الفاتحة
Al-Faatiha
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
آیت ۱:۱ کھولیںshuroo Allah kay naam say jo sabb per meharban hai , boht meharban hai
ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۱:۲ کھولیںtamam tareefen Allah ki hain jo tamam jahano ka perwerdigar hai
ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
آیت ۱:۳ کھولیںjo sabb per meharban hai , boht meharban hai
مَٰلِكِ يَوۡمِ ٱلدِّينِ
آیت ۱:۴ کھولیںjo roz-e-jaza ka malik hai
إِيَّاكَ نَعۡبُدُ وَإِيَّاكَ نَسۡتَعِينُ
آیت ۱:۵ کھولیں. ( aey Allah ! ) hum teri hi ibadat kertay hain , aur tujhi say madad maangtay hain
ٱهۡدِنَا ٱلصِّرَٰطَ ٱلۡمُسۡتَقِيمَ
آیت ۱:۶ کھولیںhamen seedhay raastay ki hidayat ata farma
صِرَٰطَ ٱلَّذِينَ أَنۡعَمۡتَ عَلَيۡهِمۡ غَيۡرِ ٱلۡمَغۡضُوبِ عَلَيۡهِمۡ وَلَا ٱلضَّآلِّينَ
آیت ۱:۷ کھولیںunn logon kay raastay ki jinn per tu ney inaam kiya hai, naa kay unn logon kay raastay ki jinn per ghazab nazil huwa hai , aur naa unn kay raastay ki jo bhatkay huye hain