ٱلشَّيۡطَٰنِ وَلِيَرۡبِطَ عَلَىٰ قُلُوبِكُمۡ وَيُثَبِّتَ بِهِ ٱلۡأَقۡدَامَ

    آیت ⁦۸:۱۱⁩ کھولیں

    yaad kero jab tum per say ghabrahat door kernay kay liye woh apney hukum say tum per ghunoodgi taari ker-raha tha , aur tum per aasman say paani barsa raha tha , takay uss kay zariye tumhen pak keray , tum say shetan ki gandagi door keray , tumharay dilon ki daahrus bandhaye , aur uss kay zariye ( tumharay ) paon achi tarah jama dey .

  12. إِذۡ يُوحِي رَبُّكَ إِلَى ٱلۡمَلَٰٓئِكَةِ أَنِّي مَعَكُمۡ فَثَبِّتُواْ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۚ سَأُلۡقِي فِي قُلُوبِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلرُّعۡبَ فَٱضۡرِبُواْ فَوۡقَ ٱلۡأَعۡنَاقِ وَٱضۡرِبُواْ مِنۡهُمۡ كُلَّ بَنَانٖ

    آیت ⁦۸:۱۲⁩ کھولیں

    woh waqt jab tumhara rab farishton ko wahi kay zariye hukum dey raha tha kay : mein tumharay sath hun , abb tum mominon kay qadam jamao mein kafiron kay dilon mein roab taari kerdun ga , phir tum gardanon kay oopper waar kero , aur unn ki ungliyon kay her her jorr per zarab lagao .

  13. ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ شَآقُّواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥۚ وَمَن يُشَاقِقِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَإِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ

    آیت ⁦۸:۱۳⁩ کھولیں

    yeh iss liye kay unhon ney Allah aur uss kay Rasool say dushmani mol li hai , aur agar koi shaks Allah aur uss kay Rasool say dushmani mol leta hai , to yaqeenan Allah ka azab bara sakht hai .

  14. ذَٰلِكُمۡ فَذُوقُوهُ وَأَنَّ لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابَ ٱلنَّارِ

    آیت ⁦۸:۱۴⁩ کھولیں

    yeh sabb to ( abb ) chakh lo , iss kay ilawa haqeeqat yeh hai kay kafiron kay liye ( asal ) azab dozakh ka hai .

  15. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا لَقِيتُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ زَحۡفٗا فَلَا تُوَلُّوهُمُ ٱلۡأَدۡبَارَ

    آیت ⁦۸:۱۵⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! jab kafiron say tumhara aamna samna hojaye , jabkay woh charrhai ker kay aarahey hon , to unn ko peeth matt dikhao .

  16. وَمَن يُوَلِّهِمۡ يَوۡمَئِذٖ دُبُرَهُۥٓ إِلَّا مُتَحَرِّفٗا لِّقِتَالٍ أَوۡ مُتَحَيِّزًا إِلَىٰ فِئَةٖ فَقَدۡ بَآءَ بِغَضَبٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَمَأۡوَىٰهُ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ

    آیت ⁦۸:۱۶⁩ کھولیں

    aur agar koi shaks kissi jangi chaal ki wajeh say aisa ker raha ho , ya apni kissi jamat say jaa milna chahta ho , uss ki baat to aur hai , magar uss kay siwa jo shaks aesay din apni peeth pheray ga to woh Allah ki taraf say ghazab ley ker lotay ga , aur uss ka thikana jahannum hoga , aur woh boht bura thikana hai .

  17. فَلَمۡ تَقۡتُلُوهُمۡ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ قَتَلَهُمۡۚ وَمَا رَمَيۡتَ إِذۡ رَمَيۡتَ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ رَمَىٰ وَلِيُبۡلِيَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ مِنۡهُ بَلَآءً حَسَنًاۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٞ

    آیت ⁦۸:۱۷⁩ کھولیں

    chunacheh ( musalmano ! haqeeqat mein ) tum ney unn ( kafiron ko ) qatal nahi kiya tha , balkay unhen Allah ney qatal kiya tha , aur ( aey payghumber ! ) jab tum ney unn per ( mitti ) phenki thi to woh tum ney nahi , balkay Allah ney phenki thi , aur ( tumharay haathon yeh kaam iss liye keraya tha ) takay uss kay zariye Allah mominon ko behtareen ajar ata keray . beyshak Allah her baat ko sunney wala , her cheez ko janney wala hai .

  18. ذَٰلِكُمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ مُوهِنُ كَيۡدِ ٱلۡكَٰفِرِينَ

    آیت ⁦۸:۱۸⁩ کھولیں

    yeh sabb kuch to apni jagah , iss kay ilawa yeh baat bhi thi kay Allah ko kafiron ki her sazish ko kamzor kerna tha .

  19. إِن تَسۡتَفۡتِحُواْ فَقَدۡ جَآءَكُمُ ٱلۡفَتۡحُۖ وَإِن تَنتَهُواْ فَهُوَ خَيۡرٞ لَّكُمۡۖ وَإِن تَعُودُواْ نَعُدۡ وَلَن تُغۡنِيَ عَنكُمۡ فِئَتُكُمۡ شَيۡـٔٗا وَلَوۡ كَثُرَتۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ مَعَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۸:۱۹⁩ کھولیں

    . ( aey kafiro ! ) agar tum faisla chahtay thay , to lo ! abb faisla tumharay samney aagaya . abb agar tum baaz aajao to yeh tumharay hi liye behtar hoga , aur agar tum phir wohi kaam kero gay ( jo abb tak kertay rahey ho ) to hum bhi phir wohi kaam keren gay ( jo abb kiya hai ) . aur tumhara jatha tumharay kuch kaam nahi aaye ga , chahye woh kitna ziyada ho , aur yaad rakho kay Allah mominon kay sath hai .

  20. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَلَا تَوَلَّوۡاْ عَنۡهُ وَأَنتُمۡ تَسۡمَعُونَ 

    آیت ⁦۸:۲۰⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! Allah aur uss kay Rasool ki tabey daari kero , aur iss ( tabey daari ) say mun naa morro , jabkay tum ( Allah aur Rasool kay ehkaam ) sunn rahey ho .

  21. وَلَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ قَالُواْ سَمِعۡنَا وَهُمۡ لَا يَسۡمَعُونَ

    آیت ⁦۸:۲۱⁩ کھولیں

    aur unn logon ki tarah naa hojana jo kehtay to hain kay hum ney sunn liya , magar woh ( haqeeqat mein ) suntay nahi hain .

  22. ۞إِنَّ شَرَّ ٱلدَّوَآبِّ عِندَ ٱللَّهِ ٱلصُّمُّ ٱلۡبُكۡمُ ٱلَّذِينَ لَا يَعۡقِلُونَ

    آیت ⁦۸:۲۲⁩ کھولیں

    yaqeen rakho kay Allah kay nazdeek bad-tareen janwer woh behray goongay log hain jo aqal say kaam nahi letay .

  23. وَلَوۡ عَلِمَ ٱللَّهُ فِيهِمۡ خَيۡرٗا لَّأَسۡمَعَهُمۡۖ وَلَوۡ أَسۡمَعَهُمۡ لَتَوَلَّواْ وَّهُم مُّعۡرِضُونَ

    آیت ⁦۸:۲۳⁩ کھولیں

    aur agar Allah kay ilm mein unn kay andar koi bhalai hoti to woh unn ko sunney ki tofiq dey deta , lekin abb ( jabkay unn mein bhalai nahi hai ) agar unn ko sunney ki tofiq dey bhi dey to woh mun morr ker bhag jayen gay .

  24. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱسۡتَجِيبُواْ لِلَّهِ وَلِلرَّسُولِ إِذَا دَعَاكُمۡ لِمَا يُحۡيِيكُمۡۖ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَحُولُ بَيۡنَ ٱلۡمَرۡءِ وَقَلۡبِهِۦ وَأَنَّهُۥٓ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ

    آیت ⁦۸:۲۴⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! Allah aur Rasool ki dawat qubool kero , jab Rasool tumhen uss baat ki taraf bulaye jo tumhen zindagi bakhshney wali hai . aur yeh baat jaan rakho kay Allah insan aur uss kay dil kay darmiyan aarr ban jata hai , aur yeh kay tum sabb ko ussi ki taraf ikattha ker kay ley jaya jaye ga .

  25. وَٱتَّقُواْ فِتۡنَةٗ لَّا تُصِيبَنَّ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنكُمۡ خَآصَّةٗۖ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ

    آیت ⁦۸:۲۵⁩ کھولیں

    aur daro uss wabal say jo tum mein say sirf unn logon per nahi parray ga jinhon ney zulm kiya hoga , aur jaan rakho kay Allah ka azab bara sakht hai .

  26. وَٱذۡكُرُوٓاْ إِذۡ أَنتُمۡ قَلِيلٞ مُّسۡتَضۡعَفُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ تَخَافُونَ أَن يَتَخَطَّفَكُمُ ٱلنَّاسُ فَـَٔاوَىٰكُمۡ وَأَيَّدَكُم بِنَصۡرِهِۦ وَرَزَقَكُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ

    آیت ⁦۸:۲۶⁩ کھولیں

    aur woh waqt yaad kero jab tum tadaad mein thoray thay , tumhen logon ney ( tumhari ) sarzameen mein daba ker rakha huwa tha , tum dartay thay kay log tumhen uchak kerlay jayen gay . phir Allah ney tumhen thikana diya , aur apni madad say tumhen mazboot bana diya , aur tumhen pakeezah cheezon ka rizq ata kiya , takay tum shuker kero .

  27. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَخُونُواْ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ وَتَخُونُوٓاْ أَمَٰنَٰتِكُمۡ وَأَنتُمۡ تَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۸:۲۷⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! Allah aur Rasool say bey wafai naa kerna , aur naa jantay boojhtay apni amanton mein khayanat kay murtakib hona .

  28. وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَآ أَمۡوَٰلُكُمۡ وَأَوۡلَٰدُكُمۡ فِتۡنَةٞ وَأَنَّ ٱللَّهَ عِندَهُۥٓ أَجۡرٌ عَظِيمٞ

    آیت ⁦۸:۲۸⁩ کھولیں

    aur yeh baat samajh lo kay tumharay maal aur tumhari aulad aik aazmaesh hain , aur yeh kay azeem inaam Allah hi kay paas hai .

  29. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِن تَتَّقُواْ ٱللَّهَ يَجۡعَل لَّكُمۡ فُرۡقَانٗا وَيُكَفِّرۡ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡۗ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ

    آیت ⁦۸:۲۹⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! agar tum Allah kay sath taqwa ki rawish ikhtiyar kero gay to woh tumhen ( haq o batil ki ) tameez ata kerday ga , aur tumhari buraiyon ka kaffara kerday ga , aur tumhen maghfirat say nawazay ga , aur Allah fazal-e-azeem ka malik hai .

  30. وَإِذۡ يَمۡكُرُ بِكَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِيُثۡبِتُوكَ أَوۡ يَقۡتُلُوكَ أَوۡ يُخۡرِجُوكَۚ وَيَمۡكُرُونَ وَيَمۡكُرُ ٱللَّهُۖ وَٱللَّهُ خَيۡرُ ٱلۡمَٰكِرِينَ 

    آیت ⁦۸:۳۰⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) woh waqt yaad kero jab kafir log tumharay khilaf mansoobay bana rahey thay kay tumhen girftaar kerlen , ya tumhen qatal kerden , ya tumhen ( watan say ) nikal den . woh apney mansoobay bana rahey thay , aur Allah apna mansooba bana raha tha , aur Allah sabb say behtar mansooba bananey wala hai .

  31. وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا قَالُواْ قَدۡ سَمِعۡنَا لَوۡ نَشَآءُ لَقُلۡنَا مِثۡلَ هَٰذَآ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۸:۳۱⁩ کھولیں

    aur jab unn kay samney humari aayaton ki tilawat ki jati hai to yeh kehtay hain kay : ( bus ! ) hum ney sunn liya , agar hum chahen to iss jaisi baaten hum bhi keh layen . yeh ( Quran ) aur kuch nahi , sirf pichlay logon kay afsaney hain .

  32. وَإِذۡ قَالُواْ ٱللَّهُمَّ إِن كَانَ هَٰذَا هُوَ ٱلۡحَقَّ مِنۡ عِندِكَ فَأَمۡطِرۡ عَلَيۡنَا حِجَارَةٗ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ أَوِ ٱئۡتِنَا بِعَذَابٍ أَلِيمٖ

    آیت ⁦۸:۳۲⁩ کھولیں

    . ( aur aik waqt woh tha ) jab enhon ney kaha tha kay : ya Allah ! agar yeh ( Quran ) hi woh haq hai jo teri taraf say aaya hai to hum per aasman say pathraon ki barish barsa dey , ya hum per koi aur takleef deh azab daal dey .

  33. وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُعَذِّبَهُمۡ وَأَنتَ فِيهِمۡۚ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ مُعَذِّبَهُمۡ وَهُمۡ يَسۡتَغۡفِرُونَ

    آیت ⁦۸:۳۳⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) Allah aisa nahi hai kay inn ko iss halat mein azab dey jab tum inn kay darmiyan mojood ho , aur Allah iss halat mein bhi inn ko azab denay wala nahi hai jab woh astaghfaar kertay hon .

  34. وَمَا لَهُمۡ أَلَّا يُعَذِّبَهُمُ ٱللَّهُ وَهُمۡ يَصُدُّونَ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ وَمَا كَانُوٓاْ أَوۡلِيَآءَهُۥٓۚ إِنۡ أَوۡلِيَآؤُهُۥٓ إِلَّا ٱلۡمُتَّقُونَ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۸:۳۴⁩ کھولیں

    aur bhala inn mein kiya khoobi hai kay Allah inn ko azab naa dey jabkay woh logon ko masjid-e-haram say roktay hain , halankay woh uss kay mutawalli nahi hain . muttaqi logon kay siwa kissi qisam kay log uss kay mutawalli nahi hosaktay , lekin unn mein say aksar log ( iss baat ko ) nahi jantay .

  35. وَمَا كَانَ صَلَاتُهُمۡ عِندَ ٱلۡبَيۡتِ إِلَّا مُكَآءٗ وَتَصۡدِيَةٗۚ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ

    آیت ⁦۸:۳۵⁩ کھولیں

    aur baitullah kay paas unn ki namaz seetiyan bajaney aur taliyan peetney kay siwa kuch bhi nahi . lehaza ( aey kafiro ! ) jo kafirana baaten tum kertay rahey ho , unn ki wajeh say abb azab ka maza chakho .

  36. إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يُنفِقُونَ أَمۡوَٰلَهُمۡ لِيَصُدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ فَسَيُنفِقُونَهَا ثُمَّ تَكُونُ عَلَيۡهِمۡ حَسۡرَةٗ ثُمَّ يُغۡلَبُونَۗ وَٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِلَىٰ جَهَنَّمَ يُحۡشَرُونَ

    آیت ⁦۸:۳۶⁩ کھولیں

    jinn logon ney kufr apna liya hai woh apney maal iss kaam kay liye kharch ker rahey hain kay logon ko Allah kay raastay say roken , nateeja yeh hoga kay yeh log kharch to keren gay , magar phir yeh sabb kuch inn kay liye hasrat ka sabab ban jaye ga , aur aakhir kaar yeh maghloob hojayen gay . aur ( aakhirat mein ) inn kafir logon ko jahannum ki taraf ikattha ker kay laya jaye ga .

  37. لِيَمِيزَ ٱللَّهُ ٱلۡخَبِيثَ مِنَ ٱلطَّيِّبِ وَيَجۡعَلَ ٱلۡخَبِيثَ بَعۡضَهُۥ عَلَىٰ بَعۡضٖ فَيَرۡكُمَهُۥ جَمِيعٗا فَيَجۡعَلَهُۥ فِي جَهَنَّمَۚ أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ

    آیت ⁦۸:۳۷⁩ کھولیں

    takay Allah napak ( logon ) ko pak ( logon ) say alag kerday , aur aik napak ko doosray napak per rakh ker sabb ka aik dher banaye , aur uss dher ko jahannum mein daal dey . yehi log hain jo sarasar khasaray mein hain .

  38. قُل لِّلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِن يَنتَهُواْ يُغۡفَرۡ لَهُم مَّا قَدۡ سَلَفَ وَإِن يَعُودُواْ فَقَدۡ مَضَتۡ سُنَّتُ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۸:۳۸⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) jinn logon ney kufr apna liya hai unn say keh do kay : agar woh baaz aajayen to pehlay unn say jo kuch huwa hai , ussay moaaf kerdiya jaye ga . aur agar woh phir wohi kaam keren gay to pichlay logon kay sath jo moamla huwa , woh ( unn kay samney ) guzar hi chuka hai .

  39. وَقَٰتِلُوهُمۡ حَتَّىٰ لَا تَكُونَ فِتۡنَةٞ وَيَكُونَ ٱلدِّينُ كُلُّهُۥ لِلَّهِۚ فَإِنِ ٱنتَهَوۡاْ فَإِنَّ ٱللَّهَ بِمَا يَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ

    آیت ⁦۸:۳۹⁩ کھولیں

    aur ( musalmano ! ) inn kafiron say larrtay raho , yahan tak kay fitna baqi naa rahey , aur deen pooray ka poora Allah ka hojaye . phir agar yeh baaz aajayen to inn kay aemal ko Allah khoob dekh raha hai .

  40. وَإِن تَوَلَّوۡاْ فَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ مَوۡلَىٰكُمۡۚ نِعۡمَ ٱلۡمَوۡلَىٰ وَنِعۡمَ ٱلنَّصِيرُ 

    آیت ⁦۸:۴۰⁩ کھولیں

    aur agar yeh mun morray rakhen , to yaqeen jano kay Allah tumhara rakhwala hai , behtareen rakhwala aur behtareen madadgaar !

  41. ۞وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَا غَنِمۡتُم مِّن شَيۡءٖ فَأَنَّ لِلَّهِ خُمُسَهُۥ وَلِلرَّسُولِ وَلِذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَٱبۡنِ ٱلسَّبِيلِ إِن كُنتُمۡ ءَامَنتُم بِٱللَّهِ وَمَآ أَنزَلۡنَا عَلَىٰ عَبۡدِنَا يَوۡمَ ٱلۡفُرۡقَانِ يَوۡمَ ٱلۡتَقَى ٱلۡجَمۡعَانِۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ

    آیت ⁦۸:۴۱⁩ کھولیں

    aur ( musalmano ! ) yeh baat apney ilm mein ley aao kay tum jo kuch maal-e-ghaneemat hasil kero , uss ka paanchwan hissa Allah aur Rasool aur unn kay qurbat qraabat daaron aur yateemon aur miskeeno aur musfiron ka haq hai ( jiss ki adaegi tum per wajib hai , ) agar tum Allah per aur uss cheez per emaan rakhtay ho jo hum ney apney banday per faislay kay din nazil ki thi , jiss din do jamaten baham takrai then , aur Allah her cheez per qadir hai .

  42. إِذۡ أَنتُم بِٱلۡعُدۡوَةِ ٱلدُّنۡيَا وَهُم بِٱلۡعُدۡوَةِ ٱلۡقُصۡوَىٰ وَٱلرَّكۡبُ أَسۡفَلَ مِنكُمۡۚ وَلَوۡ تَوَاعَدتُّمۡ لَٱخۡتَلَفۡتُمۡ فِي ٱلۡمِيعَٰدِ وَلَٰكِن لِّيَقۡضِيَ ٱللَّهُ أَمۡرٗا كَانَ مَفۡعُولٗا لِّيَهۡلِكَ مَنۡ هَلَكَ عَنۢ بَيِّنَةٖ وَيَحۡيَىٰ مَنۡ حَيَّ عَنۢ بَيِّنَةٖۗ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَسَمِيعٌ عَلِيمٌ

    آیت ⁦۸:۴۲⁩ کھولیں

    woh waqt yaad kero jab tum log wadi kay qareeb walay kinaray per thay , aur woh log door walay kinaray per , aur qafla tum say neechay ki taraf . aur agar tum pehlay say ( larraee ka ) waqt aapas mein tey kertay to waqt tey kernay mein tumharay darmiyan zaroor ikhtilaf hojata , lekin yeh waqiaa ( kay pehlay say tey kiye baghair lashkar takra gaye ) iss liye huwa kay jo kaam ho ker rehna tha , Allah ussay poora ker dikhaye , takay jissay barbad hona ho , woh wazeh daleel dekh ker barbad ho , aur jissay zinda rehna ho woh wazeh daleel dekh ker zinda rahey , aur Allah her baat sunney wala , her cheez janney wala hai .

  43. إِذۡ يُرِيكَهُمُ ٱللَّهُ فِي مَنَامِكَ قَلِيلٗاۖ وَلَوۡ أَرَىٰكَهُمۡ كَثِيرٗا لَّفَشِلۡتُمۡ وَلَتَنَٰزَعۡتُمۡ فِي ٱلۡأَمۡرِ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ سَلَّمَۚ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ

    آیت ⁦۸:۴۳⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) woh waqt yaad kero jab Allah khuwab mein tumhen unn ( dushmanon ) ki tadaad kam dikha raha tha , aur agar tumhen unn ki tadaad ziyada dikha deta to ( aey musalmano ! ) tum himmat haar jatay , aur tumharay darmiyan iss moamlay mein ikhtilaf peda hojata , lekin Allah ney ( tumhen uss say ) bacha liya . yaqeenan woh seenon mein chupi baaten khoob janta hai .

  44. وَإِذۡ يُرِيكُمُوهُمۡ إِذِ ٱلۡتَقَيۡتُمۡ فِيٓ أَعۡيُنِكُمۡ قَلِيلٗا وَيُقَلِّلُكُمۡ فِيٓ أَعۡيُنِهِمۡ لِيَقۡضِيَ ٱللَّهُ أَمۡرٗا كَانَ مَفۡعُولٗاۗ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ

    آیت ⁦۸:۴۴⁩ کھولیں

    aur woh waqt yaad kero kay jab tum aik doosray kay madd-e-muqabil aaye thay to Allah tumhari nigahon mein unn ki tadaad kam dikha raha tha , aur unn ki nigahon mein tumhen kam ker kay dikha raha tha , takay jo kaam ho ker rehna tha , Allah ussay poora ker dikhaye . aur tamam moamlaat Allah hi ki taraf lotaye jatay hain .

  45. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا لَقِيتُمۡ فِئَةٗ فَٱثۡبُتُواْ وَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ كَثِيرٗا لَّعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ

    آیت ⁦۸:۴۵⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! jab tumhara kissi giroh say muqabla hojaye to sabit qadam raho , aur Allah ka kasrat say ziker kero , takay tumhen kamiyabi hasil ho .

  46. وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَلَا تَنَٰزَعُواْ فَتَفۡشَلُواْ وَتَذۡهَبَ رِيحُكُمۡۖ وَٱصۡبِرُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ مَعَ ٱلصَّٰبِرِينَ

    آیت ⁦۸:۴۶⁩ کھولیں

    aur Allah aur uss kay Rasool ki itaat kero , aur aapas mein jhagrra naa kero , werna tum kamzor parr-jao gay , aur tumhari huwa ukhar jaye gi . aur sabar say kaam lo . yaqeen rakho kay Allah sabar kernay walon kay sath hai .

  47. وَلَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ خَرَجُواْ مِن دِيَٰرِهِم بَطَرٗا وَرِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَيَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ وَٱللَّهُ بِمَا يَعۡمَلُونَ مُحِيطٞ

    آیت ⁦۸:۴۷⁩ کھولیں

    aur unn logon ki tarah naa hojana jo apney gharon say akartay huye , aur logon ko apni shaan dikhatay huye niklay thay , aur doosron ko Allah kay raastay say rok rahey thay . aur Allah ney logon kay saray aemal ko ( apney ilm kay ) ehatay mein liya huwa hai .

  48. وَإِذۡ زَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَعۡمَٰلَهُمۡ وَقَالَ لَا غَالِبَ لَكُمُ ٱلۡيَوۡمَ مِنَ ٱلنَّاسِ وَإِنِّي جَارٞ لَّكُمۡۖ فَلَمَّا تَرَآءَتِ ٱلۡفِئَتَانِ نَكَصَ عَلَىٰ عَقِبَيۡهِ وَقَالَ إِنِّي بَرِيٓءٞ مِّنكُمۡ إِنِّيٓ أَرَىٰ مَا لَا تَرَوۡنَ إِنِّيٓ أَخَافُ ٱللَّهَۚ وَٱللَّهُ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ

    آیت ⁦۸:۴۸⁩ کھولیں

    aur woh waqt ( bhi qabil-e-ziker hai ) jab shetan ney unn ( kafiron ) ko yeh sujhaya tha kay unn kay aemal baray khushnuma hain , aur yeh kaha tha kay : aaj insanon mein koi nahi hai jo tum per ghalib aa-sakay , aur mein tumhara mohafiz hun . phir jab dono giroh aamney samney aaye to woh aeriyon kay ball peechay hata , aur kehney laga : mein tumhari koi zimma daari nahi ley sakta , mujhay jo kuch nazar aaraha hai , woh tumhen nazar nahi aaraha . mujhay Allah say darr lagg raha hai , aur Allah ka azab bara sakht hai .

  49. إِذۡ يَقُولُ ٱلۡمُنَٰفِقُونَ وَٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٌ غَرَّ هَٰٓؤُلَآءِ دِينُهُمۡۗ وَمَن يَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِ فَإِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٞ

    آیت ⁦۸:۴۹⁩ کھولیں

    aur yaad kero jab munafiqeen aur woh log jinn kay dilon mein rog tha , yeh keh rahey thay kay : inn ( musalmanon ) ko inn kay deen ney dhokay mein daal rakha hai . halankay jo koi Allah per bharosa keray to Allah sabb per ghalib hai , bari hikmat wala hai .

  50. وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذۡ يَتَوَفَّى ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ يَضۡرِبُونَ وُجُوهَهُمۡ وَأَدۡبَٰرَهُمۡ وَذُوقُواْ عَذَابَ ٱلۡحَرِيقِ 

    آیت ⁦۸:۵۰⁩ کھولیں

    aur agar tum dekhtay ( to woh ajeeb manzar tha ) jab farishtay unn kafiron ki rooh qabz ker rahey thay , unn kay chehron aur pusht per maartay jatay thay , ( aur kehtay jatay thay kay : ) abb jalney kay azab ka maza ( bhi ) chakhna .

  51. ذَٰلِكَ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيكُمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ لَيۡسَ بِظَلَّٰمٖ لِّلۡعَبِيدِ

    آیت ⁦۸:۵۱⁩ کھولیں

    yeh sabb kuch unn aemal ka badla hai jo tum ney apney haathon aagay bhej rakhay thay , aur yeh baat tey hai kay Allah bandon per zulm kernay wala nahi hai .

  52. كَدَأۡبِ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ فَأَخَذَهُمُ ٱللَّهُ بِذُنُوبِهِمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ قَوِيّٞ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ

    آیت ⁦۸:۵۲⁩ کھولیں

    . ( inn logon ka haal aisa hi huwa ) jaisa firon ki qoam aur unn say pehlay logon ka haal huwa tha . unhon ney Allah ki nishaniyon ko manney say inkar kiya , nateeja yeh huwa kay Allah ney unn kay gunahon ki wajeh say unhen apni girift mein ley liya . yaqeenan Allah ki taqat bari hai ( aur ) azab bara sakht !

  53. ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ لَمۡ يَكُ مُغَيِّرٗا نِّعۡمَةً أَنۡعَمَهَا عَلَىٰ قَوۡمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُواْ مَا بِأَنفُسِهِمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٞ

    آیت ⁦۸:۵۳⁩ کھولیں

    yeh sabb kuch iss liye huwa kay Allah ka dastoor yeh hai kay uss ney jo naimat kissi qoam ko di ho , ussay uss waqt tak badalna gawara nahi kerta jab tak woh log khud apni halat tabdeel naa kerlen , aur Allah her baat sunta , sabb kuch janta hai .

  54. كَدَأۡبِ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمۡ فَأَهۡلَكۡنَٰهُم بِذُنُوبِهِمۡ وَأَغۡرَقۡنَآ ءَالَ فِرۡعَوۡنَۚ وَكُلّٞ كَانُواْ ظَٰلِمِينَ

    آیت ⁦۸:۵۴⁩ کھولیں

    . ( iss moamlay mein bhi unn ka haal ) aisa hi huwa jaisa firon ki qoam aur unn say pehlay logon ka haal huwa tha . unhon ney apney rab ki nishaniyon ko jhutlaya . nateeja yeh huwa kay hum ney unn kay gunahon ki wajeh say unhen halak kerdiya , aur firon ki qoam ko gharq kerdiya , aur yeh sab zalim log thay .

  55. إِنَّ شَرَّ ٱلدَّوَآبِّ عِندَ ٱللَّهِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۸:۵۵⁩ کھولیں

    yaqeen jano kay Allah kay nazdeek zameen per chalney walay jaan daaron mein bad-tareen log woh hain jinhon ney kufr apna liya hai , jiss ki wajeh say woh emaan nahi latay .

  56. ٱلَّذِينَ عَٰهَدتَّ مِنۡهُمۡ ثُمَّ يَنقُضُونَ عَهۡدَهُمۡ فِي كُلِّ مَرَّةٖ وَهُمۡ لَا يَتَّقُونَ

    آیت ⁦۸:۵۶⁩ کھولیں

    yeh log woh hain jinn say tum ney ehad ley rakha hai , iss kay bawajood yeh her martaba apney ehad ko torr detay hain , aur zara nahi dartay .

  57. فَإِمَّا تَثۡقَفَنَّهُمۡ فِي ٱلۡحَرۡبِ فَشَرِّدۡ بِهِم مَّنۡ خَلۡفَهُمۡ لَعَلَّهُمۡ يَذَّكَّرُونَ

    آیت ⁦۸:۵۷⁩ کھولیں

    lehaza agar kabhi yeh log jang mein tumharay haath lagg jayen to , inn ko saman-e-ibrat bana ker unn logon ko bhi tittar-bittar ker daalo jo inn kay peechay hain , takay woh yaad rakhen .

  58. وَإِمَّا تَخَافَنَّ مِن قَوۡمٍ خِيَانَةٗ فَٱنۢبِذۡ إِلَيۡهِمۡ عَلَىٰ سَوَآءٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلۡخَآئِنِينَ

    آیت ⁦۸:۵۸⁩ کھولیں

    aur agar tumhen kissi qoam say bad-ehadi ka andesha ho to tum woh moahida unn ki taraf saaf seedhay tareeqay say phenk do . yaad rakho kay Allah badd ehadi kernay walon ko pasand nahi kerta .

  59. وَلَا يَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ سَبَقُوٓاْۚ إِنَّهُمۡ لَا يُعۡجِزُونَ

    آیت ⁦۸:۵۹⁩ کھولیں

    aur kafir log hergiz yeh khayal bhi dil mein naa layen kay woh bhag niklay hain . yeh yaqeeni baat hai kay woh ( Allah ko ) aajiz nahi ker-saktay .

  60. وَأَعِدُّواْ لَهُم مَّا ٱسۡتَطَعۡتُم مِّن قُوَّةٖ وَمِن رِّبَاطِ ٱلۡخَيۡلِ تُرۡهِبُونَ بِهِۦ عَدُوَّ ٱللَّهِ وَعَدُوَّكُمۡ وَءَاخَرِينَ مِن دُونِهِمۡ لَا تَعۡلَمُونَهُمُ ٱللَّهُ يَعۡلَمُهُمۡۚ وَمَا تُنفِقُواْ مِن شَيۡءٖ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ يُوَفَّ إِلَيۡكُمۡ وَأَنتُمۡ لَا تُظۡلَمُونَ 

    آیت ⁦۸:۶۰⁩ کھولیں

    aur ( musalmano ! ) jiss qadar taqat aur ghorron ki jitni chaoniyan tum say ban parren , unn say muqablay kay liye tayyar kero , jinn kay zariye tum Allah kay dushman aur apney ( mojooda ) dushman per bhi heybat taari ker-sako-? , aur inn kay ilawa doosron per bhi jinhen abhi tum nahi jantay , ( magar ) Allah unhen janta hai . aur Allah kay raastay mein tum jo kuch kharch kero gay , woh tumhen poora poora dey diya jaye ga , aur tumharay liye koi kami nahi ki jaye gi .

  61. ۞وَإِن جَنَحُواْ لِلسَّلۡمِ فَٱجۡنَحۡ لَهَا وَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ

    آیت ⁦۸:۶۱⁩ کھولیں

    aur agar woh log sulah ki taraf jhuken to tum bhi uss ki taraf jhuk jao , aur Allah per bharosa rakho . yaqeen jano wohi hai jo her baat sunta , sabb kuch janta hai .

  62. وَإِن يُرِيدُوٓاْ أَن يَخۡدَعُوكَ فَإِنَّ حَسۡبَكَ ٱللَّهُۚ هُوَ ٱلَّذِيٓ أَيَّدَكَ بِنَصۡرِهِۦ وَبِٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۸:۶۲⁩ کھولیں

    aur agar woh tumhen dhoka denay ka irada keren gay to Allah tumharay liye kafi hai . wohi to hai jiss ney apni madad kay zariye aur mominon kay zariye tumharay haath mazboot kiye .

  63. وَأَلَّفَ بَيۡنَ قُلُوبِهِمۡۚ لَوۡ أَنفَقۡتَ مَا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا مَّآ أَلَّفۡتَ بَيۡنَ قُلُوبِهِمۡ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ أَلَّفَ بَيۡنَهُمۡۚ إِنَّهُۥ عَزِيزٌ حَكِيمٞ

    آیت ⁦۸:۶۳⁩ کھولیں

    aur unn kay dilon mein aik doosray ki ulfat peda kerdi . agar tum zameen bhar ki sari dolat bhi kharch kerletay to unn kay dilon mein yeh ulfat peda naa ker-saktay , lekin Allah ney unn kay dilon ko jorr diya . woh yaqeenan iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .

  64. يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ حَسۡبُكَ ٱللَّهُ وَمَنِ ٱتَّبَعَكَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۸:۶۴⁩ کھولیں

    aey nabi ! tumharay liye to bus Allah aur woh momin log kafi hain jinhon ney tumhari perwi ki hai .

  65. يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ حَرِّضِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ عَلَى ٱلۡقِتَالِۚ إِن يَكُن مِّنكُمۡ عِشۡرُونَ صَٰبِرُونَ يَغۡلِبُواْ مِاْئَتَيۡنِۚ وَإِن يَكُن مِّنكُم مِّاْئَةٞ يَغۡلِبُوٓاْ أَلۡفٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَفۡقَهُونَ

    آیت ⁦۸:۶۵⁩ کھولیں

    aey nabi ! mominon ko jang per ubharo . agar tumharay bees aadmi aesay hon gay jo sabit qadam rehney walay hon to woh do so per ghalib aajayen gay . aur agar tumharay so aadmi hon gay to woh kafiron kay aik hazar per ghalib aajayen gay , kiyonkay woh aesay log hain jo samajh nahi rakhtay .

  66. ٱلۡـَٰٔنَ خَفَّفَ ٱللَّهُ عَنكُمۡ وَعَلِمَ أَنَّ فِيكُمۡ ضَعۡفٗاۚ فَإِن يَكُن مِّنكُم مِّاْئَةٞ صَابِرَةٞ يَغۡلِبُواْ مِاْئَتَيۡنِۚ وَإِن يَكُن مِّنكُمۡ أَلۡفٞ يَغۡلِبُوٓاْ أَلۡفَيۡنِ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ مَعَ ٱلصَّٰبِرِينَ

    آیت ⁦۸:۶۶⁩ کھولیں

    loa abb Allah ney tum say bojh halka kerdiya , aur uss kay ilm mein hai kay tumharay andar kuch kamzori hai . lehaza ( abb hukum yeh hai kay ) agar tumharay sabit qadam rehney walay so aadmi hon to woh do so per ghalib aajayen gay , aur agar tumharay aik hazar aadmi hon to woh Allah kay hukum say do hazar per ghalib aajayen gay , aur Allah sabit qadam rehney walon kay sath hai .

  67. مَا كَانَ لِنَبِيٍّ أَن يَكُونَ لَهُۥٓ أَسۡرَىٰ حَتَّىٰ يُثۡخِنَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ تُرِيدُونَ عَرَضَ ٱلدُّنۡيَا وَٱللَّهُ يُرِيدُ ٱلۡأٓخِرَةَۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٞ

    آیت ⁦۸:۶۷⁩ کھولیں

    yeh baat kissi nabi kay shayaan shaan nahi hai kay uss kay paas qedi rahen , jab tak kay woh zameen mein ( dushmanon ka ) khoon achi tarah naa baha chuka ho , ( jiss say unn ka roab poori tarah toot jaye ) tum duniya ka saz-o-saman chahtay ho , aur Allah ( tumharay liye ) aakhirat ( ki bhalai ) chahta hai , aur Allah sahab-e-iqtidar bhi hai , sahab-e-hikmat bhi .

  68. لَّوۡلَا كِتَٰبٞ مِّنَ ٱللَّهِ سَبَقَ لَمَسَّكُمۡ فِيمَآ أَخَذۡتُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٞ

    آیت ⁦۸:۶۸⁩ کھولیں

    agar Allah ki taraf say aik likha huwa hukum pehlay naa aa-chuka hota to jo raasta tum ney ikhtiyar kiya , uss ki wajeh say tum per koi bari saza aajati .

  69. فَكُلُواْ مِمَّا غَنِمۡتُمۡ حَلَٰلٗا طَيِّبٗاۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ

    آیت ⁦۸:۶۹⁩ کھولیں

    lehaza abb tum ney jo maal-e-ghaneemat mein hasil kiya hai , ussay pakeezah halal maal kay tor per khao , aur Allah say dartay raho . yaqeenan Allah boht bakhshney wala , bara meharban hai .

  70. يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ قُل لِّمَن فِيٓ أَيۡدِيكُم مِّنَ ٱلۡأَسۡرَىٰٓ إِن يَعۡلَمِ ٱللَّهُ فِي قُلُوبِكُمۡ خَيۡرٗا يُؤۡتِكُمۡ خَيۡرٗا مِّمَّآ أُخِذَ مِنكُمۡ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ 

    آیت ⁦۸:۷۰⁩ کھولیں

    aey nabi ! tum logon kay haathon mein jo qedi hain , ( aur jinhon ney musalman honey ka irada zahir kiya hai ) unn say keh do kay : agar Allah tumharay dilon mein bhalai dekhay ga to jo maal tum say ( fidya mein ) liya gaya hai uss say behtar tumhen deydey ga , aur tumhari bakhshish kerday ga , aur Allah boht bakhshney wala , bara meharban hai .

  71. وَإِن يُرِيدُواْ خِيَانَتَكَ فَقَدۡ خَانُواْ ٱللَّهَ مِن قَبۡلُ فَأَمۡكَنَ مِنۡهُمۡۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ

    آیت ⁦۸:۷۱⁩ کھولیں

    aur agar unn logon ney ( aey nabi ! ) tum say khayanat kernay ka irada kiya , to yeh iss say pehlay Allah kay sath khayanat ker-chukay hain , jiss kay nateejay mein Allah ney enhen tumharay qaboo mein dey diya , aur Allah ka ilm bhi kamil hai , hikmat bhi kamil .

  72. إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَهَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلَّذِينَ ءَاوَواْ وَّنَصَرُوٓاْ أُوْلَٰٓئِكَ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٖۚ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَلَمۡ يُهَاجِرُواْ مَا لَكُم مِّن وَلَٰيَتِهِم مِّن شَيۡءٍ حَتَّىٰ يُهَاجِرُواْۚ وَإِنِ ٱسۡتَنصَرُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ فَعَلَيۡكُمُ ٱلنَّصۡرُ إِلَّا عَلَىٰ قَوۡمِۭ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُم مِّيثَٰقٞۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ

    آیت ⁦۸:۷۲⁩ کھولیں

    jo log emaan laye hain , aur unhon ney hijrat ki hai , aur apney maalon aur janon say Allah kay raastay mein jihad kiya hai , woh aur jinhon ney unn ko ( madina mein ) abad kiya , aur unn ki madad ki , yeh sabb log aapas mein aik doosray kay wali waris hain . aur jo log emaan ley aaye hain , ( magar ) unhon ney hijrat nahi ki , jab tak woh hijrat naa kerlen , ( aey musalmano ! ) tumhara unn say virasat ka koi rishta nahi hai . haan agar deen ki wajeh say woh tum say koi madad maangen to tum per unn ki madad wajib hai , siwaye uss soorat kay jabkay woh madad kissi aesi qoam kay khilaf ho jiss kay sath tumhara koi moahida hai . aur jo kuch tum kertay ho , Allah ussay achi tarah dekhta hai .

  73. وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٍۚ إِلَّا تَفۡعَلُوهُ تَكُن فِتۡنَةٞ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَفَسَادٞ كَبِيرٞ

    آیت ⁦۸:۷۳⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney kufr apna rakha hai , woh aapas mein aik doosray kay wali waris hain . agar tum aisa nahi kero gay to zameen mein fitna aur bara fasad barpa hoga .

  74. وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَهَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلَّذِينَ ءَاوَواْ وَّنَصَرُوٓاْ أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ حَقّٗاۚ لَّهُم مَّغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ

    آیت ⁦۸:۷۴⁩ کھولیں

    aur jo log emaan ley aaye , aur unhon ney hijrat ki , aur Allah kay raastay mein jihad kiya , woh aur jinhon ney unhen abad kiya , aur unn ki madad ki , woh sabb sahih maani mein momin hain . aesay log maghfirat aur ba-izzat rizq kay mustahiq hain .

  75. وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنۢ بَعۡدُ وَهَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ مَعَكُمۡ فَأُوْلَٰٓئِكَ مِنكُمۡۚ وَأُوْلُواْ ٱلۡأَرۡحَامِ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلَىٰ بِبَعۡضٖ فِي كِتَٰبِ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمُۢ

    آیت ⁦۸:۷۵⁩ کھولیں

    aur jinhon ney baad mein emaan qubool kiya , aur hijrat ki , aur tumharay sath jihad kiya , to woh bhi tum mein shamil hain . aur ( unn mein say ) jo log ( puraney mohajreen kay ) rishta daar hain , woh Allah ki kitab mein aik doosray ( ki meeras kay doosron say ) ziyada haq daar hain . yaqeenan Allah her cheez ka poora poora ilm rakhta hai .