التكاثر
At-Takaathur
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
أَلۡهَىٰكُمُ ٱلتَّكَاثُرُ
آیت ۱۰۲:۱ کھولیںaik doosray say barh charh ker ( duniya ka aesh ) hasil kernay ki hawas ney tumhen ghaflat mein daal rakha hai ,
حَتَّىٰ زُرۡتُمُ ٱلۡمَقَابِرَ
آیت ۱۰۲:۲ کھولیںyahan tak kay tum qabarstanon mein phonch jatay ho ,
كَلَّا سَوۡفَ تَعۡلَمُونَ
آیت ۱۰۲:۳ کھولیںhergiz aisa nahi chahiye . tumhen unqareeb sabb pata chal jaye ga ,
ثُمَّ كَلَّا سَوۡفَ تَعۡلَمُونَ
آیت ۱۰۲:۴ کھولیںphir ( sunn lo kay : ) hergiz aisa nahi chahiye . tumhen unqareeb sabb pata chal jaye ga .
كَلَّا لَوۡ تَعۡلَمُونَ عِلۡمَ ٱلۡيَقِينِ
آیت ۱۰۲:۵ کھولیںhergiz nahi ! agar tum yaqeeni ilm kay sath yeh baat jantay hotay ( to aisa naa kertay )
لَتَرَوُنَّ ٱلۡجَحِيمَ
آیت ۱۰۲:۶ کھولیںyaqeen jano tum dozakh ko zaroor dekho gay ,
ثُمَّ لَتَرَوُنَّهَا عَيۡنَ ٱلۡيَقِينِ
آیت ۱۰۲:۷ کھولیںphir yaqeen jano kay tum ussay bilkul yaqeen kay sath dekh lo gay .
ثُمَّ لَتُسۡـَٔلُنَّ يَوۡمَئِذٍ عَنِ ٱلنَّعِيمِ
آیت ۱۰۲:۸ کھولیںphir tum say uss din naimaton kay baaray mein poocha jaye ga ( kay unn ka kiya haq ada kiya ) .